2 John 1 · 13 verses

2 यूहन्ना 1 2 John 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 Yuhanna 1.

1

मुझ प्राचीन की ओर से उस चुनी हुई श्रीमती और उसके लड़के बालों के नाम जिन से मैं उस सच्चाई के कारण सत्य प्रेम रखता हूं, जा हम में स्थिर रहती है, और सर्वदा हमारे साथ अटल रहेगी।

Mujh pracheen ki or se us chuni hui shreemti aur uske ladke balon ke naam jin se main us sachchai ke karan satya prem rakhta hoon, ja ham mein sthir rahti hai, aur sarvada hamare saath atal rahegi.

2

और केवल मैं ही नहीं, वरन वह सब भी प्रेम रखते हैं, जो सच्चाई को जानते हैं॥

Aur keval main hi nahi, varan vah sab bhi prem rakhte hain, jo sachchai ko jante hain.

3

परमेश्वर पिता, और पिता के पुत्र यीशु मसीह की ओर से अनुग्रह, और दया, और शान्ति, सत्य, और प्रेम सहित हमारे साथ रहेंगे॥

Parmeshwar pita, aur pita ke putra Yeshu Masih ki or se anugrah, aur daya, aur shanti, satya, aur prem sahit hamare saath rahenge.

4

मैं बहुत आनन्दित हुआ, कि मैं ने तेरे कितने लड़के-बालों को उस आज्ञा के अनुसार, जो हमें पिता की ओर से मिली थी सत्य पर चलते हुए पाया।

Main bahut aanandit huaa, ki main ne tere kitne ladke-balon ko us aagya ke anusaar, jo hamein pita ki or se mili thi satya par chalte hue paya.

5

अब हे श्रीमती, मैं तुझे कोई नई आज्ञा नहीं, पर वही जो आरम्भ से हमारे पास है, लिखता हूं; और तुझ से बिनती करता हूं, कि हम एक दूसरे से प्रेम रखें।

Ab he shreemti, main tujhe koi nai aagya nahi, par vahi jo aarambh se hamare paas hai, likhta hoon; aur tujh se binti karta hoon, ki ham ek doosre se prem rakhein.

6

और प्रेम यह है कि हम उस की आज्ञाओं के अनुसार चलें: यह वही आज्ञा है, जो तुम ने आरम्भ से सुनी है और तुम्हें इस पर चलना भी चाहिए।

Aur prem yah hai ki ham us ki aagyaon ke anusaar chalein: yah vahi aagya hai, jo tum ne aarambh se suni hai aur tumhein is par chalna bhi chahiye.

7

क्योंकि बहुत से ऐसे भरमाने वाले जगत में निकल आए हैं, जो यह नहीं मानते, कि यीशु मसीह शरीर में होकर आया: भरमाने वाला और मसीह का विरोधी यही है।

Kyonki bahut se aise bharmane vale jagat mein nikal aaye hain, jo yah nahi mante, ki Yeshu Masih shareer mein hokar aaya: bharmane vala aur Masih ka virodhi yahi hai.

8

अपने विषय में चौकस रहो; कि जो परिश्रम हम ने किया है, उस को तुम न बिगाड़ो: वरन उसका पूरा प्रतिफल पाओ।

Apne vishay mein chaukas raho; ki jo parishram ham ne kiya hai, us ko tum na bigado: varan uska poora pratiphal pao.

9

जो कोई आगे बढ़ जाता है, और मसीह की शिक्षा में बना नहीं रहता, उसके पास परमेश्वर नहीं: जो कोई उस की शिक्षा में स्थिर रहता है, उसके पास पिता भी है, और पुत्र भी।

Jo koi aage badh jata hai, aur Masih ki shiksha mein bana nahi rahta, uske paas Parmeshwar nahi: jo koi us ki shiksha mein sthir rahta hai, uske paas pita bhi hai, aur putra bhi.

10

यदि कोई तुम्हारे पास आए, और यही शिक्षा न दे, उसे न तो घर मे आने दो, और न नमस्कार करो।

Yadi koi tumhare paas aaye, aur yahi shiksha na de, use na to ghar me aane do, aur na namaskaar karo.

11

क्योंकि जो कोई ऐसे जन को नमस्कार करता है, वह उस के बुरे कामों में साझी होता है॥

Kyonki jo koi aise jan ko namaskaar karta hai, vah us ke bure kamon mein sajhi hota hai.

12

मुझे बहुत सी बातें तुम्हें लिखनी हैं, पर कागज और सियाही से लिखना नहीं चाहता; पर आशा है, कि मैं तुम्हारे पास आऊंगा, और सम्मुख होकर बातचीत करूंगा: जिस से तुम्हारा आनन्द पूरा हो।

Mujhe bahut si batein tumhein likhni hain, par kagaj aur siyahi se likhna nahi chahta; par aasha hai, ki main tumhare paas aaoonga, aur sammukh hokar batcheet karoonga: jis se tumhara aanand poora ho.

13

तेरी चुनी हुई बहिन के लड़के-बाले तुझे नमस्कार करते हैं।

Teri chuni hui bahin ke ladke-bale tujhe namaskaar karte hain.