1 Timothy 2 · 15 verses

1 तीमुथियुस 2 1 Timothy 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 teemuthiyus 2.

1

अब मैं सब से पहिले यह उपदेश देता हूं, कि बिनती, और प्रार्थना, और निवेदन, और धन्यवाद, सब मनुष्यों के लिये किए जाएं।

Ab main sab se pahile yah updesh deta hoon, ki binti, aur prarthana, aur nivedan, aur dhanyavaad, sab manushyon ke liye kiye jayen.

2

राजाओं और सब ऊंचे पद वालों के निमित्त इसलिये कि हम विश्राम और चैन के साथ सारी भक्ति और गम्भीरता से जीवन बिताएं।

Rajaon aur sab oonche pad valon ke nimitt isliye ki ham vishraam aur chain ke saath sari bhakti aur gambheerta se jeevan bitayen.

3

यह हमारे उद्धारकर्ता परमेश्वर को अच्छा लगता, और भाता भी है।

Yah hamare uddharkarta Parmeshwar ko achchha lagta, aur bhata bhi hai.

4

वह यह चाहता है, कि सब मनुष्यों का उद्धार हो; और वे सत्य को भली भांति पहिचान लें।

Vah yah chahta hai, ki sab manushyon ka uddhaar ho; aur ve satya ko bhali bhanti pahichaan lein.

5

क्योंकि परमेश्वर एक ही है: और परमेश्वर और मनुष्यों के बीच में भी एक ही बिचवई है, अर्थात मसीह यीशु जो मनुष्य है।

Kyonki Parmeshwar ek hi hai: aur Parmeshwar aur manushyon ke beech mein bhi ek hi bichvai hai, arthaat Masih Yeshu jo manushya hai.

6

जिस ने अपने आप को सब के छुटकारे के दाम में दे दिया; ताकि उस की गवाही ठीक समयों पर दी जाए।

Jis ne apne aap ko sab ke chhutkare ke daam mein de diya; taki us ki gavahi theek samyon par di jaye.

7

मैं सच कहता हूं, झूठ नहीं बोलता, कि मैं इसी उद्देश्य से प्रचारक और प्रेरित और अन्यजातियों के लिये विश्वास और सत्य का उपदेशक ठहराया गया॥

Main sach kahta hoon, jhooth nahi bolta, ki main isi uddeshya se pracharak aur prerit aur anyajatiyon ke liye vishwaas aur satya ka updeshak thahraya gaya.

8

सो मैं चाहता हूं, कि हर जगह पुरूष बिना क्रोध और विवाद के पवित्र हाथों को उठा कर प्रार्थना किया करें।

So main chahta hoon, ki har jagah puroosh bina krodh aur vivaad ke pavitra hathon ko utha kar prarthana kiya karein.

9

वैसे ही स्त्रियां भी संकोच और संयम के साथ सुहावने वस्त्रों से अपने आप को संवारे; न कि बाल गूंथने, और सोने, और मोतियों, और बहुमोल कपड़ों से, पर भले कामों से।

Vaise hi striyan bhi sankoch aur sanyam ke saath suhavne vastron se apne aap ko sanvare; na ki baal goonthne, aur sone, aur motiyon, aur bahumol kapdon se, par bhale kamon se.

10

क्योंकि परमेश्वर की भक्ति ग्रहण करने वाली स्त्रियों को यही उचित भी है।

Kyonki Parmeshwar ki bhakti grahan karne vali striyon ko yahi uchit bhi hai.

11

और स्त्री को चुपचाप पूरी आधीनता में सीखना चाहिए।

Aur stri ko chupchaap poori aadheenta mein seekhna chahiye.

12

और मैं कहता हूं, कि स्त्री न उपदेश करे, और न पुरूष पर आज्ञा चलाए, परन्तु चुपचाप रहे।

Aur main kahta hoon, ki stri na updesh kare, aur na puroosh par aagya chalaye, parantu chupchaap rahe.

13

क्योंकि आदम पहिले, उसके बाद हव्वा बनाई गई।

Kyonki aadam pahile, uske baad havva banai gai.

14

और आदम बहकाया न गया, पर स्त्री बहकाने में आकर अपराधिनी हुई।

Aur aadam bahkaya na gaya, par stri bahkane mein aakar apradhini hui.

15

तौभी बच्चे जनने के द्वारा उद्धार पाएंगी, यदि वे संयम सहित विश्वास, प्रेम, और पवित्रता में स्थिर रहें॥

Taubhi bachche janne ke dwara uddhaar payengi, yadi ve sanyam sahit vishwaas, prem, aur pavitrata mein sthir rahein.