2 Kings 1 · 18 verses

2 राजाओं 1 2 Kings 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 1.

1

अहाब के मरने के बाद मोआब इस्राएल के विरुद्ध हो गया।

Ahaab ke marne ke baad moaab Israel ke viruddh ho gaya.

2

और अहज्याह एक झिलमिलीदार खिड़की में से, जो शोमरोन में उसकी अटारी में थी, गिर पड़ा, और बीमार हो गया। तब उसने दूतों को यह कह कर भेजा, कि तुम जा कर एक्रोन के बालजबूब नाम देवता से यह पूछ आओ, कि क्या मैं इस बीमारी से बचूंगा कि नहीं?

Aur ahajyaah ek jhilmileedaar khidki mein se, jo shomron mein uski atari mein thi, gir pada, aur beemaar ho gaya. Tab usne dooton ko yah kah kar bheja, ki tum ja kar ekron ke balajboob naam devta se yah poochh aao, ki kya main is beemari se bachoonga ki nahi?

3

तब यहोवा के दूत ने तिशबी एलिय्याह से कहा, उठ कर शोमरोन के राजा के दूतों से मिलने को जा, और उन से कह, क्या इस्राएल में कोई परमेश्वर नहीं जो तुम एक्रोन के बालजबूब देवता से पूछने जाते हो?

Tab Yahowa ke doot ne tishbi eliyyaah se kaha, uth kar shomron ke raja ke dooton se milne ko ja, aur un se kah, kya Israel mein koi Parmeshwar nahi jo tum ekron ke balajboob devta se poochhne jate ho?

4

इसलिये अब यहोवा तुझ से यों कहता है, कि जिस पलंग पर तू पड़ा है, उस पर से कभी न उठेगा, परन्तु मर ही जाएगा। तब एलिय्याह चला गया।

Isliye ab Yahowa tujh se yon kahta hai, ki jis palang par tu pada hai, us par se kabhi na uthega, parantu mar hi jayega. Tab eliyyaah chala gaya.

5

जब अहज्याह के दूत उसके पास लौट आए, तब उसने उन से पूछा, तुम क्यों लौट आए हो?

Jab ahajyaah ke doot uske paas laut aaye, tab usne un se poochha, tum kyon laut aaye ho?

6

उन्होंने उस से कहा, कि एक मनुष्य हम से मिलने को आया, और कहा, कि जिस राजा ने तुम को भेजा उसके पास लौटकर कहो, यहोवा यों कहता है, कि क्या इस्राएल में कोई परमेश्वर नहीं जो तू एक्रोन के बालजबूब देवता से पूछने को भेजता है? इस कारण जिस पलंग पर तू पड़ा है, उस पर से कभी न उठेगा, परन्तु मर ही जाएगा।

Unhonne us se kaha, ki ek manushya ham se milne ko aaya, aur kaha, ki jis raja ne tum ko bheja uske paas lautkar kaho, Yahowa yon kahta hai, ki kya Israel mein koi Parmeshwar nahi jo tu ekron ke balajboob devta se poochhne ko bhejta hai? Is karan jis palang par tu pada hai, us par se kabhi na uthega, parantu mar hi jayega.

7

उसने उन से पूछा, जो मनुष्य तुम से मिलने को आया, और तुम से ये बातें कहीं, उसका कैसा रंग-रूप था?

Usne un se poochha, jo manushya tum se milne ko aaya, aur tum se ye batein kahi, uska kaisa rang-roop tha?

8

उन्होंने उसको उत्तर दिया, वह तो रोंआर मनुष्य था और अपनी कमर में चमड़े का फेंटा बान्धे हुए था। उसने कहा, वह तिशबी एलिय्याह होगा।

Unhonne usko uttar diya, vah to ronaar manushya tha aur apni kamar mein chamde ka phenta bandhe hue tha. Usne kaha, vah tishbi eliyyaah hoga.

9

तब उसने उसके पास पचास सिपाहियों के एक प्रधान को उसके पचासों सिपाहियों समेत भेजा। प्रधान ने उसके पास जा कर क्या देखा कि वह पहाड़ की चोटी पर बैठा है। और उसने उस से कहा, हे परमेश्वर के भक्त राजा ने कहा है, कि तू उतर आ।

Tab usne uske paas pachaas sipahiyon ke ek pradhaan ko uske pachason sipahiyon samet bheja. Pradhaan ne uske paas ja kar kya dekha ki vah pahaad ki choti par baitha hai. Aur usne us se kaha, he Parmeshwar ke bhakt raja ne kaha hai, ki tu utar aa.

10

एलिय्याह ने उस पचास सिपाहियों के प्रधान से कहा, यदि मैं परमेश्वर का भक्त हूँ तो आकाश से आग गिरकर तुझे तेरे पचासों समेत भस्म कर डाले। तब आकाश से आग उतरी और उसे उसके पचासों समेत भस्म कर दिया।

Eliyyaah ne us pachaas sipahiyon ke pradhaan se kaha, yadi main Parmeshwar ka bhakt hoon to aakaash se aag girkar tujhe tere pachason samet bhasm kar dale. Tab aakaash se aag utri aur use uske pachason samet bhasm kar diya.

11

फिर राजा ने उसके पास पचास सिपाहियों के एक और प्रधान को, पचासों सिपाहियों समेत भेज दिया। प्रधान ने उस से कहा हे परमेश्वर के भक्त राजा ने कहा है, कि फुर्ती से तू उतर आ।

Phir raja ne uske paas pachaas sipahiyon ke ek aur pradhaan ko, pachason sipahiyon samet bhej diya. Pradhaan ne us se kaha he Parmeshwar ke bhakt raja ne kaha hai, ki phurti se tu utar aa.

12

एलिय्याह ने उत्तर देकर उन से कहा, यदि मैं परमेश्वर का भक्त हूँ तो आकाश से आग गिरकर तुझे, तेरे पचासों समेत भस्म कर डाले; तब आकाश से परमेश्वर की आग उतरी और उसे उसके पचासों समेत भस्म कर दिया।

Eliyyaah ne uttar dekar un se kaha, yadi main Parmeshwar ka bhakt hoon to aakaash se aag girkar tujhe, tere pachason samet bhasm kar dale; tab aakaash se Parmeshwar ki aag utri aur use uske pachason samet bhasm kar diya.

13

फिर राजा ने तीसरी बार पचास सिपाहियों के एक और प्रधान को, पचासों सिपाहियों समेत भेज दिया, और पचास का वह तीसरा प्रधान चढ़ कर, एलिय्याह के साम्हने घुटनों के बल गिरा, और गिड़गिड़ा कर उस से कहने लगा, हे परमेश्वर के भक्त मेरा प्राण और तेरे इन पचास दासों के प्राण तेरी दृष्टि में अनमोल ठहरें।

Phir raja ne teesri baar pachaas sipahiyon ke ek aur pradhaan ko, pachason sipahiyon samet bhej diya, aur pachaas ka vah teesra pradhaan chadh kar, eliyyaah ke samhane ghutnon ke bal gira, aur gidgida kar us se kahne laga, he Parmeshwar ke bhakt mera praan aur tere in pachaas dason ke praan teri drishti mein anmol thahrein.

14

पचास पचास सिपाहियों के जो दो प्रधान अपने अपने पचासों समेत पहिले आए थे, उन को तो आग ने आकाश से गिरकर भस्म कर डाला, परन्तु अब मेरा प्राण तेरी दृष्टि में अनमोल ठहरे।

Pachaas pachaas sipahiyon ke jo do pradhaan apne apne pachason samet pahile aaye the, un ko to aag ne aakaash se girkar bhasm kar dala, parantu ab mera praan teri drishti mein anmol thahre.

15

तब यहोवा के दूत ने एलिय्याह से कहा, उसके संग नीचे जा, उस से पत डर। तब एलिय्याह उठ कर उसके संग राजा के पास नीचे गया।

Tab Yahowa ke doot ne eliyyaah se kaha, uske sang neeche ja, us se pat dar. Tab eliyyaah uth kar uske sang raja ke paas neeche gaya.

16

और उस से कहा, यहोवा यों कहता है, कि तू ने तो एक्रोन के बालजबूब देवता से पूछने को दूत भेजे थे तो क्या इस्राएल में कोई परमेश्वर नहीं कि जिस से तू पूछ सके? इस कारण तू जिस पलंग पर पड़ा है, उस पर से कभी न उठेगा, परन्तु मर ही जाएगा।

Aur us se kaha, Yahowa yon kahta hai, ki tu ne to ekron ke balajboob devta se poochhne ko doot bheje the to kya Israel mein koi Parmeshwar nahi ki jis se tu poochh sake? Is karan tu jis palang par pada hai, us par se kabhi na uthega, parantu mar hi jayega.

17

यहोवा के इस वचन के अनुसार जो एलिय्याह ने कहा था, वह मर गया। और उसके सन्तान न होने के कारण यहोराम उसके स्थान पर यहूदा के राजा यहोशापात के पुत्र यहोराम के दूसरे वर्ष में राज्य करने लगा।

Yahowa ke is vachan ke anusaar jo eliyyaah ne kaha tha, vah mar gaya. Aur uske santaan na hone ke karan yahoraam uske sthaan par Yahuda ke raja yahoshapaat ke putra yahoraam ke doosre varsh mein rajya karne laga.

18

अहज्याह के और काम जो उसने किए वह क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Ahajyaah ke aur kaam jo usne kiye vah kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?