1 Timothy 4 · 16 verses

1 तीमुथियुस 4 1 Timothy 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 teemuthiyus 4.

1

परन्तु आत्मा स्पष्टता से कहता है, कि आने वाले समयों में कितने लोग भरमाने वाली आत्माओं, और दुष्टात्माओं की शिक्षाओं पर मन लगाकर विश्वास से बहक जाएंगे।

Parantu aatma spashtata se kahta hai, ki aane vale samyon mein kitne log bharmane vali aatmaon, aur dushtatmaon ki shikshaon par man lagakar vishwaas se bahak jayenge.

2

यह उन झूठे मनुष्यों के कपट के कारण होगा, जिन का विवेक मानों जलते हुए लोहे से दागा गया है।

Yah un jhoothe manushyon ke kapat ke karan hoga, jin ka vivek manon jalte hue lohe se daga gaya hai.

3

जो ब्याह करने से रोकेंगे, और भोजन की कुछ वस्तुओं से परे रहने की आज्ञा देंगे; जिन्हें परमेश्वर ने इसलिये सृजा कि विश्वासी, और सत्य के पहिचानने वाले उन्हें धन्यवाद के साथ खाएं।

Jo byaah karne se rokenge, aur bhojan ki kuchh vastuon se pare rahne ki aagya denge; jinhein Parmeshwar ne isliye srija ki vishwasi, aur satya ke pahichanne vale unhein dhanyavaad ke saath khayen.

4

क्योंकि परमेश्वर की सृजी हुई हर एक वस्तु अच्छी है: और कोई वस्तु अस्वीकार करने के योग्य नहीं; पर यह कि धन्यवाद के साथ खाई जाए।

Kyonki Parmeshwar ki sriji hui har ek vastu achchhi hai: aur koi vastu asweekaar karne ke yogya nahi; par yah ki dhanyavaad ke saath khai jaye.

5

क्योंकि परमेश्वर के वचन और प्रार्थना से शुद्ध हो जाती है॥

Kyonki Parmeshwar ke vachan aur prarthana se shuddh ho jati hai.

6

यदि तू भाइयों को इन बातों की सुधि दिलाता रहेगा, तो मसीह यीशु का अच्छा सेवक ठहरेगा: और विश्वास और उस अच्छे उपदेश की बातों से, जा तू मानता आया है, तेरा पालन-पोषण होता रहेगा।

Yadi tu bhaiyon ko in baton ki sudhi dilata rahega, to Masih Yeshu ka achchha sevak thahrega: aur vishwaas aur us achchhe updesh ki baton se, ja tu manta aaya hai, tera palan-poshan hota rahega.

7

पर अशुद्ध और बूढ़ियों की सी कहानियों से अलग रह; और भक्ति के लिये अपना साधन कर।

Par ashuddh aur boodhiyon ki si kahaniyon se alag rah; aur bhakti ke liye apna sadhan kar.

8

क्योंकि देह की साधना से कम लाभ होता है, पर भक्ति सब बातों के लिये लाभदायक है, क्योंकि इस समय के और आने वाले जीवन की भी प्रतिज्ञा इसी के लिये है।

Kyonki deh ki sadhna se kam laabh hota hai, par bhakti sab baton ke liye labhdayak hai, kyonki is samay ke aur aane vale jeevan ki bhi pratigya isi ke liye hai.

9

और यह बात सच और हर प्रकार से मानने के योग्य है।

Aur yah baat sach aur har prakaar se manne ke yogya hai.

10

क्योंकि हम परिश्रम और यत्न इसी लिये करते हैं, कि हमारी आशा उस जीवते परमेश्वर पर है; जो सब मनुष्यों का, और निज करके विश्वासियों का उद्धारकर्ता है।

Kyonki ham parishram aur yatn isi liye karte hain, ki hamari aasha us jeevte Parmeshwar par hai; jo sab manushyon ka, aur nij karke vishwasiyon ka uddharkarta hai.

11

इन बातों की आज्ञा कर, और सिखाता रह।

In baton ki aagya kar, aur sikhata rah.

12

कोई तेरी जवानी को तुच्छ न समझने पाए; पर वचन, और चाल चलन, और प्रेम, और विश्वास, और पवित्रता में विश्वासियों के लिये आदर्श बन जा।

Koi teri javani ko tuchchh na samajhne paye; par vachan, aur chaal chalan, aur prem, aur vishwaas, aur pavitrata mein vishwasiyon ke liye aadarsh ban ja.

13

जब तक मैं न आऊं, तब तक पढ़ने और उपदेश और सिखाने में लौलीन रह।

Jab tak main na aaun, tab tak padhne aur updesh aur sikhane mein lauleen rah.

14

उस वरदान से जो तुझ में है, और भविष्यद्वाणी के द्वारा प्राचीनों के हाथ रखते समय तुझे मिला था, निश्चिन्त न रह।

Us vardaan se jo tujh mein hai, aur bhavishyadwani ke dwara pracheenon ke haath rakhte samay tujhe mila tha, nishchint na rah.

15

उन बातों को सोचता रह, और इन्हीं में अपना ध्यान लगाए रह ताकि तेरी उन्नति सब पर प्रगट हो। अपनी और अपने उपदेश की चौकसी रख।

Un baton ko sochta rah, aur inhi mein apna dhyaan lagaye rah taki teri unnati sab par pragat ho. Apni aur apne updesh ki chauksi rakh.

16

इन बातों पर स्थिर रह, क्योंकि यदि ऐसा करता रहेगा, तो तू अपने, और अपने सुनने वालों के लिये भी उद्धार का कारण होगा॥

In baton par sthir rah, kyonki yadi aisa karta rahega, to tu apne, aur apne sunne valon ke liye bhi uddhaar ka karan hoga.