रहूबियाम तो शकेम को गया, क्योंकि सब इस्राएली उसको राजा बनाने के लिये वहीं गए थे।
Rahoobiyaam to shakem ko gaya, kyonki sab Israeli usko raja banane ke liye vahi gaye the.
1 Kings 12 · 33 verses
रहूबियाम तो शकेम को गया, क्योंकि सब इस्राएली उसको राजा बनाने के लिये वहीं गए थे।
Rahoobiyaam to shakem ko gaya, kyonki sab Israeli usko raja banane ke liye vahi gaye the.
और जब नबात के पुत्र यारोबाम ने यह सुना, (जो अब तक मिस्र में रहता था, क्योंकि यारोबाम सुलैमान राजा के डर के मारे भागकर मिस्र में रहता था।
Aur jab nabaat ke putra yarobaam ne yah suna, (jo ab tak Misr mein rahta tha, kyonki yarobaam sulaimaan raja ke dar ke mare bhagkar Misr mein rahta tha.
सो उन लोगों ने उसको बुलवा भेजा ) तब यारोबाम और इस्राएल की समस्त सभा रहूबियाम के पास जा कर यों कहने लगी,
So un logon ne usko bulva bheja ) tab yarobaam aur Israel ki samast sabha rahoobiyaam ke paas ja kar yon kahne lagi,
कि तेरे पिता ने तो हम लोगों पर भारी जूआ डाल रखा था, तो अब तू अपने पिता की कठिन सेवा को, और उस भारी जूए को, जो उसने हम पर डाल रखा है, कुछ हलका कर; तब हम तेरे आधीन रहेंगे।
Ki tere pita ne to ham logon par bhari jooaa daal rakha tha, to ab tu apne pita ki kathin seva ko, aur us bhari jooye ko, jo usne ham par daal rakha hai, kuchh halka kar; tab ham tere aadheen rahenge.
उसने कहा, अभी तो जाओ, और तीन दिन के बाद मेरे पास फिर आना। तब वे चले गए।
Usne kaha, abhi to jao, aur teen din ke baad mere paas phir aana. Tab ve chale gaye.
तब राजा रहूबियाम ने उन बूढ़ों से जो उसके पिता सुलैमान के जीवन भर उसके साम्हने उपस्थित रहा करते थे सम्मति ली, कि इस प्रजा को कैसा उत्तर देना उचित है, इस में तुम क्या सम्मति देते हो?
Tab raja rahoobiyaam ne un boodhon se jo uske pita sulaimaan ke jeevan bhar uske samhane upasthit raha karte the sammati li, ki is praja ko kaisa uttar dena uchit hai, is mein tum kya sammati dete ho?
उन्होंने उसको यह उत्तर दिया, कि यदि तू अभी प्रजा के लोगों का दास बनकर उनके आधीन हो और उन से मधुर बातें कहे, तो वे सदैव तेरे आधीन बने रहेंगे।
Unhonne usko yah uttar diya, ki yadi tu abhi praja ke logon ka daas bankar unke aadheen ho aur un se madhur batein kahe, to ve sadaiv tere aadheen bane rahenge.
रहूबियाम ने उस सम्मति को छोड़ दिया, जो बूढ़ों ने उसको दी थी,और उन जवानों से सम्मति ली, जो उसके संग बड़े हुए थे, और उसके सम्मुख उपस्थित रहा करते थे।
Rahoobiyaam ne us sammati ko chhod diya, jo boodhon ne usko di thi,aur un javanon se sammati li, jo uske sang bade hue the, aur uske sammukh upasthit raha karte the.
उन से उसने पूछा, मैं प्रजा के लोगों को कैसा उत्तर दूं? उस में तुम क्या सम्मति देते हो? उन्हो ने तो मुझ से कहा है, कि जो जूआ तेरे पिता ने हम पर डाल रखा है, उसे तू हलका कर।
Un se usne poochha, main praja ke logon ko kaisa uttar dun? Us mein tum kya sammati dete ho? Unho ne to mujh se kaha hai, ki jo jooaa tere pita ne ham par daal rakha hai, use tu halka kar.
जवानों ने जो उसके संग बड़े हुए थे उसको यह उत्तर दिया, कि उन लोगों ने तुझ से कहा है, कि तेरे पिता ने हमारा जूआ भारी किया था, परन्तु तू उसे हमारे लिऐ हलका कर; तू उन से यों कहना, कि मेरी छिंगुलिया मेरे पिता की कमर से भी मोटी है।
Javanon ne jo uske sang bade hue the usko yah uttar diya, ki un logon ne tujh se kaha hai, ki tere pita ne hamara jooaa bhari kiya tha, parantu tu use hamare liai halka kar; tu un se yon kahna, ki meri chhinguliya mere pita ki kamar se bhi moti hai.
मेरे पिता ने तुम पर जो भारी जूआ रखा था, उसे मैं और भी भारी करूंगा; मेरा पिता तो तुम को कोड़ों से ताड़ना देता था, परन्तु मैं बिच्छुओं से दूंगा।
Mere pita ne tum par jo bhari jooaa rakha tha, use main aur bhi bhari karoonga; mera pita to tum ko kodon se tadna deta tha, parantu main bichchhuon se doonga.
तीसरे दिन, जैसे राजा ने ठहराया था, कि तीसरे दिन मेरे पास फिर आना, वैसे ही यारोबाम और समस्त प्रजागण रहूबियाम के पास उपस्थित हुए।
Teesre din, jaise raja ne thahraya tha, ki teesre din mere paas phir aana, vaise hi yarobaam aur samast prajagan rahoobiyaam ke paas upasthit hue.
तब राजा ने प्रजा से कड़ी बातें कीं,
Tab raja ne praja se kadi batein ki,
और बूढ़ों की दी हुई सम्मति छोड़कर, जवानों की सम्मति के अनुसार उन से कहा, कि मेरे पिता ने तो तुम्हारा जूआ भारी कर दिया, परन्तु मैं उसे और भी भारी कर दूंगा: मेरे पिता ने तो कोड़ों से तुम को ताड़ना दी, परन्तु मैं तुम को बिच्छुओं से ताड़ना दूंगा।
Aur boodhon ki di hui sammati chhodkar, javanon ki sammati ke anusaar un se kaha, ki mere pita ne to tumhara jooaa bhari kar diya, parantu main use aur bhi bhari kar doonga: mere pita ne to kodon se tum ko tadna di, parantu main tum ko bichchhuon se tadna doonga.
सो राजा ने प्रजा की बात नहीं मानी, इसका कारण यह है, कि जो वचन यहोवा ने शीलोवासी अहिय्याह के द्वारा नबात के पुत्र यारोबाम से कहा था, उसको पूरा करने के लिये उसने ऐसा ही ठहराया था।
So raja ne praja ki baat nahi mani, iska karan yah hai, ki jo vachan Yahowa ne sheelovasi ahiyyaah ke dwara nabaat ke putra yarobaam se kaha tha, usko poora karne ke liye usne aisa hi thahraya tha.
जब सब इस्राएल ने देखा कि राजा हमारी नहीं सुनता, तब वे बोले, कि दाऊद के साथ हमारा क्या अंश? हमारा तो यिशै के पुत्र में कोई भाग नहीं! हे इस्राएल अपने अपने डेरे को चले जाओ: अब हे दाऊद, अपने ही घराने की चिन्ता कर।
Jab sab Israel ne dekha ki raja hamari nahi sunta, tab ve bole, ki Daud ke saath hamara kya ansh? Hamara to yishai ke putra mein koi bhaag nahi! He Israel apne apne dere ko chale jao: ab he Daud, apne hi gharane ki chinta kar.
सो इस्राएल अपने अपने डेरे को चले गए। केवल जितने इस्राएली यहूदा के नगरों में बसे हुए थे उन पर रहूबियाम राज्य करता रहा।
So Israel apne apne dere ko chale gaye. Keval jitne Israeli Yahuda ke nagron mein base hue the un par rahoobiyaam rajya karta raha.
तब राजा रहूबियाम ने अदोराम को जो सब बेगारों पर अधिकारी था, भेज दिया, और सब इस्राएलियों ने उस को पत्थर्वाह किया, और वह मर गया: तब रहूबियाम फुर्ती से अपने रथ पर चढ़ कर यरूशलेम को भाग गया।
Tab raja rahoobiyaam ne adoraam ko jo sab begaron par adhikari tha, bhej diya, aur sab Israeliyon ne us ko pattharvaah kiya, aur vah mar gaya: tab rahoobiyaam phurti se apne rath par chadh kar Yerushalem ko bhaag gaya.
और इस्राएल दाऊद के घराने से फिर गया, और आज तक फिरा जुआ है।
Aur Israel Daud ke gharane se phir gaya, aur aaj tak phira juaa hai.
यह सुनकर कि यारोबाम लौट आया है, समस्त इस्राएल ने उसको मणडली में बुलवा भेज कर, पूर्ण इस्राएल के ऊपर राजा नियुक्त किया, और यहूदा के गोत्र को छोड़ कर दाऊद के घराने से कोई मिला न रहा।
Yah sunkar ki yarobaam laut aaya hai, samast Israel ne usko manadli mein bulva bhej kar, poorn Israel ke oopar raja niyukt kiya, aur Yahuda ke gotra ko chhod kar Daud ke gharane se koi mila na raha.
जब रहूबियाम यरूशलेम को आया, तब उसने यहूदा के पूर्ण घराने को, और बिन्यामीन के गोत्र को, जो मिलकर एक लाख अस्सी हजार अच्छे योद्धा थे, इकट्ठा किया, कि वे इस्राएल के घराने के साथ लड़ कर सुलैमान के पुत्र रहूबियाम के वश में फिर राज्य कर दें।
Jab rahoobiyaam Yerushalem ko aaya, tab usne Yahuda ke poorn gharane ko, aur binyameen ke gotra ko, jo milkar ek laakh assi hajaar achchhe yoddha the, ikattha kiya, ki ve Israel ke gharane ke saath lad kar sulaimaan ke putra rahoobiyaam ke vash mein phir rajya kar dein.
तब परमेश्वर का यह वचन परमेश्वर के जन शमायाह के पास पहुंचा कि यहूदा के राजा सुलैमान के पुत्र रहूबियाम से,
Tab Parmeshwar ka yah vachan Parmeshwar ke jan shamayaah ke paas pahuncha ki Yahuda ke raja sulaimaan ke putra rahoobiyaam se,
और यहूदा और बिन्यामीन के सब घराने से, और सब लोगों से कह, यहोवा यों कहता है,
Aur Yahuda aur binyameen ke sab gharane se, aur sab logon se kah, Yahowa yon kahta hai,
कि अपने भाई इस्राएलियों पर चढ़ाई करके युद्ध न करो; तुम अपने अपने घर लौट जाओ, क्योंकि यह बात मेरी ही ओर से हुई है। यहोवा का यह वचन मान कर उन्होंने उसके अनुसार लौट जाने को अपना अपना मार्ग लिया।
Ki apne bhai Israeliyon par chadhai karke yuddh na karo; tum apne apne ghar laut jao, kyonki yah baat meri hi or se hui hai. Yahowa ka yah vachan maan kar unhonne uske anusaar laut jane ko apna apna maarg liya.
तब यारोबाम एप्रैम के पहाड़ी देश के शकेम नगर को दृढ़ करके उस में रहने लगा; फिर वहां से निकल कर पनूएल को भी दृढ़ किया।
Tab yarobaam epraim ke pahadi desh ke shakem nagar ko dridh karke us mein rahne laga; phir vahan se nikal kar panooyel ko bhi dridh kiya.
तब यारोबाम सोचने लगा, कि अब राज्य दाऊद के घराने का हो जाएगा।
Tab yarobaam sochne laga, ki ab rajya Daud ke gharane ka ho jayega.
यदि प्रजा के लोग यरूशलेम में बलि करने को जाएं, तो उनका मन अपने स्वामी यहूदा के राजा रहूबियाम की ओर फिरेगा, और वे मुझे घात करके यहूदा के राजा रहूबियाम के हो जाएंगे।
Yadi praja ke log Yerushalem mein bali karne ko jayen, to unka man apne swami Yahuda ke raja rahoobiyaam ki or phirega, aur ve mujhe ghaat karke Yahuda ke raja rahoobiyaam ke ho jayenge.
तो राजा ने सम्मति ले कर सोने के दो बछड़े बनाए और लोगों से कहा, यरूशलेम को जाना तुम्हारी शक्ति से बाहर है इसलिये हे इस्राएल अपने देवताओं को देखो, जो तुम्हें मिस्र देश से निकाल लाए हैं।
To raja ne sammati le kar sone ke do bachhde banaye aur logon se kaha, Yerushalem ko jana tumhari shakti se bahar hai isliye he Israel apne devtaon ko dekho, jo tumhein Misr desh se nikaal laye hain.
तो उसने एक बछड़े को बेतेल, और दूसरे को दान में स्थापित किया।
To usne ek bachhde ko betel, aur doosre ko daan mein sthapit kiya.
और यह बात पाप का कारण हुई; क्योंकि लोग उस एक के साम्हने दण्डवत करने को दान तक जाने लगे।
Aur yah baat paap ka karan hui; kyonki log us ek ke samhane dandavat karne ko daan tak jane lage.
और उसने ऊंचे स्थानों के भवन बनाए, और सब प्रकार के लोगों में से जो लेवीवंशी न थे, याजक ठहराए।
Aur usne oonche sthanon ke bhavan banaye, aur sab prakaar ke logon mein se jo leveevanshi na the, yajak thahraye.
फिर यारोबाम ने आठवें महीने के पन्द्रहवें दिन यहूदा के पर्व के समान एक पर्व ठहरा दिया, और वेदी पर बलि चढ़ाने लगा; इस रीति उसने बेतेल में अपने बनाए हुए बछड़ों के लिये वेदी पर, बलि किया, और अपने बनाए हुए ऊंचे स्थानों के याजकों को बेतेल में ठहरा दिया।
Phir yarobaam ne aathvein maheene ke pandrahvein din Yahuda ke parva ke samaan ek parva thahra diya, aur vedi par bali chadhane laga; is reeti usne betel mein apne banaye hue bachhdon ke liye vedi par, bali kiya, aur apne banaye hue oonche sthanon ke yajkon ko betel mein thahra diya.
और जिस महीने की उसने अपने मन में कल्पना की थी अर्थात आठवें महीने के पन्द्रहवें दिन को वह बेतेल में अपनी बनाई हुई वेदी के पास चढ़ गया। उसने इस्राएलियों के लिये एक पर्व्व ठहरा दिया, और धूप जलाने को वेदी के पास चढ़ गया।
Aur jis maheene ki usne apne man mein kalpana ki thi arthaat aathvein maheene ke pandrahvein din ko vah betel mein apni banai hui vedi ke paas chadh gaya. Usne Israeliyon ke liye ek parvva thahra diya, aur dhoop jalane ko vedi ke paas chadh gaya.