2 Chronicles 24 · 27 verses

2 इतिहास 24 2 Chronicles 24 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 24.

1

जब योआश राजा हुआ, तब वह सात वर्ष का था, और यरूशलेम में चालीस वर्ष तक राज्य करता रहा; उसकी माता का नाम सिब्या था, जो बेर्शेबा की थी।

Jab yoaash raja huaa, tab vah saat varsh ka tha, aur Yerushalem mein chalees varsh tak rajya karta raha; uski mata ka naam sibya tha, jo bersheba ki thi.

2

और जब तक यहोयादा याजक जीवित रहा, तब तक योआश वह काम करता रहा जो यहोवा की दृष्टि में ठीक है।

Aur jab tak yahoyada yajak jeevit raha, tab tak yoaash vah kaam karta raha jo Yahowa ki drishti mein theek hai.

3

और यहोयादा ने उसके दो ब्याह कराए और उस से बेटे-बेटियां उत्पन्न हुई।

Aur yahoyada ne uske do byaah karaye aur us se bete-betiyan utpann hui.

4

इसके बाद योआश के मन में यहोवा के भवन की मरम्मत करने की मनसा उपजी।

Iske baad yoaash ke man mein Yahowa ke bhavan ki marammat karne ki mansa upji.

5

तब उसने याजकों और लेवियों को इकट्ठा कर के कहा, प्रति वर्ष यहूदा के नगरों में जा जा कर सब इस्राएलियों से रुपये लिया करो जिस से तुम्हारे परमेश्वर के भवन की मरम्मत हो; देखो इस काम में फुर्ती करो। तौभी लेवियों ने कुछ फुर्ती न की।

Tab usne yajkon aur leviyon ko ikattha kar ke kaha, prati varsh Yahuda ke nagron mein ja ja kar sab Israeliyon se rupye liya karo jis se tumhare Parmeshwar ke bhavan ki marammat ho; dekho is kaam mein phurti karo. Taubhi leviyon ne kuchh phurti na ki.

6

तब राजा ने यहोयादा महायाजक को बुलवा कर पूछा, क्या कारण है कि तू ने लेवियों को दृढ़ आज्ञा नहीं दी कि वे यहूदा और यरूशलेम से उस चन्दे के रुपए ले आएं जिसका नियम यहोवा के दास मूसा और इस्राएल की मण्डली ने साक्षीपत्र के तम्बू के निमित्त चलाया था।

Tab raja ne yahoyada mahayajak ko bulva kar poochha, kya karan hai ki tu ne leviyon ko dridh aagya nahi di ki ve Yahuda aur Yerushalem se us chande ke rupaye le aayen jiska niyam Yahowa ke daas Musa aur Israel ki mandali ne saksheepatra ke tambu ke nimitt chalaya tha.

7

उस दुष्ट स्त्री अतल्याह के बेटों ने तो परमेश्वर के भवन को तोड़ दिया और यहोवा के भवन की सब पवित्र की हुई वस्तुएं बाल देवताओं को दे दी थीं।

Us dusht stri atalyaah ke beton ne to Parmeshwar ke bhavan ko tod diya aur Yahowa ke bhavan ki sab pavitra ki hui vastuein baal devtaon ko de di thi.

8

और राजा ने एक सन्दूक बनाने की आज्ञा दी और वह यहोवा के भवन के फाटक के पास बाहर रखा गया।

Aur raja ne ek sandook banane ki aagya di aur vah Yahowa ke bhavan ke phatak ke paas bahar rakha gaya.

9

तब यहूदा और यरूशलेम में यह प्रचार किया गया कि जिस चन्दे का नियम परमेश्वर के दास मूसा ने जंगल में इस्राएल में चलाया था, उसके रुपए यहोवा के निमित्त ले आओ।

Tab Yahuda aur Yerushalem mein yah prachaar kiya gaya ki jis chande ka niyam Parmeshwar ke daas Musa ne jangal mein Israel mein chalaya tha, uske rupaye Yahowa ke nimitt le aao.

10

तो सब हाकिम और प्रजा के सब लोग आनन्दित हो रुपए लाकर जब तक चन्दा पूरा न हुआ तब तक सन्दूक में डालते गए।

To sab hakim aur praja ke sab log aanandit ho rupaye lakar jab tak chanda poora na huaa tab tak sandook mein dalte gaye.

11

और जब जब वह सन्दूक लेवियों के हाथ से राजा के प्रधानों के पास पहुंचाया जाता और यह जान पड़ता था कि उस में रुपए बहुत हैं, तब तब राजा के प्रधान और महायाजक का नाइब आकर सन्दूक को खाली करते और तब उसे फिर उसके स्थान पर रख देते थे। उन्होंने प्रतिदिन ऐसा किया और बहुत रुपए इकट्ठा किए।

Aur jab jab vah sandook leviyon ke haath se raja ke pradhanon ke paas pahunchaya jata aur yah jaan padta tha ki us mein rupaye bahut hain, tab tab raja ke pradhaan aur mahayajak ka naib aakar sandook ko khali karte aur tab use phir uske sthaan par rakh dete the. Unhonne pratidin aisa kiya aur bahut rupaye ikattha kiye.

12

तब राजा और यहोयादा ने वह रुपए यहोवा के भवन में काम करने वालों को दे दिए, और उन्होंने राजों और बढ़इयों को यहोवा के भवन के सुधारने के लिये, और लोहारों और ठठेरों को यहोवा के भवन की मरम्मत करने के लिये मजदूरी पर रखा।

Tab raja aur yahoyada ne vah rupaye Yahowa ke bhavan mein kaam karne valon ko de diye, aur unhonne rajon aur badhaiyon ko Yahowa ke bhavan ke sudharne ke liye, aur loharon aur thatheron ko Yahowa ke bhavan ki marammat karne ke liye majdoori par rakha.

13

और कारीगर काम करते गए और काम पूरा होता गया और उन्होंने परमेश्वर का भवन जैसा का तैसा बना कर दृढ़ कर दिया।

Aur kareegar kaam karte gaye aur kaam poora hota gaya aur unhonne Parmeshwar ka bhavan jaisa ka taisa bana kar dridh kar diya.

14

जब उन्होंने वह काम निपटा दिया, तब वे शेष रुपए राजा और यहोयादा के पास ले गए, और उन से यहोवा के भवन के लिये पात्र बनाए गए, अर्थात सेवा टहल करने और होमबलि चढ़ाने के पात्र और धूपदान आदि सोने चान्दी के पात्र। और जब तक यहोयादा जीवित रहा, तब तक यहोवा के भवन में होमबलि नित्य चढ़ाए जाते थे।

Jab unhonne vah kaam nipta diya, tab ve shesh rupaye raja aur yahoyada ke paas le gaye, aur un se Yahowa ke bhavan ke liye patra banaye gaye, arthaat seva tahal karne aur homabli chadhane ke patra aur dhoopdaan aadi sone chandi ke patra. Aur jab tak yahoyada jeevit raha, tab tak Yahowa ke bhavan mein homabli nitya chadhaye jate the.

15

परन्तु यहोयादा बूढ़ा हो गया और दीर्घायु हो कर मर गया। जब वह मर गया तब एक सौ तीस वर्ष का था।

Parantu yahoyada boodha ho gaya aur deerghayu ho kar mar gaya. Jab vah mar gaya tab ek sau tees varsh ka tha.

16

और दाऊदपुर में राजाओं के बीच उसको मिट्टी दी गई, क्योंकि उसने इस्राएल में और परमेश्वर के और उसके भवन के विषय में भला किया था।

Aur daoodpur mein rajaon ke beech usko mitti di gai, kyonki usne Israel mein aur Parmeshwar ke aur uske bhavan ke vishay mein bhala kiya tha.

17

यहोयादा के मरने के बाद यहूदा के हाकिमों ने राजा के पास जा कर उसे दण्डवत की, और राजा ने उनकी मानी।

Yahoyada ke marne ke baad Yahuda ke hakimon ne raja ke paas ja kar use dandavat ki, aur raja ne unki mani.

18

तब वे अपने पितरों के परमेश्वर यहोवा का भवन छोड़कर अशेरों और मूरतों की उपासना करने लगे। सो उनके ऐसे दोषी होने के कारण परमेश्वर का क्रोध यहूदा और यरूशलेम पर भड़का।

Tab ve apne pitron ke Parmeshwar Yahowa ka bhavan chhodkar asheron aur moorton ki upasna karne lage. So unke aise doshi hone ke karan Parmeshwar ka krodh Yahuda aur Yerushalem par bhadka.

19

तौभी उसने उनके पास नबी भेजे कि उन को यहोवा के पास फेर लाएं; और इन्होंने उन्हें चिता दिया, परन्तु उन्होंने कान न लगाया।

Taubhi usne unke paas nabi bheje ki un ko Yahowa ke paas pher layen; aur inhonne unhein chita diya, parantu unhonne kaan na lagaya.

20

और परमेश्वर का आत्मा यहोयादा याजक के पुत्र जकर्याह में समा गया, और वह ऊंचे स्थान पर खड़ा हो कर लोगों से कहने लगा, परमेश्वर यों कहता है, कि तुम यहोवा की आज्ञाओं को क्यों टालते हो? ऐसा कर के तुम भाग्यवान नहीं हो सकते, देखो, तुम ने तो यहोवा को त्याग दिया है, इस कारण उसने भी तुम को त्याग दिया।

Aur Parmeshwar ka aatma yahoyada yajak ke putra jakaryaah mein sama gaya, aur vah oonche sthaan par khada ho kar logon se kahne laga, Parmeshwar yon kahta hai, ki tum Yahowa ki aagyaon ko kyon talte ho? Aisa kar ke tum bhagyavaan nahi ho sakte, dekho, tum ne to Yahowa ko tyaag diya hai, is karan usne bhi tum ko tyaag diya.

21

तब लोगों ने उस से द्रोह की गोष्ठी कर के, राजा की आज्ञा से यहोवा के भवन के आंगन में उसको पत्थरवाह किया।

Tab logon ne us se droh ki goshthi kar ke, raja ki aagya se Yahowa ke bhavan ke aangan mein usko pattharvaah kiya.

22

यों राजा योआश ने वह प्रीति भूल कर जो यहोयादा ने उस से की थी, उसके पुत्र को घात किया। और मरते समय उसने कहा यहोवा इस पर दृष्टि कर के इसका लेखा ले।

Yon raja yoaash ne vah preeti bhool kar jo yahoyada ne us se ki thi, uske putra ko ghaat kiya. Aur marte samay usne kaha Yahowa is par drishti kar ke iska lekha le.

23

नए वर्ष के लगते अरामियों की सेना ने उस पर चढ़ाई की, और यहूदा ओर यरूशलेम आकर प्रजा में से सब हाकिमों को नाश किया और उनका सब धन लूट कर दमिश्क के राजा के पास भेजा।

Naye varsh ke lagte aramiyon ki sena ne us par chadhai ki, aur Yahuda or Yerushalem aakar praja mein se sab hakimon ko naash kiya aur unka sab dhan loot kar damishk ke raja ke paas bheja.

24

अरामियों की सेना थोड़े ही पुरुषों की तो आई, परन्तु यहोवा ने एक बहुत बड़ी सेना उनके हाथ कर दी, क्योंकि उन्होंने अपने पितरो के परमेश्वर को त्याग दिया था। और योआश को भी उन्होंने दण्ड दिया।

Aramiyon ki sena thode hi purushon ki to aai, parantu Yahowa ne ek bahut badi sena unke haath kar di, kyonki unhonne apne pitro ke Parmeshwar ko tyaag diya tha. Aur yoaash ko bhi unhonne dand diya.

25

और जब वे उसे बहुत ही रोगी छोड़ गए, तब उसके कर्मचारियों ने यहोयादा याजक के पुत्रों के खून के कारण उस से द्रोह की गोष्ठी कर के, उसे उसके बिछौने पर ही ऐसा मारा, कि वह मर गया; और उन्होंने उसको दाऊद पुर में मिट्टी दी, परन्तु राजाओं के कब्रिस्तान में नहीं।

Aur jab ve use bahut hi rogi chhod gaye, tab uske karmachariyon ne yahoyada yajak ke putron ke khoon ke karan us se droh ki goshthi kar ke, use uske bichhaune par hi aisa mara, ki vah mar gaya; aur unhonne usko Daud pur mein mitti di, parantu rajaon ke kabristaan mein nahi.

26

जिन्होंने उस से राजद्रोह की गोष्ठी की, वे ये थे, अर्थात अम्मोनिन, शिमात का पुत्र जाबाद और शिम्रित, मोआबिन का पुत्र यहोजाबाद।

Jinhonne us se rajadroh ki goshthi ki, ve ye the, arthaat ammonin, shimaat ka putra jabaad aur shimrit, moaabin ka putra yahojabaad.

27

उसके बेटों के विषय और उसके विरुद्ध, जो बड़े दण्ड की नबूवत हुई, उसके और परमेश्वर के भवन के बनने के विषय ये सब बातें राजाओं के वृत्तान्त की पुस्तक में लिखी हैं। और उसका पुत्र अमस्याह उसके स्थान पर राजा हुआ।

Uske beton ke vishay aur uske viruddh, jo bade dand ki naboovat hui, uske aur Parmeshwar ke bhavan ke banne ke vishay ye sab batein rajaon ke vrittaant ki pustak mein likhi hain. Aur uska putra amasyaah uske sthaan par raja huaa.