1 Kings 17 · 24 verses

1 राजाओं 17 1 Kings 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 rajaon 17.

1

और तिशबी एलिय्याह जो गिलाद के परदेशियों में से था उसने अहाब से कहा, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा जिसके सम्मुख मैं उपस्थित रहता हूँ, उसके जीवन की शपथ इन वर्षों में मेरे बिना कहे, न तो मेंह बरसेगा, और न ओस पड़ेगी।

Aur tishbi eliyyaah jo gilaad ke pardeshiyon mein se tha usne ahaab se kaha, Israel ka Parmeshwar Yahowa jiske sammukh main upasthit rahta hoon, uske jeevan ki shapath in varshon mein mere bina kahe, na to menh barsega, aur na os padegi.

2

तब यहोवा का यह वचन उसके पास पहुंचा,

Tab Yahowa ka yah vachan uske paas pahuncha,

3

कि यहां से चलकर पूरब ओर मुख करके करीत नाम नाले में जो यरदन के साम्हने है छिप जा।

Ki yahan se chalkar poorab or mukh karke kareet naam nale mein jo yardan ke samhane hai chhip ja.

4

उसी नाले का पानी तू पिया कर, और मैं ने कौवों को आज्ञा दी है कि वे तूझे वहां खिलाएं।

Usi nale ka pani tu piya kar, aur main ne kauvon ko aagya di hai ki ve toojhe vahan khilayen.

5

यहोवा का यह वचन मान कर वह यरदन के साम्हने के करीत नाम नाले में जा कर छिपा रहा।

Yahowa ka yah vachan maan kar vah yardan ke samhane ke kareet naam nale mein ja kar chhipa raha.

6

और सवेरे और सांझ को कौवे उसके पास रोटी और मांस लाया करते थे और वह नाले का पानी पिया करता था।

Aur savere aur saanjh ko kauve uske paas roti aur maans laya karte the aur vah nale ka pani piya karta tha.

7

कुछ दिनों के बाद उस देश में वर्षा न होने के कारण नाला सूख गया।

Kuchh dinon ke baad us desh mein varsha na hone ke karan nala sookh gaya.

8

तब यहोवा का यह वचन उसके पास पहुंचा,

Tab Yahowa ka yah vachan uske paas pahuncha,

9

कि चलकर सीदोन के सारपत नगर में जा कर वहीं रह: सुन, मैं ने वहां की एक विधवा को तेरे खिलाने की आज्ञा दी है।

Ki chalkar seedon ke sarpat nagar mein ja kar vahi rah: sun, main ne vahan ki ek vidhva ko tere khilane ki aagya di hai.

10

सो वह वहां से चल दिया, और सारपत को गया; नगर के फाटक के पास पहुंच कर उसने क्या देखा कि, एक विधवा लकड़ी बीन रही है, उसको बुलाकर उसने कहा, किसी पात्र में मेरे पीने को थोड़ा पानी ले आ।

So vah vahan se chal diya, aur sarpat ko gaya; nagar ke phatak ke paas pahunch kar usne kya dekha ki, ek vidhva lakdi been rahi hai, usko bulakar usne kaha, kisi patra mein mere peene ko thoda pani le aa.

11

जब वह लेने जा रही थी, तो उसने उसे पुकार के कहा अपने हाथ में एक टुकड़ा रोटी भी मेरे पास लेती आ।

Jab vah lene ja rahi thi, to usne use pukaar ke kaha apne haath mein ek tukda roti bhi mere paas leti aa.

12

उसने कहा, तेरे परमेश्वर यहोवा के जीवन की शपथ मेरे पास एक भी रोटी नहीं है केवल घड़े में मुट्ठी भर मैदा और कुप्पी में थोड़ा सा तेल है, और मैं दो एक लकड़ी बीनकर लिए जाती हूँ कि अपने और अपने बेटे के लिये उसे पकाऊं, और हम उसे खाएं, फिर मर जाएं।

Usne kaha, tere Parmeshwar Yahowa ke jeevan ki shapath mere paas ek bhi roti nahi hai keval ghade mein mutthi bhar maida aur kuppi mein thoda sa tel hai, aur main do ek lakdi beenkar liye jati hoon ki apne aur apne bete ke liye use pakaun, aur ham use khayen, phir mar jayen.

13

एलिय्याह ने उस से कहा, मत डर; जा कर अपनी बात के अनुसार कर, परन्तु पहिले मेरे लिये एक छोटी सी रोटी बना कर मेरे पास ले आ, फिर इसके बाद अपने और अपने बेटे के लिये बनाना।

Eliyyaah ne us se kaha, mat dar; ja kar apni baat ke anusaar kar, parantu pahile mere liye ek chhoti si roti bana kar mere paas le aa, phir iske baad apne aur apne bete ke liye banana.

14

क्योंकि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि जब तक यहोवा भूमि पर मेंह न बरसाएगा तब तक न तो उस घड़े का मैदा चुकेगा, और न उस कुप्पी का तेल घटेगा।

Kyonki Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki jab tak Yahowa bhoomi par menh na barsayega tab tak na to us ghade ka maida chukega, aur na us kuppi ka tel ghatega.

15

तब वह चली गई, और एलिय्याह के वचन के अनुसार किया, तब से वह और स्त्री और उसका घराना बहुत दिन तक खाते रहे।

Tab vah chali gai, aur eliyyaah ke vachan ke anusaar kiya, tab se vah aur stri aur uska gharana bahut din tak khate rahe.

16

यहोवा के उस वचन के अनुसार जो उसने एलिय्याह के द्वारा कहा था, न तो उस घड़े का मैदा चुका, और न उस कुप्पी का तेल घट गया।

Yahowa ke us vachan ke anusaar jo usne eliyyaah ke dwara kaha tha, na to us ghade ka maida chuka, aur na us kuppi ka tel ghat gaya.

17

इन बातों के बाद उस स्त्री का बेटा जो घर की स्वामिनी थी, रोगी हुआ, और उसका रोग यहां तक बढ़ा कि उसका सांस लेना बन्द हो गया।

In baton ke baad us stri ka beta jo ghar ki swamini thi, rogi huaa, aur uska rog yahan tak badha ki uska saans lena band ho gaya.

18

तब वह एलिय्याह से कहने लगी, हे परमेश्वर के जन! मेरा तुझ से क्या काम? क्या तू इसलिये मेरे यहां आया है कि मेरे बेटे की मृत्यु का कारण हो और मेरे पाप का स्मरण दिलाए?

Tab vah eliyyaah se kahne lagi, he Parmeshwar ke jan! Mera tujh se kya kaam? Kya tu isliye mere yahan aaya hai ki mere bete ki mrityu ka karan ho aur mere paap ka smaran dilaye?

19

उसने उस से कहा अपना बेटा मुझे दे; तब वह उसे उसकी गोद से ले कर उस अटारी पर ले गया जहां वह स्वयं रहता था, और अपनी खाट पर लिटा दिया।

Usne us se kaha apna beta mujhe de; tab vah use uski god se le kar us atari par le gaya jahan vah swayan rahta tha, aur apni khaat par lita diya.

20

तब उसने यहोवा को पुकार कर कहा, हे मेरे परमेश्वर यहोवा! क्या तू इस विधवा का बेटा मार डाल कर जिसके यहां मैं टिका हूं, इस पर भी विपत्ति ले आया है?

Tab usne Yahowa ko pukaar kar kaha, he mere Parmeshwar Yahowa! Kya tu is vidhva ka beta maar daal kar jiske yahan main tika hoon, is par bhi vipatti le aaya hai?

21

तब वह बालक पर तीन बार पसर गया और यहोवा को पुकार कर कहा, हे मेरे परमेश्वर यहोवा! इस बालक का प्राण इस में फिर डाल दे।

Tab vah balak par teen baar pasar gaya aur Yahowa ko pukaar kar kaha, he mere Parmeshwar Yahowa! Is balak ka praan is mein phir daal de.

22

एलिय्याह की यह बात यहोवा ने सुन ली, और बालक का प्राण उस में फिर आ गया और वह जी उठा।

Eliyyaah ki yah baat Yahowa ne sun li, aur balak ka praan us mein phir aa gaya aur vah ji utha.

23

तब एलिय्याह बालक को अटारी पर से नीचे घर में ले गया, और एलिय्याह ने यह कहकर उसकी माता के हाथ में सौंप दिया, कि देख तेरा बेटा जीवित है।

Tab eliyyaah balak ko atari par se neeche ghar mein le gaya, aur eliyyaah ne yah kahkar uski mata ke haath mein saump diya, ki dekh tera beta jeevit hai.

24

स्त्री ने एलिय्याह से कहा, अब मुझे निश्चय हो गया है कि तू परमेश्वर का जन है, और यहोवा का जो वचन तेरे मुंह से निकलता है, वह सच होता है।

Stri ne eliyyaah se kaha, ab mujhe nishchay ho gaya hai ki tu Parmeshwar ka jan hai, aur Yahowa ka jo vachan tere munh se nikalta hai, vah sach hota hai.