हे पत्नियों, तुम भी अपने पति के आधीन रहो।
He patniyon, tum bhi apne pati ke aadheen raho.
1 Peter 3 · 22 verses
हे पत्नियों, तुम भी अपने पति के आधीन रहो।
He patniyon, tum bhi apne pati ke aadheen raho.
इसलिये कि यदि इन में से कोई ऐसे हो जो वचन को न मानते हों, तौभी तुम्हारे भय सहित पवित्र चालचलन को देख कर बिना वचन के अपनी अपनी पत्नी के चालचलन के द्वारा खिंच जाएं।
Isliye ki yadi in mein se koi aise ho jo vachan ko na mante hon, taubhi tumhare bhay sahit pavitra chalachlan ko dekh kar bina vachan ke apni apni patni ke chalachlan ke dwara khinch jayen.
और तुम्हारा सिंगार, दिखावटी न हो, अर्थात बाल गूंथने, और सोने के गहने, या भांति भांति के कपड़े पहिनना।
Aur tumhara singaar, dikhavti na ho, arthaat baal goonthne, aur sone ke gahne, ya bhanti bhanti ke kapde pahinna.
वरन तुम्हारा छिपा हुआ और गुप्त मनुष्यत्व, नम्रता और मन की दीनता की अविनाशी सजावट से सुसज्ज़ित रहे, क्योंकि परमेश्वर की दृष्टि में इसका मूल्य बड़ा है।
Varan tumhara chhipa huaa aur gupt manushyatva, namrata aur man ki deenta ki avinashi sajavat se susajzit rahe, kyonki Parmeshwar ki drishti mein iska moolya bada hai.
और पूर्वकाल में पवित्र स्त्रियां भी, जो परमेश्वर पर आशा रखती थीं, अपने आप को इसी रीति से संवारती और अपने अपने पति के आधीन रहती थीं।
Aur poorvakaal mein pavitra striyan bhi, jo Parmeshwar par aasha rakhti thi, apne aap ko isi reeti se sanvarti aur apne apne pati ke aadheen rahti thi.
जैसे सारा इब्राहीम की आज्ञा में रहती और उसे स्वामी कहती थी: सो तुम भी यदि भलाई करो, और किसी प्रकार के भय से भयभीत न हो तो उस की बेटियां ठहरोगी॥
Jaise sara Ibrahim ki aagya mein rahti aur use swami kahti thi: so tum bhi yadi bhalai karo, aur kisi prakaar ke bhay se bhaybheet na ho to us ki betiyan thahrogi.
वैसे ही हे पतियों, तुम भी बुद्धिमानी से पत्नियों के साथ जीवन निर्वाह करो और स्त्री को निर्बल पात्र जान कर उसका आदर करो, यह समझ कर कि हम दोनों जीवन के वरदान के वारिस हैं, जिस से तुम्हारी प्रार्थनाएं रुक न जाएं॥
Vaise hi he patiyon, tum bhi buddhimani se patniyon ke saath jeevan nirvaah karo aur stri ko nirbal patra jaan kar uska aadar karo, yah samajh kar ki ham donon jeevan ke vardaan ke varis hain, jis se tumhari prarthanayen ruk na jayen.
निदान, सब के सब एक मन और कृपामय और भाईचारे की प्रीति रखने वाले, और करूणामय, और नम्र बनो।
Nidaan, sab ke sab ek man aur kripamay aur bhaichare ki preeti rakhne vale, aur karoonamay, aur namra bano.
बुराई के बदले बुराई मत करो; और न गाली के बदले गाली दो; पर इस के विपरीत आशीष ही दो: क्योंकि तुम आशीष के वारिस होने के लिये बुलाए गए हो।
Burai ke badle burai mat karo; aur na gali ke badle gali do; par is ke vipreet aasheesh hi do: kyonki tum aasheesh ke varis hone ke liye bulaye gaye ho.
क्योंकि जो कोई जीवन की इच्छा रखता है, और अच्छे दिन देखना चाहता है, वह अपनी जीभ को बुराई से, और अपने होंठों को छल की बातें करने से रोके रहे।
Kyonki jo koi jeevan ki ichchha rakhta hai, aur achchhe din dekhna chahta hai, vah apni jeebh ko burai se, aur apne honthon ko chhal ki batein karne se roke rahe.
वह बुराई का साथ छोड़े, और भलाई ही करे; वह मेल मिलाप को ढूंढ़े, और उस के यत्न में रहे।
Vah burai ka saath chhode, aur bhalai hi kare; vah mel milaap ko dhoondhe, aur us ke yatn mein rahe.
क्योंकि प्रभु की आंखे धर्मियों पर लगी रहती हैं, और उसके कान उन की बिनती की ओर लगे रहते हैं, परन्तु प्रभु बुराई करने वालों के विमुख रहता है॥
Kyonki Prabhu ki aankhe dharmiyon par lagi rahti hain, aur uske kaan un ki binti ki or lage rahte hain, parantu Prabhu burai karne valon ke vimukh rahta hai.
और यदि तुम भलाई करने में उत्तेजित रहो तो तुम्हारी बुराई करने वाला फिर कौन है?
Aur yadi tum bhalai karne mein uttejit raho to tumhari burai karne vala phir kaun hai?
और यदि तुम धर्म के कारण दुख भी उठाओ, तो धन्य हो; पर उन के डराने से मत डरो, और न घबराओ।
Aur yadi tum dharm ke karan dukh bhi uthao, to dhanya ho; par un ke darane se mat daro, aur na ghabrao.
पर मसीह को प्रभु जान कर अपने अपने मन में पवित्र समझो, और जो कोई तुम से तुम्हारी आशा के विषय में कुछ पूछे, तो उसे उत्तर देने के लिये सर्वदा तैयार रहो, पर नम्रता और भय के साथ।
Par Masih ko Prabhu jaan kar apne apne man mein pavitra samjho, aur jo koi tum se tumhari aasha ke vishay mein kuchh poochhe, to use uttar dene ke liye sarvada taiyaar raho, par namrata aur bhay ke saath.
और विवेक भी शुद्ध रखो, इसलिये कि जिन बातों के विषय में तुम्हारी बदनामी होती है उनके विषय में वे, जो तुम्हारे मसीही अच्छे चालचलन का अपमान करते हैं लज्ज़ित हों।
Aur vivek bhi shuddh rakho, isliye ki jin baton ke vishay mein tumhari badnami hoti hai unke vishay mein ve, jo tumhare maseehi achchhe chalachlan ka apmaan karte hain lajzit hon.
क्योंकि यदि परमेश्वर की यही इच्छा हो, कि तुम भलाई करने के कारण दुख उठाओ, तो यह बुराई करने के कारण दुख उठाने से उत्तम है।
Kyonki yadi Parmeshwar ki yahi ichchha ho, ki tum bhalai karne ke karan dukh uthao, to yah burai karne ke karan dukh uthane se uttam hai.
इसलिये कि मसीह ने भी, अर्थात अधर्मियों के लिये धर्मी ने पापों के कारण एक बार दुख उठाया, ताकि हमें परमेश्वर के पास पहुंचाए: वह शरीर के भाव से तो घात किया गया, पर आत्मा के भाव से जिलाया गया।
Isliye ki Masih ne bhi, arthaat adharmiyon ke liye dharmi ne papon ke karan ek baar dukh uthaya, taki hamein Parmeshwar ke paas pahunchaye: vah shareer ke bhaav se to ghaat kiya gaya, par aatma ke bhaav se jilaya gaya.
उसी में उस ने जाकर कैदी आत्माओं को भी प्रचार किया।
Usi mein us ne jakar kaidi aatmaon ko bhi prachaar kiya.
जिन्होंने उस बीते समय में आज्ञा न मानी जब परमेश्वर नूह के दिनों में धीरज धर कर ठहरा रहा, और वह जहाज बन रहा था, जिस में बैठकर थोड़े लोग अर्थात आठ प्राणी पानी के द्वारा बच गए।
Jinhonne us beete samay mein aagya na mani jab Parmeshwar nooh ke dinon mein dheeraj dhar kar thahra raha, aur vah jahaaj ban raha tha, jis mein baithkar thode log arthaat aath prani pani ke dwara bach gaye.
और उसी पानी का दृष्टान्त भी, अर्थात बपतिस्मा, यीशु मसीह के जी उठने के द्वारा, अब तुम्हें बचाता है; (उस से शरीर के मैल को दूर करने का अर्थ नहीं है, परन्तु शुद्ध विवेक से परमेश्वर के वश में हो जाने का अर्थ है )।
Aur usi pani ka drishtaant bhi, arthaat baptisma, Yeshu Masih ke ji uthne ke dwara, ab tumhein bachata hai; (us se shareer ke mail ko door karne ka arth nahi hai, parantu shuddh vivek se Parmeshwar ke vash mein ho jane ka arth hai ).
वह स्वर्ग पर जाकर परमेश्वर के दाहिनी ओर बैठ गया; और स्वर्गदूत और अधिकारी और सामर्थी उसके आधीन किए गए हैं॥
Vah swarg par jakar Parmeshwar ke dahini or baith gaya; aur swargadoot aur adhikari aur samarthi uske aadheen kiye gaye hain.