2 Chronicles 19 · 11 verses

2 इतिहास 19 2 Chronicles 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 19.

1

और यहूदा का राजा यहोशापात यरूशलेम को अपने भवन में कुशल से लौट गया।

Aur Yahuda ka raja yahoshapaat Yerushalem ko apne bhavan mein kushal se laut gaya.

2

तब हनानी नाम दशीं का पुत्र येहू यहोशापात राजा से भेंट करने को निकला और उस से कहने लगा, क्या दुष्टों की सहायता करनी और यहोवा के बैरियों से प्रेम रखना चाहिये? इस काम के कारण यहोवा की ओर से तुझ पर क्रोध भड़का है।

Tab hanani naam dashi ka putra yehu yahoshapaat raja se bhent karne ko nikla aur us se kahne laga, kya dushton ki sahayta karni aur Yahowa ke bairiyon se prem rakhna chahiye? Is kaam ke karan Yahowa ki or se tujh par krodh bhadka hai.

3

तौभी तुझ में कुछ अच्छी बातें पाई जाती हैं। तू ने तो देश में से अशेरों को नाश किया और उपने मन को परमेश्वर की खोज में लगाया है।

Taubhi tujh mein kuchh achchhi batein pai jati hain. Tu ne to desh mein se asheron ko naash kiya aur upne man ko Parmeshwar ki khoj mein lagaya hai.

4

यहोशापात यरूशलेम में रहता था, और उसने बेर्शेबा से ले कर एप्रैम के पहाड़ी देश तक अपनी प्रजा में फिर दौरा कर के, उन को उनके पितरों के परमेश्वर यहोवा की ओर फेर दिया।

Yahoshapaat Yerushalem mein rahta tha, aur usne bersheba se le kar epraim ke pahadi desh tak apni praja mein phir daura kar ke, un ko unke pitron ke Parmeshwar Yahowa ki or pher diya.

5

फिर उसने यहूदा के एक एक गढ़ वाले नगर में न्यायी ठहराया।

Phir usne Yahuda ke ek ek gadh vale nagar mein nyayi thahraya.

6

और उसने न्यायियों से कहा, सोचो कि क्या करते हो, क्योंकि तुम जो न्याय करोगे, वह मनुष्य के लिये नहीं, यहोवा के लिये करोगे; और वह न्याय करते समय तुम्हारे साथ रहेगा।

Aur usne nyayiyon se kaha, socho ki kya karte ho, kyonki tum jo nyaay karoge, vah manushya ke liye nahi, Yahowa ke liye karoge; aur vah nyaay karte samay tumhare saath rahega.

7

अब यहोवा का भय तुम में बना रहे; चौकसी से काम करना, क्योंकि हमारे परमेश्वर यहोवा में कुछ कुटिलता नहीं है, और न वह किसी का पक्ष करता और न घूस लेता है।

Ab Yahowa ka bhay tum mein bana rahe; chauksi se kaam karna, kyonki hamare Parmeshwar Yahowa mein kuchh kutilta nahi hai, aur na vah kisi ka paksh karta aur na ghoos leta hai.

8

और यरूशलेम में भी यहोशापात ने लेवियों और याजकों और इस्राएल के पितरों के घरानों के कुछ मुख्य पुरुषों को यहोवा की ओर से न्याय करने और मुकद्दमों को जांचने के लिये ठहराया।

Aur Yerushalem mein bhi yahoshapaat ne leviyon aur yajkon aur Israel ke pitron ke gharanon ke kuchh mukhya purushon ko Yahowa ki or se nyaay karne aur mukaddamon ko janchne ke liye thahraya.

9

और वे यरूशलेम को लौटे। और उसने उन को आज्ञा दी, कि यहोवा का भय मान कर, सच्चाई और निष्कपट मन से ऐसा करना।

Aur ve Yerushalem ko laute. Aur usne un ko aagya di, ki Yahowa ka bhay maan kar, sachchai aur nishkapat man se aisa karna.

10

तुम्हारे भाई जो अपने अपने नगर में रहते हैं, उन में से जिसका कोई मुकद्दमा तुम्हारे साम्हने आए, चाहे वह खून का हो, चाहे व्यवस्था, अथवा किसी आज्ञा या विधि वा नियम के विषय हो, उन को चिता देना, कि यहोवा के विषय दोषी न होओ। ऐसा न हो कि तुम पर और तुम्हारे भाइयों पर उसका क्रोध भड़के। ऐसा करो तो तुम दोषी न ठहरोगे।

Tumhare bhai jo apne apne nagar mein rahte hain, un mein se jiska koi mukaddama tumhare samhane aaye, chahe vah khoon ka ho, chahe vyavastha, athva kisi aagya ya vidhi va niyam ke vishay ho, un ko chita dena, ki Yahowa ke vishay doshi na hoo. Aisa na ho ki tum par aur tumhare bhaiyon par uska krodh bhadke. Aisa karo to tum doshi na thahroge.

11

और देखो, यहोवा के विष्य के सब मुकद्दमों में तो अमर्याह महायाजक और राजा के विषय के सब मुकद्दमों में यहूदा के घराने का प्रधान इश्माएल का पुत्र जबद्याह तुम्हारे ऊपर अधिकारी है; और लेवीय तुम्हारे साम्हने सरदारों का काम करेंगे। इसलिये हियाव बान्ध कर काम करो और भले मनुष्य के साथ यहोवा रहेगा।

Aur dekho, Yahowa ke vishya ke sab mukaddamon mein to amaryaah mahayajak aur raja ke vishay ke sab mukaddamon mein Yahuda ke gharane ka pradhaan ishmayel ka putra jabadyaah tumhare oopar adhikari hai; aur leveeya tumhare samhane sardaron ka kaam karenge. Isliye hiyaav baandh kar kaam karo aur bhale manushya ke saath Yahowa rahega.