और उसका पुत्र यहोशापात उसके स्थान पर राज्य करने लगा, और इस्राएल के विरुद्ध अपना बल बढ़ाया।
Aur uska putra yahoshapaat uske sthaan par rajya karne laga, aur Israel ke viruddh apna bal badhaya.
2 Chronicles 17 · 19 verses
और उसका पुत्र यहोशापात उसके स्थान पर राज्य करने लगा, और इस्राएल के विरुद्ध अपना बल बढ़ाया।
Aur uska putra yahoshapaat uske sthaan par rajya karne laga, aur Israel ke viruddh apna bal badhaya.
और उसने यहूदा के सब गढ़ वाले नगरों में सिपाहियों के दल ठहरा दिए, और यहूदा के देश में और एप्रैम के उन नगरों में भी जो उसके पिता आसा ने ले लिये थे, सिपाहियों की चौकियां बैठा दीं।
Aur usne Yahuda ke sab gadh vale nagron mein sipahiyon ke dal thahra diye, aur Yahuda ke desh mein aur epraim ke un nagron mein bhi jo uske pita aasa ne le liye the, sipahiyon ki chaukiyan baitha di.
और यहोवा यहोशापात के संग रहा, क्योंकि वह अपने मूलपुरुष दाऊद की प्राचीन चाल सी चाल चला और बाल देवताओं की खोज में न लगा।
Aur Yahowa yahoshapaat ke sang raha, kyonki vah apne moolpurush Daud ki pracheen chaal si chaal chala aur baal devtaon ki khoj mein na laga.
वरन वह अपने पिता के परमेश्वर की खोज में लगा रहता था और उसी की आज्ञाओं पर चलता था, और इस्राएल के से काम नहीं करता था।
Varan vah apne pita ke Parmeshwar ki khoj mein laga rahta tha aur usi ki aagyaon par chalta tha, aur Israel ke se kaam nahi karta tha.
इस कारण यहोवा ने राज्य को उसके हाथ में दृढ़ किया, और सारे यहूदी उसके पास भेंट लाया करते थे, और उसके पास बहुत धन और उसका वैभव बढ़ गया।
Is karan Yahowa ne rajya ko uske haath mein dridh kiya, aur sare Yahudi uske paas bhent laya karte the, aur uske paas bahut dhan aur uska vaibhav badh gaya.
और यहोवा के मार्गों पर चलते चलते उसका मन मगन हो गया; फिर उसने यहूदा से ऊंचे स्थान और अशेरा नाम मूरतें दूर कर दीं।
Aur Yahowa ke margon par chalte chalte uska man magan ho gaya; phir usne Yahuda se oonche sthaan aur ashera naam moortein door kar di.
और उसने अपने राज्य के तीसरे वर्ष में बेन्हैल, ओबद्याह, जकर्याह, नतनेल और मीकायाह नामक अपने हाकिमों को यहूदा के नगरों में शिक्षा देने को भेज दिया।
Aur usne apne rajya ke teesre varsh mein benhail, obadyaah, jakaryaah, natnel aur meekayaah namak apne hakimon ko Yahuda ke nagron mein shiksha dene ko bhej diya.
और उनके साथ शमायाह, नतन्याह, जबद्याह, असाहेल, शमीरामोत, यहोनातान, अदोनिय्याह, तोबिय्याह और तोबदोनिय्याह, नाम लेवीय और उनके संग एलीशामा और यहोराम नामक याजक थे।
Aur unke saath shamayaah, natanyaah, jabadyaah, asahel, shameeramot, yahonataan, adoniyyaah, tobiyyaah aur tobdoniyyaah, naam leveeya aur unke sang eleeshama aur yahoraam namak yajak the.
सो उन्होंने यहोवा की व्यवस्था की पुस्तक अपने साथ लिये हुए यहूदा में शिक्षा दी, वरन वे यहूदा के सब नगरों में प्रजा को सिखाते हुए घूमे।
So unhonne Yahowa ki vyavastha ki pustak apne saath liye hue Yahuda mein shiksha di, varan ve Yahuda ke sab nagron mein praja ko sikhate hue ghoome.
और यहूदा के आस पास के देशों के राज्य राज्य में यहोवा का ऐसा डर समा गया, कि उन्होंने यहोशापात से युद्ध न किया।
Aur Yahuda ke aas paas ke deshon ke rajya rajya mein Yahowa ka aisa dar sama gaya, ki unhonne yahoshapaat se yuddh na kiya.
वरन कितने पलिश्ती यहोशपात के पास भेंट और कर समझ कर चान्दी लाए; और अरबी लोग भी सात हजार सात सौ मेढ़े और सात हजार सात सौ बकरे ले आए।
Varan kitne palishti yahoshpaat ke paas bhent aur kar samajh kar chandi laye; aur arbi log bhi saat hajaar saat sau medhe aur saat hajaar saat sau bakre le aaye.
और यहोशापात बहुत ही बढ़ता गया और उसने यहूदा में किले और भण्डार के नगर तैयार किए।
Aur yahoshapaat bahut hi badhta gaya aur usne Yahuda mein kile aur bhandaar ke nagar taiyaar kiye.
और यहूदा के नगरों में उसका बहुत काम होता था, और यरूशलेम में उसके योद्धा अर्थात शूरवीर रहते थे।
Aur Yahuda ke nagron mein uska bahut kaam hota tha, aur Yerushalem mein uske yoddha arthaat shoorveer rahte the.
और इनके पितरों के घरानों के अनुसार इनकी यह गिनती थी, अर्थात यहूदी सहस्रपति तो ये थे, प्रधान अदना जिसके साथ तीन लाख शूरवीर थे,
Aur inke pitron ke gharanon ke anusaar inki yah ginti thi, arthaat Yahudi sahasrapti to ye the, pradhaan adna jiske saath teen laakh shoorveer the,
और उसके बाद प्रधान यहोहानान जिसके साथ दो लाख अस्सी हजार पुरुष थे।
Aur uske baad pradhaan yahohanaan jiske saath do laakh assi hajaar purush the.
और इसके बाद जिक्री का पुत्र अमस्याह, जिसने अपने को अपनी ही इच्छा से यहोवा को अर्पण किया था, उसके साथ दो लाख शूरवीर थे।
Aur iske baad jikri ka putra amasyaah, jisne apne ko apni hi ichchha se Yahowa ko arpan kiya tha, uske saath do laakh shoorveer the.
फिर बिन्यामीन में से एल्यादा नामक एक शूरवीर जिसके साथ ढाल रखने वाले दो लाख धनुर्धारी थे।
Phir binyameen mein se elyada namak ek shoorveer jiske saath dhaal rakhne vale do laakh dhanurdhari the.
और उसके नीचे यहोजाबाद जिसके साथ युद्ध के हथियार बान्धे हुए एक लाख अस्सी हजार पुरुष थे।
Aur uske neeche yahojabaad jiske saath yuddh ke hathiyaar bandhe hue ek laakh assi hajaar purush the.
वे ये हैं, जो राजा की सेवा में लवलीन थे। और ये उन से अलग थे जिन्हें राजा ने सारे यहूदा के गढ़ वाले नगरों में ठहरा दिया।
Ve ye hain, jo raja ki seva mein lavleen the. Aur ye un se alag the jinhein raja ne sare Yahuda ke gadh vale nagron mein thahra diya.