1 Corinthians 2 · 16 verses

1 कुरिन्थियों 2 1 Corinthians 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 kurinthiyon 2.

1

और हे भाइयों, जब मैं परमेश्वर का भेद सुनाता हुआ तुम्हारे पास आया, तो वचन या ज्ञान की उत्तमता के साथ नहीं आया।

Aur he bhaiyon, jab main Parmeshwar ka bhed sunata huaa tumhare paas aaya, to vachan ya gyaan ki uttamta ke saath nahi aaya.

2

क्योंकि मैं ने यह ठान लिया था, कि तुम्हारे बीच यीशु मसीह, वरन क्रूस पर चढ़ाए हुए मसीह को छोड़ और किसी बात को न जानूं।

Kyonki main ne yah thaan liya tha, ki tumhare beech Yeshu Masih, varan kroos par chadhaye hue Masih ko chhod aur kisi baat ko na janun.

3

और मैं निर्बलता और भय के साथ, और बहुत थरथराता हुआ तुम्हारे साथ रहा।

Aur main nirbalta aur bhay ke saath, aur bahut tharathrata huaa tumhare saath raha.

4

और मेरे वचन, और मेरे प्रचार में ज्ञान की लुभाने वाली बातें नहीं; परन्तु आत्मा और सामर्थ का प्रमाण था।

Aur mere vachan, aur mere prachaar mein gyaan ki lubhane vali batein nahi; parantu aatma aur samarth ka pramaan tha.

5

इसलिये कि तुम्हारा विश्वास मनुष्यों के ज्ञान पर नहीं, परन्तु परमेश्वर की सामर्थ पर निर्भर हो॥

Isliye ki tumhara vishwaas manushyon ke gyaan par nahi, parantu Parmeshwar ki samarth par nirbhar ho.

6

फिर भी सिद्ध लोगों में हम ज्ञान सुनाते हैं: परन्तु इस संसार का और इस संसार के नाश होने वाले हाकिमों का ज्ञान नहीं।

Phir bhi siddh logon mein ham gyaan sunate hain: parantu is sansaar ka aur is sansaar ke naash hone vale hakimon ka gyaan nahi.

7

परन्तु हम परमेश्वर का वह गुप्त ज्ञान, भेद की रीति पर बताते हैं, जिसे परमेश्वर ने सनातन से हमारी महिमा के लिये ठहराया।

Parantu ham Parmeshwar ka vah gupt gyaan, bhed ki reeti par batate hain, jise Parmeshwar ne sanatan se hamari mahima ke liye thahraya.

8

जिसे इस संसार के हाकिमों में से किसी ने नहीं जाना, क्योंकि यदि जानते, तो तेजोमय प्रभु को क्रूस पर न चढ़ाते।

Jise is sansaar ke hakimon mein se kisi ne nahi jana, kyonki yadi jante, to tejomay Prabhu ko kroos par na chadhate.

9

परन्तु जैसा लिखा है, कि जो आंख ने नहीं देखी, और कान ने नहीं सुना, और जो बातें मनुष्य के चित्त में नहीं चढ़ीं वे ही हैं, जो परमेश्वर ने अपने प्रेम रखने वालों के लिये तैयार की हैं।

Parantu jaisa likha hai, ki jo aankh ne nahi dekhi, aur kaan ne nahi suna, aur jo batein manushya ke chitt mein nahi chadhi ve hi hain, jo Parmeshwar ne apne prem rakhne valon ke liye taiyaar ki hain.

10

परन्तु परमेश्वर ने उन को अपने आत्मा के द्वारा हम पर प्रगट किया; क्योंकि आत्मा सब बातें, वरन परमेश्वर की गूढ़ बातें भी जांचता है।

Parantu Parmeshwar ne un ko apne aatma ke dwara ham par pragat kiya; kyonki aatma sab batein, varan Parmeshwar ki goodh batein bhi janchta hai.

11

मनुष्यों में से कौन किसी मनुष्य की बातें जानता है, केवल मनुष्य की आत्मा जो उस में है? वैसे ही परमेश्वर की बातें भी कोई नहीं जानता, केवल परमेश्वर का आत्मा।

Manushyon mein se kaun kisi manushya ki batein janta hai, keval manushya ki aatma jo us mein hai? Vaise hi Parmeshwar ki batein bhi koi nahi janta, keval Parmeshwar ka aatma.

12

परन्तु हम ने संसार की आत्मा नहीं, परन्तु वह आत्मा पाया है, जो परमेश्वर की ओर से है, कि हम उन बातों को जानें, जो परमेश्वर ने हमें दी हैं।

Parantu ham ne sansaar ki aatma nahi, parantu vah aatma paya hai, jo Parmeshwar ki or se hai, ki ham un baton ko janein, jo Parmeshwar ne hamein di hain.

13

जिन को हम मनुष्यों के ज्ञान की सिखाई हुई बातों में नहीं, परन्तु आत्मा की सिखाई हुई बातों में, आत्मिक बातें आत्मिक बातों से मिला मिला कर सुनाते हैं।

Jin ko ham manushyon ke gyaan ki sikhai hui baton mein nahi, parantu aatma ki sikhai hui baton mein, aatmik batein aatmik baton se mila mila kar sunate hain.

14

परन्तु शारीरिक मनुष्य परमेश्वर के आत्मा की बातें ग्रहण नहीं करता, क्योंकि वे उस की दृष्टि में मूर्खता की बातें हैं, और न वह उन्हें जान सकता है क्योंकि उन की जांच आत्मिक रीति से होती है।

Parantu shareerik manushya Parmeshwar ke aatma ki batein grahan nahi karta, kyonki ve us ki drishti mein moorkhata ki batein hain, aur na vah unhein jaan sakta hai kyonki un ki jaanch aatmik reeti se hoti hai.

15

आत्मिक जन सब कुछ जांचता है, परन्तु वह आप किसी से जांचा नहीं जाता।

Aatmik jan sab kuchh janchta hai, parantu vah aap kisi se jancha nahi jata.

16

क्योंकि प्रभु का मन किस ने जाना है, कि उसे सिखलाए? परन्तु हम में मसीह का मन है॥

Kyonki Prabhu ka man kis ne jana hai, ki use sikhlaye? Parantu ham mein Masih ka man hai.