जब दाऊद के मरने का समय निकट आया, तब उसने अपने पुत्र सुलैमान से कहा,
Jab Daud ke marne ka samay nikat aaya, tab usne apne putra sulaimaan se kaha,
1 Kings 2 · 46 verses
जब दाऊद के मरने का समय निकट आया, तब उसने अपने पुत्र सुलैमान से कहा,
Jab Daud ke marne ka samay nikat aaya, tab usne apne putra sulaimaan se kaha,
कि मैं लोक की रीति पर कूच करने वाला हूँ इसलिये तू हियाव बांधकर पुरुषार्थ दिखा।
Ki main lok ki reeti par kooch karne vala hoon isliye tu hiyaav bandhkar purushaarth dikha.
और जो कुछ तेरे परमेश्वर यहोवा ने तुझे सौंपा है, उसकी रक्षा करके उसके मार्गों पर चला करना और जैसा मूसा की व्यवस्था में लिखा है, वैसा ही उसकी विधियों तथा आज्ञाओं, और नियमों, और चितौनियों का पालन करते रहना; जिस से जो कुछ तू करे और जहां कहीं तू जाए, उस में तू सफल होए;
Aur jo kuchh tere Parmeshwar Yahowa ne tujhe saumpa hai, uski raksha karke uske margon par chala karna aur jaisa Musa ki vyavastha mein likha hai, vaisa hi uski vidhiyon tatha aagyaon, aur niymon, aur chitauniyon ka palan karte rahna; jis se jo kuchh tu kare aur jahan kahi tu jaye, us mein tu saphal hoye;
और यहोवा अपना वह वचन पूरा करे जो उसने मेरे विषय में कहा था, कि यदि तेरी सन्तान अपनी चाल के विषय में ऐसे सावधान रहें, कि अपने सम्पूर्ण हृदय और सम्पूर्ण प्राण से सच्चाई के साथ नित मेरे सम्मुख चलते रहें तब तो इस्राएल की राजगद्दी पर विराजने वाले की, तेरे कुल परिवार में घटी कभी न होगी।
Aur Yahowa apna vah vachan poora kare jo usne mere vishay mein kaha tha, ki yadi teri santaan apni chaal ke vishay mein aise savdhaan rahein, ki apne sampoorn hriday aur sampoorn praan se sachchai ke saath nit mere sammukh chalte rahein tab to Israel ki rajgaddi par virajne vale ki, tere kul parivaar mein ghati kabhi na hogi.
फिर तू स्वयं जानता है, कि सरूयाह के पुत्र योआब ने मुझ से क्या क्या किया! अर्थात उसने नेर के पुत्र अब्नेर, और येतेर के पुत्र अमासा, इस्राएल के इन दो सेनापतियों से क्या क्या किया। उसने उन दोनों को घात किया, और मेल के समय युद्ध का लोहू बहाकर उस से अपनी कमर का कमरबन्द और अपने पावों की जूतियां भिगो दीं।
Phir tu swayan janta hai, ki sarooyaah ke putra yoaab ne mujh se kya kya kiya! Arthaat usne ner ke putra abner, aur yeter ke putra amasa, Israel ke in do senaptiyon se kya kya kiya. Usne un donon ko ghaat kiya, aur mel ke samay yuddh ka lohu bahakar us se apni kamar ka kamarband aur apne pavon ki jootiyan bhigo di.
इसलिये तू अपनी बुद्धि से काम लेना और उस पक्के बाल वाले को अधोलोक में शांति से उतरने न देना।
Isliye tu apni buddhi se kaam lena aur us pakke baal vale ko adholok mein shanti se utarne na dena.
फिर गिलादी बर्जिल्लै के पुत्रों पर कृपा रखना, और वे तेरी मेज पर खाने वालों में रहें, क्योंकि जब मैं तेरे भाई अबशालोम के साम्हने से भागा जा रहा था, तब उन्होंने मेरे पास आकर वैसा ही किया था।
Phir giladi barjillai ke putron par kripa rakhna, aur ve teri mej par khane valon mein rahein, kyonki jab main tere bhai abshalom ke samhane se bhaga ja raha tha, tab unhonne mere paas aakar vaisa hi kiya tha.
फिर सुन, तेरे पास बिन्यामीनी गेरा का पुत्र बहूरीमी शिमी रहता है, जिस दिन मैं महनैम को जाता था उस दिन उसने मुझे कड़ाई से शाप दिया था पर जब वह मेरी भेंट के लिये यरदन को आया, तब मैं ने उस से यहोवा की यह शपथ खाई, कि मैं तुझे तलवार से न मार डालूंगा।
Phir sun, tere paas binyameeni gera ka putra bahooreemi shimi rahta hai, jis din main mahnaim ko jata tha us din usne mujhe kadai se shaap diya tha par jab vah meri bhent ke liye yardan ko aaya, tab main ne us se Yahowa ki yah shapath khai, ki main tujhe talvaar se na maar daloonga.
परन्तु अब तू इसे निर्दोष न ठहराना, तू तो बुद्धिमान पुरुष है; तुझे मालूम होगा कि उसके साथ क्या करना चाहिये, और उस पक्के बाल वाले का लोहू बहाकर उसे अधोलोक में उतार देना।
Parantu ab tu ise nirdosh na thahrana, tu to buddhimaan purush hai; tujhe maloom hoga ki uske saath kya karna chahiye, aur us pakke baal vale ka lohu bahakar use adholok mein utaar dena.
तब दाऊद अपने पुरखाओं के संग सो गया और दाऊदपुर में उसे मिट्टी दी गई।
Tab Daud apne purkhaon ke sang so gaya aur daoodpur mein use mitti di gai.
दाऊद ने इस्राएल पर चालीस वर्ष राज्य किया, सात वर्ष तो उसने हेब्रोन में और तैंतीस वर्ष यरूशलेम में राज्य किया था।
Daud ne Israel par chalees varsh rajya kiya, saat varsh to usne hebron mein aur taintees varsh Yerushalem mein rajya kiya tha.
तब सुलैमान अपने पिता दाऊद की गद्दी पर विराजमान हुआ और उसका राज्य बहुत दृढ़ हुआ।
Tab sulaimaan apne pita Daud ki gaddi par virajmaan huaa aur uska rajya bahut dridh huaa.
और हग्गीत का पुत्र अदोनिय्याह, सुलैमान की माता बतशेबा के पास आया, और बतशेबा ने पूछा, क्या तू मित्रभाव से आता है?
Aur haggeet ka putra adoniyyaah, sulaimaan ki mata batsheba ke paas aaya, aur batsheba ne poochha, kya tu mitrabhaav se aata hai?
उसने उत्तर दिया, हां, मित्रभाव से! फिर वह कहने लगा, मुझे तुझ से एक बात कहनी है। उसने कहा, कह!
Usne uttar diya, han, mitrabhaav se! Phir vah kahne laga, mujhe tujh se ek baat kahni hai. Usne kaha, kah!
उसने कहा, तुझे तो मालूम है कि राज्य मेरा हो गया था, और समस्त इस्राएली मेरी ओर मुंह किए थे, कि मैं राज्य करूं; परन्तु अब राज्य पलटकर मेरे भाई का हो गया है, क्योंकि वह यहोवा की ओर से उसको मिला है।
Usne kaha, tujhe to maloom hai ki rajya mera ho gaya tha, aur samast Israeli meri or munh kiye the, ki main rajya karun; parantu ab rajya palatkar mere bhai ka ho gaya hai, kyonki vah Yahowa ki or se usko mila hai.
इसलिये अब मैं तुझ से एक बात मांगता हूँ, मुझ से नाही न करना उसने कहा, कहे जा।
Isliye ab main tujh se ek baat mangta hoon, mujh se nahi na karna usne kaha, kahe ja.
उसने कहा, राजा सुलैमान तुझ से नाही न करेगा; इसलिये उस से कह, कि वह मुझे शूनेमिन अबीशग को ब्याह दे।
Usne kaha, raja sulaimaan tujh se nahi na karega; isliye us se kah, ki vah mujhe shoonemin abeeshag ko byaah de.
बतशेबा ने कहा, अच्छा, मैं तेरे लिये राजा से कहूंगी।
Batsheba ne kaha, achchha, main tere liye raja se kahoongi.
तब बतशेबा अदोनिय्याह के लिये राजा सुलैमान से बातचीत करने को उसके पास गई, और राजा उसकी भेंट के लिये उठा, और उसे दण्डवत् करके अपने सिंहासन पर बैठ गया: फिर राजा ने अपनी माता के लिये एक सिंहासन रख दिया, और वह उसकी दाहिनी ओर बैठ गई।
Tab batsheba adoniyyaah ke liye raja sulaimaan se batcheet karne ko uske paas gai, aur raja uski bhent ke liye utha, aur use dandavat karke apne sinhasan par baith gaya: phir raja ne apni mata ke liye ek sinhasan rakh diya, aur vah uski dahini or baith gai.
तब वह कहने लगी, मैं तुझ से एक छोटा सा वरदान मांगती हूँ इसलिये मुझ से नाही न करना, राजा ने कहा, हे माता मांग; मैं तुझ से नाही न करूंगा।
Tab vah kahne lagi, main tujh se ek chhota sa vardaan mangti hoon isliye mujh se nahi na karna, raja ne kaha, he mata maang; main tujh se nahi na karoonga.
उसने कहा, वह शूनेमिन अबीशग तेरे भाई अदोनिय्याह को ब्याह दी जाए।
Usne kaha, vah shoonemin abeeshag tere bhai adoniyyaah ko byaah di jaye.
राजा सुलैमान ने अपनी माता को उत्तर दिया, तू अदोनिय्याह के लिये शूनेमिन अबीशग ही को क्यों मांगती है? उसके लिये राज्य भी मांग, क्योंकि वह तो मेरा बड़ा भाई है, और उसी के लिये क्या! एब्यातार याजक और सरूयाह के पुत्र योआब के लिये भी मांग।
Raja sulaimaan ne apni mata ko uttar diya, tu adoniyyaah ke liye shoonemin abeeshag hi ko kyon mangti hai? Uske liye rajya bhi maang, kyonki vah to mera bada bhai hai, aur usi ke liye kya! Ebyataar yajak aur sarooyaah ke putra yoaab ke liye bhi maang.
और राजा सुलैमान ने यहोवा की शपथ खाकर कहा, यदि अदोनिय्याह ने यह बात अपने प्राण पर खेलकर न कही हो तो परमेश्वर मुझ से वैसा ही क्या वरन उस से भी अधिक करे।
Aur raja sulaimaan ne Yahowa ki shapath khakar kaha, yadi adoniyyaah ne yah baat apne praan par khelkar na kahi ho to Parmeshwar mujh se vaisa hi kya varan us se bhi adhik kare.
अब यहोवा जिसने मुझे स्थिर किया, और मेरे पिता दाऊद की राजगद्दी पर विराजमान किया है और अपने वचन के अनुसार मेरे घर बसाया है, उसके जीवन की शपथ आज ही अदोनिय्याह मार डाला जाएगा।
Ab Yahowa jisne mujhe sthir kiya, aur mere pita Daud ki rajgaddi par virajmaan kiya hai aur apne vachan ke anusaar mere ghar basaya hai, uske jeevan ki shapath aaj hi adoniyyaah maar dala jayega.
और राजा सुलैमान ने यहोयादा के पुत्र बनायाह को भेज दिया और उसने जा कर, उसको ऐसा मारा कि वह मर गया।
Aur raja sulaimaan ne yahoyada ke putra banayaah ko bhej diya aur usne ja kar, usko aisa mara ki vah mar gaya.
और एब्यातार याजक से राजा ने कहा, अनातोत में अपनी भूमि को जा; क्योंकि तू भी प्राणदण्ड के योग्य है। आज के दिन तो मैं तुझे न मार डालूंगा, क्योंकि तू मेरे पिता दाऊद के साम्हने प्रभु यहोवा का सन्दूक उठाया करता था; और उन सब दु:खों में जो मेरे पिता पर पड़े थे तू भी दु:खी था।
Aur ebyataar yajak se raja ne kaha, anatot mein apni bhoomi ko ja; kyonki tu bhi prandand ke yogya hai. Aaj ke din to main tujhe na maar daloonga, kyonki tu mere pita Daud ke samhane Prabhu Yahowa ka sandook uthaya karta tha; aur un sab dukhon mein jo mere pita par pade the tu bhi dukhi tha.
और सुलैमान ने एब्यातार को यहोवा के याजक होने के पद से उतार दिया, इसलिये कि जो वचन यहोवा ने एली के वंश के विषय में शीलो में कहा था, वह पूरा हो जाए।
Aur sulaimaan ne ebyataar ko Yahowa ke yajak hone ke pad se utaar diya, isliye ki jo vachan Yahowa ne eli ke vansh ke vishay mein sheelo mein kaha tha, vah poora ho jaye.
इसका समाचार योआब तक पहुंचा; योआब अबशालोम के पीछे तो नहीं हो लिया था, परन्तु अदोनिय्याह के पीछे हो लिया था। तब योआब यहोवा के तम्बू को भाग गया, और वेदी के सींगों को पकड़ लिया।
Iska samachaar yoaab tak pahuncha; yoaab abshalom ke peechhe to nahi ho liya tha, parantu adoniyyaah ke peechhe ho liya tha. Tab yoaab Yahowa ke tambu ko bhaag gaya, aur vedi ke seengon ko pakad liya.
जब राजा सुलैमान को यह समाचार मिला, कि योआब यहोवा के तम्बू को भाग गया है, और वह वेदी के पास है, तब सुलैमान ने यहोयादा के पुत्र बनायाह को यह कहकर भेज दिया, कि तू जा कर उसे मार डाल।
Jab raja sulaimaan ko yah samachaar mila, ki yoaab Yahowa ke tambu ko bhaag gaya hai, aur vah vedi ke paas hai, tab sulaimaan ne yahoyada ke putra banayaah ko yah kahkar bhej diya, ki tu ja kar use maar daal.
तब बनायाह ने यहोवा के तम्बू के पास जा कर उस से कहा, राजा की यह आज्ञा है, कि निकल आ। उसने कहा, नहीं, मैं यहीं मर जाऊंगा। तब बनायाह ने लौटकर यह सन्देश राजा को दिया कि योआब ने मुझे यह उत्तर दिया।
Tab banayaah ne Yahowa ke tambu ke paas ja kar us se kaha, raja ki yah aagya hai, ki nikal aa. Usne kaha, nahi, main yahi mar jaoonga. Tab banayaah ne lautkar yah sandesh raja ko diya ki yoaab ne mujhe yah uttar diya.
राजा ने उस से कहा, उसके कहने के अनुसार उसको मार डाल, और उसे मिट्टी दे; ऐसा करके निर्दोषों का जो खून योआब ने किया है, उसका दोष तू मुझ पर से और मेरे पिता के घराने पर से दूर करेगा।
Raja ne us se kaha, uske kahne ke anusaar usko maar daal, aur use mitti de; aisa karke nirdoshon ka jo khoon yoaab ne kiya hai, uska dosh tu mujh par se aur mere pita ke gharane par se door karega.
और यहोवा उसके सिर वह खून लौटा देगा क्योंकि उसने मेरे पिता दाऊद के बिना जाने अपने से अधिक धर्मी और भले दो पुरुषों पर, अर्थात इस्राएल के प्रधान सेनापति नेर के पुत्र अब्नेर और यहूदा के प्रधान सेनापति येतेर के पुत्र अमासा पर टूटकर उन को तलवार से मार डाला था।
Aur Yahowa uske sir vah khoon lauta dega kyonki usne mere pita Daud ke bina jane apne se adhik dharmi aur bhale do purushon par, arthaat Israel ke pradhaan senapti ner ke putra abner aur Yahuda ke pradhaan senapti yeter ke putra amasa par tootkar un ko talvaar se maar dala tha.
यों योआब के सिर पर और उसकी सन्तान के सिर पर खून सदा तक रहेगा, परन्तु दाऊद और उसके वंश और उसके घराने और उसके राज्य पर यहोवा की ओर से शांति सदैव तक रहेगी।
Yon yoaab ke sir par aur uski santaan ke sir par khoon sada tak rahega, parantu Daud aur uske vansh aur uske gharane aur uske rajya par Yahowa ki or se shanti sadaiv tak rahegi.
तब यहोयादा के पुत्र बनायाह ने जा कर योआब को मार डाला; और उसको जंगल में उसी के घर में मिट्टी दी गई।
Tab yahoyada ke putra banayaah ne ja kar yoaab ko maar dala; aur usko jangal mein usi ke ghar mein mitti di gai.
तब राजा ने उसके स्थान पर यहोयादा के पुत्र बनायाह को प्रधान सेनापति ठहराया; और एब्यातार के स्थान पर सादोक याजक को ठहराया।
Tab raja ne uske sthaan par yahoyada ke putra banayaah ko pradhaan senapti thahraya; aur ebyataar ke sthaan par sadok yajak ko thahraya.
और राजा ने शिमी को बुलवा भेजा, और उस से कहा, तू यरूशलेम में अपना एक घर बनाकर वहीं रहना: और नगर से बाहर कहीं न जाना।
Aur raja ne shimi ko bulva bheja, aur us se kaha, tu Yerushalem mein apna ek ghar banakar vahi rahna: aur nagar se bahar kahi na jana.
तू निश्चय जान रख कि जिस दिन तू निकल कर किद्रोन नाले के पार उतरे, उसी दिन तू नि:सन्देह मार डाला जाएगा, और तेरा लोहू तेरे ही सिर पर पड़ेगा।
Tu nishchay jaan rakh ki jis din tu nikal kar kidron nale ke paar utre, usi din tu nisandeh maar dala jayega, aur tera lohu tere hi sir par padega.
शिमी ने राजा से कहा, बात अच्छी है; जैसा मेरे प्रभु राजा ने कहा है, वैसा ही तेरा दास करेगा। तब शिमी बहुत दिन यरूशलेम में रहा।
Shimi ne raja se kaha, baat achchhi hai; jaisa mere Prabhu raja ne kaha hai, vaisa hi tera daas karega. Tab shimi bahut din Yerushalem mein raha.
परन्तु तीन वर्ष के व्यतीत होने पर शिमी के दो दास, गत नगर के राजा माका के पुत्र आकीश के पास भाग गए, और शिमी को यह समाचार मिला, कि तेरे दास गत में हैं।
Parantu teen varsh ke vyateet hone par shimi ke do daas, gat nagar ke raja maka ke putra aakeesh ke paas bhaag gaye, aur shimi ko yah samachaar mila, ki tere daas gat mein hain.
तब शिमी उठ कर अपने गदहे पर काठी कसकर, अपने दास को ढूंढ़ने के लिये गत को आकीश के पास गया, और अपने दासों को गत से ले आया।
Tab shimi uth kar apne gadhe par kathi kaskar, apne daas ko dhoondhne ke liye gat ko aakeesh ke paas gaya, aur apne dason ko gat se le aaya.
जब सुलैमान राजा को इसका समाचार मिला, कि शिमी यरूशलेम से गत को गया, और फिर लौट आया है,
Jab sulaimaan raja ko iska samachaar mila, ki shimi Yerushalem se gat ko gaya, aur phir laut aaya hai,
तब उसने शिमी को बुलवा भेजा, और उस से कहा, क्या मैं ने तुझे यहोवा की शपथ न खिलाई थी? और तुझ से चिता कर न कहा था, कि यह निश्चय जान रख कि जिस दिन तू निकल कर कहीं चला जाए, उसी दिन तू नि:सन्देह मार डाला जाएगा? और क्या तू ने मुझ से न कहा था, कि जो बात मैं ने सुनी, वह अच्छी है?
Tab usne shimi ko bulva bheja, aur us se kaha, kya main ne tujhe Yahowa ki shapath na khilai thi? Aur tujh se chita kar na kaha tha, ki yah nishchay jaan rakh ki jis din tu nikal kar kahi chala jaye, usi din tu nisandeh maar dala jayega? Aur kya tu ne mujh se na kaha tha, ki jo baat main ne suni, vah achchhi hai?
फिर तू ने यहोवा की शपथ और मेरी दृढ़ आज्ञा क्यों नहीं मानी?
Phir tu ne Yahowa ki shapath aur meri dridh aagya kyon nahi mani?
और राजा ने शिमी से कहा, कि तू आप ही अपने मन में उस सब दुष्टता को जानता है, जो तू ने मेरे पिता दाऊद से की थी? इसलिये यहोवा तेरे सिर पर तेरी दुष्टता लौटा देगा।
Aur raja ne shimi se kaha, ki tu aap hi apne man mein us sab dushtata ko janta hai, jo tu ne mere pita Daud se ki thi? Isliye Yahowa tere sir par teri dushtata lauta dega.
परन्तु राजा सुलैमान धन्य रहेगा, और दाऊद का राज्य यहोवा के साम्हने सदैव दृढ़ रहेगा।
Parantu raja sulaimaan dhanya rahega, aur Daud ka rajya Yahowa ke samhane sadaiv dridh rahega.
तब राजा ने यहोयादा के पुत्र बनायाह को आज्ञा दी, और उसने बाहर जा कर, उसको ऐसा मारा कि वह भी मर गया। और सुलैमान के हाथ में राज्य दृढ़ हो गया।
Tab raja ne yahoyada ke putra banayaah ko aagya di, aur usne bahar ja kar, usko aisa mara ki vah bhi mar gaya. Aur sulaimaan ke haath mein rajya dridh ho gaya.