यहोशपात बड़ा धनवान और ऐश्वर्यवान हो गया; और उसने अहाब के साथ समधियाना किया।
Yahoshpaat bada dhanvaan aur aishwaryavaan ho gaya; aur usne ahaab ke saath samdhiyana kiya.
2 Chronicles 18 · 34 verses
यहोशपात बड़ा धनवान और ऐश्वर्यवान हो गया; और उसने अहाब के साथ समधियाना किया।
Yahoshpaat bada dhanvaan aur aishwaryavaan ho gaya; aur usne ahaab ke saath samdhiyana kiya.
कुछ वर्ष के बाद वह शोमरोन में अहाब के पास गया, तब अहाब ने उसके और उसके संगियों के लिये बहुत सी भेड़-बकरियां और गाय-बैल काटकर, उसे गिलाद के रामोत पर चढ़ाई करने को उकसाया।
Kuchh varsh ke baad vah shomron mein ahaab ke paas gaya, tab ahaab ne uske aur uske sangiyon ke liye bahut si bhed-bakriyan aur gaay-bail katkar, use gilaad ke ramot par chadhai karne ko uksaya.
और इस्राएल के राजा अहाब ने यहूदा के राजा यहोशापात से कहा, क्या तू मेरे साथ गिलाद के रामोत पर चढ़ाई करेगा? उसने उसे उत्तर दिया, जैसा तू वैसा मैं भी हूँ, और जैसी तेरी प्रजा, वैसी मेरी भी प्रजा है। हम लोग युद्ध में तेरा साथ देंगे।
Aur Israel ke raja ahaab ne Yahuda ke raja yahoshapaat se kaha, kya tu mere saath gilaad ke ramot par chadhai karega? Usne use uttar diya, jaisa tu vaisa main bhi hoon, aur jaisi teri praja, vaisi meri bhi praja hai. Ham log yuddh mein tera saath denge.
फिर यहोशापात ते इस्राएल के राजा से कहा, आज यहोवा की आज्ञा ले।
Phir yahoshapaat te Israel ke raja se kaha, aaj Yahowa ki aagya le.
तब इस्राएल के राजा ने नबियों को जो चार सौ पुरुष थे, इकट्ठा कर के उन से पूछा, क्या हम गिलाद के रामोत पर युद्ध करने को चढ़ाई करें, अथवा मैं रुका रहूं? उन्होंने उत्तर दिया चढ़ाई कर, क्योंकि परमेश्वर उसको राजा के हाथ कर देगा।
Tab Israel ke raja ne nabiyon ko jo chaar sau purush the, ikattha kar ke un se poochha, kya ham gilaad ke ramot par yuddh karne ko chadhai karein, athva main ruka rahun? Unhonne uttar diya chadhai kar, kyonki Parmeshwar usko raja ke haath kar dega.
परन्तु यहोशापात ने पूछा, क्या यहां यहोवा का और भी कोई नबी नहीं है जिस से हम पूछ लें?
Parantu yahoshapaat ne poochha, kya yahan Yahowa ka aur bhi koi nabi nahi hai jis se ham poochh lein?
इस्राएल के राजा ने यहोशापात से कहा, हां, एक पुरुष और है, जिसके द्वारा हम यहोवा से पूछ सकते हैं; परन्तु मैं उस से घृणा करता हूँ; क्योंकि वह मेरे विष्य कभी कल्याण की नहीं, सदा हानि ही की नबूवत करता है। वह यिम्ला का पुत्र मीकायाह है। यहोशापात ने कहा, राजा ऐसा न कहे।
Israel ke raja ne yahoshapaat se kaha, han, ek purush aur hai, jiske dwara ham Yahowa se poochh sakte hain; parantu main us se ghrina karta hoon; kyonki vah mere vishya kabhi kalyaan ki nahi, sada hani hi ki naboovat karta hai. Vah yimla ka putra meekayaah hai. Yahoshapaat ne kaha, raja aisa na kahe.
तब इस्राएल के राजा ने एक हाकिम को बुलवा कर कहा, यिम्ला के पुत्र मीकायाह को फुर्ती से ले आ।
Tab Israel ke raja ne ek hakim ko bulva kar kaha, yimla ke putra meekayaah ko phurti se le aa.
इस्राएल का राजा और यहूदा का राजा यहोशापात अपने अपने राजवस्त्र पहिने हुए, अपने अपने सिंहासन पर बैठे हुए थे; वे शोमरोन के फाटक में एक खुले स्थान में बैठे थे और सब नबी उनके साम्हने नबूवत कर रहे थे।
Israel ka raja aur Yahuda ka raja yahoshapaat apne apne rajvastra pahine hue, apne apne sinhasan par baithe hue the; ve shomron ke phatak mein ek khule sthaan mein baithe the aur sab nabi unke samhane naboovat kar rahe the.
तब कनाना के पुत्र सिदकिय्याह ने लोहे के सींग बनवा कर कहा, यहोवा यों कहता है, कि इन से तू अरामियों को मारते मारते नाश कर डालेगा।
Tab kanana ke putra sidkiyyaah ne lohe ke seeng banva kar kaha, Yahowa yon kahta hai, ki in se tu aramiyon ko marte marte naash kar dalega.
और सब नबियों ने इसी आशय की नबूवत कर के कहा, कि गिलाद के रामोत पर चढ़ाई कर और तू कृतार्थ होवे; क्योंकि यहोवा उसे राजा के हाथ कर देगा।
Aur sab nabiyon ne isi aashay ki naboovat kar ke kaha, ki gilaad ke ramot par chadhai kar aur tu kritaarth hove; kyonki Yahowa use raja ke haath kar dega.
और जो दूत मीकायाह को बुलाने गया था, उसने उस से कहा, सुन, नबी लोग एक ही मुंह से राजा के विषय शुभ वचन कहते हैं; सो तेरी बात उनकी सी हो, तू भी शुभ वचन कहना।
Aur jo doot meekayaah ko bulane gaya tha, usne us se kaha, sun, nabi log ek hi munh se raja ke vishay shubh vachan kahte hain; so teri baat unki si ho, tu bhi shubh vachan kahna.
मीकायाह ने कहा, यहोवा के जीवन की सौंह, जो कुछ मेरा परमेश्वर कहे वही मैं भी कहूंगा।
Meekayaah ne kaha, Yahowa ke jeevan ki saunh, jo kuchh mera Parmeshwar kahe vahi main bhi kahoonga.
जब वह राजा के पास आया, तब राजा ने उस से पूछा, हे मीकायाह, क्या हम गिलाद के रामोत पर युद्ध करने को चढ़ाई करें अथवा मैं रुका रहूं? उसने कहा, हां, तुम लोग चढ़ाई करो, और कृतार्थ होओ; और वे तुम्हारे हाथ में कर दिए जाएंगे।
Jab vah raja ke paas aaya, tab raja ne us se poochha, he meekayaah, kya ham gilaad ke ramot par yuddh karne ko chadhai karein athva main ruka rahun? Usne kaha, han, tum log chadhai karo, aur kritaarth hoo; aur ve tumhare haath mein kar diye jayenge.
राजा ने उस से कहा, मुझे कितनी बार तुझे शपथ धरा कर चिताना होगा, कि तू यहोवा का स्मरण कर के मुझ से सच ही कह।
Raja ne us se kaha, mujhe kitni baar tujhe shapath dhara kar chitana hoga, ki tu Yahowa ka smaran kar ke mujh se sach hi kah.
मीकायाह ने कहा, मुझे सारा इस्राएल बिना चरवाहे की भेंड़-बकरियों की नाईं पहाड़ों पर तितर बितर दिखाई पड़ा, और यहोवा का वचन आया कि वे तो अनाथ हैं, इसलिये हर एक अपने अपने घर कुशल क्षेम से लौट जाएं।
Meekayaah ne kaha, mujhe sara Israel bina charvahe ki bhend-bakriyon ki nai pahadon par titar bitar dikhai pada, aur Yahowa ka vachan aaya ki ve to anaath hain, isliye har ek apne apne ghar kushal kshem se laut jayen.
तब इस्राएल के राजा ने यहोशापात से कहा, क्या मैं ने तुझ से न कहा था, कि वह मेरे विषय कल्याण की नहीं, हानि ही की नबूवत करेगा?
Tab Israel ke raja ne yahoshapaat se kaha, kya main ne tujh se na kaha tha, ki vah mere vishay kalyaan ki nahi, hani hi ki naboovat karega?
मीकायाह ने कहा, इस कारण तुम लोग यहोवा का यह वचन सुनो: मुझे सिंहासन पर विराजमान यहोवा और उसके दाहिने बाएं खड़ी हुई स्वर्ग की सारी सेना दिखाई पड़ी।
Meekayaah ne kaha, is karan tum log Yahowa ka yah vachan suno: mujhe sinhasan par virajmaan Yahowa aur uske dahine bayen khadi hui swarg ki sari sena dikhai padi.
तब यहोवा ने पूछा, इस्राएल के राजा अहाब को कौन ऐसा बहकाएगा, कि वह गिलाद के रामोत पर चढ़ाई कर के खेत आए, तब किसी ने कुछ और किसी ने कुछ कहा।
Tab Yahowa ne poochha, Israel ke raja ahaab ko kaun aisa bahkayega, ki vah gilaad ke ramot par chadhai kar ke khet aaye, tab kisi ne kuchh aur kisi ne kuchh kaha.
निदान एक आत्मा पास आकर यहोवा के सम्मुख खड़ी हुई, और कहने लगी, मैं उसको बहकाऊंगी।
Nidaan ek aatma paas aakar Yahowa ke sammukh khadi hui, aur kahne lagi, main usko bahkaoongi.
यहोवा ने पूछा, किस उपाय से? उसने कहा, मैं जा कर उसके सब नबियों में पैठ के उन से झूठ बुलवाऊंगी। यहोवा ने कहा, तेरा उसको बहकाना सफल होगा, जा कर ऐसा ही कर।
Yahowa ne poochha, kis upaay se? Usne kaha, main ja kar uske sab nabiyon mein paith ke un se jhooth bulvaoongi. Yahowa ne kaha, tera usko bahkana saphal hoga, ja kar aisa hi kar.
इसलिये सुन अब यहोवा ने तेरे इन नबियों के मुंह में एक झूठ बोलने वाली आत्मा पैठाई है, और यहोवा ने तेरे विषय हानि की बात कही है।
Isliye sun ab Yahowa ne tere in nabiyon ke munh mein ek jhooth bolne vali aatma paithai hai, aur Yahowa ne tere vishay hani ki baat kahi hai.
तब कनाना के पुत्र सिदकिय्याह ने निकट जा, मीकायाह के गाल पर थप्पड़ मार कर पूछा, यहोवा का आत्मा मुझे छोड़ कर तुझ से बातें करने को किधर गया।
Tab kanana ke putra sidkiyyaah ne nikat ja, meekayaah ke gaal par thappad maar kar poochha, Yahowa ka aatma mujhe chhod kar tujh se batein karne ko kidhar gaya.
उसने कहा, जिस दिन तू छिपने के लिये कोठरी से कोठरी में भागेगा, तब जान लेगा।
Usne kaha, jis din tu chhipne ke liye kothri se kothri mein bhagega, tab jaan lega.
इस पर इस्राएल के राजा ने कहा, कि मीकायाह को नगर के हाकिम आमोन और राजकुमार योआश के पास लौटा कर,
Is par Israel ke raja ne kaha, ki meekayaah ko nagar ke hakim aamon aur rajkumaar yoaash ke paas lauta kar,
उन से कहो, राजा यों कहता है, कि इस को बन्दीगृह में डालो, और जब तक मैं कुशल से न आऊं, तब तक इसे दु:ख की रोटी और पानी दिया करो।
Un se kaho, raja yon kahta hai, ki is ko bandeegrih mein dalo, aur jab tak main kushal se na aaun, tab tak ise dukh ki roti aur pani diya karo.
तब मीकायाह ने कहा, यदि तू कभी कुशल से लौटे, तो जान, कि यहोवा ने मेरे द्वारा नहीं कहा। फिर उसने कहा, हे लोगो, तुम सब के सब सुन लो।
Tab meekayaah ne kaha, yadi tu kabhi kushal se laute, to jaan, ki Yahowa ne mere dwara nahi kaha. Phir usne kaha, he logo, tum sab ke sab sun lo.
तब इस्राएल के राजा और यहूदा के राजा यहोशापात दोनों ने गिलाद के रामोत पर चढ़ाई की।
Tab Israel ke raja aur Yahuda ke raja yahoshapaat donon ne gilaad ke ramot par chadhai ki.
और इस्राएल के राजा ने यहोशापात से कहा, मैं तो भेष बदल कर युद्ध में जाऊंगा, परन्तु तू अपने ही वस्त्र पहिने रह। इस्राएल के राजा ने भेष बदला और वे दोनों युद्ध में गए।
Aur Israel ke raja ne yahoshapaat se kaha, main to bhesh badal kar yuddh mein jaoonga, parantu tu apne hi vastra pahine rah. Israel ke raja ne bhesh badla aur ve donon yuddh mein gaye.
अराम के राजा ने तो अपने रथों के प्रधानों को आज्ञा दी थी, कि न तो छोटे से लड़ो और न बड़े से, केवल इस्राएल के राजा से लड़ो।
Araam ke raja ne to apne rathon ke pradhanon ko aagya di thi, ki na to chhote se lado aur na bade se, keval Israel ke raja se lado.
सो जब रथों के प्रधानों ने यहोशापात को देखा, तब कहा इस्राएल का राजा वही है, और वे उसी से लड़ने को मुड़े। इस पर यहोशापात चिल्ला उठा, तब यहोवा ने उसकी सहायता की। और परमेश्वर ने उन को उसके पास से फिर जाने की प्रेरणा की।
So jab rathon ke pradhanon ne yahoshapaat ko dekha, tab kaha Israel ka raja vahi hai, aur ve usi se ladne ko mude. Is par yahoshapaat chilla utha, tab Yahowa ne uski sahayta ki. Aur Parmeshwar ne un ko uske paas se phir jane ki prerna ki.
सो यह देखकर कि वह इस्राएल का राजा नहीं है, रथों के प्रधान उसका पीछा छोड़ के लौट गए।
So yah dekhkar ki vah Israel ka raja nahi hai, rathon ke pradhaan uska peechha chhod ke laut gaye.
तब किसी ने अटकल से एक तीर चलाया, और वह इस्राएल के राजा के झिलम और निचले वस्त्र के बीच छेद कर लगा; तब उसने अपने सारथी से कहा, मैं घायल हुआ, इसलिये लगाम फेर के मुझे सेना में से बाहर ले चल।
Tab kisi ne atkal se ek teer chalaya, aur vah Israel ke raja ke jhilam aur nichle vastra ke beech chhed kar laga; tab usne apne sarthi se kaha, main ghayal huaa, isliye lagaam pher ke mujhe sena mein se bahar le chal.
और उस दिन युद्ध बढ़ता गया और इस्राएल का राजा अपने रथ में अरामियों के सम्मुख सांझ तक खड़ा रहा, परन्तु सूर्य अस्त होते-होते वह मर गया।
Aur us din yuddh badhta gaya aur Israel ka raja apne rath mein aramiyon ke sammukh saanjh tak khada raha, parantu soorya ast hote-hote vah mar gaya.