यारोबाम के अठारहवें वर्ष में अबिय्याह यहूदा पर राज्य करने लगा।
Yarobaam ke atharahvein varsh mein abiyyaah Yahuda par rajya karne laga.
2 Chronicles 13 · 22 verses
यारोबाम के अठारहवें वर्ष में अबिय्याह यहूदा पर राज्य करने लगा।
Yarobaam ke atharahvein varsh mein abiyyaah Yahuda par rajya karne laga.
वह तीन वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा, और उसकी माता का नाम मीकायाह था; जो गिबावासी ऊरीएल की बेटी थी। और अबिय्याह और यारोबाम के बीच में लड़ाई हई।
Vah teen varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha, aur uski mata ka naam meekayaah tha; jo gibavasi ooreeyel ki beti thi. Aur abiyyaah aur yarobaam ke beech mein ladai hai.
अबिय्याह ने तो बड़े योद्धाओं का दल, अर्थात चार लाख छंटे हुए पुरुष ले कर लड़ने के लिये पांति बन्धाई, और यारोबाम ने आठ लाख छंटे हुए पुरुष जो बड़े शूरवीर थे, ले कर उसके विरुद्ध पांति बन्धाई।
Abiyyaah ne to bade yoddhaon ka dal, arthaat chaar laakh chhante hue purush le kar ladne ke liye panti bandhai, aur yarobaam ne aath laakh chhante hue purush jo bade shoorveer the, le kar uske viruddh panti bandhai.
तब अबिय्याह समारैम नाम पहाड़ पर, जो एप्रैम के पहाड़ी देश में है, खड़ा हो कर कहने लगा, हे यारोबाम, हे सब इस्राएलियो, मेरी सुनो।
Tab abiyyaah samaraim naam pahaad par, jo epraim ke pahadi desh mein hai, khada ho kar kahne laga, he yarobaam, he sab israyeliyo, meri suno.
क्या तुम को न जानना चाहिए, कि इस्राएल के परमेश्वर यहोवा ने लोनवाली वाचा बान्ध कर दाऊद को और उसके वंश को इस्राएल का राज्य सदा के लिये दे दिया है।
Kya tum ko na janna chahiye, ki Israel ke Parmeshwar Yahowa ne lonvali vacha baandh kar Daud ko aur uske vansh ko Israel ka rajya sada ke liye de diya hai.
तौभी नबात का पुत्र यारोबाम जो दाऊद के पुत्र सुलैमान का कर्मचारी था, वह अपने स्वामी के विरुद्ध उठा है।
Taubhi nabaat ka putra yarobaam jo Daud ke putra sulaimaan ka karmachari tha, vah apne swami ke viruddh utha hai.
और उसके पास हलके और ओछे मनुष्य इकट्ठा हो गए हैं और जब सुलैमान का पुत्र रहूबियाम लड़का और अल्हड़ मन का था और उनका साम्हना न कर सकता था, तब वे उसके विरुद्ध सामर्थी हो गए।
Aur uske paas halke aur ochhe manushya ikattha ho gaye hain aur jab sulaimaan ka putra rahoobiyaam ladka aur alhad man ka tha aur unka samhana na kar sakta tha, tab ve uske viruddh samarthi ho gaye.
और अब तुम सोचते हो कि हम यहोवा के राज्य का साम्हना करेंगे, जो दाऊद की सन्तान के हाथ में है, क्योंकि तुम सब मिल कर बड़ा समाज बन गए हो और तुम्हारे पास वे सोने के बछड़े भी हैं जिन्हें यारोबाम ने तुम्हारे देवता होने के लिये बनवाया।
Aur ab tum sochte ho ki ham Yahowa ke rajya ka samhana karenge, jo Daud ki santaan ke haath mein hai, kyonki tum sab mil kar bada samaaj ban gaye ho aur tumhare paas ve sone ke bachhde bhi hain jinhein yarobaam ne tumhare devta hone ke liye banvaya.
क्या तुम ने यहोवा के याजकों को, अर्थात हारून की सन्तान और लेवियों को निकाल कर देश देश के लोगों की नाईं याजक नियुक्त नहीं कर लिए? जो कोई एक बछड़ा और सात मेढ़े अपना संस्कार कराने को ले आता, तो उनका याजक हो जाता है जो ईश्वर नहीं है।
Kya tum ne Yahowa ke yajkon ko, arthaat haroon ki santaan aur leviyon ko nikaal kar desh desh ke logon ki nai yajak niyukt nahi kar liye? Jo koi ek bachhda aur saat medhe apna sanskaar karane ko le aata, to unka yajak ho jata hai jo ishwar nahi hai.
परन्तु हम लोगों का परमेश्वर यहोवा है और हम ने उसको नहीं त्यागा, और हमारे पास यहोवा की सेवा टहल करने वाले याजक हारून की सन्तान और अपने अपने काम में लगे हुए लेवीय हैं।
Parantu ham logon ka Parmeshwar Yahowa hai aur ham ne usko nahi tyaga, aur hamare paas Yahowa ki seva tahal karne vale yajak haroon ki santaan aur apne apne kaam mein lage hue leveeya hain.
और वे नित्य सवेरे और सांझ को यहोवा के लिये होमबलि और सुगन्धद्रव्य का धूप जलाते हैं, और शुद्ध मेज पर भेंट की रोटी सजाते और सोने की दीवट और उसके दीपक सांझ-सांझ को जलाते हैं; हम तो अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञाओं को मानते रहते हैं, परन्तु तुम ने उसको त्याग दिया है।
Aur ve nitya savere aur saanjh ko Yahowa ke liye homabli aur sugandhadravya ka dhoop jalate hain, aur shuddh mej par bhent ki roti sajate aur sone ki deevat aur uske deepak saanjh-saanjh ko jalate hain; ham to apne Parmeshwar Yahowa ki aagyaon ko mante rahte hain, parantu tum ne usko tyaag diya hai.
और देखो, हमारे संग हमारा प्रधान परमेश्वर है, और उसके याजक तुम्हारे विरुद्ध सांस बान्धकर फूंकने को तुरहियां लिये हुए भी हमारे साथ हैं। हे इस्राएलियो अपने पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा से मत लड़ो, क्योंकि तुम कृतार्थ न होगे।
Aur dekho, hamare sang hamara pradhaan Parmeshwar hai, aur uske yajak tumhare viruddh saans bandhakar phoonkne ko turhiyan liye hue bhi hamare saath hain. He israyeliyo apne poorvajon ke Parmeshwar Yahowa se mat lado, kyonki tum kritaarth na hoge.
परन्तु यारोबाम ने घातकों को उनके पीछे भेज दिया, वे तो यहूदा के साम्हने थे, और घातक उनके पीछे थे।
Parantu yarobaam ne ghatkon ko unke peechhe bhej diya, ve to Yahuda ke samhane the, aur ghatak unke peechhe the.
और जब यहूदियों ने पीछे को मुंह फेरा, तो देखा कि हमारे आगे और पीछे दोनों ओर से लड़ाई होने वाली है; तब उन्होंने यहोवा की दोहाई दी, और याजक तुरहियों को फूंकने लगे।
Aur jab Yahudiyon ne peechhe ko munh phera, to dekha ki hamare aage aur peechhe donon or se ladai hone vali hai; tab unhonne Yahowa ki dohai di, aur yajak turhiyon ko phoonkne lage.
तब यहूदी पुरुषों ने जयजयकार किया, और जब यहूदी पुरुषों ने जयजयकार किया, तब परमेश्वर ने अबिय्याह और यहूदा के साम्हने, यारोबाम और सारे इस्राएलियों को मारा।
Tab Yahudi purushon ne jayjaykaar kiya, aur jab Yahudi purushon ne jayjaykaar kiya, tab Parmeshwar ne abiyyaah aur Yahuda ke samhane, yarobaam aur sare Israeliyon ko mara.
और इस्राएली यहूदा के साम्हने से भागे, और परमेश्वर ने उन्हें उनके हाथ में कर दिया।
Aur Israeli Yahuda ke samhane se bhage, aur Parmeshwar ne unhein unke haath mein kar diya.
और अबिय्याह और उसकी प्रजा ने उन्हें बड़ी मार से मारा, यहां तक कि इस्राएल में से पांच लाख छंटे हुए पुरुष मारे गए।
Aur abiyyaah aur uski praja ne unhein badi maar se mara, yahan tak ki Israel mein se paanch laakh chhante hue purush mare gaye.
उस समय तो इस्राएली दब गए, और यहूदी इस कारण प्रबल हुए कि उन्होंने अपने पितरों के परमेश्वर यहोवा पर भरोसा रखा था।
Us samay to Israeli dab gaye, aur Yahudi is karan prabal hue ki unhonne apne pitron ke Parmeshwar Yahowa par bharosa rakha tha.
तब अबिय्याह ने यारोबाम का पीछा कर के उस से बेतेल, यशाना और एप्रोन नगरों और उनके गांवों को ले लिया।
Tab abiyyaah ne yarobaam ka peechha kar ke us se betel, yashana aur epron nagron aur unke ganvon ko le liya.
और अबिय्याह के जीवन भर यारोबाम फिर सामर्थी न हुआ; निदान यहोवा ने उसको ऐसा मारा कि वह मर गया।
Aur abiyyaah ke jeevan bhar yarobaam phir samarthi na huaa; nidaan Yahowa ne usko aisa mara ki vah mar gaya.
परन्तु अबिय्याह और भी सामर्थी हो गया और चौदह स्त्रियां ब्याह लीं जिन से बाइस बेटे और सोलह बेटियां उत्पन्न हुई।
Parantu abiyyaah aur bhi samarthi ho gaya aur chaudah striyan byaah li jin se bais bete aur solah betiyan utpann hui.
और अबिय्याह के काम और उसकी चाल चलन, और उसके वचन, इद्दो नबी की कथा में लिखे हैं।
Aur abiyyaah ke kaam aur uski chaal chalan, aur uske vachan, iddo nabi ki katha mein likhe hain.