1 John 4 · 21 verses

1 यूहन्ना 4 1 John 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 Yuhanna 4.

1

हे प्रियों, हर एक आत्मा की प्रतीति न करो: वरन आत्माओं को परखो, कि वे परमेश्वर की ओर से हैं कि नहीं; क्योंकि बहुत से झूठे भविष्यद्वक्ता जगत में निकल खड़े हुए हैं।

He priyon, har ek aatma ki prateeti na karo: varan aatmaon ko parkho, ki ve Parmeshwar ki or se hain ki nahi; kyonki bahut se jhoothe bhavishyadwakta jagat mein nikal khade hue hain.

2

परमेश्वर का आत्मा तुम इसी रीति से पहचान सकते हो, कि जो कोई आत्मा मान लेती है, कि यीशु मसीह शरीर में होकर आया है वह परमेश्वर की ओर से है।

Parmeshwar ka aatma tum isi reeti se pahchaan sakte ho, ki jo koi aatma maan leti hai, ki Yeshu Masih shareer mein hokar aaya hai vah Parmeshwar ki or se hai.

3

और जो कोई आत्मा यीशु को नहीं मानती, वह परमेश्वर की ओर से नहीं; और वही तो मसीह के विरोधी की आत्मा है; जिस की चर्चा तुम सुन चुके हो, कि वह आने वाला है: और अब भी जगत में है।

Aur jo koi aatma Yeshu ko nahi manti, vah Parmeshwar ki or se nahi; aur vahi to Masih ke virodhi ki aatma hai; jis ki charcha tum sun chuke ho, ki vah aane vala hai: aur ab bhi jagat mein hai.

4

हे बालको, तुम परमेश्वर के हो: और तुम ने उन पर जय पाई है; क्योंकि जो तुम में है, वह उस से जो संसार में है, बड़ा है।

He balko, tum Parmeshwar ke ho: aur tum ne un par jay pai hai; kyonki jo tum mein hai, vah us se jo sansaar mein hai, bada hai.

5

वे संसार के हैं, इस कारण वे संसार की बातें बोलते हैं, और संसार उन की सुनता है।

Ve sansaar ke hain, is karan ve sansaar ki batein bolte hain, aur sansaar un ki sunta hai.

6

हम परमेश्वर के हैं: जो परमेश्वर को जानता है, वह हमारी सुनता है; जो परमेश्वर को नहीं जानता वह हमारी नहीं सुनता; इसी प्रकार हम सत्य की आत्मा और भ्रम की आत्मा को पहचान लेते हैं।

Ham Parmeshwar ke hain: jo Parmeshwar ko janta hai, vah hamari sunta hai; jo Parmeshwar ko nahi janta vah hamari nahi sunta; isi prakaar ham satya ki aatma aur bhram ki aatma ko pahchaan lete hain.

7

हे प्रियों, हम आपस में प्रेम रखें; क्योंकि प्रेम परमेश्वर से है: और जो कोई प्रेम करता है, वह परमेश्वर से जन्मा है; और परमेश्वर को जानता है।

He priyon, ham aapas mein prem rakhein; kyonki prem Parmeshwar se hai: aur jo koi prem karta hai, vah Parmeshwar se janma hai; aur Parmeshwar ko janta hai.

8

जो प्रेम नहीं रखता, वह परमेश्वर को नहीं जानता है, क्योंकि परमेश्वर प्रेम है।

Jo prem nahi rakhta, vah Parmeshwar ko nahi janta hai, kyonki Parmeshwar prem hai.

9

जो प्रेम परमेश्वर हम से रखता है, वह इस से प्रगट हुआ, कि परमेश्वर ने अपने एकलौते पुत्र को जगत में भेजा है, कि हम उसके द्वारा जीवन पाएं।

Jo prem Parmeshwar ham se rakhta hai, vah is se pragat huaa, ki Parmeshwar ne apne eklaute putra ko jagat mein bheja hai, ki ham uske dwara jeevan payen.

10

प्रेम इस में नहीं कि हम ने परमेश्वर ने प्रेम किया; पर इस में है, कि उस ने हम से प्रेम किया; और हमारे पापों के प्रायश्चित्त के लिये अपने पुत्र को भेजा।

Prem is mein nahi ki ham ne Parmeshwar ne prem kiya; par is mein hai, ki us ne ham se prem kiya; aur hamare papon ke prayashchitt ke liye apne putra ko bheja.

11

हे प्रियो, जब परमेश्वर ने हम से ऐसा प्रेम किया, तो हम को भी आपस में प्रेम रखना चाहिए।

He priyo, jab Parmeshwar ne ham se aisa prem kiya, to ham ko bhi aapas mein prem rakhna chahiye.

12

परमेश्वर को कभी किसी ने नहीं देखा; यदि हम आपस में प्रेम रखें, तो परमेश्वर हम में बना रहता है; और उसका प्रेम हम में सिद्ध हो गया है।

Parmeshwar ko kabhi kisi ne nahi dekha; yadi ham aapas mein prem rakhein, to Parmeshwar ham mein bana rahta hai; aur uska prem ham mein siddh ho gaya hai.

13

इसी से हम जानते हैं, कि हम उस में बने रहते हैं, और वह हम में; क्योंकि उस ने अपने आत्मा में से हमें दिया है।

Isi se ham jante hain, ki ham us mein bane rahte hain, aur vah ham mein; kyonki us ne apne aatma mein se hamein diya hai.

14

और हम ने देख भी लिया और गवाही देते हैं, कि पिता ने पुत्र को जगत का उद्धारकर्ता करके भेजा है।

Aur ham ne dekh bhi liya aur gavahi dete hain, ki pita ne putra ko jagat ka uddharkarta karke bheja hai.

15

जो कोई यह मान लेता है, कि यीशु परमेश्वर का पुत्र है: परमेश्वर उस में बना रहता है, और वह परमेश्वर में।

Jo koi yah maan leta hai, ki Yeshu Parmeshwar ka putra hai: Parmeshwar us mein bana rahta hai, aur vah Parmeshwar mein.

16

और जो प्रेम परमेश्वर हम से रखता है, उस को हम जान गए, और हमें उस की प्रतीति है; परमेश्वर प्रेम है: जो प्रेम में बना रहता है, वह परमेश्वर में बना रहता है; और परमेश्वर उस में बना रहता है।

Aur jo prem Parmeshwar ham se rakhta hai, us ko ham jaan gaye, aur hamein us ki prateeti hai; Parmeshwar prem hai: jo prem mein bana rahta hai, vah Parmeshwar mein bana rahta hai; aur Parmeshwar us mein bana rahta hai.

17

इसी से प्रेम हम में सिद्ध हुआ, कि हमें न्याय के दिन हियाव हो; क्योंकि जैसा वह है, वैसे ही संसार में हम भी हैं।

Isi se prem ham mein siddh huaa, ki hamein nyaay ke din hiyaav ho; kyonki jaisa vah hai, vaise hi sansaar mein ham bhi hain.

18

प्रेम में भय नहीं होता, वरन सिद्ध प्रेम भय को दूर कर देता है, क्योंकि भय से कष्ट होता है, और जो भय करता है, वह प्रेम में सिद्ध नहीं हुआ।

Prem mein bhay nahi hota, varan siddh prem bhay ko door kar deta hai, kyonki bhay se kasht hota hai, aur jo bhay karta hai, vah prem mein siddh nahi huaa.

19

हम इसलिये प्रेम करते हैं, कि पहिले उस ने हम से प्रेम किया।

Ham isliye prem karte hain, ki pahile us ne ham se prem kiya.

20

यदि कोई कहे, कि मैं परमेश्वर से प्रेम रखता हूं; और अपने भाई से बैर रखे; तो वह झूठा है: क्योंकि जो अपने भाई से, जिस उस ने देखा है, प्रेम नहीं रखता, तो वह परमेश्वर से भी जिसे उस ने नहीं देखा, प्रेम नहीं रख सकता।

Yadi koi kahe, ki main Parmeshwar se prem rakhta hoon; aur apne bhai se bair rakhe; to vah jhootha hai: kyonki jo apne bhai se, jis us ne dekha hai, prem nahi rakhta, to vah Parmeshwar se bhi jise us ne nahi dekha, prem nahi rakh sakta.

21

और उस से हमें यह आज्ञा मिली है, कि जो कोई अपने परमेश्वर से प्रेम रखता है, वह अपने भाई से भी प्रेम रखे॥

Aur us se hamein yah aagya mili hai, ki jo koi apne Parmeshwar se prem rakhta hai, vah apne bhai se bhi prem rakhe.