उन बातों के विषय में जो तुम ने लिखीं, यह अच्छा है, कि पुरूष स्त्री को न छुए।
Un baton ke vishay mein jo tum ne likhi, yah achchha hai, ki puroosh stri ko na chhue.
1 Corinthians 7 · 40 verses
उन बातों के विषय में जो तुम ने लिखीं, यह अच्छा है, कि पुरूष स्त्री को न छुए।
Un baton ke vishay mein jo tum ne likhi, yah achchha hai, ki puroosh stri ko na chhue.
परन्तु व्यभिचार के डर से हर एक पुरूष की पत्नी, और हर एक स्त्री का पति हो।
Parantu vyabhichaar ke dar se har ek puroosh ki patni, aur har ek stri ka pati ho.
पति अपनी पत्नी का हक पूरा करे; और वैसे ही पत्नी भी अपने पति का।
Pati apni patni ka hak poora kare; aur vaise hi patni bhi apne pati ka.
पत्नी को अपनी देह पर अधिकार नहीं पर उसके पति का अधिकार है; वैसे ही पति को भी अपनी देह पर अधिकार नहीं, परन्तु पत्नी को।
Patni ko apni deh par adhikaar nahi par uske pati ka adhikaar hai; vaise hi pati ko bhi apni deh par adhikaar nahi, parantu patni ko.
तुम एक दूसरे से अलग न रहो; परन्तु केवल कुछ समय तक आपस की सम्मति से कि प्रार्थना के लिये अवकाश मिले, और फिर एक साथ रहो, ऐसा न हो, कि तुम्हारे असंयम के कारण शैतान तुम्हें परखे।
Tum ek doosre se alag na raho; parantu keval kuchh samay tak aapas ki sammati se ki prarthana ke liye avkaash mile, aur phir ek saath raho, aisa na ho, ki tumhare asanyam ke karan Shaitan tumhein parkhe.
परन्तु मैं जो यह कहता हूं वह अनुमति है न कि आज्ञा।
Parantu main jo yah kahta hoon vah anumti hai na ki aagya.
मैं यह चाहता हूं, कि जैसा मैं हूं, वैसा ही सब मनुष्य हों; परन्तु हर एक को परमेश्वर की ओर से विशेष विशेष वरदान मिले हैं; किसी को किसी प्रकार का, और किसी को किसी और प्रकार का॥
Main yah chahta hoon, ki jaisa main hoon, vaisa hi sab manushya hon; parantu har ek ko Parmeshwar ki or se vishesh vishesh vardaan mile hain; kisi ko kisi prakaar ka, aur kisi ko kisi aur prakaar ka.
परन्तु मैं अविवाहितों और विधवाओं के विषय में कहता हूं, कि उन के लिये ऐसा ही रहना अच्छा है, जैसा मैं हूं।
Parantu main avivahiton aur vidhvaon ke vishay mein kahta hoon, ki un ke liye aisa hi rahna achchha hai, jaisa main hoon.
परन्तु यदि वे संयम न कर सकें, तो विवाह करें; क्योंकि विवाह करना कामातुर रहने से भला है।
Parantu yadi ve sanyam na kar sakein, to vivaah karein; kyonki vivaah karna kamatur rahne se bhala hai.
जिन का ब्याह हो गया है, उन को मैं नहीं, वरन प्रभु आज्ञा देता है, कि पत्नी अपने पति से अलग न हो।
Jin ka byaah ho gaya hai, un ko main nahi, varan Prabhu aagya deta hai, ki patni apne pati se alag na ho.
(और यदि अलग भी हो जाए, तो बिन दूसरा ब्याह किए रहे; या अपने पति से फिर मेल कर ले) और न पति अपनी पत्नी को छोड़े।
(aur yadi alag bhi ho jaye, to bin doosra byaah kiye rahe; ya apne pati se phir mel kar le) aur na pati apni patni ko chhode.
दूसरों से प्रभु नहीं, परन्तु मैं ही कहता हूं, यदि किसी भाई की पत्नी विश्वास न रखती हो, और उसके साथ रहने से प्रसन्न हो, तो वह उसे न छोड़े।
Doosron se Prabhu nahi, parantu main hi kahta hoon, yadi kisi bhai ki patni vishwaas na rakhti ho, aur uske saath rahne se prasann ho, to vah use na chhode.
और जिस स्त्री का पति विश्वास न रखता हो, और उसके साथ रहने से प्रसन्न हो; वह पति को न छोड़े।
Aur jis stri ka pati vishwaas na rakhta ho, aur uske saath rahne se prasann ho; vah pati ko na chhode.
क्योंकि ऐसा पति जो विश्वास न रखता हो, वह पत्नी के कारण पवित्र ठहरता है, और ऐसी पत्नी जो विश्वास नहीं रखती, पति के कारण पवित्र ठहरती है; नहीं तो तुम्हारे लड़केबाले अशुद्ध होते, परन्तु अब तो पवित्र हैं।
Kyonki aisa pati jo vishwaas na rakhta ho, vah patni ke karan pavitra thaharta hai, aur aisi patni jo vishwaas nahi rakhti, pati ke karan pavitra thaharti hai; nahi to tumhare ladkebale ashuddh hote, parantu ab to pavitra hain.
परन्तु जो पुरूष विश्वास नहीं रखता, यदि वह अलग हो, तो अलग होने दो, ऐसी दशा में कोई भाई या बहिन बन्धन में नहीं; परन्तु परमेश्वर ने तो हमें मेल मिलाप के लिये बुलाया है।
Parantu jo puroosh vishwaas nahi rakhta, yadi vah alag ho, to alag hone do, aisi dasha mein koi bhai ya bahin bandhan mein nahi; parantu Parmeshwar ne to hamein mel milaap ke liye bulaya hai.
क्योंकि हे स्त्री, तू क्या जानती है, कि तू अपने पति का उद्धार करा ले और हे पुरूष, तू क्या जानता है कि तू अपनी पत्नी का उद्धार करा ले?
Kyonki he stri, tu kya janti hai, ki tu apne pati ka uddhaar kara le aur he puroosh, tu kya janta hai ki tu apni patni ka uddhaar kara le?
पर जैसा प्रभु ने हर एक को बांटा है, और परमेश्वर ने हर एक को बुलाया है; वैसा ही वह चले: और मैं सब कलीसियाओं में ऐसा ही ठहराता हूं।
Par jaisa Prabhu ne har ek ko banta hai, aur Parmeshwar ne har ek ko bulaya hai; vaisa hi vah chale: aur main sab kaleesiyaon mein aisa hi thahrata hoon.
जो खतना किया हुआ बुलाया गया हो, वह खतनारिहत न बने: जो खतनारिहत बुलाया गया हो, वह खतना न कराए।
Jo khatna kiya huaa bulaya gaya ho, vah khatnarihat na bane: jo khatnarihat bulaya gaya ho, vah khatna na karaye.
न खतना कुछ है, और न खतनारिहत परन्तु परमेश्वर की आज्ञाओं को मानना ही सब कुछ है।
Na khatna kuchh hai, aur na khatnarihat parantu Parmeshwar ki aagyaon ko manna hi sab kuchh hai.
हर एक जन जिस दशा में बुलाया गया हो, उसी में रहे।
Har ek jan jis dasha mein bulaya gaya ho, usi mein rahe.
यदि तू दास की दशा में बुलाया गया हो तो चिन्ता न कर; परन्तु यदि तू स्वतंत्र हो सके, तो ऐसा ही काम कर।
Yadi tu daas ki dasha mein bulaya gaya ho to chinta na kar; parantu yadi tu swatantra ho sake, to aisa hi kaam kar.
क्योंकि जो दास की दशा में प्रभु में बुलाया गया है, वह प्रभु का स्वतंत्र किया हुआ है: और वैसे ही जो स्वतंत्रता की दशा में बुलाया गया है, वह मसीह का दास है।
Kyonki jo daas ki dasha mein Prabhu mein bulaya gaya hai, vah Prabhu ka swatantra kiya huaa hai: aur vaise hi jo swatantrata ki dasha mein bulaya gaya hai, vah Masih ka daas hai.
तुम दाम देकर मोल लिये गए हो, मनुष्यों के दास न बनो।
Tum daam dekar mol liye gaye ho, manushyon ke daas na bano.
हे भाइयो, जो कोई जिस दशा में बुलाया गया हो, वह उसी में परमेश्वर के साथ रहे॥
He bhaiyo, jo koi jis dasha mein bulaya gaya ho, vah usi mein Parmeshwar ke saath rahe.
कुंवारियों के विषय में प्रभु की कोई आज्ञा मुझे नहीं मिली, परन्तु विश्वासयोग्य होने के लिये जैसी दया प्रभु ने मुझ पर की है, उसी के अनुसार सम्मति देता हूं।
Kunvariyon ke vishay mein Prabhu ki koi aagya mujhe nahi mili, parantu vishwasyogya hone ke liye jaisi daya Prabhu ne mujh par ki hai, usi ke anusaar sammati deta hoon.
सो मेरी समझ में यह अच्छा है, कि आजकल क्लेश के कारण मनुष्य जैसा है, वैसा ही रहे।
So meri samajh mein yah achchha hai, ki aajkal klesh ke karan manushya jaisa hai, vaisa hi rahe.
यदि तेरे पत्नी है, तो उस से अलग होने का यत्न न कर: और यदि तेरे पत्नी नहीं, तो पत्नी की खोज न कर:
Yadi tere patni hai, to us se alag hone ka yatn na kar: aur yadi tere patni nahi, to patni ki khoj na kar:
परन्तु यदि तू ब्याह भी करे, तो पाप नहीं; और यदि कुंवारी ब्याही जाए तो कोई पाप नहीं; परन्तु ऐसों को शारीरिक दुख होगा, और मैं बचाना चाहता हूं।
Parantu yadi tu byaah bhi kare, to paap nahi; aur yadi kunvari byahi jaye to koi paap nahi; parantu aison ko shareerik dukh hoga, aur main bachana chahta hoon.
हे भाइयो, मैं यह कहता हूं, कि समय कम किया गया है, इसलिये चाहिए कि जिन के पत्नी हों, वे ऐसे हों मानो उन के पत्नी नहीं।
He bhaiyo, main yah kahta hoon, ki samay kam kiya gaya hai, isliye chahiye ki jin ke patni hon, ve aise hon mano un ke patni nahi.
और रोने वाले ऐसे हों, मानो रोते नहीं; और आनन्द करने वाले ऐसे हों, मानो आनन्द नहीं करते; और मोल लेने वाले ऐसे हों, कि मानो उन के पास कुछ है नहीं।
Aur rone vale aise hon, mano rote nahi; aur aanand karne vale aise hon, mano aanand nahi karte; aur mol lene vale aise hon, ki mano un ke paas kuchh hai nahi.
और इस संसार के बरतने वाले ऐसे हों, कि संसार ही के न हो लें; क्योंकि इस संसार की रीति और व्यवहार बदलते जाते हैं।
Aur is sansaar ke baratne vale aise hon, ki sansaar hi ke na ho lein; kyonki is sansaar ki reeti aur vyavhaar badalte jate hain.
सो मैं यह चाहता हूं, कि तुम्हें चिन्ता न हो: अविवाहित पुरूष प्रभु की बातों की चिन्ता में रहता है, कि प्रभु को क्योंकर प्रसन्न रखे।
So main yah chahta hoon, ki tumhein chinta na ho: avivahit puroosh Prabhu ki baton ki chinta mein rahta hai, ki Prabhu ko kyonkar prasann rakhe.
परन्तु विवाहित मनुष्य संसार की बातों की चिन्ता में रहता है, कि अपनी पत्नी को किस रीति से प्रसन्न रखे।
Parantu vivahit manushya sansaar ki baton ki chinta mein rahta hai, ki apni patni ko kis reeti se prasann rakhe.
विवाहिता और अविवाहिता में भी भेद है: अविवाहिता प्रभु की चिन्ता में रहती है, कि वह देह और आत्मा दोनों में पवित्र हो, परन्तु विवाहिता संसार की चिन्ता में रहती है, कि अपने पति को प्रसन्न रखे।
Vivahita aur avivahita mein bhi bhed hai: avivahita Prabhu ki chinta mein rahti hai, ki vah deh aur aatma donon mein pavitra ho, parantu vivahita sansaar ki chinta mein rahti hai, ki apne pati ko prasann rakhe.
यह बात तुम्हारे ही लाभ के लिये कहता हूं, न कि तुम्हें फंसाने के लिये, वरन इसलिये कि जैसा सोहता है, वैसा ही किया जाए; कि तुम एक चित्त होकर प्रभु की सेवा में लगे रहो।
Yah baat tumhare hi laabh ke liye kahta hoon, na ki tumhein phansane ke liye, varan isliye ki jaisa sohta hai, vaisa hi kiya jaye; ki tum ek chitt hokar Prabhu ki seva mein lage raho.
और यदि कोई यह समझे, कि मैं अपनी उस कुंवारी का हक मार रहा हूं, जिस की जवानी ढल चली है, और प्रयोजन भी होए, तो जैसा चाहे, वैसा करे, इस में पाप नहीं, वह उसका ब्याह होने दे।
Aur yadi koi yah samjhe, ki main apni us kunvari ka hak maar raha hoon, jis ki javani dhal chali hai, aur prayojan bhi hoye, to jaisa chahe, vaisa kare, is mein paap nahi, vah uska byaah hone de.
परन्तु जो मन में दृढ़ रहता है, और उस को प्रयोजन न हो, वरन अपनी इच्छा पूरी करने में अधिकार रखता हो, और अपने मन में यह बात ठान ली हो, कि मैं अपनी कुंवारी लड़की को बिन ब्याही रखूंगा, वह अच्छा करता है।
Parantu jo man mein dridh rahta hai, aur us ko prayojan na ho, varan apni ichchha poori karne mein adhikaar rakhta ho, aur apne man mein yah baat thaan li ho, ki main apni kunvari ladki ko bin byahi rakhoonga, vah achchha karta hai.
सो जो अपनी कुंवारी का ब्याह कर देता है, वह अच्छा करता है और जो ब्याह नहीं कर देता, वह और भी अच्छा करता है।
So jo apni kunvari ka byaah kar deta hai, vah achchha karta hai aur jo byaah nahi kar deta, vah aur bhi achchha karta hai.
जब तक किसी स्त्री का पति जीवित रहता है, तब तक वह उस से बन्धी हुई है, परन्तु जब उसका पति मर जाए, तो जिस से चाहे विवाह कर सकती है, परन्तु केवल प्रभु में।
Jab tak kisi stri ka pati jeevit rahta hai, tab tak vah us se bandhi hui hai, parantu jab uska pati mar jaye, to jis se chahe vivaah kar sakti hai, parantu keval Prabhu mein.
परन्तु जैसी है यदि वैसी ही रहे, तो मेरे विचार में और भी धन्य है, और मैं समझता हूं, कि परमेश्वर का आत्मा मुझ में भी है॥
Parantu jaisi hai yadi vaisi hi rahe, to mere vichaar mein aur bhi dhanya hai, aur main samajhta hoon, ki Parmeshwar ka aatma mujh mein bhi hai.