और बाशा के विषय यहोवा का यह वचन हनानी के पुत्र येहू के पास पहुंचा,
Aur basha ke vishay Yahowa ka yah vachan hanani ke putra yehu ke paas pahuncha,
1 Kings 16 · 34 verses
और बाशा के विषय यहोवा का यह वचन हनानी के पुत्र येहू के पास पहुंचा,
Aur basha ke vishay Yahowa ka yah vachan hanani ke putra yehu ke paas pahuncha,
कि मैं ने तुझ को मिट्टी पर से उठा कर अपनी प्रजा इस्राएल का प्रधान किया, परन्तु तू यारोबाम की सी चाल चलता और मेरी प्रजा इस्राएल से ऐसे पाप कराता आया है जिन से वे मुझे क्रोध दिलाते हैं।
Ki main ne tujh ko mitti par se utha kar apni praja Israel ka pradhaan kiya, parantu tu yarobaam ki si chaal chalta aur meri praja Israel se aise paap karata aaya hai jin se ve mujhe krodh dilate hain.
सुन, मैं बाशा और उसके घराने की पूरी रीति से सफाई कर दूंगा और तेरे घराने को नबात के पुत्र यारोबाम के समान कर दूंगा।
Sun, main basha aur uske gharane ki poori reeti se saphai kar doonga aur tere gharane ko nabaat ke putra yarobaam ke samaan kar doonga.
बाशा के घर का जो कोई नगर में मर जाए, उसको कुत्ते खा डालेंगे, और उसका जो कोई मैदान में मर जाए, उसको आकाश के पक्षी खा डालेंगे।
Basha ke ghar ka jo koi nagar mein mar jaye, usko kutte kha dalenge, aur uska jo koi maidaan mein mar jaye, usko aakaash ke pakshi kha dalenge.
बाशा के और सब काम जो उसने किए, और उसकी वीरता यह सब क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?
Basha ke aur sab kaam jo usne kiye, aur uski veerta yah sab kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?
निदान बाशा अपने पुरखाओं के संग सो गया और तिर्सा में उसे मिट्टी दी गई, और उसका पुत्र एला उसके स्थान पर राज्य करने लगा।
Nidaan basha apne purkhaon ke sang so gaya aur tirsa mein use mitti di gai, aur uska putra ela uske sthaan par rajya karne laga.
यहोवा का जो वचन हनानी के पुत्र येहू के द्वारा बाशा और उसके घराने के विरुद्ध आया, वह न केवल उन सब बुराइयों के कारण आया जो उसने यारोबाम के घराने के समान हो कर यहोवा की दृष्टि में किया था और अपने कामों से उसको क्रोधित किया, वरन इस कारण भी आया, कि उसने उसको मार डाला था।
Yahowa ka jo vachan hanani ke putra yehu ke dwara basha aur uske gharane ke viruddh aaya, vah na keval un sab buraiyon ke karan aaya jo usne yarobaam ke gharane ke samaan ho kar Yahowa ki drishti mein kiya tha aur apne kamon se usko krodhit kiya, varan is karan bhi aaya, ki usne usko maar dala tha.
यहूदा के राजा आसा के छब्बीसवें वर्ष में बाशा का पुत्र एला तिर्सा में इस्राएल पर राज्य करने लगा, और दो वर्ष तक राज्य करता रहा।
Yahuda ke raja aasa ke chhabbeesvein varsh mein basha ka putra ela tirsa mein Israel par rajya karne laga, aur do varsh tak rajya karta raha.
जब वह तिर्सा में अर्सा नाम भणडारी के घर में जो उसके तिर्सा वाले भवन का प्रधान था, दारू पीकर मतवाला हो गया था, तब उसके जिम्री नाम एक कर्मचारी ने जो उसके आधे रथों का प्रधान था,
Jab vah tirsa mein arsa naam bhandari ke ghar mein jo uske tirsa vale bhavan ka pradhaan tha, daru peekar matvala ho gaya tha, tab uske jimri naam ek karmachari ne jo uske aadhe rathon ka pradhaan tha,
राजद्रोह की गोष्ठी की और भीतर जा कर उसको मार डाला, और उसके स्थान पर राजा बन गया। यह यहूदा के राजा आसा के सत्ताइसवें वर्ष में हुआ।
Rajadroh ki goshthi ki aur bheetar ja kar usko maar dala, aur uske sthaan par raja ban gaya. Yah Yahuda ke raja aasa ke sattaisvein varsh mein huaa.
और जब वह राज्य करने लगा, तब गद्दी पर बैठते ही उसने बाशा के पूरे घराने को मार डाला, वरन उसने न तो उसके कुटुम्बियों और न उसके मित्रों में से एक लड़के को भी जीवित छोड़ा।
Aur jab vah rajya karne laga, tab gaddi par baithte hi usne basha ke poore gharane ko maar dala, varan usne na to uske kutumbiyon aur na uske mitron mein se ek ladke ko bhi jeevit chhoda.
इस रीति यहोवा के उस वचन के अनुसार जो उसने येहू नबी के द्वारा बाशा के विरुद्ध कहा था, जिम्री ने बाशा का समस्त घराना नष्ट कर दिया।
Is reeti Yahowa ke us vachan ke anusaar jo usne yehu nabi ke dwara basha ke viruddh kaha tha, jimri ne basha ka samast gharana nasht kar diya.
इसका कारण बाशा के सब पाप और उसके पुत्र एला के भी पाप थे, जो उन्होंने स्वयं आप करके और इस्राएल से भी करवा के इस्राएल के परमेश्वर यहोवा को व्यर्थ बातों से क्रोध दिलाया था।
Iska karan basha ke sab paap aur uske putra ela ke bhi paap the, jo unhonne swayan aap karke aur Israel se bhi karva ke Israel ke Parmeshwar Yahowa ko vyarth baton se krodh dilaya tha.
एला के और सब काम जो उसने किए, वह क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं।
Ela ke aur sab kaam jo usne kiye, vah kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain.
यहूदा के राजा आसा के सत्ताईसवें वर्ष में जिम्री तिर्सा में राज्य करने लगा, और तिर्सा में सात दिन तक राज्य करता रहा। उस समय लोग पलिश्तियों के देश गिब्बतोन के विरुद्ध डेरे किए हुए थे।
Yahuda ke raja aasa ke sattaisvein varsh mein jimri tirsa mein rajya karne laga, aur tirsa mein saat din tak rajya karta raha. Us samay log palishtiyon ke desh gibbaton ke viruddh dere kiye hue the.
तो जब उन डेरे लगाए हुए लोगों ने सुना, कि जिम्री ने राजद्रोह की गोष्ठी करके राजा को मार डाला, तब उसी दिन समस्त इस्राएल ने ओम्री नाम प्रधान सेनापति को छावनी में इस्राएल का राजा बनाया।
To jab un dere lagaye hue logon ne suna, ki jimri ne rajadroh ki goshthi karke raja ko maar dala, tab usi din samast Israel ne omri naam pradhaan senapti ko chhavni mein Israel ka raja banaya.
तब ओम्री ने समस्त इस्राएल को संग ले गिब्बतोन को छोड़कर तिर्सा को घेर लिया।
Tab omri ne samast Israel ko sang le gibbaton ko chhodkar tirsa ko gher liya.
जब जिम्री ने देखा, कि नगर ले लिया गया है, तब राजभवन के गुम्मट में जा कर राजभवन में आग लगा दी, और उसी में स्वयं जल मरा।
Jab jimri ne dekha, ki nagar le liya gaya hai, tab rajabhvan ke gummat mein ja kar rajabhvan mein aag laga di, aur usi mein swayan jal mara.
यह उसके पापों के कारण हुआ क्योंकि उसने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था, क्योकि वह यारोबाम की सी चाल और उसके किए हुए और इस्राएल से करवाए हुए पाप की लीक पर चला।
Yah uske papon ke karan huaa kyonki usne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein bura tha, kyoki vah yarobaam ki si chaal aur uske kiye hue aur Israel se karvaye hue paap ki leek par chala.
जिम्री के और काम और जो राजद्रोह की गोष्ठी उसने की, यह सब क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?
Jimri ke aur kaam aur jo rajadroh ki goshthi usne ki, yah sab kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?
तब इस्राएली प्रजा के दो भाग किए गए, प्रजा के आधे लोग तो तिब्नी नाम गीनत के पुत्र को राजा करने के लिये उसी के पीछे हो लिए, और आधे ओम्री के पीछे हो लिए।
Tab Israeli praja ke do bhaag kiye gaye, praja ke aadhe log to tibni naam geenat ke putra ko raja karne ke liye usi ke peechhe ho liye, aur aadhe omri ke peechhe ho liye.
अन्त में जो लोग ओम्री के पीछे हुए थे वे उन पर प्रबल हुए जो गीनत के पुत्र तिब्नी के पीछे हो लिए थे, इसलिये तिब्नी मारा गया और ओम्री राजा बन गया।
Ant mein jo log omri ke peechhe hue the ve un par prabal hue jo geenat ke putra tibni ke peechhe ho liye the, isliye tibni mara gaya aur omri raja ban gaya.
यहूदा के राजा आशा के इकतीसवें वर्ष में ओम्री इस्राएल पर राज्य करने लगा, और बारह वर्ष तक राज्य करता रहा; उसने छ:वर्ष तो तिर्सा में राज्य किया।
Yahuda ke raja aasha ke ikteesvein varsh mein omri Israel par rajya karne laga, aur barah varsh tak rajya karta raha; usne chhavarsh to tirsa mein rajya kiya.
और उसने शमेर से शोमरोन पहाड़ को दो किक्कार चांदी में मोल ले कर, उस पर एक नगर बसाया; और अपने बसाए हुए नगर का नाम पहाड़ के मालिक शेमेर के नाम पर शोमरोन रखा।
Aur usne shamer se shomron pahaad ko do kikkaar chandi mein mol le kar, us par ek nagar basaya; aur apne basaye hue nagar ka naam pahaad ke malik shemer ke naam par shomron rakha.
और ओम्री ने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था वरन उन सभों से भी जो उस से पहिले थे अधिक बुराई की।
Aur omri ne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein bura tha varan un sabhon se bhi jo us se pahile the adhik burai ki.
वह नबात के पुत्र यारोबाम की सी सब चाल चला, और उसके सब पापों के अनुसार जो उसने इस्राएल से करवाए थे जिसके कारण इस्राएल के परमेश्वर यहोवा को उन्होंने अपने व्यर्थ कर्मों से क्रोध दिलाया था।
Vah nabaat ke putra yarobaam ki si sab chaal chala, aur uske sab papon ke anusaar jo usne Israel se karvaye the jiske karan Israel ke Parmeshwar Yahowa ko unhonne apne vyarth karmon se krodh dilaya tha.
ओम्री के और काम जो उसने किए, और जो वीरता उसने दिखाई, यह सब क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?
Omri ke aur kaam jo usne kiye, aur jo veerta usne dikhai, yah sab kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?
निदान ओम्री अपने पुरखाओं के संग सो गया और शोमरोन में उसको मिट्टी दी गई, और उसका पुत्र अहाब उसके स्थान पर राज्य करने लगा।
Nidaan omri apne purkhaon ke sang so gaya aur shomron mein usko mitti di gai, aur uska putra ahaab uske sthaan par rajya karne laga.
यहूदा के राजा आसा के अड़तीसवें वर्ष में ओम्री का पुत्र अहाब इस्राएल पर राज्य करने लगा, और इस्राएल पर शोमरोन में बाईस वर्ष तक राज्य करता रहा।
Yahuda ke raja aasa ke adteesvein varsh mein omri ka putra ahaab Israel par rajya karne laga, aur Israel par shomron mein bais varsh tak rajya karta raha.
और ओम्री के पुत्र अहाब ने उन सब से अधिक जो उस से पहिले थे, वह कर्म किए जो यहोवा की दृष्टि में बुरे थे।
Aur omri ke putra ahaab ne un sab se adhik jo us se pahile the, vah karm kiye jo Yahowa ki drishti mein bure the.
उसने तो नबात के पुत्र यारोबाम के पापों में चलना हलकी सी बात जानकर, सीदोनियों के राजा एतबाल की बेटी ईजेबेल को ब्याह कर बाल देवता की उपासना की और उसको दण्डवत किया।
Usne to nabaat ke putra yarobaam ke papon mein chalna halki si baat jankar, seedoniyon ke raja etbaal ki beti ijebel ko byaah kar baal devta ki upasna ki aur usko dandavat kiya.
और उसने बाल का एक भवन शोमरोन में बनाकर उस में बाल की एक वेदी बनाईं।
Aur usne baal ka ek bhavan shomron mein banakar us mein baal ki ek vedi banai.
और अहाब ने एक अशेरा भी बनाया, वरन उसने उन सब इस्राएली राजाओं से बढ़ कर जो उस से पहिले थे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा को क्रोध दिलाने के काम किए।
Aur ahaab ne ek ashera bhi banaya, varan usne un sab Israeli rajaon se badh kar jo us se pahile the Israel ke Parmeshwar Yahowa ko krodh dilane ke kaam kiye.
उसके दिनों में बेतेलवासी हीएल ने यरीहो को फिर बसाया; जब उसने उसकी नेव डाली तब उसका जेठा पुत्र अबीराम मर गया, और जब उसने उसके फाटक खड़े किए तब उसका लहुरा पुत्र सगूब मर गया, यह यहोवा के उस वचन के अनुसार हुआ, जो उसने नून के पुत्र यहोशू के द्वारा कहलवाया था।
Uske dinon mein betelvasi heeyel ne yareeho ko phir basaya; jab usne uski nev dali tab uska jetha putra abeeraam mar gaya, aur jab usne uske phatak khade kiye tab uska lahura putra sagoob mar gaya, yah Yahowa ke us vachan ke anusaar huaa, jo usne noon ke putra yahoshu ke dwara kahalvaya tha.