2 Chronicles 23 · 21 verses

2 इतिहास 23 2 Chronicles 23 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 23.

1

सातवें वर्ष में यहोयादा ने हियाव बान्धकर यरोहाम के पुत्र अजर्याह, यहोहानान के पुत्र इश्माएल, ओबेद के पुत्र अजर्याह, अदायाह के पुत्र मासेयाह और जिक्री के पुत्र बलीशपात, इन शतपतियों से वाचा बान्धी।

Satvein varsh mein yahoyada ne hiyaav bandhakar yarohaam ke putra ajaryaah, yahohanaan ke putra ishmayel, obed ke putra ajaryaah, adayaah ke putra maseyaah aur jikri ke putra baleeshpaat, in shataptiyon se vacha bandhi.

2

तब वे यहूदा में घूम कर यहूदा के सब नगरों में से लेवियों को और इस्राएल के पितरों के घरानों के मुख्य मुख्य पुरुषों को इकट्ठा कर के यरूशलेम को ले आए।

Tab ve Yahuda mein ghoom kar Yahuda ke sab nagron mein se leviyon ko aur Israel ke pitron ke gharanon ke mukhya mukhya purushon ko ikattha kar ke Yerushalem ko le aaye.

3

और उस सारी मएडली ने परमेश्वर के भवन में राजा के साथ वाचा बान्धी, और यहोयादा ने उन से कहा, सुनो, यह राजकुमार राज्य करेगा जैसे कि यहोवा ने दाऊद के वंश के विषय कहा है।

Aur us sari mayedli ne Parmeshwar ke bhavan mein raja ke saath vacha bandhi, aur yahoyada ne un se kaha, suno, yah rajkumaar rajya karega jaise ki Yahowa ne Daud ke vansh ke vishay kaha hai.

4

तो तुम एक काम करो, अर्थात तुम याजकों और लेवियों की एक तिहाई लोग जो विश्रामदिन को आने वाले हो, वे द्वारपाली करें,

To tum ek kaam karo, arthaat tum yajkon aur leviyon ki ek tihai log jo vishramdin ko aane vale ho, ve dwarpali karein,

5

और एक तिहाई लोग राजभवन में रहें और एक तिहाई लोग नेव के फाटक के पास रहें; और सब लोग यहोवा के भवन के आंगनों में रहें।

Aur ek tihai log rajabhvan mein rahein aur ek tihai log nev ke phatak ke paas rahein; aur sab log Yahowa ke bhavan ke aangnon mein rahein.

6

परन्तु याजकों और सेवा टहल करने वाले लेवियों को छोड़ और कोई यहोवा के भवन के भीतर न आने पाए; वे तो भीतर आएं, क्योंकि वे पवित्र हैं परन्तु सब लोग यहोवा के भवन की चौकसी करें।

Parantu yajkon aur seva tahal karne vale leviyon ko chhod aur koi Yahowa ke bhavan ke bheetar na aane paye; ve to bheetar aayen, kyonki ve pavitra hain parantu sab log Yahowa ke bhavan ki chauksi karein.

7

और लेवीय लोग अपने अपने हाथ में हथियार लिये हुए राजा के चारों ओर रहें और जो कोई भवन के भीतर घुसे, वह मार डाला जाए। और तुम राजा के आते जाते उसके साथ रहना।

Aur leveeya log apne apne haath mein hathiyaar liye hue raja ke charon or rahein aur jo koi bhavan ke bheetar ghuse, vah maar dala jaye. Aur tum raja ke aate jate uske saath rahna.

8

यहोयादा याजक की इन सब आज्ञाओं के अनुसार लेवियों और सब यहूदियों ने किया। उन्होंने विश्रामदिन को आने वाले और विश्रामदिन को जाने वाले दोनों दलों के, अपने अपने जनों को अपने साथ कर लिया, क्योंकि यहोयादा याजक ने किसी दल के लेवियों को विदा न किया था।

Yahoyada yajak ki in sab aagyaon ke anusaar leviyon aur sab Yahudiyon ne kiya. Unhonne vishramdin ko aane vale aur vishramdin ko jane vale donon dalon ke, apne apne janon ko apne saath kar liya, kyonki yahoyada yajak ne kisi dal ke leviyon ko vida na kiya tha.

9

तब यहोयादा याजक ने शतपतियों को राजा दाऊद के बर्छे और भाले और ढालें जो परमेश्वर के भवन में थीं, दे दीं।

Tab yahoyada yajak ne shataptiyon ko raja Daud ke barchhe aur bhale aur dhalein jo Parmeshwar ke bhavan mein thi, de di.

10

फिर उसने उन सब लोगों को अपने अपने हाथ में हथियार लिये हुए भवन के दक्खिनी कोने से ले कर, उत्तरी कोने तक वेदी और भवन के पास राजा के चारों ओर उसकी आड़ कर के खड़ा कर दिया।

Phir usne un sab logon ko apne apne haath mein hathiyaar liye hue bhavan ke dakkhini kone se le kar, uttari kone tak vedi aur bhavan ke paas raja ke charon or uski aad kar ke khada kar diya.

11

तब उन्होंने राजकुमार को बाहर ला, उसके सिर पर मुकुट रखा और साक्षीपत्र देकर उसे राजा बनाया; और यहोयादा और उसके पुत्रों ने उसका अभिषेक किया, और लोग बोल उठे, राजा जीवित रहे।

Tab unhonne rajkumaar ko bahar la, uske sir par mukut rakha aur saksheepatra dekar use raja banaya; aur yahoyada aur uske putron ne uska abhishek kiya, aur log bol uthe, raja jeevit rahe.

12

जब अतल्याह को उन लोगों का हल्ला, जो दौड़ते और राजा को सराहते थे सुन पड़ा, तब वह लोगों के पास यहोवा के भवन में गई।

Jab atalyaah ko un logon ka halla, jo daudte aur raja ko sarahte the sun pada, tab vah logon ke paas Yahowa ke bhavan mein gai.

13

और उसने क्या देखा, कि राजा द्वार के निकट खम्भे के पास खड़ा है और राजा के पास प्रधान और तुरही बजाने वाले खड़े हैं, और सब लोग आनन्द कर रहे हैं और तुरहियां बजा रहे हैं और गाने बजाने वाले बाजे बजाते और स्तुति करते हैं। तब अतल्याह अपने वस्त्र फाड़ कर पुकारने लगी, राजद्रोह, राजद्रोह!

Aur usne kya dekha, ki raja dwaar ke nikat khambhe ke paas khada hai aur raja ke paas pradhaan aur turhi bajane vale khade hain, aur sab log aanand kar rahe hain aur turhiyan baja rahe hain aur gane bajane vale baje bajate aur stuti karte hain. Tab atalyaah apne vastra phaad kar pukarne lagi, rajadroh, rajadroh!

14

तब यहोयादा याजक ने दल के अधिकारी शतपतियों को बाहर लाकर उन से कहा, कि उसे अपनी पांतियों के बीच से निकाल ले जाओ; और जो कोई उसके पीछे चले, वह तलवार से मार डाला जाए। याजक ने कहा, कि उसे यहोवा के भवन में न मार डालो।

Tab yahoyada yajak ne dal ke adhikari shataptiyon ko bahar lakar un se kaha, ki use apni pantiyon ke beech se nikaal le jao; aur jo koi uske peechhe chale, vah talvaar se maar dala jaye. Yajak ne kaha, ki use Yahowa ke bhavan mein na maar dalo.

15

तब उन्होंने दोनों ओर से उसको जगह दी, और वह राजभवन के घोड़ाफाटक के द्वार तक गई, और वहां उन्होंने उसको मार डाला।

Tab unhonne donon or se usko jagah di, aur vah rajabhvan ke ghodaphatak ke dwaar tak gai, aur vahan unhonne usko maar dala.

16

तब यहोयादा ने अपने और सारी प्रजा के और राजा के बीच यहोवा की प्रजा होने की वाचा बन्धवाई।

Tab yahoyada ne apne aur sari praja ke aur raja ke beech Yahowa ki praja hone ki vacha bandhavai.

17

तब सब लोगों ने बाल के भवन को जा कर ढा दिया; और उसकी वेदियों और मूरतों को टुकड़े टुकड़े किया, और मत्तान नाम बाल के याजक को वेदियों के साम्हने ही घात किया।

Tab sab logon ne baal ke bhavan ko ja kar dha diya; aur uski vediyon aur moorton ko tukde tukde kiya, aur mattaan naam baal ke yajak ko vediyon ke samhane hi ghaat kiya.

18

तब यहोयादा ने यहोवा के भवन की सेवा के लिये उन लेवीय याजकों को ठहरा दिया, जिन्हें दाऊद ने यहोवा के भवन पर दल दल कर के इसलिये ठहराया था, कि जैसे मूसा की व्यवस्था में लिखा है, वैसे ही वे यहोवा को होमबलि चढ़ाया करें, और दाऊद की चलाई हुई विधि के अनुसार आनन्द करें और गाएं।

Tab yahoyada ne Yahowa ke bhavan ki seva ke liye un leveeya yajkon ko thahra diya, jinhein Daud ne Yahowa ke bhavan par dal dal kar ke isliye thahraya tha, ki jaise Musa ki vyavastha mein likha hai, vaise hi ve Yahowa ko homabli chadhaya karein, aur Daud ki chalai hui vidhi ke anusaar aanand karein aur gayen.

19

और उसने यहोवा के भवन के फाटकों पर द्वारपालों को इसलिये खड़ा किया, कि जो किसी रीति से अशुद्ध हो, वह भीतर जाने न पाए।

Aur usne Yahowa ke bhavan ke phatkon par dwarpalon ko isliye khada kiya, ki jo kisi reeti se ashuddh ho, vah bheetar jane na paye.

20

और वह शतपतियों और रईसों और प्रजा पर प्रभुता करने वालों और देश के सब लोगों को साथ कर के राजा को यहोवा के भवन से नीचे ले गया और ऊंचे फाटक से हो कर राजभवन में आया, और राजा को राजगद्दी पर बैठाया।

Aur vah shataptiyon aur raison aur praja par prabhuta karne valon aur desh ke sab logon ko saath kar ke raja ko Yahowa ke bhavan se neeche le gaya aur oonche phatak se ho kar rajabhvan mein aaya, aur raja ko rajgaddi par baithaya.

21

तब सब लोग आनन्दित हुए और नगर में शान्ति हुई। अतल्याह तो तलवार से मार ही डाली गई थी।

Tab sab log aanandit hue aur nagar mein shanti hui. Atalyaah to talvaar se maar hi dali gai thi.