1 Kings 14 · 31 verses

1 राजाओं 14 1 Kings 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 rajaon 14.

1

उस समय यारोबाम का बेटा अबिय्याह रोगी हुआ।

Us samay yarobaam ka beta abiyyaah rogi huaa.

2

तब यारोबाम ने अपनी स्त्री से कहा, ऐसा भेष बना कि कोई तुझे पहिचान न सके कि यह यारोबाम की स्त्री है, और शीलो को चली जा, वहां तो अहिय्याह नबी रहता है जिसने मुझ से कहा था कि तू इस प्रजा का राजा हो जाएगा।

Tab yarobaam ne apni stri se kaha, aisa bhesh bana ki koi tujhe pahichaan na sake ki yah yarobaam ki stri hai, aur sheelo ko chali ja, vahan to ahiyyaah nabi rahta hai jisne mujh se kaha tha ki tu is praja ka raja ho jayega.

3

उसके पास तू दस रोटी, और पपड़ियां और एक कुप्पी मधु लिये हुए जा, और वह तुझे बताएगा कि लड़के को क्या होगा।

Uske paas tu das roti, aur papdiyan aur ek kuppi madhu liye hue ja, aur vah tujhe batayega ki ladke ko kya hoga.

4

यारोबाम की स्त्री ने वैसा ही किया, और चलकर शीलो को पहुंची और अहिय्याह के घर पर आई: अहिय्याह को तो कुछ सूझ न पड़ता था, क्योंकि बुढ़ापे के कारण उसकी आंखें धुन्धली पड़ गई थीं।

Yarobaam ki stri ne vaisa hi kiya, aur chalkar sheelo ko pahunchi aur ahiyyaah ke ghar par aai: ahiyyaah ko to kuchh soojh na padta tha, kyonki budhape ke karan uski aankhein dhundhali pad gai thi.

5

और यहोवा ने अहिय्याह से कहा, सुन यारोबाम की स्त्री तुझ से अपने बेटे के विषय में जो रोगी है कुछ पूछने को आती है, तू उस से ये ये बातें कहना; वह तो आकर अपने को दूसरी औरत बनाएगी।

Aur Yahowa ne ahiyyaah se kaha, sun yarobaam ki stri tujh se apne bete ke vishay mein jo rogi hai kuchh poochhne ko aati hai, tu us se ye ye batein kahna; vah to aakar apne ko doosri aurat banayegi.

6

जब अहिय्याह ने द्वार में आते हुए उसके पांव की आहट सुनी तब कहा, हे यारोबाम की स्त्री! भीतर आ; तू अपने को क्यों दूसरी स्त्री बनाती है? मुझे तेरे लिये भारी सन्देशा मिला है।

Jab ahiyyaah ne dwaar mein aate hue uske paanv ki aahat suni tab kaha, he yarobaam ki stri! Bheetar aa; tu apne ko kyon doosri stri banati hai? Mujhe tere liye bhari sandesha mila hai.

7

तू जा कर यारोबाम से कह कि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा तुझ से यों कहता है, कि मैं ने तो तुझ को प्रजा में से बढ़ाकर अपनी प्रजा इस्राएल पर प्रधान किया,

Tu ja kar yarobaam se kah ki Israel ka Parmeshwar Yahowa tujh se yon kahta hai, ki main ne to tujh ko praja mein se badhakar apni praja Israel par pradhaan kiya,

8

और दाऊद के घराने से राज्य छीनकर तुझ को दिया, परन्तु तू मेरे दास दाऊद के समान न हुआ जो मेरी आज्ञाओं को मानता, और अपने पूर्ण मन से मेरे पीछे पीछे चलता, और केवल वही करता था जो मेरी दृष्टि में ठीक है।

Aur Daud ke gharane se rajya chheenkar tujh ko diya, parantu tu mere daas Daud ke samaan na huaa jo meri aagyaon ko manta, aur apne poorn man se mere peechhe peechhe chalta, aur keval vahi karta tha jo meri drishti mein theek hai.

9

तू ने उन सभों से बढ़कर जो तुझ से पहिले थे बुराई, की है, और जा कर पराये देवता की उपासना की और मूरतें ढालकर बनाईं, जिस से मुझे क्रोधित कर दिया और मुझे तो पीठ के पीछे फेंक दिया है।

Tu ne un sabhon se badhkar jo tujh se pahile the burai, ki hai, aur ja kar paraye devta ki upasna ki aur moortein dhalkar banai, jis se mujhe krodhit kar diya aur mujhe to peeth ke peechhe phenk diya hai.

10

इस कारण मैं यारोबाम के घराने पर विपत्ति डालूंगा, वरन मैं यारोबाम के कुल में से हर एक लड़के को ओर क्या बन्धुए, क्या स्वाधीन इस्राएल के मध्य हर एक रहने वाले को भी नष्ट कर डालूंगा: और जैसा कोई गोबर को तब तक उठाता रहता है जब तक वह सब उठा तहीं लिया जाता, वैसे ही मैं यारोबाम के घराने की सफाई कर दूंगा।

Is karan main yarobaam ke gharane par vipatti daloonga, varan main yarobaam ke kul mein se har ek ladke ko or kya bandhue, kya swadheen Israel ke madhya har ek rahne vale ko bhi nasht kar daloonga: aur jaisa koi gobar ko tab tak uthata rahta hai jab tak vah sab utha tahi liya jata, vaise hi main yarobaam ke gharane ki saphai kar doonga.

11

यारोबाम के घराने का जो कोई नगर में मर जाए, उसको कुत्ते खाएंगे; और जो मैदान में मरे, उसको आकाश के पड़ी खा जाएंगे; क्योंकि यहोवा ने यह कहा है!

Yarobaam ke gharane ka jo koi nagar mein mar jaye, usko kutte khayenge; aur jo maidaan mein mare, usko aakaash ke padi kha jayenge; kyonki Yahowa ne yah kaha hai!

12

इसलिये तू उठ और अपने घर जा, और नगर के भीतर तेरे पांव पड़ते ही वह बालक मर जाएगा।

Isliye tu uth aur apne ghar ja, aur nagar ke bheetar tere paanv padte hi vah balak mar jayega.

13

उसे तो समस्त इस्राएली छाती पीटकर मिट्टी देंगे; यारोबाम के सन्तानों में से केवल उसी को कबर मिलेगी, क्योंकि यारोबाम के घराने में से उसी में कुछ पाया जाता है जो यहोवा इस्राएल के प्रभु की दृष्टि में भला है।

Use to samast Israeli chhati peetkar mitti denge; yarobaam ke santanon mein se keval usi ko kabar milegi, kyonki yarobaam ke gharane mein se usi mein kuchh paya jata hai jo Yahowa Israel ke Prabhu ki drishti mein bhala hai.

14

फिर यहोवा इस्राएल के लिये एक ऐसा राजा खड़ा करेगा जो उसी दिन यारोबाम के घराने को नाश कर डालेगा, परन्तु कब?

Phir Yahowa Israel ke liye ek aisa raja khada karega jo usi din yarobaam ke gharane ko naash kar dalega, parantu kab?

15

यह अभी होगा। क्योंकि यहोवा इस्राएल को ऐसा मारेगा, जैसा जल की धारा से नरकट हिलाया जाता है, और वह उन को इस अच्छी भूमि में से जो उसने उनके पुरखाओं को दी थी उखाड़ कर महानद के पार तित्तर-बित्तर करेगा; क्योंकि उन्होंने अशेरा ताम मूरतें अपने लिये बनाकर यहोवा को क्रोध दिलाया है।

Yah abhi hoga. Kyonki Yahowa Israel ko aisa marega, jaisa jal ki dhara se narkat hilaya jata hai, aur vah un ko is achchhi bhoomi mein se jo usne unke purkhaon ko di thi ukhaad kar mahanad ke paar tittar-bittar karega; kyonki unhonne ashera taam moortein apne liye banakar Yahowa ko krodh dilaya hai.

16

और उन पापों के कारण जो यारोबाम ने किए और इस्राएल से कराए थे, यहोवा इस्राएल को त्याग देगा।

Aur un papon ke karan jo yarobaam ne kiye aur Israel se karaye the, Yahowa Israel ko tyaag dega.

17

तब यारोबाम की स्त्री बिदा हो कर चली और तिरज़ा को आई, और वह भवन की डेवढ़ी पर जैसे ही पहुंची कि वह बालक मर गया।

Tab yarobaam ki stri bida ho kar chali aur tirza ko aai, aur vah bhavan ki devdhi par jaise hi pahunchi ki vah balak mar gaya.

18

तब यहोवा के वचन के अनुसार जो उसने अपने दास अहिय्याह नबी से कहलाया था, समस्त इस्राएल ने उसको मिट्टी देकर उसके लिये शोक मनाया।

Tab Yahowa ke vachan ke anusaar jo usne apne daas ahiyyaah nabi se kahlaya tha, samast Israel ne usko mitti dekar uske liye shok manaya.

19

यारोबाम के और काम अर्थात उसने कैसा कैसा युद्ध किया, और कैसा राज्य किया, यह सब इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में लिखा है।

Yarobaam ke aur kaam arthaat usne kaisa kaisa yuddh kiya, aur kaisa rajya kiya, yah sab Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein likha hai.

20

यारोबाम बाईस वर्ष तक राज्य कर के अपने पुरखाओं के साथ सो गया और नादाब नाम उसका पुत्र उसके स्थान पर राजा हुआ।

Yarobaam bais varsh tak rajya kar ke apne purkhaon ke saath so gaya aur nadaab naam uska putra uske sthaan par raja huaa.

21

और सुलैमान का पुत्र रहूबियाम यहूदा में राज्य करने लगा। रहूबियाम इकतालीस वर्ष का हो कर राज्य करने लगा; और यरूशलेम जिस को यहोवा ने सारे इस्राएली गोत्रों में से अपना नाम रखने के लिये चुन लिया था, उस नगर में वह सत्रह वर्ष तक राज्य करता रहा; और उसकी माता का नाम नामा था जो अम्मोनी स्त्री थी।

Aur sulaimaan ka putra rahoobiyaam Yahuda mein rajya karne laga. Rahoobiyaam iktalees varsh ka ho kar rajya karne laga; aur Yerushalem jis ko Yahowa ne sare Israeli gotron mein se apna naam rakhne ke liye chun liya tha, us nagar mein vah satrah varsh tak rajya karta raha; aur uski mata ka naam nama tha jo ammoni stri thi.

22

और यहूदी लोग वह करने लगे जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है, और अपने पुरखाओं से भी अधिक पाप करके उसकी जलन भड़काई।

Aur Yahudi log vah karne lage jo Yahowa ki drishti mein bura hai, aur apne purkhaon se bhi adhik paap karke uski jalan bhadkai.

23

उन्होंने तो सब ऊंचे टीलों पर, और सब हरे वृक्षों के तले, ऊंचे स्थान, और लाठें, और अशेरा नाम मूरतें बना लीं।

Unhonne to sab oonche teelon par, aur sab hare vrikshon ke tale, oonche sthaan, aur lathein, aur ashera naam moortein bana li.

24

और उनके देश में पुरुषगामी भी थे; निदान वे उन जातियों के से सब घिनौने काम करते थे जिन्हें यहोवा ने इस्राएलियों के साम्हने से निकाल दिया था।

Aur unke desh mein purushgami bhi the; nidaan ve un jatiyon ke se sab ghinaune kaam karte the jinhein Yahowa ne Israeliyon ke samhane se nikaal diya tha.

25

राजा रहूबियाम के पांचवें वर्ष में मिस्र का राजा शीशक, यरूशलेम पर चढ़ाई करके,

Raja rahoobiyaam ke panchvein varsh mein Misr ka raja sheeshak, Yerushalem par chadhai karke,

26

यहोवा के भवन की अनमोल वस्तुएं और राजभवन की अनमोल वस्तुएं, सब की सब उठा ले गया; और सोने की जो ढालें सुलैमान ने बनाईं थीं सब को वह ले गया।

Yahowa ke bhavan ki anmol vastuein aur rajabhvan ki anmol vastuein, sab ki sab utha le gaya; aur sone ki jo dhalein sulaimaan ne banai thi sab ko vah le gaya.

27

इसलिये राजा रहूबियाम ने उनके बदले पीतल की ढालें बनवाई और उन्हें पहरुओं के प्रधानों के हाथ सौंप दिया जो राजभवन के द्वार की रखवाली करते थे।

Isliye raja rahoobiyaam ne unke badle peetal ki dhalein banvai aur unhein pahruon ke pradhanon ke haath saump diya jo rajabhvan ke dwaar ki rakhvali karte the.

28

और जब जब राजा यहोवा के भवन में जाता था तब तब पहरुए उन्हें उठा ले चलते, और फिर अपनी कोठरी में लौटा कर रख देते थे।

Aur jab jab raja Yahowa ke bhavan mein jata tha tab tab pahrue unhein utha le chalte, aur phir apni kothri mein lauta kar rakh dete the.

29

रहूबियाम के और सब काम जो उसने किए वह क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Rahoobiyaam ke aur sab kaam jo usne kiye vah kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?

30

रहूबियाम और यारोबाम में तो सदा लड़ाई होती रही।

Rahoobiyaam aur yarobaam mein to sada ladai hoti rahi.

31

और रहूबियाम जिसकी माता नामा नाम एक अम्मोनिन थी, अपने पुरखाओं के साथ सो गया; और उन्हीं के पास दाऊदपुर में उसको मिट्टी दी गई: और उसका पुत्र अबिय्याम उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Aur rahoobiyaam jiski mata nama naam ek ammonin thi, apne purkhaon ke saath so gaya; aur unhi ke paas daoodpur mein usko mitti di gai: aur uska putra abiyyaam uske sthaan par rajya karne laga.