1 Kings 22 · 53 verses

1 राजाओं 22 1 Kings 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 rajaon 22.

1

और तीन वर्ष तक अरामी और इस्राएली बिना युद्ध रहे।

Aur teen varsh tak arami aur Israeli bina yuddh rahe.

2

तीसरे वर्ष में यहूदा का राजा यहोशापात इस्राएल के राजा के पास गया।

Teesre varsh mein Yahuda ka raja yahoshapaat Israel ke raja ke paas gaya.

3

तब इस्राएल के राजा ने अपने कर्मचारियों से कहा, क्या तुम को मालूम है, कि गिलाद का रामोत हमारा है? फिर हम क्यों चुपचाप रहते और उसे अराम के राजा के हाथ से क्यों नहीं छीन लेते हैं?

Tab Israel ke raja ne apne karmachariyon se kaha, kya tum ko maloom hai, ki gilaad ka ramot hamara hai? Phir ham kyon chupchaap rahte aur use araam ke raja ke haath se kyon nahi chheen lete hain?

4

और उसने यहोशापात से पूछा, क्या तू मेरे संग गिलाद के रामोत से लड़ने के लिये जाएगा? यहोशापात ने इस्राएल के राजा को उत्तर दिया, जैसा तू है वैसा मैं भी हूँ। जैसी तेरी प्रजा है वैसी ही मेरी भी प्रजा है, और जैसे तेरे घोड़े हैं वैसे ही मेरे भी घोड़े हैं।

Aur usne yahoshapaat se poochha, kya tu mere sang gilaad ke ramot se ladne ke liye jayega? Yahoshapaat ne Israel ke raja ko uttar diya, jaisa tu hai vaisa main bhi hoon. Jaisi teri praja hai vaisi hi meri bhi praja hai, aur jaise tere ghode hain vaise hi mere bhi ghode hain.

5

फिर यहोशापात ने इस्राएल के राजा से कहा,

Phir yahoshapaat ne Israel ke raja se kaha,

6

कि आज यहोवा की इच्छा मालूम कर ले, तब इस्राएल के राजा ने नबियों को जो कोई चार सौ पुरुष थे इकट्ठा करके उन से पूछा, क्या मैं गिलाद के रामोत से युद्ध करने के लिये चढ़ाई करूं, वा रुका रहूं? उन्होंने उत्तर दिया, चढ़ाई कर: क्योंकि प्रभु उसको राजा के हाथ में कर देगा।

Ki aaj Yahowa ki ichchha maloom kar le, tab Israel ke raja ne nabiyon ko jo koi chaar sau purush the ikattha karke un se poochha, kya main gilaad ke ramot se yuddh karne ke liye chadhai karun, va ruka rahun? Unhonne uttar diya, chadhai kar: kyonki Prabhu usko raja ke haath mein kar dega.

7

परन्तु यहोशापात ने पूछा, क्या यहां यहोवा का और भी कोई नबी नहीं है जिस से हम पूछ लें?

Parantu yahoshapaat ne poochha, kya yahan Yahowa ka aur bhi koi nabi nahi hai jis se ham poochh lein?

8

इस्राएल के राजा ने यहोशापात से कहा, हां, यिम्ला का पुत्र मीकायाह एक पुरुष और है जिसके द्वारा हम यहोवा से पूछ सकते हैं? परन्तु मैं उस से घृणा रखता हूँ, क्योंकि वह मेरे विष्य कल्याण की नहीं वरन हानि ही की भविष्यद्वाणी करता है।

Israel ke raja ne yahoshapaat se kaha, han, yimla ka putra meekayaah ek purush aur hai jiske dwara ham Yahowa se poochh sakte hain? Parantu main us se ghrina rakhta hoon, kyonki vah mere vishya kalyaan ki nahi varan hani hi ki bhavishyadwani karta hai.

9

यहोशापात ने कहा, राजा ऐसा न कहे। तब इस्राएल के राजा ने एक हाकिम को बुलवा कर कहा, यिम्ला के पुत्र मीकायाह को फुर्ती से ले आ।

Yahoshapaat ne kaha, raja aisa na kahe. Tab Israel ke raja ne ek hakim ko bulva kar kaha, yimla ke putra meekayaah ko phurti se le aa.

10

इस्राएल का राजा और यहूदा का राजा यहोशापात, अपने अपने राजवस्त्र पहिने हुए शोमरोन के फाटक में एक खुले स्थान में अपने अपने सिंहासन पर विराजमान थे और सब भविष्यद्वक्ता उनके सम्मुख भविष्यद्वाणी कर रहे थे।

Israel ka raja aur Yahuda ka raja yahoshapaat, apne apne rajvastra pahine hue shomron ke phatak mein ek khule sthaan mein apne apne sinhasan par virajmaan the aur sab bhavishyadwakta unke sammukh bhavishyadwani kar rahe the.

11

तब कनाना के पुत्र सिदकिय्याह ने लोहे के सींग बना कर कहा, यहोवा यों कहता है, कि इन से तू अरामियों को मारते मारते नाश कर डालेगा।

Tab kanana ke putra sidkiyyaah ne lohe ke seeng bana kar kaha, Yahowa yon kahta hai, ki in se tu aramiyon ko marte marte naash kar dalega.

12

और सब नबियों ने इसी आशय की भविष्यद्वाणी करके कहा, गिलाद के रामोत पर चढ़ाई कर और तू कृतार्थ हो; क्योंकि यहोवा उसे राजा के हाथ में कर देगा।

Aur sab nabiyon ne isi aashay ki bhavishyadwani karke kaha, gilaad ke ramot par chadhai kar aur tu kritaarth ho; kyonki Yahowa use raja ke haath mein kar dega.

13

और जो दूत मीकायाह को बुलाने गया था उसने उस से कहा, सुन, भविष्यद्वक्ता एक ही मुंह से राजा के विषय शुभ वचन कहते हैं तो तेरी बातें उनकी सी हों; तू भी शुभ वचन कहना।

Aur jo doot meekayaah ko bulane gaya tha usne us se kaha, sun, bhavishyadwakta ek hi munh se raja ke vishay shubh vachan kahte hain to teri batein unki si hon; tu bhi shubh vachan kahna.

14

मीकायाह ने कहा, यहोवा के जीवन की शपथ जो कुछ यहोवा मुझ से कहे, वही मैं कहूंगा।

Meekayaah ne kaha, Yahowa ke jeevan ki shapath jo kuchh Yahowa mujh se kahe, vahi main kahoonga.

15

जब वह राजा के पास आया, तब राजा ने उस से पूछा, हे मीकायाह! क्या हम गिलाद के रामोत से युद्ध करने के लिये चढ़ाई करें वा रुके रहें? उसने उसको उत्तर दिया हां, चढ़ाई कर और तू कृतार्थ हो; और यहोवा उसको राजा के हाथ में कर दे।

Jab vah raja ke paas aaya, tab raja ne us se poochha, he meekayaah! Kya ham gilaad ke ramot se yuddh karne ke liye chadhai karein va ruke rahein? Usne usko uttar diya han, chadhai kar aur tu kritaarth ho; aur Yahowa usko raja ke haath mein kar de.

16

राजा ने उस से कहा, मुझे कितनी बार तुझे शपथ धराकर चिताना होगा, कि तू यहोवा का स्मरण करके मुझ से सच ही कह।

Raja ne us se kaha, mujhe kitni baar tujhe shapath dharakar chitana hoga, ki tu Yahowa ka smaran karke mujh se sach hi kah.

17

मीकायाह ने कहा मुझे समस्त इस्राएल बिना चरवाहे की भेड़ बकरियों की नाईं पहाड़ों पर; तित्तर बित्तर देख पड़ा, और यहोवा का यह वचन आया, कि वे तो अनाथ हैं; अतएव वे अपने अपने घर कुशल क्षेम से लौट जाएं।

Meekayaah ne kaha mujhe samast Israel bina charvahe ki bhed bakriyon ki nai pahadon par; tittar bittar dekh pada, aur Yahowa ka yah vachan aaya, ki ve to anaath hain; atayev ve apne apne ghar kushal kshem se laut jayen.

18

तब इस्राएल के राजा ने यहोशापात से कहा, क्या मैं ने तुझ से न कहा था, कि वह मेरे विषय कल्याण की नहीं हानि ही की भविष्यद्वाणी करेगा।

Tab Israel ke raja ne yahoshapaat se kaha, kya main ne tujh se na kaha tha, ki vah mere vishay kalyaan ki nahi hani hi ki bhavishyadwani karega.

19

मीकायाह ने कहा इस कारण तू यहोवा का यह वचन सुन! मुझे सिंहासन पर विराजमान यहोवा और उसके पास दाहिने बांयें खड़ी हुई स्वर्ग की समस्त सेना दिखाई दी है।

Meekayaah ne kaha is karan tu Yahowa ka yah vachan sun! Mujhe sinhasan par virajmaan Yahowa aur uske paas dahine banyein khadi hui swarg ki samast sena dikhai di hai.

20

तब यहोवा ने पूछा, अहाब को कौन ऐसा बहकाएगा, कि वह गिलाद के रामोत पर चढ़ाई करके खेत आए तब किसी ते कुछ, और किसी ने कुछ कहा।

Tab Yahowa ne poochha, ahaab ko kaun aisa bahkayega, ki vah gilaad ke ramot par chadhai karke khet aaye tab kisi te kuchh, aur kisi ne kuchh kaha.

21

निदान एक आत्मा पास आकर यहोवा के सम्मुख खड़ी हुई, और कहने लगी, मैं उसको बहकाऊंगी: यहोवा ने पूछा, किस उपाय से?

Nidaan ek aatma paas aakar Yahowa ke sammukh khadi hui, aur kahne lagi, main usko bahkaoongi: Yahowa ne poochha, kis upaay se?

22

उसने कहा, मैं जा कर उसके सब भविष्यद्वक्ताओं में पैठकर उन से झूठ बुलवाऊंगी। यहोवा ने कहा, तेरा उसको बहकाना सफल होगा, जा कर ऐसा ही कर।

Usne kaha, main ja kar uske sab bhavishyadwaktaon mein paithkar un se jhooth bulvaoongi. Yahowa ne kaha, tera usko bahkana saphal hoga, ja kar aisa hi kar.

23

तो अब सुन यहोवा ने तेरे इन सब भविष्यद्वक्ताओं के मुंह में एक झूठ बोलने वाली आत्मा पैठाई है, और यहोवा ने तेरे विष्य हानि की बात कही है।

To ab sun Yahowa ne tere in sab bhavishyadwaktaon ke munh mein ek jhooth bolne vali aatma paithai hai, aur Yahowa ne tere vishya hani ki baat kahi hai.

24

तब कनाना के पुत्र सिदकिय्याह ने मीकायाह के निकट जा, उसके गाल पर थपेड़ा मार कर पूछा, यहोवा का आत्मा मुझे छोड़कर तुझ से बातें करने को किधर गया?

Tab kanana ke putra sidkiyyaah ne meekayaah ke nikat ja, uske gaal par thapeda maar kar poochha, Yahowa ka aatma mujhe chhodkar tujh se batein karne ko kidhar gaya?

25

मीकायाह ने कहा, जिस दिन तू छिपने के लिये कोठरी से कोठरी में भागेगा, तब तुझे बोध होगा।

Meekayaah ne kaha, jis din tu chhipne ke liye kothri se kothri mein bhagega, tab tujhe bodh hoga.

26

तब इस्राएल के राजा ने कहा, मीकायाह को नगर के हाकिम आमोन और योआश राजकुमार के पास ले जा;

Tab Israel ke raja ne kaha, meekayaah ko nagar ke hakim aamon aur yoaash rajkumaar ke paas le ja;

27

और उन से कह, राजा यों कहता है, कि इस को बन्दीगृह में डालो, और जब तक मैं कुशल से न आऊं, तब तक इसे दु:ख की रोटी और पानी दिया करो।

Aur un se kah, raja yon kahta hai, ki is ko bandeegrih mein dalo, aur jab tak main kushal se na aaun, tab tak ise dukh ki roti aur pani diya karo.

28

और मीकायाह ने कहा, यदि तू कभी कुशल से लौटे, तो जान कि यहोवा ने मेरे द्वारा नहीं कहा। फिर उसने कहा, हे लोगो तुम सब के सब सुन लो।

Aur meekayaah ne kaha, yadi tu kabhi kushal se laute, to jaan ki Yahowa ne mere dwara nahi kaha. Phir usne kaha, he logo tum sab ke sab sun lo.

29

तब इस्राएल के राजा और यहूदा के राजा यहोशापात दोनों ने गिलाद के रामोत पर चढ़ाई की।

Tab Israel ke raja aur Yahuda ke raja yahoshapaat donon ne gilaad ke ramot par chadhai ki.

30

और इस्राएल के राजा ने यहोशापात से कहा, मैं तो भेष बदल कर युद्ध क्षेत्र में जाऊंगा, परन्तु तू अपने ही वस्त्र पहिने रहना। तब इस्राएल का राजा भेष बदल कर युद्ध क्षेत्र में गया।

Aur Israel ke raja ne yahoshapaat se kaha, main to bhesh badal kar yuddh kshetra mein jaoonga, parantu tu apne hi vastra pahine rahna. Tab Israel ka raja bhesh badal kar yuddh kshetra mein gaya.

31

और अराम के राजा ने तो अपने रथों के बत्तीसों प्रधानों को आज्ञा दी थी, कि न तो छोटे से लड़ो और न बड़े से, केवल इस्राएल के राजा से युद्ध करो।

Aur araam ke raja ne to apne rathon ke batteeson pradhanon ko aagya di thi, ki na to chhote se lado aur na bade se, keval Israel ke raja se yuddh karo.

32

तो जब रथों के प्रधानों ने यहोशापात को देखा, तब कहा, निश्चय इस्राएल का राजा वही है। और वे उसी से युद्ध करने को मुड़े; तब यहोशपात चिल्ला उठा।

To jab rathon ke pradhanon ne yahoshapaat ko dekha, tab kaha, nishchay Israel ka raja vahi hai. Aur ve usi se yuddh karne ko mude; tab yahoshpaat chilla utha.

33

यह देख कर कि वह इस्राएल का राजा नहीं है, रथों के प्रधान उसका पीछा छोड़ कर लौट गए।

Yah dekh kar ki vah Israel ka raja nahi hai, rathon ke pradhaan uska peechha chhod kar laut gaye.

34

तब किसी ने अटकल से एक तीर चलाया और वह इस्राएल के राजा के झिलम और निचले वस्त्र के बीच छेदकर लगा; तब उसने अपने सारथी से कहा, मैं घायल हो गया हूँ इसलिये बागडोर फेर कर मुझे सेना में से बाहर निकाल ले चल।

Tab kisi ne atkal se ek teer chalaya aur vah Israel ke raja ke jhilam aur nichle vastra ke beech chhedkar laga; tab usne apne sarthi se kaha, main ghayal ho gaya hoon isliye bagdor pher kar mujhe sena mein se bahar nikaal le chal.

35

और उस दिन युद्ध बढ़ता गया और राजा अपने रथ में औरों के सहारे अरामियों के सम्मुख खड़ा रहा, और सांझ को मर गया; और उसके घाव का लोहू बह कर रथ के पौदान में भर गया।

Aur us din yuddh badhta gaya aur raja apne rath mein auron ke sahare aramiyon ke sammukh khada raha, aur saanjh ko mar gaya; aur uske ghaav ka lohu bah kar rath ke paudaan mein bhar gaya.

36

सूर्य डूबते हुए सेना में यह पुकार हुई, कि हर एक अपने नगर और अपने देश को लौट जाए।

Soorya doobte hue sena mein yah pukaar hui, ki har ek apne nagar aur apne desh ko laut jaye.

37

जब राजा मर गया, तब शोमरोन को पहुंचाया गया और शोमरोन में उसे मिट्टी दी गई।

Jab raja mar gaya, tab shomron ko pahunchaya gaya aur shomron mein use mitti di gai.

38

और यहोवा के वचन के अनुसार जब उसका रथ शोमरोन के पोखरे में धोया गया, तब कुत्तों ने उसका लोहू चाट लिया, और वेश्याएं यहीं स्नान करती थीं।

Aur Yahowa ke vachan ke anusaar jab uska rath shomron ke pokhre mein dhoya gaya, tab kutton ne uska lohu chaat liya, aur veshyayen yahi snaan karti thi.

39

अहाब के और सब काम जो उसने किए, और हाथी दांत का जो भवन उसने बनाया, और जो जो नगर उसने बसाए थे, यह सब क्या इस्राएली राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?

Ahaab ke aur sab kaam jo usne kiye, aur hathi daant ka jo bhavan usne banaya, aur jo jo nagar usne basaye the, yah sab kya Israeli rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?

40

निदान अहाब अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसका पुत्र अहज्याह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan ahaab apne purkhaon ke sang so gaya aur uska putra ahajyaah uske sthaan par rajya karne laga.

41

इस्राएल के राजा अहाब के चौथे वर्ष में आसा का पुत्र यहोशापात यहूदा पर राज्य करने लगा।

Israel ke raja ahaab ke chauthe varsh mein aasa ka putra yahoshapaat Yahuda par rajya karne laga.

42

जब यहोशापात राज्य करने लगा, तब वह पैंतीस वर्ष का था। और पचीस वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा। और उसकी माता का नाम अजूबा था, जो शिल्ही की बेटी थी।

Jab yahoshapaat rajya karne laga, tab vah paintees varsh ka tha. Aur pachees varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha. Aur uski mata ka naam ajooba tha, jo shilhi ki beti thi.

43

और उसकी चाल सब प्रकार से उसके पिता आसा की सी थी, अर्थात जो यहोवा की दृष्टि में ठीक है वही वह करता रहा, और उस से कुछ न मुड़ा। तौभी ऊंचे स्थान ढाए न गए, प्रजा के लोग ऊंचे स्थानों पर उस समय भी बलि किया करते थे और धूप भी जलाया करते थे।

Aur uski chaal sab prakaar se uske pita aasa ki si thi, arthaat jo Yahowa ki drishti mein theek hai vahi vah karta raha, aur us se kuchh na muda. Taubhi oonche sthaan dhaye na gaye, praja ke log oonche sthanon par us samay bhi bali kiya karte the aur dhoop bhi jalaya karte the.

44

यहोशापात ने इस्राएल के राजा से मेल किया।

Yahoshapaat ne Israel ke raja se mel kiya.

45

और यहोशापात के काम और जो वीरता उसने दिखाई, और उसने जो जो लड़ाइयां कीं, यह सब क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?

Aur yahoshapaat ke kaam aur jo veerta usne dikhai, aur usne jo jo ladaiyan ki, yah sab kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?

46

पुरुषगामियों में से जो उसके पिता आसा के दिनों में रह गए थे, उन को उसने देश में से नाश किया।

Purushgamiyon mein se jo uske pita aasa ke dinon mein rah gaye the, un ko usne desh mein se naash kiya.

47

उस समय एदोम में कोई राजा न था; एक नायब राजकाज का काम करता था।

Us samay edom mein koi raja na tha; ek nayab rajkaaj ka kaam karta tha.

48

फिर यहोशापात ने तर्शीश के जहाज सोना लाने के लिये ओपीर जाने को बनवा लिए, परन्तु वे एश्योनगेबेर में टूट गए, इसलिये वहां न जा सके।

Phir yahoshapaat ne tarsheesh ke jahaaj sona lane ke liye opeer jane ko banva liye, parantu ve eshyongeber mein toot gaye, isliye vahan na ja sake.

49

तब अहाब के पुत्र अहज्याह ने यहोशापात से कहा, मेरे जहाजियों को अपने जहाजियों के संग, जहाजों में जाने दे, परन्तु यहोशापात ने इनकार किया।

Tab ahaab ke putra ahajyaah ne yahoshapaat se kaha, mere jahajiyon ko apne jahajiyon ke sang, jahajon mein jane de, parantu yahoshapaat ne inkaar kiya.

50

निदान यहोशापात अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसको उसके पुरखाओं के साथ उसके मूलपुरुष दाऊद के नगर में मिट्टी दी गई। और उसका पुत्र यहोराम उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan yahoshapaat apne purkhaon ke sang so gaya aur usko uske purkhaon ke saath uske moolpurush Daud ke nagar mein mitti di gai. Aur uska putra yahoraam uske sthaan par rajya karne laga.

51

यहूदा के राजा यहोशापात के सत्रहवें वर्ष में अहाब का पुत्र अहज्याह शोमरोन में इस्राएल पर राज्य करने लगा और दो वर्ष तक इस्राएल पर राज्य करता रहा।

Yahuda ke raja yahoshapaat ke satrahvein varsh mein ahaab ka putra ahajyaah shomron mein Israel par rajya karne laga aur do varsh tak Israel par rajya karta raha.

52

और उसने वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था। और उसकी चाल उसके माता पिता, और नबात के पुत्र यारोबाम की सी थी जिसने इस्राएल से पाप करवाया था।

Aur usne vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura tha. Aur uski chaal uske mata pita, aur nabaat ke putra yarobaam ki si thi jisne Israel se paap karvaya tha.

53

जैसे उसका पिता बाल की उपासना और उसे दण्डवत करने से इस्राएल के परमेश्वर यहोवा को क्रोधित करता रहा वैसे ही अहज्याह भी करता रहा।

Jaise uska pita baal ki upasna aur use dandavat karne se Israel ke Parmeshwar Yahowa ko krodhit karta raha vaise hi ahajyaah bhi karta raha.