1 Kings 13 · 34 verses

1 राजाओं 13 1 Kings 13 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 rajaon 13.

1

तब यहोवा से वचन पाकर परमेश्वर का एक जन यहूदा से बेतेल को आया, और यारोबाम धूप जलाने के लिये वेदी के पास खड़ा था।

Tab Yahowa se vachan pakar Parmeshwar ka ek jan Yahuda se betel ko aaya, aur yarobaam dhoop jalane ke liye vedi ke paas khada tha.

2

उस जन ने यहोवा से वचन पाकर वेदी के विरुद्ध यों पुकारा, कि वेदी, हे वेदी! यहोवा यों कहता है, कि सुन, दाऊद के कुल में योशिय्याह नाम एक लड़का उत्पन्न होगा, वह उन ऊंचे स्थानों के याजकों को जो तुझ पर धूप जलाते हैं, तुझ पर बलि कर देगा; और तुझ पर मनुष्यों की हड्डियां जलाई जाएंगी।

Us jan ne Yahowa se vachan pakar vedi ke viruddh yon pukara, ki vedi, he vedi! Yahowa yon kahta hai, ki sun, Daud ke kul mein yoshiyyaah naam ek ladka utpann hoga, vah un oonche sthanon ke yajkon ko jo tujh par dhoop jalate hain, tujh par bali kar dega; aur tujh par manushyon ki haddiyan jalai jayengi.

3

और उसने, उसी दिन यह कहकर उस बात का एक चिन्ह भी बताया, कि यह वचन जो यहोवा ने कहा है, इसका चिन्ह यह है कि यह वेदी फट जाएगी, और इस पर की राख गिर जाएगी।

Aur usne, usi din yah kahkar us baat ka ek chinh bhi bataya, ki yah vachan jo Yahowa ne kaha hai, iska chinh yah hai ki yah vedi phat jayegi, aur is par ki raakh gir jayegi.

4

तब ऐसा हुआ कि परमेश्वर के जन का यह वचन सुनकर जो उसने बेतेल के विरुद्ध पुकार कर कहा, यारोबाम ने वेदी के पास से हाथ बढ़ाकर कहा, उसको पकड़ लो: तब उसका हाथ जो उसकी ओर बढ़ाया गया था, सूख गया और वह उसे अपनी ओर खींच न सका।

Tab aisa huaa ki Parmeshwar ke jan ka yah vachan sunkar jo usne betel ke viruddh pukaar kar kaha, yarobaam ne vedi ke paas se haath badhakar kaha, usko pakad lo: tab uska haath jo uski or badhaya gaya tha, sookh gaya aur vah use apni or kheench na saka.

5

और वेदी फट गई, और उस पर की राख गिर गई; सो वह चिन्ह पूरा हुआ, जो परमेश्वर के जन ने यहोवा से वचन पाकर कहा था।

Aur vedi phat gai, aur us par ki raakh gir gai; so vah chinh poora huaa, jo Parmeshwar ke jan ne Yahowa se vachan pakar kaha tha.

6

तब राजा ने परमेश्वर के जन से कहा, अपने परमेश्वर यहोवा को मना और मेरे लिये प्रार्थना कर, कि मेरा हाथ ज्यों का त्यों हो जाए: तब परमेश्वर के जन ने यहोवा को मनाया और राजा का हाथ फिर ज्यों का त्यों हो गया।

Tab raja ne Parmeshwar ke jan se kaha, apne Parmeshwar Yahowa ko mana aur mere liye prarthana kar, ki mera haath jyon ka tyon ho jaye: tab Parmeshwar ke jan ne Yahowa ko manaya aur raja ka haath phir jyon ka tyon ho gaya.

7

तब राजा ने परमेश्वर के जन से कहा, मेरे संग घर चलकर अपना प्राण ठंडा कर, और मैं तुझे दान भी दूंगा।

Tab raja ne Parmeshwar ke jan se kaha, mere sang ghar chalkar apna praan thanda kar, aur main tujhe daan bhi doonga.

8

परमेश्वर के जन ने राजा से कहा, चाहे तू मुझे अपना आधा घर भी दे, तौभी तेरे घर न चलूंगा; और इस स्थान में मैं न तो रोटी खाऊंगा और न पानी पीऊंगा।

Parmeshwar ke jan ne raja se kaha, chahe tu mujhe apna aadha ghar bhi de, taubhi tere ghar na chaloonga; aur is sthaan mein main na to roti khaoonga aur na pani peeoonga.

9

क्योंकि यहोवा के वचन के द्वारा मुझे यों आज्ञा मिली है, कि न तो रोटी खाना, और न पानी पीना, और न उस मार्ग से लौटना जिस से तू जाएगा।

Kyonki Yahowa ke vachan ke dwara mujhe yon aagya mili hai, ki na to roti khana, aur na pani peena, aur na us maarg se lautna jis se tu jayega.

10

इसलिये वह उस मार्ग से जिसे बेतेल को गया था न लौटकर, दूसरे मार्ग से चला गया।

Isliye vah us maarg se jise betel ko gaya tha na lautkar, doosre maarg se chala gaya.

11

बेतेल में एक बूढ़ा नबी रहता था, और उसके एक बेटे ने आकर उस से उन सब कामों का वर्णन किया जो परमेश्वर के जन ने उस दिन बेतेल में किए थे; और जो बातें उसने राजा से कही थीं, उन को भी उसने अपने पिता से कह सुनाया।

Betel mein ek boodha nabi rahta tha, aur uske ek bete ne aakar us se un sab kamon ka varnan kiya jo Parmeshwar ke jan ne us din betel mein kiye the; aur jo batein usne raja se kahi thi, un ko bhi usne apne pita se kah sunaya.

12

उसके बेटों ने तो यह देखा था, कि परमेश्वर का वह जन जो यहूदा से आया था, किस मार्ग से चला गया, सो उनके पिता ने उन से पूछा, वह किस मार्ग से चला गया?

Uske beton ne to yah dekha tha, ki Parmeshwar ka vah jan jo Yahuda se aaya tha, kis maarg se chala gaya, so unke pita ne un se poochha, vah kis maarg se chala gaya?

13

और उसने अपने बेटों से कहा, मेरे लिये गदहे पर काठी बान्धो; तब उन्होंने गदहे पर काठी बान्धी, और वह उस पर चढ़ा,

Aur usne apne beton se kaha, mere liye gadhe par kathi bandho; tab unhonne gadhe par kathi bandhi, aur vah us par chadha,

14

और परमेश्वर के जन के पीछे जा कर उसे एक बांजवृझ के तले बैठा हुआ पाया; और उस से पूछा, परमेश्वर का जो जन यहूदा से आया था, क्या तू वही है?

Aur Parmeshwar ke jan ke peechhe ja kar use ek banjvrijh ke tale baitha huaa paya; aur us se poochha, Parmeshwar ka jo jan Yahuda se aaya tha, kya tu vahi hai?

15

उसने कहा हां, वही हूँ। उसने उस से कहा, मेरे संग घर चलकर भोजन कर।

Usne kaha han, vahi hoon. Usne us se kaha, mere sang ghar chalkar bhojan kar.

16

उसने उस से कहा, मैं न तो तेरे संग लौट सकता, और न तेरे संग घर में जा सकता हूँ और न मैं इस स्थान में तेरे संग रोटी खाऊंगा, वा पानी पीऊंगा।

Usne us se kaha, main na to tere sang laut sakta, aur na tere sang ghar mein ja sakta hoon aur na main is sthaan mein tere sang roti khaoonga, va pani peeoonga.

17

क्योंकि यहोवा के वचन के द्वारा मुझे यह आज्ञा मिली है, कि वहां न तो रोटी खाना और न पानी पीना, और जिस मार्ग से तू जाएगा उस से न लौटना।

Kyonki Yahowa ke vachan ke dwara mujhe yah aagya mili hai, ki vahan na to roti khana aur na pani peena, aur jis maarg se tu jayega us se na lautna.

18

उसने कहा, जैसा तू नबी है वैसा ही मैं भी नबी हूँ; और मुझ से एक दूत ने यहोवा से वचन पाकर कहा, कि उस पुरुष को अपने संग अपने घर लौटा ले आ, कि वह रोटी खाए, और पानी पीए। यह उसने उस से झूठ कहा।

Usne kaha, jaisa tu nabi hai vaisa hi main bhi nabi hoon; aur mujh se ek doot ne Yahowa se vachan pakar kaha, ki us purush ko apne sang apne ghar lauta le aa, ki vah roti khaye, aur pani peeye. Yah usne us se jhooth kaha.

19

अतएव वह उसके संग लौट गया और उसके घर में रोटी खाई और पानी पीया।

Atayev vah uske sang laut gaya aur uske ghar mein roti khai aur pani peeya.

20

और जब वे मेज पर बैठे ही थे, कि यहोवा का वचन उस नबी के पास पहुंचा, जो दूसरे को लौटा ले आया था।

Aur jab ve mej par baithe hi the, ki Yahowa ka vachan us nabi ke paas pahuncha, jo doosre ko lauta le aaya tha.

21

और उसने परमेश्वर के उस जन को जो यहूदा से आया था, पुकार के कहा, यहोवा यों कहता है इसलिये कि तू ने यहोवा का वचन न माना, और जो आज्ञा तेरे परमेश्वर यहोवा ने तुझे दी थी उसे भी नहीं माना;

Aur usne Parmeshwar ke us jan ko jo Yahuda se aaya tha, pukaar ke kaha, Yahowa yon kahta hai isliye ki tu ne Yahowa ka vachan na mana, aur jo aagya tere Parmeshwar Yahowa ne tujhe di thi use bhi nahi mana;

22

परन्तु जिस स्थान के विषय उसने तुझ से कहा था, कि उस में न तो रोटी खाना और न पानी पीना, उसी में तू ने लौट कर रोटी खाई, और पानी भी पिया है इस कारण तुझे अपने पुरखाओं के कब्रिस्तान में मिट्टी नहीं दी जाएगी।

Parantu jis sthaan ke vishay usne tujh se kaha tha, ki us mein na to roti khana aur na pani peena, usi mein tu ne laut kar roti khai, aur pani bhi piya hai is karan tujhe apne purkhaon ke kabristaan mein mitti nahi di jayegi.

23

जब यह खा पी चुका, तब उसने परमेश्वर के उस जन के लिये जिस को वह लौटा ले आया था गदहे पर काठी बन्धाई।

Jab yah kha pi chuka, tab usne Parmeshwar ke us jan ke liye jis ko vah lauta le aaya tha gadhe par kathi bandhai.

24

जब वह मार्ग में चल रहा था, तो एक सिंह उसे मिला, और उसको मार डाला, और उसकी लोथ मार्ग पर पड़ी रही, और गदहा उसके पास खड़ा रहा और सिंह भी लोथ के पास खड़ा रहा।

Jab vah maarg mein chal raha tha, to ek sinh use mila, aur usko maar dala, aur uski loth maarg par padi rahi, aur gadha uske paas khada raha aur sinh bhi loth ke paas khada raha.

25

जो लोग उधर से चले आ रहे थे उन्होंने यह देख कर कि मार्ग पर एक लोथ पड़ी है, और उसके पास सिंह खड़ा है, उस नगर में जा कर जहां वह बूढ़ा नबी रहता था यह समाचार सुनाया।

Jo log udhar se chale aa rahe the unhonne yah dekh kar ki maarg par ek loth padi hai, aur uske paas sinh khada hai, us nagar mein ja kar jahan vah boodha nabi rahta tha yah samachaar sunaya.

26

यह सुनकर उस नबी ने जो उसको मार्ग पर से लौटा ले आया था, कहा, परमेश्वर का वही जन होगा, जिसने यहोवा के वचन के विरुद्ध किया था, इस कारण यहोवा ने उसको सिंह के पंजे में पड़ने दिया; और यहोवा के उस वचन के अनुसार जो उसने उस से कहा था, सिंह ने उसे फाड़कर मार डाला होगा।

Yah sunkar us nabi ne jo usko maarg par se lauta le aaya tha, kaha, Parmeshwar ka vahi jan hoga, jisne Yahowa ke vachan ke viruddh kiya tha, is karan Yahowa ne usko sinh ke panje mein padne diya; aur Yahowa ke us vachan ke anusaar jo usne us se kaha tha, sinh ne use phadkar maar dala hoga.

27

तब उसने अपने बेटों से कहा, मेरे लिये गदहे पर काठी बान्धो; जब उन्होंने काठी बान्धी,

Tab usne apne beton se kaha, mere liye gadhe par kathi bandho; jab unhonne kathi bandhi,

28

तब उसने जा कर उस जन की लोथ मार्ग पर पड़ी हुई, और गदहे, और सिंह दोनों को लोथ के पास खड़े हुए पाया, और यह भी कि सिंह ने न तो लोथ को खाया, और न गदहे को फाड़ा है।

Tab usne ja kar us jan ki loth maarg par padi hui, aur gadhe, aur sinh donon ko loth ke paas khade hue paya, aur yah bhi ki sinh ne na to loth ko khaya, aur na gadhe ko phada hai.

29

तब उस बूढ़े नबी ने परमेश्वर के जन की लोथ उठा कर गदहे पर लाद ली, और उसके लिये छाती पीटने लगा, और उसे मिट्टी देने को अपने नगर में लौटा ले गया।

Tab us boodhe nabi ne Parmeshwar ke jan ki loth utha kar gadhe par laad li, aur uske liye chhati peetne laga, aur use mitti dene ko apne nagar mein lauta le gaya.

30

और उसने उसकी लोथ को अपने कब्रिस्तान में रखा, और लोग हाय, मेरे भाई! यह कह कर छाती पीटने लगे।

Aur usne uski loth ko apne kabristaan mein rakha, aur log haay, mere bhai! Yah kah kar chhati peetne lage.

31

फिर उसे मिट्टी देकर उसने अपने बेटों से कहा, जब मैं मर जाऊंगा तब मुझे इसी कब्रिस्तान में रखना, जिस में परमेश्वर का यह जन रखा गया है, और मेरी हड्डियां उसी की हड्डियों के पास धर देना।

Phir use mitti dekar usne apne beton se kaha, jab main mar jaoonga tab mujhe isi kabristaan mein rakhna, jis mein Parmeshwar ka yah jan rakha gaya hai, aur meri haddiyan usi ki haddiyon ke paas dhar dena.

32

क्योंकि जो वचन उसने यहोवा से पाकर बेतेल की वेदी और शोमरोन के नगरों के सब ऊंचे स्थानों के भवनों के विरुद्ध पुकार के कहा है, वह निश्चय पूरा हो जाएगा।

Kyonki jo vachan usne Yahowa se pakar betel ki vedi aur shomron ke nagron ke sab oonche sthanon ke bhavnon ke viruddh pukaar ke kaha hai, vah nishchay poora ho jayega.

33

इसके बाद यारोबाम अपनी बुरी चाल से न फिरा। उसने फिर सब प्रकार के लोगो में से ऊंचे स्थानों के याजक बनाए, वरन जो कोई चाहता था, उसका संस्कार करके, वह उसको ऊंचे स्थानों का याजक होने को ठहरा देता था।

Iske baad yarobaam apni buri chaal se na phira. Usne phir sab prakaar ke logo mein se oonche sthanon ke yajak banaye, varan jo koi chahta tha, uska sanskaar karke, vah usko oonche sthanon ka yajak hone ko thahra deta tha.

34

और यह बात यारोबाम के घराने का पाप ठहरी, इस कारण उसका विनाश हुआ, और वह धरती पर से नाश किया गया।

Aur yah baat yarobaam ke gharane ka paap thahri, is karan uska vinaash huaa, aur vah dharti par se naash kiya gaya.