1 Kings 20 · 43 verses

1 राजाओं 20 1 Kings 20 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 rajaon 20.

1

और अराम के राजा बेन्हदद ने अपनी सारी सेना इकट्ठी की, और उसके साथ बत्तीस राजा और घोड़े और रथ थे; उन्हें संग ले कर उसने शोमरोन पर चढ़ाई की, और उसे घेर के उसके विरुद्ध लड़ा।

Aur araam ke raja benhadad ne apni sari sena ikatthi ki, aur uske saath battees raja aur ghode aur rath the; unhein sang le kar usne shomron par chadhai ki, aur use gher ke uske viruddh lada.

2

और उसने नगर में इस्राएल के राजा अहाब के पास दूतों को यह कहने के लिये भेजा, कि बेन्हदद तुझ से यों कहता है,

Aur usne nagar mein Israel ke raja ahaab ke paas dooton ko yah kahne ke liye bheja, ki benhadad tujh se yon kahta hai,

3

कि तेरा चान्दी सोना मेरा है, और तेरी स्त्रियों और लड़केबालों में जो जो उत्तम हैं वह भी सब मेरे हैं।

Ki tera chandi sona mera hai, aur teri striyon aur ladkebalon mein jo jo uttam hain vah bhi sab mere hain.

4

इस्राएल के राजा ने उसके पास कहला भेजा, हे मेरे प्रभु! हे राजा! तेरे वचन के अनुसार मैं और मेरा जो कुछ है, सब तेरा है।

Israel ke raja ne uske paas kahla bheja, he mere Prabhu! He raja! Tere vachan ke anusaar main aur mera jo kuchh hai, sab tera hai.

5

उन्हीं दूतों ने फिर आकर कहा बेन्हदद तुझ से यों कहता है, कि मैं ने तेरे पास यह कहला भेजा था कि तुझे अपनी चान्दी सोना और स्त्रियां और बालक भी मुझे देने पड़ेंगे।

Unhi dooton ne phir aakar kaha benhadad tujh se yon kahta hai, ki main ne tere paas yah kahla bheja tha ki tujhe apni chandi sona aur striyan aur balak bhi mujhe dene padenge.

6

परन्तु कल इसी समय मैं अपने कर्मचारियों को तेरे पास भेजूंगा और वे तेरे और तेरे कर्मचारियों के घरों में ढूंढ़-ढांढ़ करेंगे, और तेरी जो जो मनभावनी वस्तुएं निकालें उन्हें वे अपने अपने हाथ में ले कर आएंगे।

Parantu kal isi samay main apne karmachariyon ko tere paas bhejoonga aur ve tere aur tere karmachariyon ke gharon mein dhoondh-dhaandh karenge, aur teri jo jo manbhavni vastuein nikalein unhein ve apne apne haath mein le kar aayenge.

7

तब इस्राएल के राजा ने अपने देश के सब पुरनियों को बुलवा कर कहा, सोच विचार करो, कि वह मनुष्य हमारी हानि ही का अभिलाषी है; उसने मुझ से मेरी स्त्रियां, बालक, चान्दी सोना मंगा भेजा है, और मैं ने इन्कार न किया।

Tab Israel ke raja ne apne desh ke sab purniyon ko bulva kar kaha, soch vichaar karo, ki vah manushya hamari hani hi ka abhilashi hai; usne mujh se meri striyan, balak, chandi sona manga bheja hai, aur main ne inkaar na kiya.

8

तब सब पुरनियों ने और सब साधारण लोगों ने उस से कहा, उसकी न सुनना; और न मानना।

Tab sab purniyon ne aur sab sadharan logon ne us se kaha, uski na sunna; aur na manna.

9

तब राजा ने बेन्हदद के दूतों से कहा, मेरे प्रभु राजा से मेरी ओर से कहो, जो कुछ तू ने पहिले अपने दास से चाहा था वह तो मैं करूंगा, परन्तु यह मुझ से न होगा। तब बेन्हदद के दूतों ने जा कर उसे यह उत्तर सुना दिया।

Tab raja ne benhadad ke dooton se kaha, mere Prabhu raja se meri or se kaho, jo kuchh tu ne pahile apne daas se chaha tha vah to main karoonga, parantu yah mujh se na hoga. Tab benhadad ke dooton ne ja kar use yah uttar suna diya.

10

तब बेन्हदद ने अहाब के पास कहला भेजा, यदि शोमरोन में इतनी धूलि निकले कि मेरे सब पीछे चलने हारों की मुट्ठी भर कर अट जाए तो देवता मेरे साथ ऐसा ही वरन इस से भी अधिक करें।

Tab benhadad ne ahaab ke paas kahla bheja, yadi shomron mein itni dhooli nikle ki mere sab peechhe chalne haron ki mutthi bhar kar at jaye to devta mere saath aisa hi varan is se bhi adhik karein.

11

इस्राएल के राजा ने उत्तर देकर कहा, उस से कहो, कि जो हथियार बान्धता हो वह उसकी नाईं न फूले जो उन्हें उतारता हो।

Israel ke raja ne uttar dekar kaha, us se kaho, ki jo hathiyaar bandhata ho vah uski nai na phoole jo unhein utarta ho.

12

यह वचन सुनते ही वह जो और राजाओं समेत डेरों में पी रहा था, उसने अपने कर्मचारियों से कहा, पांति बान्धो, तब उन्होंने नगर के विरुद्ध पांति बान्धी।

Yah vachan sunte hi vah jo aur rajaon samet deron mein pi raha tha, usne apne karmachariyon se kaha, panti bandho, tab unhonne nagar ke viruddh panti bandhi.

13

तब एक नबी ने इस्राएल के राजा अहाब के पास जा कर कहा, यहोवा तुझ से यों कहता है, यह बड़ी भीड़ जो तू ने देखी है, उस सब को मैं आज तेरे हाथ में कर दूंगा, इस से तू जान लेगा, कि मैं यहोवा हूँ।

Tab ek nabi ne Israel ke raja ahaab ke paas ja kar kaha, Yahowa tujh se yon kahta hai, yah badi bheed jo tu ne dekhi hai, us sab ko main aaj tere haath mein kar doonga, is se tu jaan lega, ki main Yahowa hoon.

14

अहाब ने पूछा, किस के द्वारा? उसने कहा यहोवा यों कहता है, कि प्रदेशों के हाकिमों के सेवकों के द्वारा! फिर उसने पूछा, युद्ध को कौन आरम्भ करे? उसने उत्तर दिया, तू ही।

Ahaab ne poochha, kis ke dwara? Usne kaha Yahowa yon kahta hai, ki pradeshon ke hakimon ke sevkon ke dwara! Phir usne poochha, yuddh ko kaun aarambh kare? Usne uttar diya, tu hi.

15

तब उसने प्रदेशों के हाकिमों के सेवकों की गिनती ली, और वे दो सौ बत्तीस निकले; और उनके बाद उसने सब इस्राएली लोगों की गिनती ली, और वे सात हजार निकले।

Tab usne pradeshon ke hakimon ke sevkon ki ginti li, aur ve do sau battees nikle; aur unke baad usne sab Israeli logon ki ginti li, aur ve saat hajaar nikle.

16

ये दोपहर को निकल गए, उस समय बेन्हदद अपने सहायक बत्तीसों राजाओं समेत डेरों में दारू पीकर मतवाला हो रहा था।

Ye dophar ko nikal gaye, us samay benhadad apne sahayak batteeson rajaon samet deron mein daru peekar matvala ho raha tha.

17

प्रदेशों के हाकिमों के सेवक पहिले निकले। तब बेन्हदद ने दूत भेजे, और उन्होंने उस से कहा, शोमरोन से कुछ मनुष्य निकले आते हैं।

Pradeshon ke hakimon ke sevak pahile nikle. Tab benhadad ne doot bheje, aur unhonne us se kaha, shomron se kuchh manushya nikle aate hain.

18

उसने कहा, चाहे वे मेल करने को निकले हों, चाहे लड़ने को, तौभी उन्हें जीवित ही पकड़ लाओ।

Usne kaha, chahe ve mel karne ko nikle hon, chahe ladne ko, taubhi unhein jeevit hi pakad lao.

19

तब प्रदेशों के हाकिमों के सेवक और उनके पीछे की सेना के सिपाही नगर से निकले।

Tab pradeshon ke hakimon ke sevak aur unke peechhe ki sena ke sipahi nagar se nikle.

20

तौर वे अपने अपने साम्हने के पुरुष को मारने लगे; और अरामी भागे, और इस्राएल ने उनका पीछा किया, और अराम का राजा बेन्हदद, सवारों के संग घोड़े पर चढ़ा, और भाग कर बच गया।

Taur ve apne apne samhane ke purush ko marne lage; aur arami bhage, aur Israel ne unka peechha kiya, aur araam ka raja benhadad, savaron ke sang ghode par chadha, aur bhaag kar bach gaya.

21

तब इस्राएल के राजा ने भी निकल कर घोड़ों और रथों को मारा, और अरामियों को बड़ी मार से मारा।

Tab Israel ke raja ne bhi nikal kar ghodon aur rathon ko mara, aur aramiyon ko badi maar se mara.

22

तब उस नबी ने इस्राएल के राजा के पास जा कर कहा, जा कर लड़ाई के लिये अपने को दृढ़ कर, और सचेत हो कर सोच, कि क्या करना है, क्योंकि नये वर्ष के लगते ही अराम का राजा फिर तुझ पर चढ़ाई करेगा।

Tab us nabi ne Israel ke raja ke paas ja kar kaha, ja kar ladai ke liye apne ko dridh kar, aur sachet ho kar soch, ki kya karna hai, kyonki naye varsh ke lagte hi araam ka raja phir tujh par chadhai karega.

23

तब अराम के राजा के कर्मचारियों ने उस से कहा, उन लोगों का देवता पहाड़ी देवता है, इस कारण वे हम पर प्रबल हुए; इसलिये हम उन से चौरस भूमि पर लड़ें तो निश्चय हम उन पर प्रबल हो जाएंगे।

Tab araam ke raja ke karmachariyon ne us se kaha, un logon ka devta pahadi devta hai, is karan ve ham par prabal hue; isliye ham un se chauras bhoomi par ladein to nishchay ham un par prabal ho jayenge.

24

और यह भी काम कर, अर्थात सब राजाओं का पद ले ले, और उनके स्थान पर सेनापतियों को ठहरा दे।

Aur yah bhi kaam kar, arthaat sab rajaon ka pad le le, aur unke sthaan par senaptiyon ko thahra de.

25

फिर एक और सेना जो तेरी उस सेना के बराबर हो जो नष्ट हो गई है, घोड़े के बदले घोड़ा, और रथ के बदले रथ, अपने लिये गिन ले; तब हम चौरस भूमि पर उन से लड़ें, और निश्चय उन पर प्रबल हो जाएंगे। उनकी यह सम्मति मानकर बेन्हदद ने वैसा ही किया।

Phir ek aur sena jo teri us sena ke barabar ho jo nasht ho gai hai, ghode ke badle ghoda, aur rath ke badle rath, apne liye gin le; tab ham chauras bhoomi par un se ladein, aur nishchay un par prabal ho jayenge. Unki yah sammati mankar benhadad ne vaisa hi kiya.

26

और नये वर्ष के लगते ही बेन्हदद ने अरामियों को इकट्ठा किया, और इस्राएल से लड़ने के लिये अपेक को गया।

Aur naye varsh ke lagte hi benhadad ne aramiyon ko ikattha kiya, aur Israel se ladne ke liye apek ko gaya.

27

और इस्राएली भी इकट्ठे किए गए, और उनके भोजन की तैयारी हुई; तब वे उनका साम्हना करने को गए, और इस्राएली उनके साम्हने डेरे डालकर बकरियों के दो छोटे झुण्ड से देख पड़े, परन्तु अरामियों से देश भर गया।

Aur Israeli bhi ikatthe kiye gaye, aur unke bhojan ki taiyari hui; tab ve unka samhana karne ko gaye, aur Israeli unke samhane dere dalkar bakriyon ke do chhote jhund se dekh pade, parantu aramiyon se desh bhar gaya.

28

तब परमेश्वर के उसी जन ने इस्राएल के राजा के पास जा कर कहा, यहोवा यों कहता है, अरामियों ने यह कहा है, कि यहोवा पहाड़ी देवता है, परन्तु नीची भूमि का नहीं है; इस कारण मैं उस बड़ी भीड़ को तेरे हाथ में कर दूंगा, तब तुम्हें बोध हो जाएगा कि मैं यहोवा हूँ।

Tab Parmeshwar ke usi jan ne Israel ke raja ke paas ja kar kaha, Yahowa yon kahta hai, aramiyon ne yah kaha hai, ki Yahowa pahadi devta hai, parantu neechi bhoomi ka nahi hai; is karan main us badi bheed ko tere haath mein kar doonga, tab tumhein bodh ho jayega ki main Yahowa hoon.

29

और वे सात दिन आम्हने साम्हने डेरे डाले पड़े रहे; तब सातवें दिन युद्ध छिड़ गया; और एक दिन में इस्राएलियों ने एक लाख अरामी पियादे मार डाले।

Aur ve saat din aamhane samhane dere dale pade rahe; tab satvein din yuddh chhid gaya; aur ek din mein Israeliyon ne ek laakh arami piyade maar dale.

30

जो बच गए, वह अपेक को भागकर नगर में घुसे, और वहां उन बचे हुए लोगों में से सत्ताईस हजार पुरुष शहरपनाह की दीवाल के गिरने से दब कर मर गए। बेन्हदद भी भाग गया और नगर की एक भीतरी कोठरी में गया।

Jo bach gaye, vah apek ko bhagkar nagar mein ghuse, aur vahan un bache hue logon mein se sattais hajaar purush shahrapnaah ki deevaal ke girne se dab kar mar gaye. Benhadad bhi bhaag gaya aur nagar ki ek bheetri kothri mein gaya.

31

तब उसके कर्मचारियों ने उस से कहा, सुन, हम ने तो सुना है, कि इस्राएल के घराने के राजा दयालु राजा होते हैं, इसलिये हमें कमर में टाट और सिर पर रस्सियां बान्धे हुए इस्राएल के राजा के पास जाने दे, सम्भव है कि वह तेरा प्राण बचा ले।

Tab uske karmachariyon ne us se kaha, sun, ham ne to suna hai, ki Israel ke gharane ke raja dayalu raja hote hain, isliye hamein kamar mein taat aur sir par rassiyan bandhe hue Israel ke raja ke paas jane de, sambhav hai ki vah tera praan bacha le.

32

तब वे कमर में टाट और सिर पर रस्सियां बान्ध कर इस्राएल के राजा के पास जा कर कहने लगे, तेरा दास बेन्हदद तुझ से कहता है, कृपा कर के मुझे जीवित रहने दे। राजा ने उत्तर दिया, क्या वह अब तक जीवित है? वह तो मेरा भाई है।

Tab ve kamar mein taat aur sir par rassiyan baandh kar Israel ke raja ke paas ja kar kahne lage, tera daas benhadad tujh se kahta hai, kripa kar ke mujhe jeevit rahne de. Raja ne uttar diya, kya vah ab tak jeevit hai? Vah to mera bhai hai.

33

उन लोगों ने इसे शुभ शकुन जानकर, फुर्ती से बूझ लेने का यत्न किया कि यह उसके मन की बात है कि नहीं, और कहा, हां तेरा भाई बेन्हदद। राजा ने कहा, जा कर उसको ले आओ। तब बेन्हदद उसके पास निकल आया, और उसने उसे अपने रथ पर चढ़ा लिया।

Un logon ne ise shubh shakun jankar, phurti se boojh lene ka yatn kiya ki yah uske man ki baat hai ki nahi, aur kaha, han tera bhai benhadad. Raja ne kaha, ja kar usko le aao. Tab benhadad uske paas nikal aaya, aur usne use apne rath par chadha liya.

34

तब बेन्हदद ने उस से कहा, जो नगर मेरे पिता ने तेरे पिता से ले लिए थे, उन को मैं फेर दूंगा; और जैसे मेरे पिता ने शोमरोन में अपने लिये सड़कें बनवाई, वैसे ही तू दमिश्क में सड़कें बनवाना। अहाब ने कहा, मैं इसी वाचा पर तुझे छोड़ देता हूँ, तब उसने बेन्हदद से वाचा बान्ध कर, उसे स्वतन्त्र कर दिया।

Tab benhadad ne us se kaha, jo nagar mere pita ne tere pita se le liye the, un ko main pher doonga; aur jaise mere pita ne shomron mein apne liye sadkein banvai, vaise hi tu damishk mein sadkein banvana. Ahaab ne kaha, main isi vacha par tujhe chhod deta hoon, tab usne benhadad se vacha baandh kar, use swatantra kar diya.

35

इसके बाद नबियों के चेलों में से एक जन ने यहोवा से वचन पाकर अपने संगी से कहा, मुझे मार, जब उस मनुष्य ने उसे मारने से इनकार किया,

Iske baad nabiyon ke chelon mein se ek jan ne Yahowa se vachan pakar apne sangi se kaha, mujhe maar, jab us manushya ne use marne se inkaar kiya,

36

तब उसने उस से कहा, तू ने यहोवा का वचन नहीं माना, इस कारण सुन, ज्योंही तू मेरे पास से चला जाएगा, त्योंही सिंह से मार डाला जाएगा। तब ज्योंही वह उसके पास से चला गया, त्योंही उसे एक सिंह मिला, और उसको मार डाला।

Tab usne us se kaha, tu ne Yahowa ka vachan nahi mana, is karan sun, jyonhi tu mere paas se chala jayega, tyonhi sinh se maar dala jayega. Tab jyonhi vah uske paas se chala gaya, tyonhi use ek sinh mila, aur usko maar dala.

37

फिर उसको दूसरा मनुष्य मिला, और उस से भी उसने कहा, मुझे मार। और उसने उसको ऐसा मारा कि वह घायल हुआ।

Phir usko doosra manushya mila, aur us se bhi usne kaha, mujhe maar. Aur usne usko aisa mara ki vah ghayal huaa.

38

तब वह नबी चला गया, और आंखों को पगड़ी से ढांपकर राजा की बाट जोहता हुआ मार्ग पर खड़ा रहा।

Tab vah nabi chala gaya, aur aankhon ko pagdi se dhampkar raja ki baat johta huaa maarg par khada raha.

39

जब राजा पास हो कर जा रहा था, तब उसने उसकी दोहाई देकर कहा, कि जब तेरा दास युद्ध क्षेत्र में गया था तब कोई मनुष्य मेरी ओर मुड़कर किसी मनुष्य को मेरे पास ले आया, और मुझ से कहा, इस मनुष्य की चौकसी कर; यदि यह किसी रीति छूट जाए, तो उसके प्राण के बदले तुझे अपना प्राण देना होगा; नहीं तो किक्कार भर चान्दी देना पड़ेगा।

Jab raja paas ho kar ja raha tha, tab usne uski dohai dekar kaha, ki jab tera daas yuddh kshetra mein gaya tha tab koi manushya meri or mudkar kisi manushya ko mere paas le aaya, aur mujh se kaha, is manushya ki chauksi kar; yadi yah kisi reeti chhoot jaye, to uske praan ke badle tujhe apna praan dena hoga; nahi to kikkaar bhar chandi dena padega.

40

उसके बाद तेरा दास इधर उधर काम में फंस गया, फिर वह न मिला। इस्राएल के राजा ने उस से कहा, तेरा ऐसा ही न्याय होगा; तू ने आप अपना न्याय किया है।

Uske baad tera daas idhar udhar kaam mein phans gaya, phir vah na mila. Israel ke raja ne us se kaha, tera aisa hi nyaay hoga; tu ne aap apna nyaay kiya hai.

41

नबी ने झट अपनी आंखों से पगड़ी उठाई, तब इस्राएल के राजा ने उसे पहिचान लिया, कि वह कोई नबी है।

Nabi ne jhat apni aankhon se pagdi uthai, tab Israel ke raja ne use pahichaan liya, ki vah koi nabi hai.

42

तब उसने राजा से कहा, यहोवा तुझ से यों कहता है, इसलिये कि तू ने अपने हाथ से ऐसे एक मनुष्य को जाने दिया, जिसे मैं ने सत्यानाश हो जाने को ठहराया था, तुझे उसके प्राण की सन्ती अपना प्राण और उसकी प्रजा की सन्ती, अपनी प्रजा देनी पकेगी।

Tab usne raja se kaha, Yahowa tujh se yon kahta hai, isliye ki tu ne apne haath se aise ek manushya ko jane diya, jise main ne satyanaash ho jane ko thahraya tha, tujhe uske praan ki santi apna praan aur uski praja ki santi, apni praja deni pakegi.

43

तब इस्राएल का राजा उदास और अप्रसन्न हो कर घर की ओर जला, और शोमरोन को आया।

Tab Israel ka raja udaas aur aprasann ho kar ghar ki or jala, aur shomron ko aaya.