1 John 5 · 21 verses

1 यूहन्ना 5 1 John 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 Yuhanna 5.

1

जिसका यह विश्वास है कि यीशु ही मसीह है, वह परमेश्वर से उत्पन्न हुआ है और जो कोई उत्पन्न करने वाले से प्रेम रखता है, वह उस से भी प्रेम रखता है, जो उस से उत्पन्न हुआ है।

Jiska yah vishwaas hai ki Yeshu hi Masih hai, vah Parmeshwar se utpann huaa hai aur jo koi utpann karne vale se prem rakhta hai, vah us se bhi prem rakhta hai, jo us se utpann huaa hai.

2

जब हम परमेश्वर से प्रेम रखते हैं, और उस की आज्ञाओं को मानते हैं, तो इसी से हम जानते हैं, कि परमेश्वर की सन्तानों से प्रेम रखते हैं।

Jab ham Parmeshwar se prem rakhte hain, aur us ki aagyaon ko mante hain, to isi se ham jante hain, ki Parmeshwar ki santanon se prem rakhte hain.

3

और परमेश्वर का प्रेम यह है, कि हम उस की आज्ञाओं को मानें; और उस की आज्ञाएं कठिन नहीं।

Aur Parmeshwar ka prem yah hai, ki ham us ki aagyaon ko manein; aur us ki aagyayen kathin nahi.

4

क्योंकि जो कुछ परमेश्वर से उत्पन्न हुआ है, वह संसार पर जय प्राप्त करता है, और वह विजय जिस से संसार पर जय प्राप्त होती है हमारा विश्वास है।

Kyonki jo kuchh Parmeshwar se utpann huaa hai, vah sansaar par jay praapt karta hai, aur vah vijay jis se sansaar par jay praapt hoti hai hamara vishwaas hai.

5

संसार पर जय पाने वाला कौन है केवल वह जिस का यह विश्वास है, कि यीशु, परमेश्वर का पुत्र है।

Sansaar par jay pane vala kaun hai keval vah jis ka yah vishwaas hai, ki Yeshu, Parmeshwar ka putra hai.

6

यही है वह, जो पानी और लोहू के द्वारा आया था; अर्थात यीशु मसीह: वह न केवल पानी के द्वारा, वरन पानी और लोहू दोनों के द्वारा आया था।

Yahi hai vah, jo pani aur lohu ke dwara aaya tha; arthaat Yeshu Masih: vah na keval pani ke dwara, varan pani aur lohu donon ke dwara aaya tha.

7

और जो गवाही देता है, वह आत्मा है; क्योंकि आत्मा सत्य है।

Aur jo gavahi deta hai, vah aatma hai; kyonki aatma satya hai.

8

और गवाही देने वाले तीन हैं; आत्मा, और पानी, और लोहू; और तीनों एक ही बात पर सहमत हैं।

Aur gavahi dene vale teen hain; aatma, aur pani, aur lohu; aur teenon ek hi baat par sahmat hain.

9

जब हम मनुष्यों की गवाही मान लेते हैं, तो परमेश्वर की गवाही तो उस से बढ़कर है; और परमेश्वर की गवाही यह है, कि उस ने अपने पुत्र के विषय में गवाही दी है।

Jab ham manushyon ki gavahi maan lete hain, to Parmeshwar ki gavahi to us se badhkar hai; aur Parmeshwar ki gavahi yah hai, ki us ne apne putra ke vishay mein gavahi di hai.

10

जो परमेश्वर के पुत्र पर विश्वास करता है, वह अपने ही में गवाही रखता है; जिस ने परमेश्वर को प्रतीति नहीं की, उस ने उसे झूठा ठहराया; क्योंकि उस ने उस गवाही पर विश्वास नहीं किया, जो परमेश्वर ने अपने पुत्र के विषय में दी है।

Jo Parmeshwar ke putra par vishwaas karta hai, vah apne hi mein gavahi rakhta hai; jis ne Parmeshwar ko prateeti nahi ki, us ne use jhootha thahraya; kyonki us ne us gavahi par vishwaas nahi kiya, jo Parmeshwar ne apne putra ke vishay mein di hai.

11

और वह गवाही यह है, कि परमेश्वर ने हमें अनन्त जीवन दिया है: और यह जीवन उसके पुत्र में है।

Aur vah gavahi yah hai, ki Parmeshwar ne hamein anant jeevan diya hai: aur yah jeevan uske putra mein hai.

12

जिस के पास पुत्र है, उसके पास जीवन है; और जिस के पास परमेश्वर का पुत्र नहीं, उसके पास जीवन भी नहीं है॥

Jis ke paas putra hai, uske paas jeevan hai; aur jis ke paas Parmeshwar ka putra nahi, uske paas jeevan bhi nahi hai.

13

मैं ने तुम्हें, जो परमेश्वर के पुत्र के नाम पर विश्वास करते हो, इसलिये लिखा है; कि तुम जानो, कि अनन्त जीवन तुम्हारा है।

Main ne tumhein, jo Parmeshwar ke putra ke naam par vishwaas karte ho, isliye likha hai; ki tum jano, ki anant jeevan tumhara hai.

14

और हमें उसके साम्हने जो हियाव होता है, वह यह है; कि यदि हम उस की इच्छा के अनुसार कुछ मांगते हैं, तो हमारी सुनता है।

Aur hamein uske samhane jo hiyaav hota hai, vah yah hai; ki yadi ham us ki ichchha ke anusaar kuchh mangte hain, to hamari sunta hai.

15

और जब हम जानते हैं, कि जो कुछ हम मांगते हैं वह हमारी सुनता है, तो यह भी जानते हैं, कि जो कुछ हम ने उस से मांगा, वह पाया है।

Aur jab ham jante hain, ki jo kuchh ham mangte hain vah hamari sunta hai, to yah bhi jante hain, ki jo kuchh ham ne us se manga, vah paya hai.

16

यदि कोई अपने भाई को ऐसा पाप करते देखे, जिस का फल मृत्यु न हो, तो बिनती करे, और परमेश्वर, उसे, उन के लिये, जिन्हों ने ऐसा पाप किया है जिस का फल मृत्यु न हो, जीवन देगा। पाप ऐसा भी होता है जिसका फल मृत्यु है: इस के विषय में मैं बिनती करने के लिये नहीं कहता।

Yadi koi apne bhai ko aisa paap karte dekhe, jis ka phal mrityu na ho, to binti kare, aur Parmeshwar, use, un ke liye, jinhon ne aisa paap kiya hai jis ka phal mrityu na ho, jeevan dega. Paap aisa bhi hota hai jiska phal mrityu hai: is ke vishay mein main binti karne ke liye nahi kahta.

17

सब प्रकार का अधर्म तो पाप है, परन्तु ऐसा पाप भी है, जिस का फल मृत्यु नहीं॥

Sab prakaar ka adharm to paap hai, parantu aisa paap bhi hai, jis ka phal mrityu nahi.

18

हम जानते हैं, कि जो कोई परमेश्वर से उत्पन्न हुआ है, वह पाप नहीं करता; पर जो परमेश्वर से उत्पन्न हुआ, उसे वह बचाए रखता है: और वह दुष्ट उसे छूने नहीं पाता।

Ham jante hain, ki jo koi Parmeshwar se utpann huaa hai, vah paap nahi karta; par jo Parmeshwar se utpann huaa, use vah bachaye rakhta hai: aur vah dusht use chhoone nahi pata.

19

हम जानते हैं, कि हम परमेश्वर से हैं, और सारा संसार उस दुष्ट के वश में पड़ा है।

Ham jante hain, ki ham Parmeshwar se hain, aur sara sansaar us dusht ke vash mein pada hai.

20

और यह भी जानते हैं, कि परमेश्वर का पुत्र आ गया है और उस ने हमें समझ दी है, कि हम उस सच्चे को पहचानें, और हम उस में जो सत्य है, अर्थात उसके पुत्र यीशु मसीह में रहते हैं: सच्चा परमेश्वर और अनन्त जीवन यही है।

Aur yah bhi jante hain, ki Parmeshwar ka putra aa gaya hai aur us ne hamein samajh di hai, ki ham us sachche ko pahchanein, aur ham us mein jo satya hai, arthaat uske putra Yeshu Masih mein rahte hain: sachcha Parmeshwar aur anant jeevan yahi hai.

21

हे बालको, अपने आप को मूरतों से बचाए रखो॥

He balko, apne aap ko moorton se bachaye rakho.