2 Chronicles 21 · 20 verses

2 इतिहास 21 2 Chronicles 21 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 21.

1

निदान यहोशापात अपने पुरखाओं के संग सो गया, और उसको उसके पुरखाओं के बीच दाऊदपुर में मिट्टी दी गई; और उसका पुत्र यहोराम उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan yahoshapaat apne purkhaon ke sang so gaya, aur usko uske purkhaon ke beech daoodpur mein mitti di gai; aur uska putra yahoraam uske sthaan par rajya karne laga.

2

इसके भाई जो यहोशापात के पुत्र थे, ये थे, अर्थात अजर्याह, यहीएल, जकर्याह, अजर्याह, मीकाएल और शपत्याह; ये सब इस्राएल के राजा यहोशापात के पुत्र थे।

Iske bhai jo yahoshapaat ke putra the, ye the, arthaat ajaryaah, yaheeyel, jakaryaah, ajaryaah, meekayel aur shapatyaah; ye sab Israel ke raja yahoshapaat ke putra the.

3

और उनके पिता ने उन्हे चान्दी सोना और अनमोल वस्तुएं और बड़े बड़े दान और यहूदा में गढ़ वाले नगर दिए थे, परन्तु यहोराम को उसने राज्य दे दिया, क्योंकि वह जेठा था।

Aur unke pita ne unhe chandi sona aur anmol vastuein aur bade bade daan aur Yahuda mein gadh vale nagar diye the, parantu yahoraam ko usne rajya de diya, kyonki vah jetha tha.

4

जब यहोराम अपने पिता के राज्य पर नियुक्त हुआ और बलवन्त भी हो गया, तब उसने अपने सब भाइयों को और इस्राएल के कुछ हाकिमों को भी तलवार से घात किया।

Jab yahoraam apne pita ke rajya par niyukt huaa aur balvant bhi ho gaya, tab usne apne sab bhaiyon ko aur Israel ke kuchh hakimon ko bhi talvaar se ghaat kiya.

5

जब यहोराम राजा हुआ, तब वह बत्तीस वर्ष का था, और वह आठ वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा।

Jab yahoraam raja huaa, tab vah battees varsh ka tha, aur vah aath varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha.

6

वह इस्राएल के राजाओं की सी चाल चला, जैसे अहाब का घराना चलता था, क्योंकि उसकी पत्नी अहाब की बेटी थी। और वह उस काम को करता था, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Vah Israel ke rajaon ki si chaal chala, jaise ahaab ka gharana chalta tha, kyonki uski patni ahaab ki beti thi. Aur vah us kaam ko karta tha, jo Yahowa ki drishti mein bura hai.

7

तौभी यहोवा ने दाऊद के घराने को नाश करना न चाहा, यह उस वाचा के कारण था, जो उसने दाऊद से बान्धी थी। और उस वचन के अनुसार था, जो उसने उसको दिया था, कि में ऐसा करूंगा कि तेरा और तेरे वंश का दीपक कभी न बुझेगा।

Taubhi Yahowa ne Daud ke gharane ko naash karna na chaha, yah us vacha ke karan tha, jo usne Daud se bandhi thi. Aur us vachan ke anusaar tha, jo usne usko diya tha, ki mein aisa karoonga ki tera aur tere vansh ka deepak kabhi na bujhega.

8

उसके दिनों में एदोम ने यहूदा की आधीनता छोड़ कर अपने ऊपर एक राजा बना लिया।

Uske dinon mein edom ne Yahuda ki aadheenta chhod kar apne oopar ek raja bana liya.

9

सो यहोराम अपने हाकिमों और अपने सब रथों को साथ ले कर उधर गया, और रथों के प्रधानों को मारा।

So yahoraam apne hakimon aur apne sab rathon ko saath le kar udhar gaya, aur rathon ke pradhanon ko mara.

10

यों एदोम यहूदा के वश से छूट गया और आज तक वैसा ही है। उसी समय लिब्ना ने भी उसकी आधीनता छोड़ दी, यह इस कारण हुआ, कि उसने अपने पितरों के परमेश्वर यहोवा को त्याग दिया था।

Yon edom Yahuda ke vash se chhoot gaya aur aaj tak vaisa hi hai. Usi samay libna ne bhi uski aadheenta chhod di, yah is karan huaa, ki usne apne pitron ke Parmeshwar Yahowa ko tyaag diya tha.

11

और उसने यहूदा के पहाड़ों पर ऊंचे स्थान बनाए और यरूशलेम के निवासियों व्यभिचार कराया, और यहूदा को बहका दिया।

Aur usne Yahuda ke pahadon par oonche sthaan banaye aur Yerushalem ke nivasiyon vyabhichaar karaya, aur Yahuda ko bahka diya.

12

तब एलिय्याह नबी का एक पत्र उसके पास आया, कि तेरे मूलपुरुष दाऊद का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि तू जो न तो अपने पिता यहोशापात की लीक पर चला है और न यहूदा के राजा आसा की लीक पर,

Tab eliyyaah nabi ka ek patra uske paas aaya, ki tere moolpurush Daud ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki tu jo na to apne pita yahoshapaat ki leek par chala hai aur na Yahuda ke raja aasa ki leek par,

13

वरन इस्राएल के राजाओं की लीक पर चला है, और अहाब के घराने की नाईं यहूदियों और यरूशलेम के निवासियों व्यभिचार कराया है और अपने पिता के घराने में से अपने भाइयों को जो तुझ से अच्छे थे, घात किया है,

Varan Israel ke rajaon ki leek par chala hai, aur ahaab ke gharane ki nai Yahudiyon aur Yerushalem ke nivasiyon vyabhichaar karaya hai aur apne pita ke gharane mein se apne bhaiyon ko jo tujh se achchhe the, ghaat kiya hai,

14

इस कारण यहोवा तेरी प्रजा, पुत्रों, स्त्रियों और सारी सम्मत्ति को बड़ी मार से मारेगा।

Is karan Yahowa teri praja, putron, striyon aur sari sammatti ko badi maar se marega.

15

और तू अंतड़ियों के रोग से बहुत पीड़ित हो जाएगा, यहां तक कि उस रोग के कारण तेरी अंतड़ियां प्रतिदिन निकलती जाएंगी।

Aur tu antdiyon ke rog se bahut peedit ho jayega, yahan tak ki us rog ke karan teri antdiyan pratidin nikalti jayengi.

16

और यहोवा ने पलिश्तियों को और कूशियों के पास रहने वाले अरबियों को, यहोराम के विरुद्ध उभारा।

Aur Yahowa ne palishtiyon ko aur kooshiyon ke paas rahne vale arbiyon ko, yahoraam ke viruddh ubhara.

17

और वे यहूदा पर चढ़ाई कर के उस पर टूट पड़े, और राजभवन में जितनी सम्पत्ति मिली, उस सब को और राजा के पुत्रों और स्त्रियों को भी ले गए, यहां तक कि उसके लहुरे बेटे यहोआहाज को छोड़, उसके पास कोई भी पुत्र न रहा।

Aur ve Yahuda par chadhai kar ke us par toot pade, aur rajabhvan mein jitni sampatti mili, us sab ko aur raja ke putron aur striyon ko bhi le gaye, yahan tak ki uske lahure bete yahoaahaaj ko chhod, uske paas koi bhi putra na raha.

18

इन सब के बाद यहोवा ने उसे अंतड़ियों के असाध्यरोग से पीड़ित कर दिया।

In sab ke baad Yahowa ne use antdiyon ke asadhyarog se peedit kar diya.

19

और कुछ समय के बाद अर्थात दो वर्ष के अन्त में उस रोग के कारण उसकी अंतड़ियां निकल पड़ीं, ओर वह अत्यन्त पीड़ित हो कर मर गया। और उसकी प्रजा ने जैसे उसके पुरखाओं के लिये सुगन्धद्रव्य जलाया था, वैसा उसके लिये कुछ न जलाया।

Aur kuchh samay ke baad arthaat do varsh ke ant mein us rog ke karan uski antdiyan nikal padi, or vah atyant peedit ho kar mar gaya. Aur uski praja ne jaise uske purkhaon ke liye sugandhadravya jalaya tha, vaisa uske liye kuchh na jalaya.

20

वह जब राज्य करने लगा, तब बत्तीस वर्ष का था, और यरूशलेम में आठ वर्ष तक राज्य करता रहा; और सब को अप्रिय हो कर जाता रहा। और उसको दाऊदपुर में मिट्टी दी गई, परन्तु राजाओं के कब्रिस्तान में नहीं।

Vah jab rajya karne laga, tab battees varsh ka tha, aur Yerushalem mein aath varsh tak rajya karta raha; aur sab ko apriya ho kar jata raha. Aur usko daoodpur mein mitti di gai, parantu rajaon ke kabristaan mein nahi.