1 Kings 8 · 66 verses

1 राजाओं 8 1 Kings 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 rajaon 8.

1

तब सुलैमान ने इस्राएली पुरनियों को और गोत्रों के सब मुख्य पुरुष जो इस्राएलियों के पूर्वजों के घरानों के प्रधान थे,उन को भी यरूशलेम में अपने पास इस मनसा से इकट्ठा किया, कि वे यहोवा की वाचा का सन्दूक दाऊदपुर अर्थात सियोन से ऊपर ले आएं।

Tab sulaimaan ne Israeli purniyon ko aur gotron ke sab mukhya purush jo Israeliyon ke poorvajon ke gharanon ke pradhaan the,un ko bhi Yerushalem mein apne paas is mansa se ikattha kiya, ki ve Yahowa ki vacha ka sandook daoodpur arthaat siyon se oopar le aayen.

2

सो सब इस्राएली पुरुष एतानीम नाम सातवें महीने के पर्व के समय राजा सुलैमान के पास इकट्ठे हुए।

So sab Israeli purush etaneem naam satvein maheene ke parva ke samay raja sulaimaan ke paas ikatthe hue.

3

जब सब इस्राएली पुरनिये आए, तब याजकों ने सन्दूक को उठा लिया।

Jab sab Israeli purniye aaye, tab yajkon ne sandook ko utha liya.

4

और यहोवा का सन्दूक, और मिलाप का तम्बू, और जितने पवित्र पात्र उस तम्बू में थे, उन सभों को याजक और लेवीय लोग ऊपर ले गए।

Aur Yahowa ka sandook, aur milaap ka tambu, aur jitne pavitra patra us tambu mein the, un sabhon ko yajak aur leveeya log oopar le gaye.

5

और राजा सुलैमान और समस्त इस्राएली मंडली, जो उसके पास इकट्ठी हुई थी, वे सब सन्दूक के साम्हने इतनी भेड़ और बैल बलि कर रहे थे, जिनकी गिनती किसी रीति से नहीं हो सकती थी।

Aur raja sulaimaan aur samast Israeli mandli, jo uske paas ikatthi hui thi, ve sab sandook ke samhane itni bhed aur bail bali kar rahe the, jinki ginti kisi reeti se nahi ho sakti thi.

6

तब याजकों ने यहोवा की वाचा का सन्दूक उसके स्थान को अर्थात भवन के दर्शन-स्थान में, जो परमपवित्र स्थान है, पहुंचाकर करूबों के पंखों के तले रख दिया।

Tab yajkon ne Yahowa ki vacha ka sandook uske sthaan ko arthaat bhavan ke darshan-sthaan mein, jo parmapvitra sthaan hai, pahunchakar karoobon ke pankhon ke tale rakh diya.

7

करूब तो सन्दूक के स्थान के ऊपर पंख ऐसे फैलाए हुए थे, कि वे ऊपर से सन्दूक और उसके डंडों को ढांके थे।

Karoob to sandook ke sthaan ke oopar pankh aise phailaye hue the, ki ve oopar se sandook aur uske dandon ko dhanke the.

8

डंडे तो ऐसे लम्बे थे, कि उनके सिरे उस पवित्र स्थान से जो दर्शन-स्थान के साम्हने था दिखाई पड़ते थे परन्तु बाहर से वे दिखाई नहीं पड़ते थे। वे आज के दिन तक यहीं वर्तमान हैं।

Dande to aise lambe the, ki unke sire us pavitra sthaan se jo darshan-sthaan ke samhane tha dikhai padte the parantu bahar se ve dikhai nahi padte the. Ve aaj ke din tak yahi vartamaan hain.

9

सन्दूक में कुछ नहीं था, उन दो पटरियों को छोड़ जो मूसा ने होरेब में उसके भीतर उस समय रखीं, जब यहोवा ने इस्राएलियों के मिस्र से निकलने पर उनके साथ वाचा बान्धी थी।

Sandook mein kuchh nahi tha, un do patriyon ko chhod jo Musa ne horeb mein uske bheetar us samay rakhi, jab Yahowa ne Israeliyon ke Misr se nikalne par unke saath vacha bandhi thi.

10

जब याजक पवित्रस्थान से निकले, तब यहोवा के भवन में बादल भर आया।

Jab yajak pavitrasthaan se nikle, tab Yahowa ke bhavan mein badal bhar aaya.

11

और बादल के कारण याजक सेवा टहल करने को खड़े न रह सके, क्योंकि यहोवा का तेज यहोवा के भवन में भर गया था।

Aur badal ke karan yajak seva tahal karne ko khade na rah sake, kyonki Yahowa ka tej Yahowa ke bhavan mein bhar gaya tha.

12

तब सुलैमान कहने लगा, यहोवा ने कहा था, कि मैं घोर अंधकार में वास किए रहूंगा।

Tab sulaimaan kahne laga, Yahowa ne kaha tha, ki main ghor andhkaar mein vaas kiye rahoonga.

13

सचमुच मैं ने तेरे लिये एक वासस्थान, वरन ऐसा दृढ़ स्थान बनाया है, जिस में तू युगानुयुग बना रहे।

Sachmuch main ne tere liye ek vasasthaan, varan aisa dridh sthaan banaya hai, jis mein tu yuganuyug bana rahe.

14

और राजा ने इस्राएल की पूरी सभा की ओर मुंह फेरकर उसको आशीर्वाद दिया; और पूरी सभा खड़ी रही।

Aur raja ne Israel ki poori sabha ki or munh pherkar usko aasheervaad diya; aur poori sabha khadi rahi.

15

और उसने कहा, धन्य है इस्राएल का परमेश्वर यहोवा! जिसने अपने मुंह से मेरे पिता दाऊद को यह वचन दिया था, और अपने हाथ से उसे पूरा किया है,

Aur usne kaha, dhanya hai Israel ka Parmeshwar Yahowa! Jisne apne munh se mere pita Daud ko yah vachan diya tha, aur apne haath se use poora kiya hai,

16

कि जिस दिन से मैं अपनी प्रजा इस्राएल को मिस्र से निकाल लाया, तब से मैं ने किसी इस्राएली गोत्र का कोई नगर नहीं चुना, जिस में मेरे नाम के निवास के लिये भवन बनाया जाए; परन्तु मैं ने दाऊद को चुन लिया, कि वह मेरी प्रजा इस्राएल का अधिकारी हो।

Ki jis din se main apni praja Israel ko Misr se nikaal laya, tab se main ne kisi Israeli gotra ka koi nagar nahi chuna, jis mein mere naam ke nivaas ke liye bhavan banaya jaye; parantu main ne Daud ko chun liya, ki vah meri praja Israel ka adhikari ho.

17

मेरे पिता दाऊद की यह मनसा तो थी कि इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के नाम का एक भवन बनाए।

Mere pita Daud ki yah mansa to thi ki Israel ke Parmeshwar Yahowa ke naam ka ek bhavan banaye.

18

परन्तु यहोवा ने मेरे पिता दाऊद से कहा, यह जो तेरी मनसा है, कि यहोवा के नाम का एक भवन बनाए, ऐसी मनसा करके तू ने भला तो किया;

Parantu Yahowa ne mere pita Daud se kaha, yah jo teri mansa hai, ki Yahowa ke naam ka ek bhavan banaye, aisi mansa karke tu ne bhala to kiya;

19

तौभी तू उस भवन को न बनाएगा; तेरा जो निज पुत्र होगा, वही मेरे नाम का भवन बनाएगा।

Taubhi tu us bhavan ko na banayega; tera jo nij putra hoga, vahi mere naam ka bhavan banayega.

20

यह जो वचन यहोवा ने कहा था, उसे उसने पूरा भी किया है, और मैं अपने पिता दाऊद के स्थान पर उठ कर, यहोवा के वचन के अनुसार इस्राएल की गद्दी पर विराजमान हूँ, और इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के नाम से इस भवन को बनाया है।

Yah jo vachan Yahowa ne kaha tha, use usne poora bhi kiya hai, aur main apne pita Daud ke sthaan par uth kar, Yahowa ke vachan ke anusaar Israel ki gaddi par virajmaan hoon, aur Israel ke Parmeshwar Yahowa ke naam se is bhavan ko banaya hai.

21

और इस में मैं ने एक स्थान उस सन्दूक के लिये ठहराया है, जिस में यहोवा की वह वाचा है, जो उसने हमारे पुरखाओं को मिस्र देश से निकालने के समय उन से बान्धी थी।

Aur is mein main ne ek sthaan us sandook ke liye thahraya hai, jis mein Yahowa ki vah vacha hai, jo usne hamare purkhaon ko Misr desh se nikalne ke samay un se bandhi thi.

22

तब सुलैमान इस्राएल की पूरी सभा के देखते यहोवा की वेदी के साम्हने खड़ा हुआ, और अपने हाथ स्वर्ग की ओर फैलाकर कहा, हे यहोवा!

Tab sulaimaan Israel ki poori sabha ke dekhte Yahowa ki vedi ke samhane khada huaa, aur apne haath swarg ki or phailakar kaha, he Yahowa!

23

हे इस्राएल के परमेश्वर! तेरे समान न तो ऊपर स्वर्ग में, और न नीचे पृथ्वी पर कोई ईश्वर है: तेरे जो दास अपने सम्पूर्ण मन से अपने को तेरे सम्मुख जानकर चलते हैं, उनके लिये तू अपनी वाचा पूरी करता, और करुणा करता रहता है।

He Israel ke Parmeshwar! Tere samaan na to oopar swarg mein, aur na neeche prithvi par koi ishwar hai: tere jo daas apne sampoorn man se apne ko tere sammukh jankar chalte hain, unke liye tu apni vacha poori karta, aur karuna karta rahta hai.

24

जो वचन तू ने मेरे पिता दाऊद को दिया था, उसका तू ने पालन किया है, जैसा तू ने अपने मुंह से कहा था, वैसा ही अपने हाथ से उसको पूरा किया है, जैसा आज है।

Jo vachan tu ne mere pita Daud ko diya tha, uska tu ne palan kiya hai, jaisa tu ne apne munh se kaha tha, vaisa hi apne haath se usko poora kiya hai, jaisa aaj hai.

25

इसलिये अब हे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा! इस वचन को भी पूरा कर, जो तू ने अपने दास मेरे पिता दाऊद को दिया था, कि तेरे कुल में, मेरे साम्हने इस्राएल की गद्दी पर विराजने वाले सदैव बने रहेंगे: इतना हो कि जैसे तू स्वयं मुझे सम्मुख जानकर चलता रहा, वैसे ही तेरे वंश के लोग अपनी चालचलन में ऐसी ही चौकसी करें।

Isliye ab he Israel ke Parmeshwar Yahowa! Is vachan ko bhi poora kar, jo tu ne apne daas mere pita Daud ko diya tha, ki tere kul mein, mere samhane Israel ki gaddi par virajne vale sadaiv bane rahenge: itna ho ki jaise tu swayan mujhe sammukh jankar chalta raha, vaise hi tere vansh ke log apni chalachlan mein aisi hi chauksi karein.

26

इसलिये अब हे इस्राएल के परमेश्वर अपना जो वचन तू ने अपने दास मेरे पिता दाऊद को दिया था उसे सच्चा सिद्ध कर।

Isliye ab he Israel ke Parmeshwar apna jo vachan tu ne apne daas mere pita Daud ko diya tha use sachcha siddh kar.

27

क्या परमेश्वर सचमुच पृथ्वी पर वास करेगा, स्वर्ग में वरन सब से ऊंचे स्वर्ग में भी तू नहीं समाता, फिर मेरे बनाए हुए इस भवन में क्योंकर समाएगा।

Kya Parmeshwar sachmuch prithvi par vaas karega, swarg mein varan sab se oonche swarg mein bhi tu nahi samata, phir mere banaye hue is bhavan mein kyonkar samayega.

28

तौभी हे मेरे परमेश्वर यहोवा! अपने दास की प्रार्थना और गिड़गिड़ाहट की ओर कान लगाकर, मेरी चिल्लाहट और यह प्रार्थना सुन! जो मैं आज तेरे साम्हने कर रहा हूँ;

Taubhi he mere Parmeshwar Yahowa! Apne daas ki prarthana aur gidgidahat ki or kaan lagakar, meri chillahat aur yah prarthana sun! Jo main aaj tere samhane kar raha hoon;

29

कि तेरी आंख इस भवन की ओर अर्थात इसी स्थान की ओर जिसके विषय तू ने कहा है, कि मेरा नाम वहां रहेगा, रात दिन खुली रहें: और जो प्रार्थना तेरा दास इस स्थान की ओर करे, उसे तू सुन ले।

Ki teri aankh is bhavan ki or arthaat isi sthaan ki or jiske vishay tu ne kaha hai, ki mera naam vahan rahega, raat din khuli rahein: aur jo prarthana tera daas is sthaan ki or kare, use tu sun le.

30

और तू अपने दास, और अपनी प्रजा इस्राएल की प्रार्थना जिस को वे इस स्थान की ओर गिड़गिड़ा के करें उसे सुनना, वरन स्वर्ग में से जो तेरा निवासस्थान है सुन लेना, और सुनकर क्षमा करना।

Aur tu apne daas, aur apni praja Israel ki prarthana jis ko ve is sthaan ki or gidgida ke karein use sunna, varan swarg mein se jo tera nivasasthaan hai sun lena, aur sunkar kshama karna.

31

जब कोई किसी दूसरे का अपराध करे, और उसको शपथ खिलाई जाए, और वह आकर इस भवन में तेरी वेदी के साम्हने शपथ खाए,

Jab koi kisi doosre ka apraadh kare, aur usko shapath khilai jaye, aur vah aakar is bhavan mein teri vedi ke samhane shapath khaye,

32

तब तू स्वर्ग में सुन कर, अर्थात अपने दासों का न्याय करके दुष्ट को दुष्ट ठहरा और उसकी चाल उसी के सिर लौटा दे, और निर्दोष को निर्दोष ठहराकर, उसके धर्म के अनुसार उसको फल देना।

Tab tu swarg mein sun kar, arthaat apne dason ka nyaay karke dusht ko dusht thahra aur uski chaal usi ke sir lauta de, aur nirdosh ko nirdosh thahrakar, uske dharm ke anusaar usko phal dena.

33

फिर जब तेरी प्रजा इस्राएल तेरे विरुद्ध पाप करने के कारण अपने शत्रुओं से हार जाए, और तेरी ओर फिर कर तेरा नाम ले और इस भवन में तुझ से गिड़गिड़ाहट के साथ प्रार्थना करे,

Phir jab teri praja Israel tere viruddh paap karne ke karan apne shatruon se haar jaye, aur teri or phir kar tera naam le aur is bhavan mein tujh se gidgidahat ke saath prarthana kare,

34

तब तू स्वर्ग में से सुनकर अपनी प्रजा इस्राएल का पाप क्षमा करना: और उन्हें इस देश में लौटा ले आना, जो तू ने उनके पुरखाओं को दिया था।

Tab tu swarg mein se sunkar apni praja Israel ka paap kshama karna: aur unhein is desh mein lauta le aana, jo tu ne unke purkhaon ko diya tha.

35

जब वे तेरे विरुद्ध पाप करें, और इस कारण आकाश बन्द हो जाए, कि वर्षा न होए, ऐसे समय यदि वे इस स्थान की ओर प्रार्थना करके तेरे नाम को मानें जब तू उन्हें दु:ख देता है, और अपने पाप से फिरें, तो तू स्वर्ग में से सुनकर क्षमा करना,

Jab ve tere viruddh paap karein, aur is karan aakaash band ho jaye, ki varsha na hoye, aise samay yadi ve is sthaan ki or prarthana karke tere naam ko manein jab tu unhein dukh deta hai, aur apne paap se phirein, to tu swarg mein se sunkar kshama karna,

36

और अपने दासों, अपनी प्रजा इस्राएल के पाप को क्षमा करना; तू जो उन को वह भला मार्ग दिखाता है, जिस पर उन्हें चलना चाहिये, इसलिये अपने इस देश पर, जो तू ने अपनी प्रजा का भाग कर दिया है, पानी बरसा देना।

Aur apne dason, apni praja Israel ke paap ko kshama karna; tu jo un ko vah bhala maarg dikhata hai, jis par unhein chalna chahiye, isliye apne is desh par, jo tu ne apni praja ka bhaag kar diya hai, pani barsa dena.

37

जब इस देश में काल वा मरी वा झुलस हो वा गेरुई वा टिड्डियां वा कीड़े लगें वा उनके शत्रु उनके देश के फाटकों में उन्हें घेर रखें, अथवा कोई विपत्ति वा रोग क्यों न हों,

Jab is desh mein kaal va mari va jhulas ho va gerui va tiddiyan va keede lagein va unke shatru unke desh ke phatkon mein unhein gher rakhein, athva koi vipatti va rog kyon na hon,

38

तब यदि कोई मनुष्य वा तेरी प्रजा इस्राएल अपने अपने मन का दु:ख जान लें, और गिड़गिड़ाहट के साथ प्रार्थना करके अपने हाथ इस भवन की ओर फैलाएं;

Tab yadi koi manushya va teri praja Israel apne apne man ka dukh jaan lein, aur gidgidahat ke saath prarthana karke apne haath is bhavan ki or phailayen;

39

तो तू अपने स्वर्गीय निवासस्थान में से सुनकर क्षमा करना, और ऐसा करना, कि एक एक के मन को जानकर उसकी समस्त चाल के अनुसार उसको फल देना: तू ही तो सब आदमियों के मन के भेदों का जानने वाला है।

To tu apne swargeeya nivasasthaan mein se sunkar kshama karna, aur aisa karna, ki ek ek ke man ko jankar uski samast chaal ke anusaar usko phal dena: tu hi to sab aadmiyon ke man ke bhedon ka janne vala hai.

40

तब वे जितने दिन इस देश में रहें, जो तू ने उनके पुरखाओं को दिया था, उतने दिन तक तेरा भय मानते रहें।

Tab ve jitne din is desh mein rahein, jo tu ne unke purkhaon ko diya tha, utne din tak tera bhay mante rahein.

41

फिर परदेशी भी जो तेरी प्रजा इस्राएल का न हो, जब वह तेरा नाम सुनकर, दूर देश से आए,

Phir pardeshi bhi jo teri praja Israel ka na ho, jab vah tera naam sunkar, door desh se aaye,

42

वह तो तेरे बड़े नाम और बलवन्त हाथ और बढ़ाई हुई भुजा का समाचार पाए; इसलिये जब ऐसा कोई आकर इस भवन की ओर प्रार्थना करें,

Vah to tere bade naam aur balvant haath aur badhai hui bhuja ka samachaar paye; isliye jab aisa koi aakar is bhavan ki or prarthana karein,

43

तब तू अपने स्वर्गीय निवासस्थान में से सुन, और जिस बात के लिये ऐसा परदेशी तुझे पुकारे, उसी के अनुसार व्यवहार करना जिस से पृथ्वी के सब देशों के लोग तेरा नाम जानकर तेरी प्रजा इस्राएल की नाईं तेरा भय मानें, और निश्चय जानें, कि यह भवन जिसे मैं ने बनाया है, वह तेरा ही कहलाता है।

Tab tu apne swargeeya nivasasthaan mein se sun, aur jis baat ke liye aisa pardeshi tujhe pukare, usi ke anusaar vyavhaar karna jis se prithvi ke sab deshon ke log tera naam jankar teri praja Israel ki nai tera bhay manein, aur nishchay janein, ki yah bhavan jise main ne banaya hai, vah tera hi kahlata hai.

44

जब तेरी प्रजा के लोग जहां कहीं तू उन्हें भेजे, वहां अपने शत्रुओं से लड़ाई करने को निकल जाएं, और इस नगर की ओर जिसे तू ने चुना है, और इस भवन की ओर जिसे मैं ने तेरे नाम पर बनाया है, यहोवा से प्रार्थना करें,

Jab teri praja ke log jahan kahi tu unhein bheje, vahan apne shatruon se ladai karne ko nikal jayen, aur is nagar ki or jise tu ne chuna hai, aur is bhavan ki or jise main ne tere naam par banaya hai, Yahowa se prarthana karein,

45

तब तू स्वर्ग में से उनकी प्रार्थना और गिड़गिड़ाहट सुनकर उनका न्याय कर।

Tab tu swarg mein se unki prarthana aur gidgidahat sunkar unka nyaay kar.

46

निष्पाप तो कोई मनुष्य नहीं है: यदि ये भी तेरे विरुद्ध पाप करें, और तू उन पर कोप करके उन्हें शत्रुओं के हाथ कर दे, और वे उन को बन्धुआ करके अपने देश को चाहे वह दूर हो, चाहे निकट ले जाएं,

Nishpaap to koi manushya nahi hai: yadi ye bhi tere viruddh paap karein, aur tu un par kop karke unhein shatruon ke haath kar de, aur ve un ko bandhuaa karke apne desh ko chahe vah door ho, chahe nikat le jayen,

47

तो यदि वे बन्धुआई के देश में सोच विचार करें, और फिर कर अपने बन्धुआ करने वालों के देश में तुझ से गिड़गिड़ाकर कहें कि हम ने पाप किया, और कुटिलता ओर दुष्टता की है;

To yadi ve bandhuaai ke desh mein soch vichaar karein, aur phir kar apne bandhuaa karne valon ke desh mein tujh se gidgidakar kahein ki ham ne paap kiya, aur kutilta or dushtata ki hai;

48

और यदि वे अपने उन शत्रुओं के देश में जो उन्हें बन्धुआ करके ले गए हों, अपने सम्पूर्ण मन और सम्पूर्ण प्राण से तेरी ओर फिरें और अपने इस देश की ओर जो तू ने उनके पुरखाओं को दिया था, और इस नगर की ओर जिसे तू ने चुना है, और इस भवन की ओर जिसे मैं ने तेरे नाम का बनाया है, तुझ से प्रार्थना करें,

Aur yadi ve apne un shatruon ke desh mein jo unhein bandhuaa karke le gaye hon, apne sampoorn man aur sampoorn praan se teri or phirein aur apne is desh ki or jo tu ne unke purkhaon ko diya tha, aur is nagar ki or jise tu ne chuna hai, aur is bhavan ki or jise main ne tere naam ka banaya hai, tujh se prarthana karein,

49

तो तू अपने स्वर्गीय निवासस्थान में से उनकी प्रार्थना और गिड़गिड़ाहट सुनना; और उनका न्याय करना,

To tu apne swargeeya nivasasthaan mein se unki prarthana aur gidgidahat sunna; aur unka nyaay karna,

50

और जो पाप तेरी प्रजा के लोग तेरे विरुद्ध करेंगे, और जितने अपराध वे तेरे विरुद्ध करेंगे, सब को क्षमा करके, उनके बन्धुआ करने वालों के मन में ऐसी दया उपजाना कि वे उन पर दया करें।

Aur jo paap teri praja ke log tere viruddh karenge, aur jitne apraadh ve tere viruddh karenge, sab ko kshama karke, unke bandhuaa karne valon ke man mein aisi daya upjana ki ve un par daya karein.

51

क्योंकि वे तो तेरी प्रजा और तेरा निज भाग हैं जिन्हें तू लोहे के भट्ठे के मध्य में से अर्थात मिस्र से निकाल लाया है।

Kyonki ve to teri praja aur tera nij bhaag hain jinhein tu lohe ke bhatthe ke madhya mein se arthaat Misr se nikaal laya hai.

52

इसलिये तेरी आंखें तेरे दास की गिड़गिड़ाहट और तेरी प्रजा इस्राएल की गिड़गिड़ाहट की ओर ऐसी खुली रहें, कि जब जब वे तुझे पुकारें, तब तब तू उनकी सुन ले;

Isliye teri aankhein tere daas ki gidgidahat aur teri praja Israel ki gidgidahat ki or aisi khuli rahein, ki jab jab ve tujhe pukarein, tab tab tu unki sun le;

53

क्योंकि हे प्रभु यहोवा अपने उस वचन के अनुसार, जो तू ने हमारे पुरखाओं को मिस्र से निकालने के समय अपने दास मूसा के द्वारा दिया था, तू ने इन लोगों को अपना निज भाग होने के लिये पृथ्वी की सब जातियों से अलग किया है।

Kyonki he Prabhu Yahowa apne us vachan ke anusaar, jo tu ne hamare purkhaon ko Misr se nikalne ke samay apne daas Musa ke dwara diya tha, tu ne in logon ko apna nij bhaag hone ke liye prithvi ki sab jatiyon se alag kiya hai.

54

जब सुलैमान यहोवा से यह सब प्रार्थना गिड़गिड़ाहट के साथ कर चुका, तब वह जो घुटने टेके और आकाश की ओर हाथ फैलाए हुए था, सो यहोवा की वेदी के साम्हने से उठा,

Jab sulaimaan Yahowa se yah sab prarthana gidgidahat ke saath kar chuka, tab vah jo ghutne teke aur aakaash ki or haath phailaye hue tha, so Yahowa ki vedi ke samhane se utha,

55

और खड़ा हो, समस्त इस्राएली सभा को ऊंचे स्वर से यह कहकर आशीर्वाद दिया, कि धन्य है यहोवा,

Aur khada ho, samast Israeli sabha ko oonche swar se yah kahkar aasheervaad diya, ki dhanya hai Yahowa,

56

जिसने ठीक अपने कथन के अनुसार अपनी प्रजा इस्राएल को विश्राम दिया है, जितनी भलाई की बातें उसने अपने दास मूसा के द्वारा कही थीं,उन में से एक भी बिना पूरी हुए नहीं रही।

Jisne theek apne kathan ke anusaar apni praja Israel ko vishraam diya hai, jitni bhalai ki batein usne apne daas Musa ke dwara kahi thi,un mein se ek bhi bina poori hue nahi rahi.

57

हमारा परमेश्वर यहोवा जैसे हमारे पुरखाओं के संग रहता था, वैसे ही हमारे संग भी रहे, वह हम को त्याग न दे और न हम को छोड़ दे।

Hamara Parmeshwar Yahowa jaise hamare purkhaon ke sang rahta tha, vaise hi hamare sang bhi rahe, vah ham ko tyaag na de aur na ham ko chhod de.

58

वह हमारे मन अपनी ओर ऐसा फिराए रखे, कि हम उसके सब मार्गों पर चला करें, और उसकी आज्ञाएं और विधियां और नियम जिन्हें उसने हमारे पुरखाओं को दिया था, नित माना करें।

Vah hamare man apni or aisa phiraye rakhe, ki ham uske sab margon par chala karein, aur uski aagyayen aur vidhiyan aur niyam jinhein usne hamare purkhaon ko diya tha, nit mana karein.

59

और मेरी ये बातें जिनकी मैं ने यहोवा के साम्हने बिनती की है, वह दिन और रात हमारे परमेश्वर यहोवा के मन में बनी रहें, और जैसा दिन दिन प्रयोजन हो वैसा ही वह अपने दास का और अपनी प्रजा इस्राएल का भी न्याय किया करे,

Aur meri ye batein jinki main ne Yahowa ke samhane binti ki hai, vah din aur raat hamare Parmeshwar Yahowa ke man mein bani rahein, aur jaisa din din prayojan ho vaisa hi vah apne daas ka aur apni praja Israel ka bhi nyaay kiya kare,

60

और इस से पृथ्वी की सब जातियां यह जान लें, कि यहोवा ही परमेश्वर है; और कोई दूसरा नहीं।

Aur is se prithvi ki sab jatiyan yah jaan lein, ki Yahowa hi Parmeshwar hai; aur koi doosra nahi.

61

तो तुम्हारा मन हमारे परमेश्वर यहोवा की ओर ऐसी पूरी रीति से लगा रहे, कि आज की नाईं उसकी विधियों पर चलते और उसकी आज्ञाएं मानते रहो।

To tumhara man hamare Parmeshwar Yahowa ki or aisi poori reeti se laga rahe, ki aaj ki nai uski vidhiyon par chalte aur uski aagyayen mante raho.

62

तब राजा समस्त इस्राएल समेत यहोवा के सम्मुख मेलबलि चढ़ाने लगा।

Tab raja samast Israel samet Yahowa ke sammukh melabli chadhane laga.

63

और जो पशु सुलैमान ने मेलबलि में यहोवा को चढ़ाए, सो बाईस हजार बैल और एक लाख बीस हजार भेड़ें थीं। इस रीति राजा ने सब इस्राएलियों समेत यहोवा के भवन की प्रतिष्ठा की।

Aur jo pashu sulaimaan ne melabli mein Yahowa ko chadhaye, so bais hajaar bail aur ek laakh bees hajaar bhedein thi. Is reeti raja ne sab Israeliyon samet Yahowa ke bhavan ki pratishtha ki.

64

उस दिन राजा ने यहोवा के भवन के साम्हने वाले आंगन के मध्य भी एक स्थान पवित्र किया और होमबलि, और अन्नबलि और मेलबलियों की चरबी वहीं चढ़ाई; क्योंकि जो पीतल की वेदी यहोवा के साम्हने थी, वह उनके लिये छोटी थी।

Us din raja ne Yahowa ke bhavan ke samhane vale aangan ke madhya bhi ek sthaan pavitra kiya aur homabli, aur annabli aur melabliyon ki charbi vahi chadhai; kyonki jo peetal ki vedi Yahowa ke samhane thi, vah unke liye chhoti thi.

65

और सुलैमान ने और उसके संग समस्त इस्राएल की एक बड़ी सभा ने जो हमात की घाटी से ले कर मिस्र के नाले तक के सब देशों से इकट्ठी हुई थी, दो सप्ताह तक अर्थात चौदह दिन तक हमारे परमेश्वर यहोवा के साम्हने पर्व को माना। फिर आठवें दिन उसने प्रजा के लोगों को विदा किया।

Aur sulaimaan ne aur uske sang samast Israel ki ek badi sabha ne jo hamaat ki ghati se le kar Misr ke nale tak ke sab deshon se ikatthi hui thi, do saptaah tak arthaat chaudah din tak hamare Parmeshwar Yahowa ke samhane parva ko mana. Phir aathvein din usne praja ke logon ko vida kiya.

66

और वे राजा को धन्य, धन्य, कहकर उस सब भलाई के कारण जो यहोवा ने अपने दास दाऊद और अपनी प्रजा इस्राएल से की थी, आनन्दित और मगन हो कर अपने अपने डेरे को चले गए।

Aur ve raja ko dhanya, dhanya, kahkar us sab bhalai ke karan jo Yahowa ne apne daas Daud aur apni praja Israel se ki thi, aanandit aur magan ho kar apne apne dere ko chale gaye.