1 Corinthians 9 · 27 verses

1 कुरिन्थियों 9 1 Corinthians 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 kurinthiyon 9.

1

क्या मैं स्वतंत्र नहीं? क्या मैं प्रेरित नहीं? क्या मैं ने यीशु को जो हमारा प्रभु है, नहीं देखा? क्या तुम प्रभु में मेरे बनाए हुए नहीं?

Kya main swatantra nahi? Kya main prerit nahi? Kya main ne Yeshu ko jo hamara Prabhu hai, nahi dekha? Kya tum Prabhu mein mere banaye hue nahi?

2

यदि मैं औरों के लिये प्रेरित नहीं, तौभी तुम्हारे लिये तो हूं; क्योंकि तुम प्रभु में मेरी प्रेरिताई पर छाप हो।

Yadi main auron ke liye prerit nahi, taubhi tumhare liye to hoon; kyonki tum Prabhu mein meri preritai par chhaap ho.

3

जो मुझे जांचते हैं, उन के लिये यही मेरा उत्तर है।

Jo mujhe janchte hain, un ke liye yahi mera uttar hai.

4

क्या हमें खाने-पीने का अधिकार नहीं?

Kya hamein khane-peene ka adhikaar nahi?

5

क्या हमें यह अधिकार नहीं, कि किसी मसीही बहिन को ब्याह कर के लिए फिरें, जैसा और प्रेरित और प्रभु के भाई और कैफा करते हैं?

Kya hamein yah adhikaar nahi, ki kisi maseehi bahin ko byaah kar ke liye phirein, jaisa aur prerit aur Prabhu ke bhai aur kaipha karte hain?

6

या केवल मुझे और बरनबास को अधिकार नहीं कि कमाई करना छोड़ें।

Ya keval mujhe aur baranbaas ko adhikaar nahi ki kamai karna chhodein.

7

कौन कभी अपनी गिरह से खाकर सिपाही का काम करता है? कौन दाख की बारी लगाकर उसका फल नहीं खाता? कौन भेड़ों की रखवाली करके उन का दूध नहीं पीता?

Kaun kabhi apni girah se khakar sipahi ka kaam karta hai? Kaun daakh ki bari lagakar uska phal nahi khata? Kaun bhedon ki rakhvali karke un ka doodh nahi peeta?

8

क्या मैं ये बातें मनुष्य ही की रीति पर बोलता हूं?

Kya main ye batein manushya hi ki reeti par bolta hoon?

9

क्या व्यवस्था भी यही नहीं कहती? क्योंकि मूसा की व्यवस्था में लिखा है कि दावने में चलते हुए बैल का मुंह न बान्धना: क्या परमेश्वर बैलों ही की चिन्ता करता है? या विशेष करके हमारे लिये कहता है।

Kya vyavastha bhi yahi nahi kahti? Kyonki Musa ki vyavastha mein likha hai ki davne mein chalte hue bail ka munh na bandhana: kya Parmeshwar bailon hi ki chinta karta hai? Ya vishesh karke hamare liye kahta hai.

10

हां, हमारे लिये ही लिखा गया, क्योंकि उचित है, कि जोतने वाला आशा से जोते, और दावने वाला भागी होने की आशा से दावनी करे।

Han, hamare liye hi likha gaya, kyonki uchit hai, ki jotne vala aasha se jote, aur davne vala bhagi hone ki aasha se davni kare.

11

सो जब कि हम ने तुम्हारे लिये आत्मिक वस्तुएं बोई, तो क्या यह कोई बड़ी बात है, कि तुम्हारी शारीरिक वस्तुओं की फसल काटें।

So jab ki ham ne tumhare liye aatmik vastuein boi, to kya yah koi badi baat hai, ki tumhari shareerik vastuon ki phasal katein.

12

जब औरों का तुम पर यह अधिकार है, तो क्या हमारा इस से अधिक न होगा? परन्तु हम यह अधिकार काम में नहीं लाए; परन्तु सब कुछ सहते हैं, कि हमारे द्वारा मसीह के सुसमाचार की कुछ रोक न हो।

Jab auron ka tum par yah adhikaar hai, to kya hamara is se adhik na hoga? Parantu ham yah adhikaar kaam mein nahi laye; parantu sab kuchh sahte hain, ki hamare dwara Masih ke susmachaar ki kuchh rok na ho.

13

क्या तुम नहीं जानते कि जो पवित्र वस्तुओं की सेवा करते हैं, वे मन्दिर में से खाते हैं; और जो वेदी की सेवा करते हैं; वे वेदी के साथ भागी होते हैं?

Kya tum nahi jante ki jo pavitra vastuon ki seva karte hain, ve mandir mein se khate hain; aur jo vedi ki seva karte hain; ve vedi ke saath bhagi hote hain?

14

इसी रीति से प्रभु ने भी ठहराया, कि जो लोग सुसमाचार सुनाते हैं, उन की जीविका सुसमाचार से हो।

Isi reeti se Prabhu ne bhi thahraya, ki jo log susmachaar sunate hain, un ki jeevika susmachaar se ho.

15

परन्तु मैं इन में से कोई भी बात काम में न लाया, और मैं ने तो ये बातें इसलिये नहीं लिखीं, कि मेरे लिये ऐसा किया जाए, क्योंकि इस से तो मेरा मरना ही भला है; कि कोई मेरा घमण्ड व्यर्थ ठहराए।

Parantu main in mein se koi bhi baat kaam mein na laya, aur main ne to ye batein isliye nahi likhi, ki mere liye aisa kiya jaye, kyonki is se to mera marna hi bhala hai; ki koi mera ghamand vyarth thahraye.

16

और यदि मैं सुसमाचार सुनाऊं, तो मेरा कुछ घमण्ड नहीं; क्योंकि यह तो मेरे लिये अवश्य है; और यदि मैं सुसमाचार न सुनाऊं, तो मुझ पर हाय।

Aur yadi main susmachaar sunaun, to mera kuchh ghamand nahi; kyonki yah to mere liye avashya hai; aur yadi main susmachaar na sunaun, to mujh par haay.

17

क्योंकि यदि अपनी इच्छा से यह करता हूं, तो मजदूरी मुझे मिलती है, और यदि अपनी इच्छा से नहीं करता, तौभी भण्डारीपन मुझे सौंपा गया है।

Kyonki yadi apni ichchha se yah karta hoon, to majdoori mujhe milti hai, aur yadi apni ichchha se nahi karta, taubhi bhandareepan mujhe saumpa gaya hai.

18

सो मेरी कौन सी मजदूरी है? यह कि सुसमाचार सुनाने में मैं मसीह का सुसमाचार सेंत मेंत कर दूं; यहां तक कि सुसमाचार में जो मेरा अधिकार है, उस को मैं पूरी रीति से काम में लाऊं।

So meri kaun si majdoori hai? Yah ki susmachaar sunane mein main Masih ka susmachaar sent ment kar dun; yahan tak ki susmachaar mein jo mera adhikaar hai, us ko main poori reeti se kaam mein laun.

19

क्योंकि सब से स्वतंत्र होने पर भी मैं ने अपने आप को सब का दास बना दिया है; कि अधिक लोगों को खींच लाऊं।

Kyonki sab se swatantra hone par bhi main ne apne aap ko sab ka daas bana diya hai; ki adhik logon ko kheench laun.

20

मैं यहूदियों के लिये यहूदी बना कि यहूदियों को खींच लाऊं, जो लोग व्यवस्था के आधीन हैं उन के लिये मैं व्यवस्था के आधीन न होने पर भी व्यवस्था के आधीन बना, कि उन्हें जो व्यवस्था के आधीन हैं, खींच लाऊं।

Main Yahudiyon ke liye Yahudi bana ki Yahudiyon ko kheench laun, jo log vyavastha ke aadheen hain un ke liye main vyavastha ke aadheen na hone par bhi vyavastha ke aadheen bana, ki unhein jo vyavastha ke aadheen hain, kheench laun.

21

व्यवस्थाहीनों के लिये मैं (जो परमेश्वर की व्यवस्था से हीन नहीं, परन्तु मसीह की व्यवस्था के आधीन हूं) व्यवस्थाहीन सा बना, कि व्यवस्थाहीनों को खींच लाऊं।

Vyavasthaheenon ke liye main (jo Parmeshwar ki vyavastha se heen nahi, parantu Masih ki vyavastha ke aadheen hoon) vyavasthaheen sa bana, ki vyavasthaheenon ko kheench laun.

22

मैं निर्बलों के लिये निर्बल सा बना, कि निर्बलों को खींच लाऊं, मैं सब मनुष्यों के लिये सब कुछ बना हूं, कि किसी न किसी रीति से कई एक का उद्धार कराऊं।

Main nirbalon ke liye nirbal sa bana, ki nirbalon ko kheench laun, main sab manushyon ke liye sab kuchh bana hoon, ki kisi na kisi reeti se kai ek ka uddhaar karaun.

23

और मैं सब कुछ सुसमाचार के लिये करता हूं, कि औरों के साथ उसका भागी हो जाऊं।

Aur main sab kuchh susmachaar ke liye karta hoon, ki auron ke saath uska bhagi ho jaun.

24

क्या तुम नहीं जानते, कि दौड़ में तो दौड़ते सब ही हैं, परन्तु इनाम एक ही ले जाता है तुम वैसे ही दौड़ो, कि जीतो।

Kya tum nahi jante, ki daud mein to daudte sab hi hain, parantu inaam ek hi le jata hai tum vaise hi daudo, ki jeeto.

25

और हर एक पहलवान सब प्रकार का संयम करता है, वे तो एक मुरझाने वाले मुकुट को पाने के लिये यह सब करते हैं, परन्तु हम तो उस मुकुट के लिये करते हैं, जो मुरझाने का नहीं।

Aur har ek pahalvaan sab prakaar ka sanyam karta hai, ve to ek murjhane vale mukut ko pane ke liye yah sab karte hain, parantu ham to us mukut ke liye karte hain, jo murjhane ka nahi.

26

इसलिये मैं तो इसी रीति से दौड़ता हूं, परन्तु बेठिकाने नहीं, मैं भी इसी रीति से मुक्कों से लड़ता हूं, परन्तु उस की नाईं नहीं जो हवा पीटता हुआ लड़ता है।

Isliye main to isi reeti se daudta hoon, parantu bethikane nahi, main bhi isi reeti se mukkon se ladta hoon, parantu us ki nai nahi jo hava peetta huaa ladta hai.

27

परन्तु मैं अपनी देह को मारता कूटता, और वश में लाता हूं; ऐसा न हो कि औरों को प्रचार करके, मैं आप ही किसी रीति से निकम्मा ठहरूं॥

Parantu main apni deh ko marta kootta, aur vash mein lata hoon; aisa na ho ki auron ko prachaar karke, main aap hi kisi reeti se nikamma thahrun.