इसके बाद मोआबियों और अम्मोनियों ने और उनके साथ कई मूनियों ने युद्ध करने के लिये यहोशापात पर चढ़ाई की।
Iske baad moaabiyon aur ammoniyon ne aur unke saath kai mooniyon ne yuddh karne ke liye yahoshapaat par chadhai ki.
2 Chronicles 20 · 37 verses
इसके बाद मोआबियों और अम्मोनियों ने और उनके साथ कई मूनियों ने युद्ध करने के लिये यहोशापात पर चढ़ाई की।
Iske baad moaabiyon aur ammoniyon ne aur unke saath kai mooniyon ne yuddh karne ke liye yahoshapaat par chadhai ki.
तब लोगों ने आकर यहोशापात को बता दिया, कि ताल के पार से एदोम देश की ओर से एक बड़ी भीड़ तुझ पर चढ़ाई कर रही है; और देख, वह हसासोन्तामार तक जो एनगदी भी कहलाता है, पहुंच गई है।
Tab logon ne aakar yahoshapaat ko bata diya, ki taal ke paar se edom desh ki or se ek badi bheed tujh par chadhai kar rahi hai; aur dekh, vah hasasontamaar tak jo enagdi bhi kahlata hai, pahunch gai hai.
तब यहोशपात डर गया और यहोवा की खोज में लग गया, और पूरे यहूदा में उपवास का प्रचार करवाया।
Tab yahoshpaat dar gaya aur Yahowa ki khoj mein lag gaya, aur poore Yahuda mein upvaas ka prachaar karvaya.
सो यहूदी यहोवा से सहायता मांगने के लिये इकट्ठे हुए, वरन वे यहूदा के सब नगरों से यहोवा से भेंट करने को आए।
So Yahudi Yahowa se sahayta mangne ke liye ikatthe hue, varan ve Yahuda ke sab nagron se Yahowa se bhent karne ko aaye.
तब यहोशपात यहोवा के भवन में नये आंगन के साम्हने यहूदियों और यरूशलेमियों की मण्डली में खड़ा हो कर
Tab yahoshpaat Yahowa ke bhavan mein naye aangan ke samhane Yahudiyon aur yarooshlemiyon ki mandali mein khada ho kar
यह कहने लगा, कि हे हमारे पितरों के परमेश्वर यहोवा! क्या तू स्वर्ग में परमेश्वर नहीं है? और क्या तू जाति जाति के सब राज्यों के ऊपर प्रभुता नहीं करता? और क्या तेरे हाथ में ऐसा बल और पराक्रम नहीं है कि तेरा साम्हना कोई नहीं कर सकता?
Yah kahne laga, ki he hamare pitron ke Parmeshwar Yahowa! Kya tu swarg mein Parmeshwar nahi hai? Aur kya tu jati jati ke sab rajyon ke oopar prabhuta nahi karta? Aur kya tere haath mein aisa bal aur parakram nahi hai ki tera samhana koi nahi kar sakta?
हे हमारे परमेश्वर! क्या तू ने इस देश के निवासियों अपनी प्रजा इस्राएल के साम्हने से निकाल कर इन्हें अपने मित्र इब्राहीम के वंश को सदा के लिये नहीं दे दिया?
He hamare Parmeshwar! Kya tu ne is desh ke nivasiyon apni praja Israel ke samhane se nikaal kar inhein apne mitra Ibrahim ke vansh ko sada ke liye nahi de diya?
वे इस में बस गए और इस में तेरे नाम का एक पवित्र स्थान बना कर कहा,
Ve is mein bas gaye aur is mein tere naam ka ek pavitra sthaan bana kar kaha,
कि यदि तलवार या मरी अथवा अकाल वा और कोई विपत्ति हम पर पड़े, तौभी हम इसी भवन के साम्हने और तेरे साम्हने (तेरा नाम तो इस भवन में बसा है) खड़े हो कर, अपने क्लेश के कारण तेरी दोहाई देंगे और तू सुन कर बचाएगा।
Ki yadi talvaar ya mari athva akaal va aur koi vipatti ham par pade, taubhi ham isi bhavan ke samhane aur tere samhane (tera naam to is bhavan mein basa hai) khade ho kar, apne klesh ke karan teri dohai denge aur tu sun kar bachayega.
और अब अम्मोनी और मोआबी और सेईर के पहाड़ी देश के लोग जिन पर तू ने इस्राएल को मिस्र देश से आते समय चढ़ाई करने न दिया, और वे उनकी ओर से मुड़ गए और उन को विनाश न किया,
Aur ab ammoni aur moaabi aur seir ke pahadi desh ke log jin par tu ne Israel ko Misr desh se aate samay chadhai karne na diya, aur ve unki or se mud gaye aur un ko vinaash na kiya,
देख, वे ही लोग तेरे दिए हुए अधिकार के इस देश में से जिसका अधिकार तू ने हमें दिया है, हम को निकाल कर कैसा बदला हमें दे रहे हैं।
Dekh, ve hi log tere diye hue adhikaar ke is desh mein se jiska adhikaar tu ne hamein diya hai, ham ko nikaal kar kaisa badla hamein de rahe hain.
हे हमारे परमेश्वर, क्या तू उनका न्याय न करेगा? यह जो बड़ी भीड़ हम पर चढ़ाई कर रही है, उसके साम्हने हमारा तो बस नहीं चलता और हमें कुछ सूझता नहीं कि क्या करना चाहिये? परन्तु हमारी आंखें तेरी ओर लगी हैं।
He hamare Parmeshwar, kya tu unka nyaay na karega? Yah jo badi bheed ham par chadhai kar rahi hai, uske samhane hamara to bas nahi chalta aur hamein kuchh soojhta nahi ki kya karna chahiye? Parantu hamari aankhein teri or lagi hain.
और सब यहूदी अपने अपने बाल-बच्चों, स्त्रियों और पुत्रों समेत यहोवा के सम्मुख खड़े रहे।
Aur sab Yahudi apne apne baal-bachchon, striyon aur putron samet Yahowa ke sammukh khade rahe.
तब आसाप के वंश में से यहजीएल नाम एक लेवीय जो जकर्याह का पुत्र और बनायाह का पोता और मत्तन्याह के पुत्र यीएल का परपोता था, उस में मण्डली के बीच यहोवा का आत्मा समाया।
Tab aasaap ke vansh mein se yahjeeyel naam ek leveeya jo jakaryaah ka putra aur banayaah ka pota aur mattanyaah ke putra yeeyel ka parpota tha, us mein mandali ke beech Yahowa ka aatma samaya.
और वह कहने लगा, हे सब यहूदियो, हे यरूशलेम के रहनेवालो, हे राजा यहोशापात, तुम सब ध्यान दो; यहोवा तुम से यों कहता है, तुम इस बड़ी भीड़ से मत डरो और तुम्हारा मन कच्चा न हो; क्योंकि युद्ध तुम्हारा नहीं, परमेश्वर का है।
Aur vah kahne laga, he sab yahoodiyo, he Yerushalem ke rahnevalo, he raja yahoshapaat, tum sab dhyaan do; Yahowa tum se yon kahta hai, tum is badi bheed se mat daro aur tumhara man kachcha na ho; kyonki yuddh tumhara nahi, Parmeshwar ka hai.
कल उनका साम्हना करने को जाना। देखो वे सीस की चढ़ाई पर चढ़े आते हैं और यरूएल नाम जंगल के साम्हने नाले के सिरे पर तुम्हें मिलेंगे।
Kal unka samhana karne ko jana. Dekho ve sees ki chadhai par chadhe aate hain aur yarooyel naam jangal ke samhane nale ke sire par tumhein milenge.
इस लड़ाई में तुम्हें लड़ना न होगा; हे यहूदा, और हे यरूशलेम, ठहरे रहना, और खड़े रह कर यहोवा की ओर से अपना बचाव देखना। मत डरो, और तुम्हारा मन कच्चा न हो; कल उनका साम्हना करने को चलना और यहोवा तुम्हारे साथ रहेगा।
Is ladai mein tumhein ladna na hoga; he Yahuda, aur he Yerushalem, thahre rahna, aur khade rah kar Yahowa ki or se apna bachaav dekhna. Mat daro, aur tumhara man kachcha na ho; kal unka samhana karne ko chalna aur Yahowa tumhare saath rahega.
तब यहोशापात भूमि की ओर मुंह कर के झुका और सब यहूदियों और यरूशलेम के निवासियों ने यहोवा के साम्हने गिर के यहोवा को दण्डवत किया।
Tab yahoshapaat bhoomi ki or munh kar ke jhuka aur sab Yahudiyon aur Yerushalem ke nivasiyon ne Yahowa ke samhane gir ke Yahowa ko dandavat kiya.
और कहातियों और कोरहियों में से कुछ लेवीय खड़े हो कर इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की स्तुति अत्यन्त ऊंचे स्वर से करने लगे।
Aur kahatiyon aur korhiyon mein se kuchh leveeya khade ho kar Israel ke Parmeshwar Yahowa ki stuti atyant oonche swar se karne lage.
बिहान को वे सबेरे उठ कर तकोआ के जंगल की ओर निकल गए; और चलते समय यहोशापात ने खड़े हो कर कहा, हे यहूदियो, हे यरूशलेम के निवासियो, मेरी सुनो, अपने परमेश्वर यहोवा पर विश्वास रखो, तब तुम स्थिर रहोगे; उसके नबियों की प्रतीति करो, तब तुम कृतार्थ हो जाओगे।
Bihaan ko ve sabere uth kar takoaa ke jangal ki or nikal gaye; aur chalte samay yahoshapaat ne khade ho kar kaha, he yahoodiyo, he Yerushalem ke nivasiyo, meri suno, apne Parmeshwar Yahowa par vishwaas rakho, tab tum sthir rahoge; uske nabiyon ki prateeti karo, tab tum kritaarth ho jaoge.
तब उसने प्रजा के साथ सम्मति कर के कितनों को ठहराया, जो कि पवित्रता से शोभायमान हो कर हथियारबन्दों के आगे आगे चलते हुए यहोवा के गीत गाएं, और यह कहते हुए उसकी स्तुति करें, कि यहोवा का धन्यवाद करो, क्योंकि उसकी करुणा सदा की है।
Tab usne praja ke saath sammati kar ke kitnon ko thahraya, jo ki pavitrata se shobhaymaan ho kar hathiyarbandon ke aage aage chalte hue Yahowa ke geet gayen, aur yah kahte hue uski stuti karein, ki Yahowa ka dhanyavaad karo, kyonki uski karuna sada ki hai.
जिस समय वे गाकर स्तुति करने लगे, उसी समय यहोवा ने अम्मोनियों, मोआबियों और सेईर के पहाड़ी देश के लोगों पर जो यहूदा के विरुद्ध आ रहे थे, घातकों को बैठा दिया और वे मारे गए।
Jis samay ve gakar stuti karne lage, usi samay Yahowa ne ammoniyon, moaabiyon aur seir ke pahadi desh ke logon par jo Yahuda ke viruddh aa rahe the, ghatkon ko baitha diya aur ve mare gaye.
क्योंकि अम्मोनियों और मोआबियों ने सेईर के पहाड़ी देश के निवासियों डराने और सत्यानाश करने के लिये उन पर चढ़ाई की, और जब वे सेईर के पहाड़ी देश के निवासियों का अन्त कर चुके, तब उन सभों ने एक दूसरे के नाश करने में हाथ लगाया।
Kyonki ammoniyon aur moaabiyon ne seir ke pahadi desh ke nivasiyon darane aur satyanaash karne ke liye un par chadhai ki, aur jab ve seir ke pahadi desh ke nivasiyon ka ant kar chuke, tab un sabhon ne ek doosre ke naash karne mein haath lagaya.
सो जब यहूदियों ने जंगल की चौकी पर पहुंच कर उस भीड़ की ओर दृष्टि की, तब क्या देख कि वे भूमि पर पड़ी हुई लोथ हैं; और कोई नहीं बचा।
So jab Yahudiyon ne jangal ki chauki par pahunch kar us bheed ki or drishti ki, tab kya dekh ki ve bhoomi par padi hui loth hain; aur koi nahi bacha.
तब यहोशापात और उसकी प्रजा लूट लेने को गए और लोथों के बीच बहुत सी सम्पत्ति और मनभावने गहने मिले; उन्होंने इतने गहने उतार लिये कि उन को न ले जा सके, वरन लूट इतनी मिली, कि बटोरते बटोरते तीन दिन बीत गए।
Tab yahoshapaat aur uski praja loot lene ko gaye aur lothon ke beech bahut si sampatti aur manbhavne gahne mile; unhonne itne gahne utaar liye ki un ko na le ja sake, varan loot itni mili, ki batorte batorte teen din beet gaye.
चौथे दिन वे बराका नाम तराई में इकट्ठे हुए और वहां यहोवा का धन्यवाद किया; इस कारण उस स्थान का नाम बराका की तराई पड़ा, जो आज तक है।
Chauthe din ve baraka naam tarai mein ikatthe hue aur vahan Yahowa ka dhanyavaad kiya; is karan us sthaan ka naam baraka ki tarai pada, jo aaj tak hai.
तब वे, अर्थात यहूदा और यरूशलेम नगर के सब पुरुष और उनके आगे आगे यहोशापात, आनन्द के साथ यरूशलेम लौटे क्योंकि यहोवा ने उन्हें शत्रुओं पर आनन्दित किया था।
Tab ve, arthaat Yahuda aur Yerushalem nagar ke sab purush aur unke aage aage yahoshapaat, aanand ke saath Yerushalem laute kyonki Yahowa ne unhein shatruon par aanandit kiya tha.
सो वे सारंगियां, वीणाएं और तुरहियां बजाते हुए यरूशलेम में यहोवा के भवन को आए।
So ve sarangiyan, veenayen aur turhiyan bajate hue Yerushalem mein Yahowa ke bhavan ko aaye.
और जब देश देश के सब राज्यों के लोगों ने सुना कि इस्राएल के शत्रुओं से यहोवा लड़ा, तब उनके मन में परमेश्वर का डर समा गया।
Aur jab desh desh ke sab rajyon ke logon ne suna ki Israel ke shatruon se Yahowa lada, tab unke man mein Parmeshwar ka dar sama gaya.
और यहोशापात के राज्य को चैन मिला, क्योंकि उसके परमेश्वर ने उसको चारों ओर से विश्राम दिया।
Aur yahoshapaat ke rajya ko chain mila, kyonki uske Parmeshwar ne usko charon or se vishraam diya.
यों यहोशापात ने यहूदा पर राज्य किया। जब वह राज्य करने लगा तब वह पैंतीस वर्ष का था, और पच्चीस वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा। और उसकी माता का नाम अजूबा था, जो शिल्ही की बेटी थी।
Yon yahoshapaat ne Yahuda par rajya kiya. Jab vah rajya karne laga tab vah paintees varsh ka tha, aur pachchees varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha. Aur uski mata ka naam ajooba tha, jo shilhi ki beti thi.
और वह अपने पिता आसा की लीक पर चला ओर उस से न मुड़ा, अर्थात जो यहोवा की दृष्टि में ठीक है वही वह करता रहा।
Aur vah apne pita aasa ki leek par chala or us se na muda, arthaat jo Yahowa ki drishti mein theek hai vahi vah karta raha.
तौभी ऊंचे स्थान ढाए न गए, वरन अब तक प्रजा के लोगों ने अपना मन अपने पितरों के परमेश्वर की ओर न लगाया था।
Taubhi oonche sthaan dhaye na gaye, varan ab tak praja ke logon ne apna man apne pitron ke Parmeshwar ki or na lagaya tha.
और आदि से अन्त तक यहोशापात के और काम, हनानी के पुत्र येहू के विषय उस वृत्तान्त में लिखे हैं, जो इस्राएल के राजाओं के वृत्तान्त में पाया जाता हैं।
Aur aadi se ant tak yahoshapaat ke aur kaam, hanani ke putra yehu ke vishay us vrittaant mein likhe hain, jo Israel ke rajaon ke vrittaant mein paya jata hain.
इसके बाद यहूद के राजा यहोशापात ने इस्राएल का राजा अहज्याह से जो बड़ी दुष्टता करता था, मेल किया।
Iske baad yahood ke raja yahoshapaat ne Israel ka raja ahajyaah se jo badi dushtata karta tha, mel kiya.
अर्थात उसने उसके साथ इसलिये मेल किया कि तर्शीश जाने को जहाज बनवाए, और उन्होंने ऐसे जहाज एस्योनगेबेर में बनवाए।
Arthaat usne uske saath isliye mel kiya ki tarsheesh jane ko jahaaj banvaye, aur unhonne aise jahaaj esyongeber mein banvaye.
तब दोदावाह के पुत्र मारेशावासी एलीआजर ने यहोशापात के विरुद्ध यह नबूवत कही, कि तू ने जो अहज्याह से मेल किया, इस कारण यहोवा तेरी बनवाई हुई वस्तुओं को तोड़ डालेगा। सो जहाज टूट गए और तर्शीश को न जा सके।
Tab dodavaah ke putra mareshavasi eleeaajar ne yahoshapaat ke viruddh yah naboovat kahi, ki tu ne jo ahajyaah se mel kiya, is karan Yahowa teri banvai hui vastuon ko tod dalega. So jahaaj toot gaye aur tarsheesh ko na ja sake.