1 Peter 2 · 25 verses

1 पतरस 2 1 Peter 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 Patras 2.

1

इसलिये सब प्रकार का बैर भाव और छल और कपट और डाह और बदनामी को दूर करके।

Isliye sab prakaar ka bair bhaav aur chhal aur kapat aur daah aur badnami ko door karke.

2

नये जन्मे हुए बच्चों की नाईं निर्मल आत्मिक दूध की लालसा करो, ताकि उसके द्वारा उद्धार पाने के लिये बढ़ते जाओ।

Naye janme hue bachchon ki nai nirmal aatmik doodh ki lalsa karo, taki uske dwara uddhaar pane ke liye badhte jao.

3

यदि तुम ने प्रभु की कृपा का स्वाद चख लिया है।

Yadi tum ne Prabhu ki kripa ka swaad chakh liya hai.

4

उसके पास आकर, जिसे मनुष्यों ने तो निकम्मा ठहराया, परन्तु परमेश्वर के निकट चुना हुआ, और बहुमूल्य जीवता पत्थर है।

Uske paas aakar, jise manushyon ne to nikamma thahraya, parantu Parmeshwar ke nikat chuna huaa, aur bahumoolya jeevta patthar hai.

5

तुम भी आप जीवते पत्थरों की नाईं आत्मिक घर बनते जाते हो, जिस से याजकों का पवित्र समाज बन कर, ऐसे आत्मिक बलिदान चढ़ाओ, जो यीशु मसीह के द्वारा परमेश्वर को ग्राह्य हों।

Tum bhi aap jeevte pattharon ki nai aatmik ghar bante jate ho, jis se yajkon ka pavitra samaaj ban kar, aise aatmik balidaan chadhao, jo Yeshu Masih ke dwara Parmeshwar ko grahya hon.

6

इस कारण पवित्र शास्त्र में भी आया है, कि देखो, मैं सिय्योन में कोने के सिरे का चुना हुआ और बहुमूल्य पत्थर धरता हूं: और जो कोई उस पर विश्वास करेगा, वह किसी रीति से लज्ज़ित नहीं होगा।

Is karan pavitra shastra mein bhi aaya hai, ki dekho, main siyyon mein kone ke sire ka chuna huaa aur bahumoolya patthar dharta hoon: aur jo koi us par vishwaas karega, vah kisi reeti se lajzit nahi hoga.

7

सो तुम्हारे लिये जो विश्वास करते हो, वह तो बहुमूल्य है, पर जो विश्वास नहीं करते उन के लिये जिस पत्थर को राजमिस्त्रीयों ने निकम्मा ठहराया था, वही कोने का सिरा हो गया।

So tumhare liye jo vishwaas karte ho, vah to bahumoolya hai, par jo vishwaas nahi karte un ke liye jis patthar ko rajmistreeyon ne nikamma thahraya tha, vahi kone ka sira ho gaya.

8

और ठेस लगने का पत्थर और ठोकर खाने की चट्टान हो गया है: क्योंकि वे तो वचन को न मान कर ठोकर खाते हैं और इसी के लिये वे ठहराए भी गए थे।

Aur thes lagne ka patthar aur thokar khane ki chattaan ho gaya hai: kyonki ve to vachan ko na maan kar thokar khate hain aur isi ke liye ve thahraye bhi gaye the.

9

पर तुम एक चुना हुआ वंश, और राज-पदधारी याजकों का समाज, और पवित्र लोग, और (परमेश्वर की ) निज प्रजा हो, इसलिये कि जिस ने तुम्हें अन्धकार में से अपनी अद्भुत ज्योति में बुलाया है, उसके गुण प्रगट करो।

Par tum ek chuna huaa vansh, aur raaj-paddhari yajkon ka samaaj, aur pavitra log, aur (Parmeshwar ki ) nij praja ho, isliye ki jis ne tumhein andhakaar mein se apni adbhut jyoti mein bulaya hai, uske gun pragat karo.

10

तुम पहिले तो कुछ भी नहीं थे, पर अब परमेश्वर ही प्रजा हो: तुम पर दया नहीं हुई थी पर अब तुम पर दया हुई है॥

Tum pahile to kuchh bhi nahi the, par ab Parmeshwar hi praja ho: tum par daya nahi hui thi par ab tum par daya hui hai.

11

हे प्रियों मैं तुम से बिनती करता हूं, कि तुम अपने आप को परदेशी और यात्री जान कर उस सांसारिक अभिलाषाओं से जो आत्मा से युद्ध करती हैं, बचे रहो।

He priyon main tum se binti karta hoon, ki tum apne aap ko pardeshi aur yatri jaan kar us sansarik abhilashaon se jo aatma se yuddh karti hain, bache raho.

12

अन्यजातियों में तुम्हारा चालचलन भला हो; इसलिये कि जिन जिन बातों में वे तुम्हें कुकर्मी जान कर बदनाम करते हैं, वे तुम्हारे भले कामों को देख कर; उन्हीं के कारण कृपा दृष्टि के दिन परमेश्वर की महिमा करें॥

Anyajatiyon mein tumhara chalachlan bhala ho; isliye ki jin jin baton mein ve tumhein kukarmi jaan kar badnaam karte hain, ve tumhare bhale kamon ko dekh kar; unhi ke karan kripa drishti ke din Parmeshwar ki mahima karein.

13

प्रभु के लिये मनुष्यों के ठहराए हुए हर एक प्रबन्ध के आधीन में रहो, राजा के इसलिये कि वह सब पर प्रधान है।

Prabhu ke liye manushyon ke thahraye hue har ek prabandh ke aadheen mein raho, raja ke isliye ki vah sab par pradhaan hai.

14

और हाकिमों के, क्योंकि वे कुकर्मियों को दण्ड देने और सुकर्मियों की प्रशंसा के लिये उसके भेजे हुए हैं।

Aur hakimon ke, kyonki ve kukarmiyon ko dand dene aur sukarmiyon ki prashansa ke liye uske bheje hue hain.

15

क्योंकि परमेश्वर की इच्छा यह है, कि तुम भले काम करने से निर्बुद्धि लोगों की अज्ञानता की बातों को बन्द कर दो।

Kyonki Parmeshwar ki ichchha yah hai, ki tum bhale kaam karne se nirbuddhi logon ki agyanta ki baton ko band kar do.

16

और अपने आप को स्वतंत्र जानो पर अपनी इस स्वतंत्रता को बुराई के लिये आड़ न बनाओ, परन्तु अपने आप को परमेश्वर के दास समझ कर चलो।

Aur apne aap ko swatantra jano par apni is swatantrata ko burai ke liye aad na banao, parantu apne aap ko Parmeshwar ke daas samajh kar chalo.

17

सब का आदर करो, भाइयों से प्रेम रखो, परमेश्वर से डरो, राजा का सम्मान करो॥

Sab ka aadar karo, bhaiyon se prem rakho, Parmeshwar se daro, raja ka sammaan karo.

18

हे सेवकों, हर प्रकार के भय के साथ अपने स्वामियों के आधीन रहो, न केवल भलों और नम्रों के, पर कुटिलों के भी।

He sevkon, har prakaar ke bhay ke saath apne swamiyon ke aadheen raho, na keval bhalon aur namron ke, par kutilon ke bhi.

19

क्योंकि यदि कोई परमेश्वर का विचार करके अन्याय से दुख उठाता हुआ क्लेश सहता है, तो यह सुहावना है।

Kyonki yadi koi Parmeshwar ka vichaar karke anyaay se dukh uthata huaa klesh sahta hai, to yah suhavna hai.

20

क्योंकि यदि तुम ने अपराध करके घूंसे खाए और धीरज धरा, तो उस में क्या बड़ाई की बात है? पर यदि भला काम करके दुख उठाते हो और धीरज धरते हो, तो यह परमेश्वर को भाता है।

Kyonki yadi tum ne apraadh karke ghoonse khaye aur dheeraj dhara, to us mein kya badai ki baat hai? Par yadi bhala kaam karke dukh uthate ho aur dheeraj dharte ho, to yah Parmeshwar ko bhata hai.

21

और तुम इसी के लिये बुलाए भी गए हो क्योंकि मसीह भी तुम्हारे लिये दुख उठा कर, तुम्हें एक आदर्श दे गया है, कि तुम भी उसके चिन्ह पर चलो।

Aur tum isi ke liye bulaye bhi gaye ho kyonki Masih bhi tumhare liye dukh utha kar, tumhein ek aadarsh de gaya hai, ki tum bhi uske chinh par chalo.

22

न तो उस ने पाप किया, और न उसके मुंह से छल की कोई बात निकली।

Na to us ne paap kiya, aur na uske munh se chhal ki koi baat nikli.

23

वह गाली सुन कर गाली नहीं देता था, और दुख उठा कर किसी को भी धमकी नहीं देता था, पर अपने आप को सच्चे न्यायी के हाथ में सौपता था।

Vah gali sun kar gali nahi deta tha, aur dukh utha kar kisi ko bhi dhamki nahi deta tha, par apne aap ko sachche nyayi ke haath mein saupta tha.

24

वह आप ही हमारे पापों को अपनी देह पर लिए हुए क्रूस पर चढ़ गया जिस से हम पापों के लिये मर कर के धार्मिकता के लिये जीवन बिताएं: उसी के मार खाने से तुम चंगे हुए।

Vah aap hi hamare papon ko apni deh par liye hue kroos par chadh gaya jis se ham papon ke liye mar kar ke dharmikta ke liye jeevan bitayen: usi ke maar khane se tum change hue.

25

क्योंकि तुम पहिले भटकी हुई भेड़ों की नाईं थे, पर अब अपने प्राणों के रखवाले और अध्यक्ष के पास फिर आ गए हो।

Kyonki tum pahile bhatki hui bhedon ki nai the, par ab apne pranon ke rakhvale aur adhyaksh ke paas phir aa gaye ho.