1 Kings 11 · 43 verses

1 राजाओं 11 1 Kings 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 rajaon 11.

1

परन्तु राजा सुलैमान फ़िरौन की बेटी, और बहुतेरी और पराये स्त्रियों से, जो मोआबी, अम्मोनी, एदोमी, सीदोनी, और हित्ती थीं, प्रीति करने लगा।

Parantu raja sulaimaan firaun ki beti, aur bahuteri aur paraye striyon se, jo moaabi, ammoni, edomi, seedoni, aur hitti thi, preeti karne laga.

2

वे उन जातियों की थीं, जिनके विषय में यहोवा ने इस्राएलियों से कहा था, कि तुम उनके मध्य में न जाना, और न वे तुम्हारे मध्य में आने पाएं, वे तुम्हारा मन अपने देवताओं की ओर नि:सन्देह फेरेंगी; उन्हीं की प्रीति में सुलैमान लिप्त हो गया।

Ve un jatiyon ki thi, jinke vishay mein Yahowa ne Israeliyon se kaha tha, ki tum unke madhya mein na jana, aur na ve tumhare madhya mein aane payen, ve tumhara man apne devtaon ki or nisandeh pherengi; unhi ki preeti mein sulaimaan lipt ho gaya.

3

और उसके सात सौ रानियां, और तीन सौ रखेलियां हो गई थीं और उसकी इन स्त्रियों ने उसका मन बहका दिया।

Aur uske saat sau raniyan, aur teen sau rakheliyan ho gai thi aur uski in striyon ne uska man bahka diya.

4

सो जब सुलैमान बूढ़ा हुआ, तब उसकी स्त्रियों ने उसका मन पराये देवताओं की ओर बहका दिया, और उसका मन अपने पिता दाऊद की नाईं अपने परमेश्वर यहोवा पर पूरी रीति से लगा न रहा।

So jab sulaimaan boodha huaa, tab uski striyon ne uska man paraye devtaon ki or bahka diya, aur uska man apne pita Daud ki nai apne Parmeshwar Yahowa par poori reeti se laga na raha.

5

सुलैमान तो सीदोनियों की अशतोरेत नाम देवी, और अम्मोनियों के मिल्कोम नाम घृणित देवता के पीछे चला।

Sulaimaan to seedoniyon ki ashtoret naam devi, aur ammoniyon ke milkom naam ghrinit devta ke peechhe chala.

6

और सुलैमान ने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है, और यहोवा के पीछे अपने पिता दाऊद की नाईं पूरी रीति से न चला।

Aur sulaimaan ne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein bura hai, aur Yahowa ke peechhe apne pita Daud ki nai poori reeti se na chala.

7

उन दिनों सुलैमान ने यरूशलेम के साम्हने के पहाड़ पर मोआबियों के कमोश नाम घृणित देवता के लिये और अम्मोनियों के मोलेक नाम घृणित देवता के लिये एक एक ऊंचा स्थान बनाया।

Un dinon sulaimaan ne Yerushalem ke samhane ke pahaad par moaabiyon ke kamosh naam ghrinit devta ke liye aur ammoniyon ke molek naam ghrinit devta ke liye ek ek ooncha sthaan banaya.

8

और अपनी सब पराये स्त्रियों के लिये भी जो अपने अपने देवताओं को धूप जलातीं और बलिदान करती थीं, उसने ऐसा ही किया।

Aur apni sab paraye striyon ke liye bhi jo apne apne devtaon ko dhoop jalati aur balidaan karti thi, usne aisa hi kiya.

9

तब यहोवा ने सुलैमान पर क्रोध किया, क्योंकि उसका मन इस्राएल के परमेश्वर यहोवा से फिर गया था जिसने दो बार उसको दर्शन दिया था।

Tab Yahowa ne sulaimaan par krodh kiya, kyonki uska man Israel ke Parmeshwar Yahowa se phir gaya tha jisne do baar usko darshan diya tha.

10

और उसने इसी बात के विषय में आज्ञा दी थी, कि पराये देवताओं के पीछे न हो लेना, तौभी उसने यहोवा की आज्ञा न मानी।

Aur usne isi baat ke vishay mein aagya di thi, ki paraye devtaon ke peechhe na ho lena, taubhi usne Yahowa ki aagya na mani.

11

और यहोवा ने सुलैमान से कहा, तुझ से जो ऐसा काम हुआ है, और मेरी बन्धाई हुई वाचा और दी हुई विधि तू ने पूरी नहीं की, इस कारण मैं राज्य को निश्चय तुझ से छीन कर तेरे एक कर्मचारी को दे दूंगा।

Aur Yahowa ne sulaimaan se kaha, tujh se jo aisa kaam huaa hai, aur meri bandhai hui vacha aur di hui vidhi tu ne poori nahi ki, is karan main rajya ko nishchay tujh se chheen kar tere ek karmachari ko de doonga.

12

तौभी तेरे पिता दाऊद के कारण तेरे दिनों में तो ऐसा न करूंगा; परन्तु तेरे पुत्र के हाथ से राज्य छीन लूंगा।

Taubhi tere pita Daud ke karan tere dinon mein to aisa na karoonga; parantu tere putra ke haath se rajya chheen loonga.

13

फिर भी मैं पूर्ण राज्य तो न छीन लूंगा, परन्तु अपने दास दाऊद के कारण, और अपने चुने हुए यरूशलेम के कारण, मैं तेरे पुत्र के हाथ में एक गोत्र छोड़ दूंगा।

Phir bhi main poorn rajya to na chheen loonga, parantu apne daas Daud ke karan, aur apne chune hue Yerushalem ke karan, main tere putra ke haath mein ek gotra chhod doonga.

14

सो यहोवा ने एदोमी हदद को जो एदोमी राजवंश का था, सुलैमान का शत्रु बना दिया।

So Yahowa ne edomi hadad ko jo edomi rajvansh ka tha, sulaimaan ka shatru bana diya.

15

क्योंकि जब दाऊद एदोम में था, और योआब सेनापति मारे हुओं को मिट्टी देने गया,

Kyonki jab Daud edom mein tha, aur yoaab senapti mare huon ko mitti dene gaya,

16

(योआब तो समस्त इस्राएल समेत वहां छ: महीने रहा, जब तक कि उसने एदोम के सब पुरुषों को नाश न कर दिया)

(yoaab to samast Israel samet vahan chha: maheene raha, jab tak ki usne edom ke sab purushon ko naash na kar diya)

17

तब हदद जो छोटा लड़का था, अपने पिता के कई एक एदोमी सेवकों के संग मिस्र को जाने की मनसा से भागा।

Tab hadad jo chhota ladka tha, apne pita ke kai ek edomi sevkon ke sang Misr ko jane ki mansa se bhaga.

18

और वे मिद्यान से हो कर परान को आए, और परान में से कई पुरुषों को संग ले कर मिस्र में फ़िरौन राजा के पास गए, और फ़िरौन ने उसको घर दिया, और उसको भोजन मिलने की आज्ञा दी और कुछ भूमि भी दी।

Aur ve midyaan se ho kar paraan ko aaye, aur paraan mein se kai purushon ko sang le kar Misr mein firaun raja ke paas gaye, aur firaun ne usko ghar diya, aur usko bhojan milne ki aagya di aur kuchh bhoomi bhi di.

19

और हदद पर फ़िरौन की बड़े अनुग्रह की दृष्टि हुई, और उसने उसको अपनी साली अर्थात तहपनेस रानी की बहिन ब्याह दी।

Aur hadad par firaun ki bade anugrah ki drishti hui, aur usne usko apni sali arthaat tahapnes rani ki bahin byaah di.

20

और तहपनेस की बहिन से गनूबत उत्पन्न हुआ और इसका दूध तहपनेस ने फ़िरौन के भवन में छुड़ाया; तब गनूबत फ़िरौन के भवन में उसी के पुत्रों के साथ रहता था।

Aur tahapnes ki bahin se ganoobat utpann huaa aur iska doodh tahapnes ne firaun ke bhavan mein chhudaya; tab ganoobat firaun ke bhavan mein usi ke putron ke saath rahta tha.

21

जब हदद ने मिस्र में रहते यह सुना, कि दाऊद अपने पुरखाओं के संग सो गया, और योआब सेनापति भी मर गया है, तब उसने फ़िरौन से कहा, मुझे आज्ञा दे कि मैं अपने देश को जाऊं!

Jab hadad ne Misr mein rahte yah suna, ki Daud apne purkhaon ke sang so gaya, aur yoaab senapti bhi mar gaya hai, tab usne firaun se kaha, mujhe aagya de ki main apne desh ko jaun!

22

फ़िरौन ने उस से कहा, क्यों? मेरे यहां तुझे क्या घटी हुई कि तू अपने देश को जला जाना चाहता है? उसने उत्तर दिया, कुछ नहीं हुई, तौभी मुझे अवश्य जाने दे।

Firaun ne us se kaha, kyon? Mere yahan tujhe kya ghati hui ki tu apne desh ko jala jana chahta hai? Usne uttar diya, kuchh nahi hui, taubhi mujhe avashya jane de.

23

फिर परमेश्वर ने उसका एक और शत्रु कर दिया, अर्थात एल्यादा के पुत्र रजोन को, वह तो अपने स्वामी सोबा के राजा हददेजेर के पास से भागा था;

Phir Parmeshwar ne uska ek aur shatru kar diya, arthaat elyada ke putra rajon ko, vah to apne swami soba ke raja haddejer ke paas se bhaga tha;

24

और जब दाऊद ने सोबा के जनों को घात किया, तब रजोन अपने पास कई पुरुषों को इकट्ठे करके, एक दल का प्रधान हो गया, और वह दमिश्क को जा कर वहीं रहने और राज्य करने लगा।

Aur jab Daud ne soba ke janon ko ghaat kiya, tab rajon apne paas kai purushon ko ikatthe karke, ek dal ka pradhaan ho gaya, aur vah damishk ko ja kar vahi rahne aur rajya karne laga.

25

और उस हानि को छोड़ जो हदद ने की, रजोन भी, सुलैमान के जीवन भर इस्राएल का शत्रु बना रहा; और वह इस्राएल से घृणा रखता हुआ अराम पर राज्य करता था

Aur us hani ko chhod jo hadad ne ki, rajon bhi, sulaimaan ke jeevan bhar Israel ka shatru bana raha; aur vah Israel se ghrina rakhta huaa araam par rajya karta tha

26

फिर नबात का और सरूआह नाम एक विधवा का पुत्र यारोबाम नाम एक एप्रैमी सरेदाबासी जो सुलैमान का कर्मचारी था, उसने भी राजा के विरुद्ध सिर उठाया।

Phir nabaat ka aur sarooaah naam ek vidhva ka putra yarobaam naam ek epraimi saredabasi jo sulaimaan ka karmachari tha, usne bhi raja ke viruddh sir uthaya.

27

उसका राजा के विरुद्ध सिर उठाने का यह कारण हुआ, कि सुलैमान मिल्लो को बना रहा था ओर अपने पिता दाऊद के नगर के दरार बन्द कर रहा था।

Uska raja ke viruddh sir uthane ka yah karan huaa, ki sulaimaan millo ko bana raha tha or apne pita Daud ke nagar ke daraar band kar raha tha.

28

यारोबाम बड़ा शूरवीर था, और जब सुलैमान ने जवान को देखा, कि यह परिश्रमी है; तब उसने उसको यूसुफ के घराने के सब काम पर मुखिया ठहराया।

Yarobaam bada shoorveer tha, aur jab sulaimaan ne javaan ko dekha, ki yah parishrami hai; tab usne usko Yusuf ke gharane ke sab kaam par mukhiya thahraya.

29

उन्हीं दिनों में यारोबाम यरूशलेम से निकलकर जा रहा था, कि शीलोबासी अहिय्याह नबी, नई चद्दर ओढ़े हुए मार्ग पर उस से मिला; और केवल वे ही दोनों मैदान में थे।

Unhi dinon mein yarobaam Yerushalem se nikalkar ja raha tha, ki sheelobasi ahiyyaah nabi, nai chaddar odhe hue maarg par us se mila; aur keval ve hi donon maidaan mein the.

30

और अहिय्याह ने अपनी उस नई चद्दर को ले लिया, और उसे फाड़कर बारह टुकड़े कर दिए।

Aur ahiyyaah ne apni us nai chaddar ko le liya, aur use phadkar barah tukde kar diye.

31

तब उसने यारोबाम से कहा, दस टुकड़े ले ले; क्योंकि, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि सुन, मैं राज्य को सुलैमान के हाथ से छीन कर दस गोत्र तेरे हाथ में कर दूंगा।

Tab usne yarobaam se kaha, das tukde le le; kyonki, Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki sun, main rajya ko sulaimaan ke haath se chheen kar das gotra tere haath mein kar doonga.

32

परन्तु मेरे दास दाऊद के कारण और यरूशलेम के कारण जो मैं ने इस्राएल के सब गोत्रों में से चुना है, उसका एक गोत्र बना रहेगा।

Parantu mere daas Daud ke karan aur Yerushalem ke karan jo main ne Israel ke sab gotron mein se chuna hai, uska ek gotra bana rahega.

33

इसका कारण यह है कि उन्होंने मुझे त्याग कर सीदोनियों की देवी अश्तोरेत और मोआबियों के देवता कमोश, और अम्मोनियों के देवता मिल्कोम को दण्डवत की, और मेरे मार्गों पर नहीं चले: और जो मेरी दृष्टि में ठीक है, वह नहीं किया, और मेरी विधियों और नियमों को नहीं माना जैसा कि उसके पिता दाऊद ने किया।

Iska karan yah hai ki unhonne mujhe tyaag kar seedoniyon ki devi ashtoret aur moaabiyon ke devta kamosh, aur ammoniyon ke devta milkom ko dandavat ki, aur mere margon par nahi chale: aur jo meri drishti mein theek hai, vah nahi kiya, aur meri vidhiyon aur niymon ko nahi mana jaisa ki uske pita Daud ne kiya.

34

तौभी मैं उसके हाथ से पूर्ण राज्य न ले लूंगा, परन्तु मेरा चुना हुआ दास दाऊद जो मेरी आज्ञाएं और विधियां मानता रहा, उसके कारण मैं उसको जीवन भर प्रधान ठहराए रखूंगा।

Taubhi main uske haath se poorn rajya na le loonga, parantu mera chuna huaa daas Daud jo meri aagyayen aur vidhiyan manta raha, uske karan main usko jeevan bhar pradhaan thahraye rakhoonga.

35

परन्तु उसके पुत्र के हाथ से मैं राज्य अर्थात दस गोत्र ले कर तुझे दे दूंगा।

Parantu uske putra ke haath se main rajya arthaat das gotra le kar tujhe de doonga.

36

और उसके पुत्र को मैं एक गोत्र दूंगा, इसलिये कि यरूशलेम अर्थात उस नगर में जिसे अपना नाम रखने को मैं ने चुना है, मेरे दास दाऊद का दीपक मेरे साम्हने सदैव बना रहे।

Aur uske putra ko main ek gotra doonga, isliye ki Yerushalem arthaat us nagar mein jise apna naam rakhne ko main ne chuna hai, mere daas Daud ka deepak mere samhane sadaiv bana rahe.

37

परन्तु तुझे मैं ठहरा लूंगा, और तू अपनी इच्छा भर इस्राएल पर राज्य करेगा।

Parantu tujhe main thahra loonga, aur tu apni ichchha bhar Israel par rajya karega.

38

और यदि तू मेरे दास दाऊद की नाईं मेरी सब आज्ञाएं, और मेरे मार्गों पर चले, और जो काम मेरी दृष्टि में ठीक है, वही करे, और मेरी विधियां और आज्ञाएं मानता रहे, तो मैं तेरे संग रहूंगा, और जिस तरह मैं ने दाऊद का घराना बनाए रखा है, वैसे ही तेरा भी घराना बनाए रखूंगा, और तेरे हाथ इस्राएल को दूंगा।

Aur yadi tu mere daas Daud ki nai meri sab aagyayen, aur mere margon par chale, aur jo kaam meri drishti mein theek hai, vahi kare, aur meri vidhiyan aur aagyayen manta rahe, to main tere sang rahoonga, aur jis tarah main ne Daud ka gharana banaye rakha hai, vaise hi tera bhi gharana banaye rakhoonga, aur tere haath Israel ko doonga.

39

इस पाप के कारण मैं दाऊद के वंश को दु:ख दूंगा, तौभी सदा तक नहीं।

Is paap ke karan main Daud ke vansh ko dukh doonga, taubhi sada tak nahi.

40

और सुलैमान ने यारोबाम को मार डालना चाहा, परन्तु यारोबाम मिस्र के राजा शीशक के पास भाग गया, और सुलैमान के मरने तक वहीं रहा।

Aur sulaimaan ne yarobaam ko maar dalna chaha, parantu yarobaam Misr ke raja sheeshak ke paas bhaag gaya, aur sulaimaan ke marne tak vahi raha.

41

सुलैमान की और सब बातें और उसके सब काम और उसकी बुद्धिमानी का वर्णन, क्या सुलैमान के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?

Sulaimaan ki aur sab batein aur uske sab kaam aur uski buddhimani ka varnan, kya sulaimaan ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?

42

सुलैमान को यरूशलेम में सब इस्राएल पर राज्य करते हुए चालीस वर्ष बीते।

Sulaimaan ko Yerushalem mein sab Israel par rajya karte hue chalees varsh beete.

43

और सुलैमान अपने पुरखाओं के संग सोया, और उसको उसके पिता दाऊद के नगर में मिट्टी दी गई, और उसका पुत्र रहूबियाम उसके स्थान पर राजा हुआ।

Aur sulaimaan apne purkhaon ke sang soya, aur usko uske pita Daud ke nagar mein mitti di gai, aur uska putra rahoobiyaam uske sthaan par raja huaa.