2 Chronicles 12 · 16 verses

2 इतिहास 12 2 Chronicles 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 12.

1

परन्तु जब रहूबियाम का राज्य दृढ़ हो गया, और वह आप स्थिर हो गया, तब उसने और उसके साथ सारे इस्राएल ने यहोवा की व्यवस्था को त्याग दिया।

Parantu jab rahoobiyaam ka rajya dridh ho gaya, aur vah aap sthir ho gaya, tab usne aur uske saath sare Israel ne Yahowa ki vyavastha ko tyaag diya.

2

उन्होंने जो यहोवा से विश्वासघात किया, उस कारण राजा रहूबियाम के पांचवें वर्ष में मिस्र के राजा शीशक ने,

Unhonne jo Yahowa se vishwasghaat kiya, us karan raja rahoobiyaam ke panchvein varsh mein Misr ke raja sheeshak ne,

3

बारह सौ रथ और साठ हजार सवार लिये हुए यरूशलेम पर चढ़ाई की, और जो लोग उसके संग मिस्र से आए, अर्थात लूबी, सुक्किय्यी, कूशी, ये अनगिनत थे।

Barah sau rath aur saath hajaar savaar liye hue Yerushalem par chadhai ki, aur jo log uske sang Misr se aaye, arthaat loobi, sukkiyyi, kooshi, ye anginat the.

4

और उसने यहूदा के गढ़ वाले नगरों को ले लिया, और यरूशलेम तक आया।

Aur usne Yahuda ke gadh vale nagron ko le liya, aur Yerushalem tak aaya.

5

तब शमायाह नबी रहूबियाम और यहूदा के हाकिमों के पास जो शीशक के डर के मारे यरूशलेम में इकट्ठे हुए थे, आ कर कहने लगा, यहोवा यों कहता है, कि तुम ने मुझ को छोड़ दिया है, इसलिये मैं ने तुम को छोड़ कर शीशक के हाथ में कर दिया है।

Tab shamayaah nabi rahoobiyaam aur Yahuda ke hakimon ke paas jo sheeshak ke dar ke mare Yerushalem mein ikatthe hue the, aa kar kahne laga, Yahowa yon kahta hai, ki tum ne mujh ko chhod diya hai, isliye main ne tum ko chhod kar sheeshak ke haath mein kar diya hai.

6

तब इस्राएल के हाकिम और राजा दीन हो गए, और कहा, यहोवा धर्मी है।

Tab Israel ke hakim aur raja deen ho gaye, aur kaha, Yahowa dharmi hai.

7

जब यहोवा ने देखा कि वे दीन हुए हैं, तब यहोवा का यह वचन शमायाह के पास पहुंचा कि वे दीन हो गए हैं, मैं उन को नष्ट न करूंगा; मैं उनका कुछ बचाव करूंगा, और मेरी जलजलाहट शीशक के द्वारा यरूशलेम पर न भड़केगी।

Jab Yahowa ne dekha ki ve deen hue hain, tab Yahowa ka yah vachan shamayaah ke paas pahuncha ki ve deen ho gaye hain, main un ko nasht na karoonga; main unka kuchh bachaav karoonga, aur meri jalajlahat sheeshak ke dwara Yerushalem par na bhadkegi.

8

तौभी वे उसके आधीन तो रहेंगे, ताकि वे मेरी और देश देश के राज्यों की भी सेवा जान लें।

Taubhi ve uske aadheen to rahenge, taki ve meri aur desh desh ke rajyon ki bhi seva jaan lein.

9

तब मिस्र का राजा शीशक यरूशलेम पर चढ़ाई कर के यहोवा के भवन की अनमोल वस्तुएं और राजभवन की अनमोल वस्तुएं उठा ले गया। वह सब कुछ उठा ले गया, और सोने की जो फरियां सुलैमान ने बनाईं थीं, उन को भी वह ले गया।

Tab Misr ka raja sheeshak Yerushalem par chadhai kar ke Yahowa ke bhavan ki anmol vastuein aur rajabhvan ki anmol vastuein utha le gaya. Vah sab kuchh utha le gaya, aur sone ki jo phariyan sulaimaan ne banai thi, un ko bhi vah le gaya.

10

तब राजा रहूबियाम ने उनके बदले पीतल की ढालें बनवाई और उन्हें पहरुओं के प्रधानों के हाथ सौंप दिया, जो राजभवन के द्वार की रखवाली करते थे।

Tab raja rahoobiyaam ne unke badle peetal ki dhalein banvai aur unhein pahruon ke pradhanon ke haath saump diya, jo rajabhvan ke dwaar ki rakhvali karte the.

11

और जब जब राजा यहोवा के भवन में जाता, तब तब पहरुए आकर उन्हें उठा ले चलते, और फिर पहरुओं की कोठरी में लौटा कर रख देते थे।

Aur jab jab raja Yahowa ke bhavan mein jata, tab tab pahrue aakar unhein utha le chalte, aur phir pahruon ki kothri mein lauta kar rakh dete the.

12

जब रहूबियाम दीन हुआ, तब यहोवा का क्रोध उस पर से उतर गया, और उसने उसका पूरा विनाश न किया; और यहूदा में अच्छे गुण भी थे।

Jab rahoobiyaam deen huaa, tab Yahowa ka krodh us par se utar gaya, aur usne uska poora vinaash na kiya; aur Yahuda mein achchhe gun bhi the.

13

सो राजा रहूबियाम यरूशलेम में दृढ़ हो कर राज्य करता रहा। जब रहूबियाम राज्य करने लगा, तब एकतालीस वर्ष की आयु का था, और यरूशलेम में अर्थात उस नगर में, जिसे यहोवा ने अपना नाम बनाए रखने के लिये इस्राएल के सारे गोत्र में से चुन लिया था, सत्रह वर्ष तक राज्य करता रहा। उसकी माता का नाम नामा था, जो अम्मोनी स्त्री थी।

So raja rahoobiyaam Yerushalem mein dridh ho kar rajya karta raha. Jab rahoobiyaam rajya karne laga, tab ektalees varsh ki aayu ka tha, aur Yerushalem mein arthaat us nagar mein, jise Yahowa ne apna naam banaye rakhne ke liye Israel ke sare gotra mein se chun liya tha, satrah varsh tak rajya karta raha. Uski mata ka naam nama tha, jo ammoni stri thi.

14

उसने वह कर्म किया जो बुरा है, अर्थात उसने अपने मन को यहोवा की खोज में न लगाया।

Usne vah karm kiya jo bura hai, arthaat usne apne man ko Yahowa ki khoj mein na lagaya.

15

आदि से अन्त तक रहूबियाम के काम क्या शमायाह नबी और इद्दो दशीं की पुस्तकों में वंशावलियों की रीति पर नहीं लिखे हैं? रहूबियाम और यारोबाम के बीच तो लड़ाई सदा होती रही।

Aadi se ant tak rahoobiyaam ke kaam kya shamayaah nabi aur iddo dashi ki pustakon mein vanshavliyon ki reeti par nahi likhe hain? Rahoobiyaam aur yarobaam ke beech to ladai sada hoti rahi.

16

और रहूबियाम अपने पुरखाओं के संग सो गया और दाऊदपुर में उसको मिट्टी दी गई। और उसका पुत्र अबिय्याह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Aur rahoobiyaam apne purkhaon ke sang so gaya aur daoodpur mein usko mitti di gai. Aur uska putra abiyyaah uske sthaan par rajya karne laga.