1 Timothy 6 · 21 verses

1 तीमुथियुस 6 1 Timothy 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 teemuthiyus 6.

1

जितने दास जूए के नीचे हैं, वे अपने अपने स्वामी को बड़े आदर के योग्य जानें, ताकि परमेश्वर के नाम और उपदेश की निन्दा न हो।

Jitne daas jooye ke neeche hain, ve apne apne swami ko bade aadar ke yogya janein, taki Parmeshwar ke naam aur updesh ki ninda na ho.

2

और जिन के स्वामी विश्वासी हैं, इन्हें वे भाई होने के कारण तुच्छ न जानें; वरन उन की और भी सेवा करें, क्योंकि इस से लाभ उठाने वाले विश्वासी और प्रेमी हैं: इन बातों का उपदेश किया कर और समझाता रह॥

Aur jin ke swami vishwasi hain, inhein ve bhai hone ke karan tuchchh na janein; varan un ki aur bhi seva karein, kyonki is se laabh uthane vale vishwasi aur premi hain: in baton ka updesh kiya kar aur samjhata rah.

3

यदि कोई और ही प्रकार का उपदेश देता है; और खरी बातों को, अर्थात हमारे प्रभु यीशु मसीह की बातों को और उस उपदेश को नहीं मानता, जो भक्ति के अनुसार है।

Yadi koi aur hi prakaar ka updesh deta hai; aur khari baton ko, arthaat hamare Prabhu Yeshu Masih ki baton ko aur us updesh ko nahi manta, jo bhakti ke anusaar hai.

4

तो वह अभिमानी हो गया, और कुछ नहीं जानता, वरन उसे विवाद और शब्दों पर तर्क करने का रोग है, जिन से डाह, और झगड़े, और निन्दा की बातें, और बुरे बुरे सन्देह।

To vah abhimani ho gaya, aur kuchh nahi janta, varan use vivaad aur shabdon par tark karne ka rog hai, jin se daah, aur jhagde, aur ninda ki batein, aur bure bure sandeh.

5

और उन मनुष्यों में व्यर्थ रगड़े झगड़े उत्पन्न होते हैं, जिन की बुद्धि बिगड़ गई है और वे सत्य से विहीन हो गए हैं, जो समझते हैं कि भक्ति कमाई का द्वार है।

Aur un manushyon mein vyarth ragde jhagde utpann hote hain, jin ki buddhi bigad gai hai aur ve satya se viheen ho gaye hain, jo samajhte hain ki bhakti kamai ka dwaar hai.

6

पर सन्तोष सहित भक्ति बड़ी कमाई है।

Par santosh sahit bhakti badi kamai hai.

7

क्योंकि न हम जगत में कुछ लाए हैं और न कुछ ले जा सकते हैं।

Kyonki na ham jagat mein kuchh laye hain aur na kuchh le ja sakte hain.

8

और यदि हमारे पास खाने और पहिनने को हो, तो इन्हीं पर सन्तोष करना चाहिए।

Aur yadi hamare paas khane aur pahinne ko ho, to inhi par santosh karna chahiye.

9

पर जो धनी होना चाहते हैं, वे ऐसी परीक्षा, और फंदे और बहुतेरे व्यर्थ और हानिकारक लालसाओं में फंसते हैं, जो मनुष्यों को बिगाड़ देती हैं और विनाश के समुद्र में डूबा देती हैं।

Par jo dhani hona chahte hain, ve aisi pareeksha, aur phande aur bahutere vyarth aur hanikarak lalsaon mein phanste hain, jo manushyon ko bigaad deti hain aur vinaash ke samudra mein dooba deti hain.

10

क्योंकि रूपये का लोभ सब प्रकार की बुराइयों की जड़ है, जिसे प्राप्त करने का प्रयत्न करते हुए कितनों ने विश्वास से भटक कर अपने आप को नाना प्रकार के दुखों से छलनी बना लिया है॥

Kyonki roopye ka lobh sab prakaar ki buraiyon ki jad hai, jise praapt karne ka prayatn karte hue kitnon ne vishwaas se bhatak kar apne aap ko nana prakaar ke dukhon se chhalni bana liya hai.

11

पर हे परमेश्वर के जन, तू इन बातों से भाग; और धर्म, भक्ति, विश्वास, प्रेम, धीरज, और नम्रता का पीछा कर।

Par he Parmeshwar ke jan, tu in baton se bhaag; aur dharm, bhakti, vishwaas, prem, dheeraj, aur namrata ka peechha kar.

12

विश्वास की अच्छी कुश्ती लड़; और उस अनन्त जीवन को धर ले, जिस के लिये तू बुलाया, गया, और बहुत गवाहों के साम्हने अच्छा अंगीकार किया था।

Vishwaas ki achchhi kushti lad; aur us anant jeevan ko dhar le, jis ke liye tu bulaya, gaya, aur bahut gavahon ke samhane achchha angeekaar kiya tha.

13

मैं तुझे परमेश्वर को जो सब को जीवित रखता है, और मसीह यीशु को गवाह कर के जिस ने पुन्तियुस पीलातुस के साम्हने अच्छा अंगीकार किया, यह आज्ञा देता हूं,

Main tujhe Parmeshwar ko jo sab ko jeevit rakhta hai, aur Masih Yeshu ko gavaah kar ke jis ne puntiyus peelatus ke samhane achchha angeekaar kiya, yah aagya deta hoon,

14

कि तू हमारे प्रभु यीशु मसीह के प्रगट होने तक इस आज्ञा को निष्कलंक और निर्दोष रख।

Ki tu hamare Prabhu Yeshu Masih ke pragat hone tak is aagya ko nishkalank aur nirdosh rakh.

15

जिसे वह ठीक समयों में दिखाएगा, जो परमधन्य और अद्वैत अधिपति और राजाओं का राजा, और प्रभुओं का प्रभु है।

Jise vah theek samyon mein dikhayega, jo paramdhanya aur adwait adhipti aur rajaon ka raja, aur prabhuon ka Prabhu hai.

16

और अमरता केवल उसी की है, और वह अगम्य ज्योति में रहता है, और न उसे किसी मनुष्य ने देखा, और न कभी देख सकता है: उस की प्रतिष्ठा और राज्य युगानुयुग रहेगा। आमीन॥

Aur amarta keval usi ki hai, aur vah agamya jyoti mein rahta hai, aur na use kisi manushya ne dekha, aur na kabhi dekh sakta hai: us ki pratishtha aur rajya yuganuyug rahega. Aamin.

17

इस संसार के धनवानों को आज्ञा दे, कि वे अभिमानी न हों और चंचल धन पर आशा न रखें, परन्तु परमेश्वर पर जो हमारे सुख के लिये सब कुछ बहुतायत से देता है।

Is sansaar ke dhanvanon ko aagya de, ki ve abhimani na hon aur chanchal dhan par aasha na rakhein, parantu Parmeshwar par jo hamare sukh ke liye sab kuchh bahutayat se deta hai.

18

और भलाई करें, और भले कामों में धनी बनें, और उदार और सहायता देने में तत्पर हों।

Aur bhalai karein, aur bhale kamon mein dhani banein, aur udaar aur sahayta dene mein tatpar hon.

19

और आगे के लिये एक अच्छी नेव डाल रखें, कि सत्य जीवन को वश में कर लें॥

Aur aage ke liye ek achchhi nev daal rakhein, ki satya jeevan ko vash mein kar lein.

20

हे तीमुथियुस इस थाती की रखवाली कर और जिस ज्ञान को ज्ञान कहना ही भूल है, उसके अशुद्ध बकवाद और विरोध की बातों से परे रह।

He teemuthiyus is thati ki rakhvali kar aur jis gyaan ko gyaan kahna hi bhool hai, uske ashuddh bakvaad aur virodh ki baton se pare rah.

21

कितने इस ज्ञान का अंगीकार करके, विश्वास से भटक गए हैं॥ तुम पर अनुग्रह होता रहे॥

Kitne is gyaan ka angeekaar karke, vishwaas se bhatak gaye hain. Tum par anugrah hota rahe.