2 Chronicles 10 · 19 verses

2 इतिहास 10 2 Chronicles 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 10.

1

रहूबियाम शकेम को गया, क्योंकि सारे इस्राएली उसको राजा बनाने के लिये वहीं गए थे।

Rahoobiyaam shakem ko gaya, kyonki sare Israeli usko raja banane ke liye vahi gaye the.

2

और नबात के पुत्र यारोबाम ने यह सुना (वह तो मिस्र में रहता था, जहां वह सुलैमान राजा के डर के मारे भाग गया था), और यारोबाम मिस्र से लौट आया।

Aur nabaat ke putra yarobaam ne yah suna (vah to Misr mein rahta tha, jahan vah sulaimaan raja ke dar ke mare bhaag gaya tha), aur yarobaam Misr se laut aaya.

3

तब उन्होंने उसको बुलवा भेजा; सो यारोबाम और सब इस्राएली आकर रहूबियाम से कहने लगे,

Tab unhonne usko bulva bheja; so yarobaam aur sab Israeli aakar rahoobiyaam se kahne lage,

4

तेरे पिता ने तो हम लोगों पर भारी जूआ डाल रखा था, इसलिये अब तू अपने पिता की कठिन सेवा को और उस भारी जूए को जिसे उसने हम पर डाल रखा है कुछ हलका कर, तब हम तेरे आधीन रहेंगे।

Tere pita ne to ham logon par bhari jooaa daal rakha tha, isliye ab tu apne pita ki kathin seva ko aur us bhari jooye ko jise usne ham par daal rakha hai kuchh halka kar, tab ham tere aadheen rahenge.

5

उसने उन से कहा, तीन दिन के उपरान्त मेरे पास फिर आना, तो वे चले गए।

Usne un se kaha, teen din ke upraant mere paas phir aana, to ve chale gaye.

6

तब राजा रहूबियाम ने उन बूढ़ों से जो उसके पिता सुलैमान के जीवन भर उसके साम्हने अपस्थित रहा करते थे, यह कहकर सम्मति ली, कि इस प्रजा को कैसा उत्तर देना उचित है, इस में तुम क्या सम्मति देते हो?

Tab raja rahoobiyaam ne un boodhon se jo uske pita sulaimaan ke jeevan bhar uske samhane apasthit raha karte the, yah kahkar sammati li, ki is praja ko kaisa uttar dena uchit hai, is mein tum kya sammati dete ho?

7

उन्होंने उसको यह उत्तर दिया, कि यदि तू इस प्रजा के लोगों से अच्छा बर्त्ताव कर के उन्हें प्रसन्न करे और उन से मधुर बातें कहे, तो वे सदा तेरे आधीन बने रहेंगे।

Unhonne usko yah uttar diya, ki yadi tu is praja ke logon se achchha barttaav kar ke unhein prasann kare aur un se madhur batein kahe, to ve sada tere aadheen bane rahenge.

8

परन्तु उसने उस सम्मति को जो बूढ़ों ने उसको दी थी छोड़ दिया और उन जवानों से सम्मति ली, जो उसके संग बड़े हुए थे और उसके सम्मुख उपस्थित रहा करते थे।

Parantu usne us sammati ko jo boodhon ne usko di thi chhod diya aur un javanon se sammati li, jo uske sang bade hue the aur uske sammukh upasthit raha karte the.

9

उन से उसने पूछा, मैं प्रजा के लोगों को कैसा उत्तर दूं, इस में तुम क्या सम्मति देते हो? उन्होंने तो मुझ से कहा है, कि जो जूआ तेरे पिता ने हम पर डाल रखा है, उसे तू हलका कर।

Un se usne poochha, main praja ke logon ko kaisa uttar dun, is mein tum kya sammati dete ho? Unhonne to mujh se kaha hai, ki jo jooaa tere pita ne ham par daal rakha hai, use tu halka kar.

10

जवानों ने जो उस के संग बड़े हुए थे उसको यह उत्तर दिया, कि उन लोगों ने तुझ से कहा है, कि तेरे पिता ने हमारा जूआ भारी किया था, परन्तु उसे हमारे लिये हलका कर; तू उन से यों कहना, कि मेरी छिंगुलिया मेरे पिता की कटि से भी मोटी ठहरेगी।

Javanon ne jo us ke sang bade hue the usko yah uttar diya, ki un logon ne tujh se kaha hai, ki tere pita ne hamara jooaa bhari kiya tha, parantu use hamare liye halka kar; tu un se yon kahna, ki meri chhinguliya mere pita ki kati se bhi moti thahregi.

11

मेरे पिता ने तुम पर जो भारी जूआ रखा था, उसे मैं और भी भारी करूंगा; मेरा पिता तो तूम को कोड़ों से ताड़ना देता था, परन्तु मैं बिच्छुओं से दूंगा।

Mere pita ne tum par jo bhari jooaa rakha tha, use main aur bhi bhari karoonga; mera pita to toom ko kodon se tadna deta tha, parantu main bichchhuon se doonga.

12

तीसरे दिन जैसे राजा ने ठहराया था, कि तीसरे दिन मेरे पास फिर आना, वैसे ही यारोबाम और सारी प्रजा रहूबियाम के पास उपस्थित हुई।

Teesre din jaise raja ne thahraya tha, ki teesre din mere paas phir aana, vaise hi yarobaam aur sari praja rahoobiyaam ke paas upasthit hui.

13

तब राजा ने उस से कड़ी बातें कीं, और रहूबियाम राजा ने बूढ़ों की दी हुई सम्मति छोड़ कर

Tab raja ne us se kadi batein ki, aur rahoobiyaam raja ne boodhon ki di hui sammati chhod kar

14

जवानों की सम्मति के अनुसार उन से कहा, मेरे पिता ने तो तुम्हारा जूआ भारी कर दिया, परन्तु मैं उसे और भी कठिन कर दूंगा; मेरे पिता ने तो तुम को कोड़ों से ताड़ना दी, परन्तु मैं बिच्छुओं से ताड़ना दूंगा।

Javanon ki sammati ke anusaar un se kaha, mere pita ne to tumhara jooaa bhari kar diya, parantu main use aur bhi kathin kar doonga; mere pita ne to tum ko kodon se tadna di, parantu main bichchhuon se tadna doonga.

15

इस प्रकार राजा ने प्रजा की बिनती न मानी; इसका कारण यह है, कि जो वचन यहोवा ने शीलोवासी अहिय्याह के द्वारा नबात के पुत्र यारोबाम से कहा था, उसको पूरा करने के लिये परमेश्वर ने ऐसा ही ठहराया था।

Is prakaar raja ne praja ki binti na mani; iska karan yah hai, ki jo vachan Yahowa ne sheelovasi ahiyyaah ke dwara nabaat ke putra yarobaam se kaha tha, usko poora karne ke liye Parmeshwar ne aisa hi thahraya tha.

16

जब सब इस्राएलियों ने देखा कि राजा हमारी नहीं सुनता, तब वे बोले कि दाऊद के साथ हमारा क्या अंश? हमारा तो यिशै के पुत्र में कोई भाग नहीं है। हे इस्राएलियो, अपने अपने डेरे को चले जाओ। अब हे दाऊद, अपने ही घराने की चिन्ता कर।

Jab sab Israeliyon ne dekha ki raja hamari nahi sunta, tab ve bole ki Daud ke saath hamara kya ansh? Hamara to yishai ke putra mein koi bhaag nahi hai. He israyeliyo, apne apne dere ko chale jao. Ab he Daud, apne hi gharane ki chinta kar.

17

तब सब इस्राएली अपने डेरे को चले गए। केवल जितने इस्राएली यहूदा के नगरों में बसे हुए थे, उन्हीं पर रहूबियाम राज्य करता रहा।

Tab sab Israeli apne dere ko chale gaye. Keval jitne Israeli Yahuda ke nagron mein base hue the, unhi par rahoobiyaam rajya karta raha.

18

तब राजा रहूबियाम ने हदोराम को जो सब बेगारों पर अधिकारी था भेज दिया, और इस्राएलियों ने उसको पत्थर्वाह किया और वह मर गया। तब रहूबियाम फुर्ती से अपने रथ पर चढ़ कर, यरूशलेम को भाग गया।

Tab raja rahoobiyaam ne hadoraam ko jo sab begaron par adhikari tha bhej diya, aur Israeliyon ne usko pattharvaah kiya aur vah mar gaya. Tab rahoobiyaam phurti se apne rath par chadh kar, Yerushalem ko bhaag gaya.

19

यों इस्राएल दाऊद के घराने से फिर गया और आज तक फिरा हुआ है।

Yon Israel Daud ke gharane se phir gaya aur aaj tak phira huaa hai.