1 Timothy 1 · 20 verses

1 तीमुथियुस 1 1 Timothy 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 teemuthiyus 1.

1

पौलुस की ओर से जो हमारे उद्धारकर्ता परमेश्वर, और हमारी आशा-स्थान मसीह यीशु की आज्ञा से मसीह यीशु का प्रेरित है, तिमुथियुस के नाम जो विश्वास में मेरा सच्चा पुत्र है॥

Paulus ki or se jo hamare uddharkarta Parmeshwar, aur hamari aasha-sthaan Masih Yeshu ki aagya se Masih Yeshu ka prerit hai, timuthiyus ke naam jo vishwaas mein mera sachcha putra hai.

2

पिता परमेश्वर, और हमारे प्रभु मसीह यीशु से, तुझे अनुग्रह और दया, और शान्ति मिलती रहे॥

Pita Parmeshwar, aur hamare Prabhu Masih Yeshu se, tujhe anugrah aur daya, aur shanti milti rahe.

3

जैसे मैं ने मकिदुनिया को जाते समय तुझे समझाया था, कि इफिसुस में रहकर कितनों को आज्ञा दे कि और प्रकार की शिक्षा न दें।

Jaise main ne makiduniya ko jate samay tujhe samjhaya tha, ki iphisus mein rahkar kitnon ko aagya de ki aur prakaar ki shiksha na dein.

4

और उन ऐसी कहानियों और अनन्त वंशावलियों पर मन न लगाएं, जिन से विवाद होते हैं; और परमेश्वर के उस प्रबन्ध के अनुसार नहीं, जो विश्वास से सम्बन्ध रखता है; वैसे ही फिर भी कहता हूं।

Aur un aisi kahaniyon aur anant vanshavliyon par man na lagayen, jin se vivaad hote hain; aur Parmeshwar ke us prabandh ke anusaar nahi, jo vishwaas se sambandh rakhta hai; vaise hi phir bhi kahta hoon.

5

आज्ञा का सारांश यह है, कि शुद्ध मन और अच्छे विवेक, और कपट रहित विश्वास से प्रेम उत्पन्न हो।

Aagya ka saraansh yah hai, ki shuddh man aur achchhe vivek, aur kapat rahit vishwaas se prem utpann ho.

6

इन को छोड़ कर कितने लोग फिर कर बकवाद की ओर भटक गए हैं।

In ko chhod kar kitne log phir kar bakvaad ki or bhatak gaye hain.

7

और व्यवस्थापक तो होना चाहते हैं, पर जो बातें कहते और जिन को दृढ़ता से बोलते हैं, उन को समझते भी नहीं।

Aur vyavasthapak to hona chahte hain, par jo batein kahte aur jin ko dridhta se bolte hain, un ko samajhte bhi nahi.

8

पर हम जानते हैं, कि यदि कोई व्यवस्था को व्यवस्था की रीति पर काम में लाए, तो वह भली है।

Par ham jante hain, ki yadi koi vyavastha ko vyavastha ki reeti par kaam mein laye, to vah bhali hai.

9

यह जानकर कि व्यवस्था धर्मी जन के लिये नहीं, पर अधर्मियों, निरंकुशों, भक्तिहीनों, पापियों, अपवित्रों और अशुद्धों, मां-बाप के घात करने वालों, हत्यारों।

Yah jankar ki vyavastha dharmi jan ke liye nahi, par adharmiyon, nirankushon, bhaktiheenon, papiyon, apvitron aur ashuddhon, maa-baap ke ghaat karne valon, hatyaron.

10

व्याभिचारियों, पुरूषगामियों, मनुष्य के बेचने वालों, झूठों, और झूठी शपथ खाने वालों, और इन को छोड़ खरे उपदेश के सब विरोधियों के लिये ठहराई गई है।

Vyabhichariyon, purooshgamiyon, manushya ke bechne valon, jhoothon, aur jhoothi shapath khane valon, aur in ko chhod khare updesh ke sab virodhiyon ke liye thahrai gai hai.

11

यही परमधन्य परमेश्वर की महिमा के उस सुसमाचार के अनुसार है, जो मुझे सौंपा गया है॥

Yahi paramdhanya Parmeshwar ki mahima ke us susmachaar ke anusaar hai, jo mujhe saumpa gaya hai.

12

और मैं, अपने प्रभु मसीह यीशु का, जिस ने मुझे सामर्थ दी है, धन्यवाद करता हूं; कि उस ने मुझे विश्वास योग्य समझकर अपनी सेवा के लिये ठहराया।

Aur main, apne Prabhu Masih Yeshu ka, jis ne mujhe samarth di hai, dhanyavaad karta hoon; ki us ne mujhe vishwaas yogya samajhkar apni seva ke liye thahraya.

13

मैं तो पहिले निन्दा करने वाला, और सताने वाला, और अन्धेर करने वाला था; तौभी मुझ पर दया हुई, क्योंकि मैं ने अविश्वास की दशा में बिन समझे बूझे, ये काम किए थे।

Main to pahile ninda karne vala, aur satane vala, aur andher karne vala tha; taubhi mujh par daya hui, kyonki main ne avishwaas ki dasha mein bin samjhe boojhe, ye kaam kiye the.

14

और हमारे प्रभु का अनुग्रह उस विश्वास और प्रेम के साथ जो मसीह यीशु में है, बहुतायत से हुआ।

Aur hamare Prabhu ka anugrah us vishwaas aur prem ke saath jo Masih Yeshu mein hai, bahutayat se huaa.

15

यह बात सच और हर प्रकार से मानने के योग्य है, कि मसीह यीशु पापियों का उद्धार करने के लिये जगत में आया, जिन में सब से बड़ा मैं हूं।

Yah baat sach aur har prakaar se manne ke yogya hai, ki Masih Yeshu papiyon ka uddhaar karne ke liye jagat mein aaya, jin mein sab se bada main hoon.

16

पर मुझ पर इसलिये दया हुई, कि मुझ सब से बड़े पापी में यीशु मसीह अपनी पूरी सहनशीलता दिखाए, कि जो लोग उस पर अनन्त जीवन के लिये विश्वास करेंगे, उन के लिये मैं एक आदर्श बनूं।

Par mujh par isliye daya hui, ki mujh sab se bade papi mein Yeshu Masih apni poori sahansheelta dikhaye, ki jo log us par anant jeevan ke liye vishwaas karenge, un ke liye main ek aadarsh banun.

17

अब सनातन राजा अर्थात अविनाशी अनदेखे अद्वैत परमेश्वर का आदर और महिमा युगानुयुग होती रहे। आमीन॥

Ab sanatan raja arthaat avinashi andekhe adwait Parmeshwar ka aadar aur mahima yuganuyug hoti rahe. Aamin.

18

हे पुत्र तीमुथियुस, उन भविष्यद्वाणियों के अनुसार जो पहिले तेरे विषय में की गई थीं, मैं यह आज्ञा सौंपता हूं, कि तू उन के अनुसार अच्छी लड़ाई को लड़ता रहे।

He putra teemuthiyus, un bhavishyadwaniyon ke anusaar jo pahile tere vishay mein ki gai thi, main yah aagya saumpta hoon, ki tu un ke anusaar achchhi ladai ko ladta rahe.

19

और विश्वास और उस अच्छे विवेक को थामें रहे जिसे दूर करने के कारण कितनों का विश्वास रूपी जहाज डूब गया।

Aur vishwaas aur us achchhe vivek ko thamein rahe jise door karne ke karan kitnon ka vishwaas roopi jahaaj doob gaya.

20

उन्हीं में से हुमिनयुस और सिकन्दर हैं जिन्हें मैं ने शैतान को सौंप दिया, कि वे निन्दा करना न सीखें॥

Unhi mein se huminyus aur sikandar hain jinhein main ne Shaitan ko saump diya, ki ve ninda karna na seekhein.