1 Kings 6 · 38 verses

1 राजाओं 6 1 Kings 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 rajaon 6.

1

इस्राएलियों के मिस्र देश से निकलने के चार सौ अस्सीवें वर्ष के बाद जो सुलैमान के इस्राएल पर राज्य करने का चौथा वर्ष था, उसके जीव नाम दूसरे महीने में वह यहोवा का भवन बनाने लगा।

Israeliyon ke Misr desh se nikalne ke chaar sau asseevein varsh ke baad jo sulaimaan ke Israel par rajya karne ka chautha varsh tha, uske jeev naam doosre maheene mein vah Yahowa ka bhavan banane laga.

2

और जो भवन राजा सुलैमान ने यहोवा के लिये बनाया उसकी लम्बाई साठ हाथ, चौड़ाई बीस हाथ और ऊंचाई तीस हाथ की थी।

Aur jo bhavan raja sulaimaan ne Yahowa ke liye banaya uski lambai saath haath, chaudai bees haath aur oonchai tees haath ki thi.

3

और भवन के मन्दिर के साम्हने के ओसारे की लम्बाई बीस हाथ की थी, अर्थात भवन की चौड़ाई के बराबर थी, और ओसारे की चौड़ाई जो भवन के साम्हने थी, वह दस हाथ की थी।

Aur bhavan ke mandir ke samhane ke osare ki lambai bees haath ki thi, arthaat bhavan ki chaudai ke barabar thi, aur osare ki chaudai jo bhavan ke samhane thi, vah das haath ki thi.

4

फिर उसने भवन में स्थिर झिलमिलीदार खिड़कियां बनाईं।

Phir usne bhavan mein sthir jhilmileedaar khidkiyan banai.

5

और उसने भवन के आसपास की भीतों से सटे हुए अर्थात मन्दिर और दर्शन-स्थान दोनों भीतों के आसपास उसने मंजिलें और कोठरियां बनाईं।

Aur usne bhavan ke aaspaas ki bheeton se sate hue arthaat mandir aur darshan-sthaan donon bheeton ke aaspaas usne manjilein aur kothriyan banai.

6

सब से नीचे वाली मंजिल की चौड़ाई पांच हाथ, और बीच वाली की छ: हाथ, और ऊपर वाली की सात हाथ की थी, क्योंकि उसने भवन के आसपास भीत को बाहर की ओर कुसींदार बनाया था इसलिये कि कड़ियां भवन की भीतों को पकड़े हुए न हों।

Sab se neeche vali manjil ki chaudai paanch haath, aur beech vali ki chha: haath, aur oopar vali ki saat haath ki thi, kyonki usne bhavan ke aaspaas bheet ko bahar ki or kuseendaar banaya tha isliye ki kadiyan bhavan ki bheeton ko pakde hue na hon.

7

और बनते समय भवन ऐसे पत्थरों का बनाया गया, जो वहां ले आने से पहिले गढ़कर ठीक किए गए थे, और भवन के बनते समय हथौड़े वसूली वा और किसी प्रकार के लोहे के औजार का शब्द कभी सुनाईं नहीं पड़ा।

Aur bante samay bhavan aise pattharon ka banaya gaya, jo vahan le aane se pahile gadhkar theek kiye gaye the, aur bhavan ke bante samay hathaude vasooli va aur kisi prakaar ke lohe ke aujaar ka shabd kabhi sunai nahi pada.

8

बाहर की बीचवाली कोठरियों का द्वार भवन की दाहिनी अलंग में था, और लोग चक्करदार सीढ़ियों पर हो कर बीचवाली कोठरियों में जाते, और उन से ऊपर वाली कोठरियों पर जाया करते थे।

Bahar ki beechvali kothriyon ka dwaar bhavan ki dahini alang mein tha, aur log chakkardaar seedhiyon par ho kar beechvali kothriyon mein jate, aur un se oopar vali kothriyon par jaya karte the.

9

उसने भवन को बनाकर पूरा किया, और उसकी छत देवदारु की कड़ियों और तख्तों से बनी थी।

Usne bhavan ko banakar poora kiya, aur uski chhat devdaru ki kadiyon aur takhton se bani thi.

10

और पूरे भवन से लगी हुई जो मंज़िलें उसने बनाईं वह पांच हाथ ऊंची थीं, और वे देवदारु की कड़ियों द्वारा भवन से मिलाई गई थीं।

Aur poore bhavan se lagi hui jo manzilein usne banai vah paanch haath oonchi thi, aur ve devdaru ki kadiyon dwara bhavan se milai gai thi.

11

तब यहोवा का यह वचन सुलैमान के पास पहुंचा, कि यह भवन जो तू बना रहा है,

Tab Yahowa ka yah vachan sulaimaan ke paas pahuncha, ki yah bhavan jo tu bana raha hai,

12

यदि तू मेरी विधियों पर चलेगा, और मेरे नियमों को मानेगा, और मेरी सब आज्ञाओं पर चलता हुआ उनका पालन करता रहेगा, तो जो वचन मैं ने तेरे विषय में तेरे पिता दाऊद को दिया था उसको मैं पूरा करूंगा।

Yadi tu meri vidhiyon par chalega, aur mere niymon ko manega, aur meri sab aagyaon par chalta huaa unka palan karta rahega, to jo vachan main ne tere vishay mein tere pita Daud ko diya tha usko main poora karoonga.

13

और मैं इस्राएलियों के मध्य में निवास करूंगा, और अपनी इस्राएली प्रजा को न तजूंगा।

Aur main Israeliyon ke madhya mein nivaas karoonga, aur apni Israeli praja ko na tajoonga.

14

सो सुलैमान ने भवन को बनाकर पूरा किया।

So sulaimaan ne bhavan ko banakar poora kiya.

15

और उसने भवन की भीतों पर भीतरवार देवदारु की तख्ताबंदी की; और भवन के फ़र्श से छत तक भीतों में भीतरवार लकड़ी की तख्ताबंदी की, और भवन के फ़र्श को उसने सनोवर के तख्तों से बनाया।

Aur usne bhavan ki bheeton par bheetarvaar devdaru ki takhtabandi ki; aur bhavan ke farsh se chhat tak bheeton mein bheetarvaar lakdi ki takhtabandi ki, aur bhavan ke farsh ko usne sanovar ke takhton se banaya.

16

और भवन की पिछली अलंग में भी उसने बीस हाथ की दूरी पर फ़र्श से ले भीतों के ऊपर तक देवदारु की तख्ताबंदी की; इस प्रकार उसने परमपवित्र स्थान के लिये भवन की एक भीतरी कोठरी बनाईं।

Aur bhavan ki pichhli alang mein bhi usne bees haath ki doori par farsh se le bheeton ke oopar tak devdaru ki takhtabandi ki; is prakaar usne parmapvitra sthaan ke liye bhavan ki ek bheetri kothri banai.

17

उसके साम्हने का भवन अर्थात मन्दिर की लम्बाई चालीस हाथ की थी।

Uske samhane ka bhavan arthaat mandir ki lambai chalees haath ki thi.

18

और भवन की भीतों पर भीतरवार देवदारु की लकड़ी की तख्ताबंदी थी, और उस में इत्द्रायन और खिले हुए फूल खुदे थे, सब देवदारु ही था: पत्थर कुछ नहीं दिखाई पड़ता था।

Aur bhavan ki bheeton par bheetarvaar devdaru ki lakdi ki takhtabandi thi, aur us mein itdrayan aur khile hue phool khude the, sab devdaru hi tha: patthar kuchh nahi dikhai padta tha.

19

भवन के भीतर उस ने एक दर्शन स्थान यहोवा की वाचा का सन्दूक रखने के लिये तैयार किया।

Bhavan ke bheetar us ne ek darshan sthaan Yahowa ki vacha ka sandook rakhne ke liye taiyaar kiya.

20

और उस दर्शन-स्थान की लम्बाई चौड़ाई और ऊंचाई बीस बीस हाथ की थी; और उसने उस पर चोखा सोना मढ़वाया और वेदी की तख्ताबंदी देवदारु से की।

Aur us darshan-sthaan ki lambai chaudai aur oonchai bees bees haath ki thi; aur usne us par chokha sona madhvaya aur vedi ki takhtabandi devdaru se ki.

21

फिर सुलैमान ने भवन को भीतर भीतर चोखे सोने से मढ़वाया, और दर्शन-स्थान के साम्हने सोने की सांकलें लगाई; और उसको भी सोने से मढ़वाया।

Phir sulaimaan ne bhavan ko bheetar bheetar chokhe sone se madhvaya, aur darshan-sthaan ke samhane sone ki sanklein lagai; aur usko bhi sone se madhvaya.

22

और उसने पूरे भवन को सोने से मढ़वाकर उसका पूरा काम निपटा दिया। और दर्शन-स्थान की पूरी वेदी को भी उसने सोने से मढ़वाया।

Aur usne poore bhavan ko sone se madhvakar uska poora kaam nipta diya. Aur darshan-sthaan ki poori vedi ko bhi usne sone se madhvaya.

23

दर्शन-स्थान में उसने दस दस हाथ ऊंचे जलपाई की लकड़ी के दो करूब बना रखे।

Darshan-sthaan mein usne das das haath oonche jalpai ki lakdi ke do karoob bana rakhe.

24

एक करूब का एक पंख पांच हाथ का था, और उसका दूसरा पंख भी पांच हाथ का था, एक पंख के सिरे से, दूसरे पंख के सिरे तक दस हाथ थे।

Ek karoob ka ek pankh paanch haath ka tha, aur uska doosra pankh bhi paanch haath ka tha, ek pankh ke sire se, doosre pankh ke sire tak das haath the.

25

और दूसरा करूब भी दस हाथ का था; दोनों करूब एक ही नाप और एक ही आकार के थे।

Aur doosra karoob bhi das haath ka tha; donon karoob ek hi naap aur ek hi aakaar ke the.

26

एक करूब की ऊंचाई दस हाथ की, और दूसरे की भी इतनी ही थी।

Ek karoob ki oonchai das haath ki, aur doosre ki bhi itni hi thi.

27

और उसने करूबों को भीतर वाले स्थान में धरवा दिया; और करूबों के पंख ऐसे फैले थे, कि एक करूब का एक पंख, एक भीत से, और दूसरे का दूसरा पंख, दूसरी भीत से लगा हुआ था, फिर उनके दूसरे दो पंख भवन के मध्य में एक दूसरे से लगे हुए थे।

Aur usne karoobon ko bheetar vale sthaan mein dharva diya; aur karoobon ke pankh aise phaile the, ki ek karoob ka ek pankh, ek bheet se, aur doosre ka doosra pankh, doosri bheet se laga huaa tha, phir unke doosre do pankh bhavan ke madhya mein ek doosre se lage hue the.

28

और करूबों को उसने सोने से मढ़वाया।

Aur karoobon ko usne sone se madhvaya.

29

और उसने भवन की भीतों में बाहर और भीतर चारों ओर करूब, खजूर और खिले हुए फूल खुदवाए।

Aur usne bhavan ki bheeton mein bahar aur bheetar charon or karoob, khajoor aur khile hue phool khudvaye.

30

और भवन के भीतर और बाहर वाले फर्श उसने सोने से मढ़वाए।

Aur bhavan ke bheetar aur bahar vale pharsh usne sone se madhvaye.

31

और दर्शन-स्थान के द्वार पर उसने जलपाई की लकड़ी के किवाड़ लगाए और चौखट के सिरहाने और बाजुओं की लंबाई भवन की चौड़ाई का पांचवां भाग थी।

Aur darshan-sthaan ke dwaar par usne jalpai ki lakdi ke kivaad lagaye aur chaukhat ke sirhane aur bajuon ki lambai bhavan ki chaudai ka panchvan bhaag thi.

32

दोनों किवाड़ जलपाई की लकड़ी के थे, और उसने उन में करूब, खजूर के वृक्ष और खिले हुए फूल खुदवाए और सोने से मढ़ा और करूबों और खजूरों के ऊपर सोना मढ़वा दिया गया।

Donon kivaad jalpai ki lakdi ke the, aur usne un mein karoob, khajoor ke vriksh aur khile hue phool khudvaye aur sone se madha aur karoobon aur khajooron ke oopar sona madhva diya gaya.

33

इसी की रीति उसने मन्दिर के द्वार के लिये भी जलपाई की लकड़ी के चौखट के बाजू बनाए और वह भवन की चौड़ाई की चौथाई थी।

Isi ki reeti usne mandir ke dwaar ke liye bhi jalpai ki lakdi ke chaukhat ke baju banaye aur vah bhavan ki chaudai ki chauthai thi.

34

दोनों किवाड़ सनोवर की लकड़ी के थे, जिन में से एक किवाड़ के दो पल्ले थे; और दूसरे किवाड़ के दो पल्ले थे जो पलटकर दुहर जाते थे।

Donon kivaad sanovar ki lakdi ke the, jin mein se ek kivaad ke do palle the; aur doosre kivaad ke do palle the jo palatkar duhar jate the.

35

और उन पर भी उसने करूब और खजूर के वृक्ष और खिले हुए फूल खुदवाए और खुदे हुए काम पर उसने सोना मढ़वाया।

Aur un par bhi usne karoob aur khajoor ke vriksh aur khile hue phool khudvaye aur khude hue kaam par usne sona madhvaya.

36

और उसने भीतर वाले आंगन के घेरे को गढ़े हुए पत्थरों के तीन रद्दे, और एक परत देवदारू की कड़ियां लगा कर बनाया।

Aur usne bheetar vale aangan ke ghere ko gadhe hue pattharon ke teen radde, aur ek parat devdaru ki kadiyan laga kar banaya.

37

चौथे वर्ष के जीव नाम महीने में यहोवा के भवन की नेव डाली गई।

Chauthe varsh ke jeev naam maheene mein Yahowa ke bhavan ki nev dali gai.

38

और ग्यारहवें वर्ष के बूल नाम आठवें महीने में, वह भवन उस सब समेत जो उस में उचित समझा गया बन चुका: इस रीति सुलैमान को उसके बनाने में सात वर्ष लगे।

Aur gyarahvein varsh ke bool naam aathvein maheene mein, vah bhavan us sab samet jo us mein uchit samjha gaya ban chuka: is reeti sulaimaan ko uske banane mein saat varsh lage.