पौलुस की ओर से जो उस जीवन की प्रतिज्ञा के अनुसार जो मसीह यीशु में है, परमेश्वर की इच्छा से मसीह यीशु का प्रेरित है।
Paulus ki or se jo us jeevan ki pratigya ke anusaar jo Masih Yeshu mein hai, Parmeshwar ki ichchha se Masih Yeshu ka prerit hai.
2 Timothy 1 · 18 verses
पौलुस की ओर से जो उस जीवन की प्रतिज्ञा के अनुसार जो मसीह यीशु में है, परमेश्वर की इच्छा से मसीह यीशु का प्रेरित है।
Paulus ki or se jo us jeevan ki pratigya ke anusaar jo Masih Yeshu mein hai, Parmeshwar ki ichchha se Masih Yeshu ka prerit hai.
प्रिय पुत्र तीमुथियुस के नाम॥ परमेश्वर पिता और हमारे प्रभु मसीह यीशु की ओर से तुझे अनुग्रह और दया और शान्ति मिलती रहे॥
Priya putra teemuthiyus ke naam. Parmeshwar pita aur hamare Prabhu Masih Yeshu ki or se tujhe anugrah aur daya aur shanti milti rahe.
जिस परमेश्वर की सेवा मैं अपने बाप दादों की रीति पर शुद्ध विवेक से करता हूं, उसका धन्यवाद हो कि अपनी प्रार्थनाओं में तुझे लगातार स्मरण करता हूं।
Jis Parmeshwar ki seva main apne baap dadon ki reeti par shuddh vivek se karta hoon, uska dhanyavaad ho ki apni prarthanaon mein tujhe lagataar smaran karta hoon.
और तेरे आंसुओं की सुधि कर कर के रात दिन तुझ से भेंट करने की लालसा रखता हूं कि आनन्द से भर जाऊं।
Aur tere aansuon ki sudhi kar kar ke raat din tujh se bhent karne ki lalsa rakhta hoon ki aanand se bhar jaun.
और मुझे तेरे उस निष्कपट विश्वास की सुधि आती है, जो पहिले तेरी नानी लोइस, और तेरी माता यूनीके में थी, और मुझे निश्चय हुआ है, कि तुझ में भी है।
Aur mujhe tere us nishkapat vishwaas ki sudhi aati hai, jo pahile teri nani lois, aur teri mata yooneeke mein thi, aur mujhe nishchay huaa hai, ki tujh mein bhi hai.
इसी कारण मैं तुझे सुधि दिलाता हूं, कि तू परमेश्वर के उस वरदान को जो मेरे हाथ रखने के द्वारा तुझे मिला है चमका दे।
Isi karan main tujhe sudhi dilata hoon, ki tu Parmeshwar ke us vardaan ko jo mere haath rakhne ke dwara tujhe mila hai chamka de.
क्योंकि परमेश्वर ने हमें भय की नहीं पर सामर्थ, और प्रेम, और संयम की आत्मा दी है।
Kyonki Parmeshwar ne hamein bhay ki nahi par samarth, aur prem, aur sanyam ki aatma di hai.
इसलिये हमारे प्रभु की गवाही से, और मुझ से जो उसका कैदी हूं, लज्ज़ित न हो, पर उस परमेश्वर की सामर्थ के अनुसार सुसमाचार के लिये मेरे साथ दुख उठा।
Isliye hamare Prabhu ki gavahi se, aur mujh se jo uska kaidi hoon, lajzit na ho, par us Parmeshwar ki samarth ke anusaar susmachaar ke liye mere saath dukh utha.
जिस ने हमारा उद्धार किया, और पवित्र बुलाहट से बुलाया, और यह हमारे कामों के अनुसार नहीं; पर अपनी मनसा और उस अनुग्रह के अनुसार है जो मसीह यीशु में सनातन से हम पर हुआ है।
Jis ne hamara uddhaar kiya, aur pavitra bulahat se bulaya, aur yah hamare kamon ke anusaar nahi; par apni mansa aur us anugrah ke anusaar hai jo Masih Yeshu mein sanatan se ham par huaa hai.
पर अब हमारे उद्धारकर्ता मसीह यीशु के प्रगट होने के द्वारा प्रकाश हुआ, जिस ने मृत्यु का नाश किया, और जीवन और अमरता को उस सुसमाचार के द्वारा प्रकाशमान कर दिया।
Par ab hamare uddharkarta Masih Yeshu ke pragat hone ke dwara prakaash huaa, jis ne mrityu ka naash kiya, aur jeevan aur amarta ko us susmachaar ke dwara prakashmaan kar diya.
जिस के लिये मैं प्रचारक, और प्रेरित, और उपदेशक भी ठहरा।
Jis ke liye main pracharak, aur prerit, aur updeshak bhi thahra.
इस कारण मैं इन दुखों को भी उठाता हूं, पर लजाता नहीं, क्योंकि मैं उसे जिस की मैं ने प्रतीति की है, जानता हूं; और मुझे निश्चय है, कि वह मेरी थाती की उस दिन तक रखवाली कर सकता है।
Is karan main in dukhon ko bhi uthata hoon, par lajata nahi, kyonki main use jis ki main ne prateeti ki hai, janta hoon; aur mujhe nishchay hai, ki vah meri thati ki us din tak rakhvali kar sakta hai.
जो खरी बातें तू ने मुझ से सुनी हैं उन को उस विश्वास और प्रेम के साथ जो मसीह यीशु में है, अपना आदर्श बनाकर रख।
Jo khari batein tu ne mujh se suni hain un ko us vishwaas aur prem ke saath jo Masih Yeshu mein hai, apna aadarsh banakar rakh.
और पवित्र आत्मा के द्वारा जो हम में बसा हुआ है, इस अच्छी थाती की रखवाली कर॥
Aur pavitra aatma ke dwara jo ham mein basa huaa hai, is achchhi thati ki rakhvali kar.
तू जानता है, कि आसिया वाले सब मुझ से फिर गए हैं, जिन में फूगिलुस और हिरमुगिनेस हैं।
Tu janta hai, ki aasiya vale sab mujh se phir gaye hain, jin mein phoogilus aur hirmugines hain.
उनेसिफुरूस के घराने पर प्रभु दया करे, क्योंकि उस ने बहुत बार मेरे जी को ठंडा किया, और मेरी जंजीरों से लज्ज़ित न हुआ।
Unesiphuroos ke gharane par Prabhu daya kare, kyonki us ne bahut baar mere ji ko thanda kiya, aur meri janjeeron se lajzit na huaa.
पर जब वह रोमा में आया, तो बड़े यत्न से ढूंढ कर मुझ से भेंट की।
Par jab vah roma mein aaya, to bade yatn se dhoondh kar mujh se bhent ki.
(प्रभु करे, कि उस दिन उस पर प्रभु की दया हो)। और जो जो सेवा उस ने इफिसुस में की है उन्हें भी तू भली भांति जानता है॥
(Prabhu kare, ki us din us par Prabhu ki daya ho). Aur jo jo seva us ne iphisus mein ki hai unhein bhi tu bhali bhanti janta hai.