पौलुस की ओर से जो परमेश्वर की इच्छा से यीशु मसीह का प्रेरित होने के लिये बुलाया गया और भाई सोस्थिनेस की ओर से।
Paulus ki or se jo Parmeshwar ki ichchha se Yeshu Masih ka prerit hone ke liye bulaya gaya aur bhai sosthines ki or se.
1 Corinthians 1 · 31 verses
पौलुस की ओर से जो परमेश्वर की इच्छा से यीशु मसीह का प्रेरित होने के लिये बुलाया गया और भाई सोस्थिनेस की ओर से।
Paulus ki or se jo Parmeshwar ki ichchha se Yeshu Masih ka prerit hone ke liye bulaya gaya aur bhai sosthines ki or se.
परमेश्वर की उस कलीसिया के नाम जो कुरिन्थुस में है, अर्थात उन के नाम जो मसीह यीशु में पवित्र किए गए, और पवित्र होने के लिये बुलाए गए हैं; और उन सब के नाम भी जो हर जगह हमारे और अपने प्रभु यीशु मसीह के नाम की प्रार्थना करते हैं।
Parmeshwar ki us kaleesiya ke naam jo kurinthus mein hai, arthaat un ke naam jo Masih Yeshu mein pavitra kiye gaye, aur pavitra hone ke liye bulaye gaye hain; aur un sab ke naam bhi jo har jagah hamare aur apne Prabhu Yeshu Masih ke naam ki prarthana karte hain.
हमारे पिता परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह की ओर से तुम्हें अनुग्रह और शान्ति मिलती रहे॥
Hamare pita Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih ki or se tumhein anugrah aur shanti milti rahe.
मैं तुम्हारे विषय में अपने परमेश्वर का धन्यवाद सदा करता हूं, इसलिये कि परमेश्वर का यह अनुग्रह तुम पर मसीह यीशु में हुआ।
Main tumhare vishay mein apne Parmeshwar ka dhanyavaad sada karta hoon, isliye ki Parmeshwar ka yah anugrah tum par Masih Yeshu mein huaa.
कि उस में होकर तुम हर बात में अर्थात सारे वचन और सारे ज्ञान में धनी किए गए।
Ki us mein hokar tum har baat mein arthaat sare vachan aur sare gyaan mein dhani kiye gaye.
कि मसीह की गवाही तुम में पक्की निकली।
Ki Masih ki gavahi tum mein pakki nikli.
यहां तक कि किसी वरदान में तुम्हें घटी नहीं, और तुम हमारे प्रभु यीशु मसीह के प्रगट होने की बाट जोहते रहते हो।
Yahan tak ki kisi vardaan mein tumhein ghati nahi, aur tum hamare Prabhu Yeshu Masih ke pragat hone ki baat johte rahte ho.
वह तुम्हें अन्त तक दृढ़ भी करेगा, कि तुम हमारे प्रभु यीशु मसीह के दिन में निर्दोष ठहरो।
Vah tumhein ant tak dridh bhi karega, ki tum hamare Prabhu Yeshu Masih ke din mein nirdosh thahro.
परमेश्वर सच्चा है; जिस ने तुम को अपने पुत्र हमारे प्रभु यीशु मसीह की संगति में बुलाया है॥
Parmeshwar sachcha hai; jis ne tum ko apne putra hamare Prabhu Yeshu Masih ki sangti mein bulaya hai.
हे भाइयो, मैं तुम से यीशु मसीह जो हमारा प्रभु है उसके नाम के द्वारा बिनती करता हूं, कि तुम सब एक ही बात कहो; और तुम में फूट न हो, परन्तु एक ही मन और एक ही मत होकर मिले रहो।
He bhaiyo, main tum se Yeshu Masih jo hamara Prabhu hai uske naam ke dwara binti karta hoon, ki tum sab ek hi baat kaho; aur tum mein phoot na ho, parantu ek hi man aur ek hi mat hokar mile raho.
क्योंकि हे मेरे भाइयों, खलोए के घराने के लोगों ने मुझे तुम्हारे विषय में बताया है, कि तुम में झगड़े हो रहे हैं।
Kyonki he mere bhaiyon, khaloye ke gharane ke logon ne mujhe tumhare vishay mein bataya hai, ki tum mein jhagde ho rahe hain.
मेरा कहना यह है, कि तुम में से कोई तो अपने आप को पौलुस का, कोई अपुल्लोस का, कोई कैफा का, कोई मसीह का कहता है।
Mera kahna yah hai, ki tum mein se koi to apne aap ko Paulus ka, koi apullos ka, koi kaipha ka, koi Masih ka kahta hai.
क्या मसीह बँट गया? क्या पौलुस तुम्हारे लिये क्रूस पर चढ़ाया गया? या तुम्हें पौलुस के नाम पर बपतिस्मा मिला?
Kya Masih bant gaya? Kya Paulus tumhare liye kroos par chadhaya gaya? Ya tumhein Paulus ke naam par baptisma mila?
मैं परमेश्वर का धन्यवाद करता हूं, कि क्रिस्पुस और गयुस को छोड़, मैं ने तुम में से किसी को भी बपतिस्मा नहीं दिया।
Main Parmeshwar ka dhanyavaad karta hoon, ki krispus aur gayus ko chhod, main ne tum mein se kisi ko bhi baptisma nahi diya.
कहीं ऐसा न हो, कि कोई कहे, कि तुम्हें मेरे नाम पर बपतिस्मा मिला।
Kahi aisa na ho, ki koi kahe, ki tumhein mere naam par baptisma mila.
और मैं ने स्तिफनास के घराने को भी बपतिस्मा दिया; इन को छोड़, मैं नहीं जानता कि मैं ने और किसी को बपतिस्मा दिया।
Aur main ne stiphnaas ke gharane ko bhi baptisma diya; in ko chhod, main nahi janta ki main ne aur kisi ko baptisma diya.
क्योंकि मसीह ने मुझे बपतिस्मा देने को नहीं, वरन सुसमाचार सुनाने को भेजा है, और यह भी शब्दों के ज्ञान के अनुसार नहीं, ऐसा न हो कि मसीह का क्रूस व्यर्थ ठहरे।
Kyonki Masih ne mujhe baptisma dene ko nahi, varan susmachaar sunane ko bheja hai, aur yah bhi shabdon ke gyaan ke anusaar nahi, aisa na ho ki Masih ka kroos vyarth thahre.
क्योंकि क्रूस की कथा नाश होने वालों के निकट मूर्खता है, परन्तु हम उद्धार पाने वालों के निकट परमेश्वर की सामर्थ है।
Kyonki kroos ki katha naash hone valon ke nikat moorkhata hai, parantu ham uddhaar pane valon ke nikat Parmeshwar ki samarth hai.
क्योंकि लिखा है, कि मैं ज्ञानवानों के ज्ञान को नाश करूंगा, और समझदारों की समझ को तुच्छ कर दूंगा।
Kyonki likha hai, ki main gyanvanon ke gyaan ko naash karoonga, aur samajhdaron ki samajh ko tuchchh kar doonga.
कहां रहा ज्ञानवान? कहां रहा शास्त्री? कहां इस संसार का विवादी? क्या परमेश्वर ने संसार के ज्ञान को मूर्खता नहीं ठहराया?
Kahan raha gyanvaan? Kahan raha shastri? Kahan is sansaar ka vivadi? Kya Parmeshwar ne sansaar ke gyaan ko moorkhata nahi thahraya?
क्योंकि जब परमेश्वर के ज्ञान के अनुसार संसार ने ज्ञान से परमेश्वर को न जाना तो परमेश्वर को यह अच्छा लगा, कि इस प्रचार की मूर्खता के द्वारा विश्वास करने वालों को उद्धार दे।
Kyonki jab Parmeshwar ke gyaan ke anusaar sansaar ne gyaan se Parmeshwar ko na jana to Parmeshwar ko yah achchha laga, ki is prachaar ki moorkhata ke dwara vishwaas karne valon ko uddhaar de.
यहूदी तो चिन्ह चाहते हैं, और यूनानी ज्ञान की खोज में हैं।
Yahudi to chinh chahte hain, aur yoonani gyaan ki khoj mein hain.
परन्तु हम तो उस क्रूस पर चढ़ाए हुए मसीह का प्रचार करते हैं जो यहूदियों के निकट ठोकर का कारण, और अन्यजातियों के निकट मूर्खता है।
Parantu ham to us kroos par chadhaye hue Masih ka prachaar karte hain jo Yahudiyon ke nikat thokar ka karan, aur anyajatiyon ke nikat moorkhata hai.
परन्तु जो बुलाए हुए हैं क्या यहूदी, क्या यूनानी, उन के निकट मसीह परमेश्वर की सामर्थ, और परमेश्वर का ज्ञान है।
Parantu jo bulaye hue hain kya Yahudi, kya yoonani, un ke nikat Masih Parmeshwar ki samarth, aur Parmeshwar ka gyaan hai.
क्योंकि परमेश्वर की मूर्खता मनुष्यों के ज्ञान से ज्ञानवान है; और परमेश्वर की निर्बलता मनुष्यों के बल से बहुत बलवान है॥
Kyonki Parmeshwar ki moorkhata manushyon ke gyaan se gyanvaan hai; aur Parmeshwar ki nirbalta manushyon ke bal se bahut balvaan hai.
हे भाइयो, अपने बुलाए जाने को तो सोचो, कि न शरीर के अनुसार बहुत ज्ञानवान, और न बहुत सामर्थी, और न बहुत कुलीन बुलाए गए।
He bhaiyo, apne bulaye jane ko to socho, ki na shareer ke anusaar bahut gyanvaan, aur na bahut samarthi, aur na bahut kuleen bulaye gaye.
परन्तु परमेश्वर ने जगत के मूर्खों को चुन लिया है, कि ज्ञान वालों को लज्ज़ित करे; और परमेश्वर ने जगत के निर्बलों को चुन लिया है, कि बलवानों को लज्ज़ित करे।
Parantu Parmeshwar ne jagat ke moorkhon ko chun liya hai, ki gyaan valon ko lajzit kare; aur Parmeshwar ne jagat ke nirbalon ko chun liya hai, ki balvanon ko lajzit kare.
और परमेश्वर ने जगत के नीचों और तुच्छों को, वरन जो हैं भी नहीं उन को भी चुन लिया, कि उन्हें जो हैं, व्यर्थ ठहराए।
Aur Parmeshwar ne jagat ke neechon aur tuchchhon ko, varan jo hain bhi nahi un ko bhi chun liya, ki unhein jo hain, vyarth thahraye.
ताकि कोई प्राणी परमेश्वर के साम्हने घमण्ड न करने पाए।
Taki koi prani Parmeshwar ke samhane ghamand na karne paye.
परन्तु उसी की ओर से तुम मसीह यीशु में हो, जो परमेश्वर की ओर से हमारे लिये ज्ञान ठहरा अर्थात धर्म, और पवित्रता, और छुटकारा।
Parantu usi ki or se tum Masih Yeshu mein ho, jo Parmeshwar ki or se hamare liye gyaan thahra arthaat dharm, aur pavitrata, aur chhutkara.
ताकि जैसा लिखा है, वैसा ही हो, कि जो घमण्ड करे वह प्रभु में घमण्ड करे॥
Taki jaisa likha hai, vaisa hi ho, ki jo ghamand kare vah Prabhu mein ghamand kare.