1 John 2 · 29 verses

1 यूहन्ना 2 1 John 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 Yuhanna 2.

1

हे मेरे बालकों, मैं ये बातें तुम्हें इसलिये लिखता हूं, कि तुम पाप न करो; और यदि कोई पाप करे, तो पिता के पास हमारा एक सहायक है, अर्थात धार्मिक यीशु मसीह।

He mere balkon, main ye batein tumhein isliye likhta hoon, ki tum paap na karo; aur yadi koi paap kare, to pita ke paas hamara ek sahayak hai, arthaat dharmik Yeshu Masih.

2

और वही हमारे पापों का प्रायश्चित्त है: और केवल हमारे ही नहीं, वरन सारे जगत के पापों का भी।

Aur vahi hamare papon ka prayashchitt hai: aur keval hamare hi nahi, varan sare jagat ke papon ka bhi.

3

यदि हम उस की आज्ञाओं को मानेंगे, तो इस से हम जान लेंगे कि हम उसे जान गए हैं।

Yadi ham us ki aagyaon ko manenge, to is se ham jaan lenge ki ham use jaan gaye hain.

4

जो कोई यह कहता है, कि मैं उसे जान गया हूं, और उस की आज्ञाओं को नहीं मानता, वह झूठा है; और उस में सत्य नहीं।

Jo koi yah kahta hai, ki main use jaan gaya hoon, aur us ki aagyaon ko nahi manta, vah jhootha hai; aur us mein satya nahi.

5

पर जो कोई उसके वचन पर चले, उस में सचमुच परमेश्वर का प्रेम सिद्ध हुआ है: हमें इसी से मालूम होता है, कि हम उस में हैं।

Par jo koi uske vachan par chale, us mein sachmuch Parmeshwar ka prem siddh huaa hai: hamein isi se maloom hota hai, ki ham us mein hain.

6

सो कोई यह कहता है, कि मैं उस में बना रहता हूं, उसे चाहिए कि आप भी वैसा ही चले जैसा वह चलता था।

So koi yah kahta hai, ki main us mein bana rahta hoon, use chahiye ki aap bhi vaisa hi chale jaisa vah chalta tha.

7

हे प्रियों, मैं तुम्हें कोई नई आज्ञा नहीं लिखता, पर वही पुरानी आज्ञा जो आरम्भ से तुम्हें मिली है; यह पुरानी आज्ञा वह वचन है, जिसे तुम ने सुना है।

He priyon, main tumhein koi nai aagya nahi likhta, par vahi purani aagya jo aarambh se tumhein mili hai; yah purani aagya vah vachan hai, jise tum ne suna hai.

8

फिर मैं तुम्हें नई आज्ञा लिखता हूं; और यह तो उस में और तुम में सच्ची ठहरती है; क्योंकि अन्धकार मिटता जाता है और सत्य की ज्योति अभी चमकने लगी है।

Phir main tumhein nai aagya likhta hoon; aur yah to us mein aur tum mein sachchi thaharti hai; kyonki andhakaar mitta jata hai aur satya ki jyoti abhi chamakne lagi hai.

9

जो कोई यह कहता है, कि मैं ज्योति में हूं; और अपने भाई से बैर रखता है, वह अब तक अन्धकार ही में है।

Jo koi yah kahta hai, ki main jyoti mein hoon; aur apne bhai se bair rakhta hai, vah ab tak andhakaar hi mein hai.

10

जो कोई अपने भाई से प्रेम रखता है, वह ज्योति में रहता है, और ठोकर नहीं खा सकता।

Jo koi apne bhai se prem rakhta hai, vah jyoti mein rahta hai, aur thokar nahi kha sakta.

11

पर जो कोई अपने भाई से बैर रखता है, वह अन्धकार में है, और अन्धकार में चलता है; और नहीं जानता, कि कहां जाता है, क्योंकि अन्धकार ने उस की आंखे अन्धी कर दी हैं॥

Par jo koi apne bhai se bair rakhta hai, vah andhakaar mein hai, aur andhakaar mein chalta hai; aur nahi janta, ki kahan jata hai, kyonki andhakaar ne us ki aankhe andhi kar di hain.

12

हे बालकों, मैं तुम्हें इसलिये लिखता हूं, कि उसके नाम से तुम्हारे पाप क्षमा हुए।

He balkon, main tumhein isliye likhta hoon, ki uske naam se tumhare paap kshama hue.

13

हे पितरों, मैं तुम्हें इसलिये लिखता हूं, कि जो आदि से है, तुम उसे जानते हो: हे जवानों, मैं तुम्हें इसलिये लिखता हूं, कि तुम ने उस दुष्ट पर जय पाई है: हे लड़कों मैं ने तुम्हें इसलिये लिखा है, कि तुम पिता को जान गए हो।

He pitron, main tumhein isliye likhta hoon, ki jo aadi se hai, tum use jante ho: he javanon, main tumhein isliye likhta hoon, ki tum ne us dusht par jay pai hai: he ladkon main ne tumhein isliye likha hai, ki tum pita ko jaan gaye ho.

14

हे पितरों, मैं ने तुम्हें इसलिये लिखा है, कि जो आदि से है तुम उसे जान गए हो: हे जवानो, मैं ने तुम्हें इसलिये लिखा है, कि तुम बलवन्त हो, और परमेश्वर का वचन तुम में बना रहता है, और तुम ने उस दुष्ट पर जय पाई है।

He pitron, main ne tumhein isliye likha hai, ki jo aadi se hai tum use jaan gaye ho: he javano, main ne tumhein isliye likha hai, ki tum balvant ho, aur Parmeshwar ka vachan tum mein bana rahta hai, aur tum ne us dusht par jay pai hai.

15

तुम न तो संसार से और न संसार में की वस्तुओं से प्रेम रखो: यदि कोई संसार से प्रेम रखता है, तो उस में पिता का प्रेम नहीं है।

Tum na to sansaar se aur na sansaar mein ki vastuon se prem rakho: yadi koi sansaar se prem rakhta hai, to us mein pita ka prem nahi hai.

16

क्योंकि जो कुछ संसार में है, अर्थात शरीर की अभिलाषा, और आंखों की अभिलाषा और जीविका का घमण्ड, वह पिता की ओर से नहीं, परन्तु संसार ही की ओर से है।

Kyonki jo kuchh sansaar mein hai, arthaat shareer ki abhilasha, aur aankhon ki abhilasha aur jeevika ka ghamand, vah pita ki or se nahi, parantu sansaar hi ki or se hai.

17

और संसार और उस की अभिलाषाएं दोनों मिटते जाते हैं, पर जो परमेश्वर की इच्छा पर चलता है, वह सर्वदा बना रहेगा॥

Aur sansaar aur us ki abhilashayen donon mitte jate hain, par jo Parmeshwar ki ichchha par chalta hai, vah sarvada bana rahega.

18

हे लड़कों, यह अन्तिम समय है, और जैसा तुम ने सुना है, कि मसीह का विरोधी आने वाला है, उसके अनुसार अब भी बहुत से मसीह के विरोधी उठे हैं; इस से हम जानते हैं, कि यह अन्तिम समय है।

He ladkon, yah antim samay hai, aur jaisa tum ne suna hai, ki Masih ka virodhi aane vala hai, uske anusaar ab bhi bahut se Masih ke virodhi uthe hain; is se ham jante hain, ki yah antim samay hai.

19

वे निकले तो हम ही में से, पर हम में के थे नहीं; क्योंकि यदि हम में के होते, तो हमारे साथ रहते, पर निकल इसलिये गए कि यह प्रगट हो कि वे सब हम में के नहीं हैं।

Ve nikle to ham hi mein se, par ham mein ke the nahi; kyonki yadi ham mein ke hote, to hamare saath rahte, par nikal isliye gaye ki yah pragat ho ki ve sab ham mein ke nahi hain.

20

और तुम्हारा तो उस पवित्र से अभिषेक हुआ है, और तुम सब कुछ जानते हो।

Aur tumhara to us pavitra se abhishek huaa hai, aur tum sab kuchh jante ho.

21

मैं ने तुम्हें इसलिये नहीं लिखा, कि तुम सत्य को नहीं जानते, पर इसलिये, कि उसे जानते हो, और इसलिये कि कोई झूठ, सत्य की ओर से नहीं।

Main ne tumhein isliye nahi likha, ki tum satya ko nahi jante, par isliye, ki use jante ho, aur isliye ki koi jhooth, satya ki or se nahi.

22

झूठा कौन है? केवल वह, जो यीशु के मसीह होने का इन्कार करता है; और मसीह का विरोधी वही है, जो पिता का और पुत्र का इन्कार करता है।

Jhootha kaun hai? Keval vah, jo Yeshu ke Masih hone ka inkaar karta hai; aur Masih ka virodhi vahi hai, jo pita ka aur putra ka inkaar karta hai.

23

जो कोई पुत्र का इन्कार करता है उसके पास पिता भी नहीं: जो पुत्र को मान लेता है, उसके पास पिता भी है।

Jo koi putra ka inkaar karta hai uske paas pita bhi nahi: jo putra ko maan leta hai, uske paas pita bhi hai.

24

जो कुछ तुम ने आरम्भ से सुना है वही तुम में बना रहे: जो तुम ने आरम्भ से सुना है, यदि वह तुम में बना रहे, तो तुम भी पुत्र में, और पिता में बने रहोगे।

Jo kuchh tum ne aarambh se suna hai vahi tum mein bana rahe: jo tum ne aarambh se suna hai, yadi vah tum mein bana rahe, to tum bhi putra mein, aur pita mein bane rahoge.

25

और जिस की उस ने हम से प्रतिज्ञा की वह अनन्त जीवन है।

Aur jis ki us ne ham se pratigya ki vah anant jeevan hai.

26

मैं ने ये बातें तुम्हें उन के विषय में लिखी हैं, जो तुम्हें भरमाते हैं।

Main ne ye batein tumhein un ke vishay mein likhi hain, jo tumhein bharmate hain.

27

और तुम्हारा वह अभिषेक, जो उस की ओर से किया गया, तुम में बना रहता है; और तुम्हें इस का प्रयोजन नही, कि कोई तुम्हें सिखाए, वरन जैसे वह अभिषेक जो उस की ओर से किया गया तुम्हें सब बातें सिखाता है, और यह सच्चा है, और झूठा नहीं: और जैसा उस ने तुम्हें सिखाया है वैसे ही तुम उस में बने रहते हो।

Aur tumhara vah abhishek, jo us ki or se kiya gaya, tum mein bana rahta hai; aur tumhein is ka prayojan nahi, ki koi tumhein sikhaye, varan jaise vah abhishek jo us ki or se kiya gaya tumhein sab batein sikhata hai, aur yah sachcha hai, aur jhootha nahi: aur jaisa us ne tumhein sikhaya hai vaise hi tum us mein bane rahte ho.

28

निदान, हे बालकों, उस में बने रहो; कि जब वह प्रगट हो, तो हमें हियाव हो, और हम उसके आने पर उसके साम्हने लज्ज़ित न हों।

Nidaan, he balkon, us mein bane raho; ki jab vah pragat ho, to hamein hiyaav ho, aur ham uske aane par uske samhane lajzit na hon.

29

यदि तुम जानते हो, कि वह धार्मिक है, तो यह भी जानते हो, कि जो कोई धर्म का काम करता है, वह उस से जन्मा है।

Yadi tum jante ho, ki vah dharmik hai, to yah bhi jante ho, ki jo koi dharm ka kaam karta hai, vah us se janma hai.