2 Chronicles 14 · 15 verses

2 इतिहास 14 2 Chronicles 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 14.

1

निदान अबिय्याह अपने पुरखाओं के संग सो गया, और उसको दाऊदपुर में मिट्टी दी गई; और उसका पुत्र आसा उसके स्थान पर राज्य करने लगा। इसके दिनों में दस वर्ष तक देश में चैन रहा।

Nidaan abiyyaah apne purkhaon ke sang so gaya, aur usko daoodpur mein mitti di gai; aur uska putra aasa uske sthaan par rajya karne laga. Iske dinon mein das varsh tak desh mein chain raha.

2

और आसा ने वही किया जो उसके परमेश्वर यहोवा की दृष्टि में अच्छा और ठीक था।

Aur aasa ne vahi kiya jo uske Parmeshwar Yahowa ki drishti mein achchha aur theek tha.

3

उसने तो पराई वेदियों को और ऊंचे स्थानों को दूर किया, और लाठों को तुड़वा डाला, और अशेरा नाम मूरतों को तोड़ डाला।

Usne to parai vediyon ko aur oonche sthanon ko door kiya, aur lathon ko tudva dala, aur ashera naam moorton ko tod dala.

4

और यहूदियों को आज्ञा दी कि अपने पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा की खोज करें और व्यवस्था और आज्ञा को मानों।

Aur Yahudiyon ko aagya di ki apne poorvajon ke Parmeshwar Yahowa ki khoj karein aur vyavastha aur aagya ko manon.

5

और उसने ऊंचे स्थानों और सूर्य की प्रतिमाओं को यहूदा के सब नगरों में से दूर किया, और उसके साम्हने राज्य में चैन रहा।

Aur usne oonche sthanon aur soorya ki pratimaon ko Yahuda ke sab nagron mein se door kiya, aur uske samhane rajya mein chain raha.

6

और उसने यहूदा में गढ़ वाले नगर बसाए, क्योंकि देश में चैन रहा। और उन बरसों में उसे किसी से लड़ाई न करनी पड़ी क्योंकि यहोवा ने उसे विश्राम दिया था।

Aur usne Yahuda mein gadh vale nagar basaye, kyonki desh mein chain raha. Aur un barson mein use kisi se ladai na karni padi kyonki Yahowa ne use vishraam diya tha.

7

उसने यहूदियों से कहा, आओ हम इन नगरों को बसाएं और उनके चारों ओर शहरपनाह, गढ़ और फाटकों के पल्ले और बेड़े बनाएं; देश अब तक हमारे साम्हने पड़ा है, क्योंकि हम ने, अपने परमेश्वर यहोवा की खोज की है हमने उसकी खोज की और उसने हम को चारों ओर से विश्राम दिया है। तब उन्होंने उन नगरों को बसाया और कृतार्थ हुए।

Usne Yahudiyon se kaha, aao ham in nagron ko basayen aur unke charon or shahrapnaah, gadh aur phatkon ke palle aur bede banayen; desh ab tak hamare samhane pada hai, kyonki ham ne, apne Parmeshwar Yahowa ki khoj ki hai hamne uski khoj ki aur usne ham ko charon or se vishraam diya hai. Tab unhonne un nagron ko basaya aur kritaarth hue.

8

फिर आसा के पास ढाल और बर्छी रखने वालों की एक सेना थी, अर्थात यहूदा में से तो तीन लाख पुरुष और बिन्यामीन में से फरी रखने वाले और धनुर्धारी दो लाख अस्सी हजार ये सब शूरवीर थे।

Phir aasa ke paas dhaal aur barchhi rakhne valon ki ek sena thi, arthaat Yahuda mein se to teen laakh purush aur binyameen mein se phari rakhne vale aur dhanurdhari do laakh assi hajaar ye sab shoorveer the.

9

और उनके विरुद्ध दस लाख पुरुषों की सेना और तीन सौ रथ लिये हुए जेरह नाम एक कूशी निकला और मारेशा तक आ गया।

Aur unke viruddh das laakh purushon ki sena aur teen sau rath liye hue jerah naam ek kooshi nikla aur maresha tak aa gaya.

10

तब आसा उसका साम्हना करने को चला और मारेशा के निकट सापता नाम तराई में युद्ध की पांति बान्धी गई।

Tab aasa uska samhana karne ko chala aur maresha ke nikat sapta naam tarai mein yuddh ki panti bandhi gai.

11

तब आसा ने अपने परमेश्वर यहोवा की यों दोहाई दी, कि हे यहोवा! जैसे तू सामर्थी की सहायता कर सकता है, वैसे ही शक्तिहीन की भी; हे हमारे परमेश्वर यहोवा! हमारी सहायता कर, क्योंकि हमारा भरोसा तुझी पर है और तेरे नाम का भरोसा कर के हम इस भीड़ के विरुद्ध आए हैं। हे यहोवा, तू हमारा परमेश्वर है; मनुष्य तुझ पर प्रबल न होने पाएगा।

Tab aasa ne apne Parmeshwar Yahowa ki yon dohai di, ki he Yahowa! Jaise tu samarthi ki sahayta kar sakta hai, vaise hi shaktiheen ki bhi; he hamare Parmeshwar Yahowa! Hamari sahayta kar, kyonki hamara bharosa tujhi par hai aur tere naam ka bharosa kar ke ham is bheed ke viruddh aaye hain. He Yahowa, tu hamara Parmeshwar hai; manushya tujh par prabal na hone payega.

12

तब यहोवा ने कूशियों को आसा और यहूदियों के साम्हने मारा और कूशी भाग गए।

Tab Yahowa ne kooshiyon ko aasa aur Yahudiyon ke samhane mara aur kooshi bhaag gaye.

13

और आसा और उसके संग के लोगों ने उनका पीछा गरार तक किया, और इतने कूशी मारे गए, कि वे फिर सिर न उठा सके क्योंकि वे यहोवा और उसकी सेना से हार गए, और यहूदी बहुत सा लूट ले गए।

Aur aasa aur uske sang ke logon ne unka peechha garaar tak kiya, aur itne kooshi mare gaye, ki ve phir sir na utha sake kyonki ve Yahowa aur uski sena se haar gaye, aur Yahudi bahut sa loot le gaye.

14

और उन्होंने गरार के आस पास के सब नगरों को मार लिया, क्योंकि यहोवा का भय उनके रहने वालों के मन में समा गया और उन्होंने उन नगरों को लूट लिया, क्योंकि उन में बहुत सा धन था।

Aur unhonne garaar ke aas paas ke sab nagron ko maar liya, kyonki Yahowa ka bhay unke rahne valon ke man mein sama gaya aur unhonne un nagron ko loot liya, kyonki un mein bahut sa dhan tha.

15

फिर पशु-शालाओं को जीत कर बहुत सी भेड़-बकरियां और ऊंट लूट कर यरूशलेम को लौटे।

Phir pashu-shalaon ko jeet kar bahut si bhed-bakriyan aur oont loot kar Yerushalem ko laute.