1 Corinthians 14 · 40 verses

1 कुरिन्थियों 14 1 Corinthians 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 kurinthiyon 14.

1

प्रेम का अनुकरण करो, और आत्मिक वरदानों की भी धुन में रहो विशेष करके यह, कि भविष्यद्वाणी करो।

Prem ka anukran karo, aur aatmik vardanon ki bhi dhun mein raho vishesh karke yah, ki bhavishyadwani karo.

2

क्योंकि जो अन्य ‘भाषा में बातें करता है; वह मनुष्यों से नहीं, परन्तु परमेश्वर से बातें करता है; इसलिये कि उस की कोई नहीं समझता; क्योंकि वह भेद की बातें आत्मा में होकर बोलता है।

Kyonki jo anya ‘bhasha mein batein karta hai; vah manushyon se nahi, parantu Parmeshwar se batein karta hai; isliye ki us ki koi nahi samajhta; kyonki vah bhed ki batein aatma mein hokar bolta hai.

3

परन्तु जो भविष्यद्वाणी करता है, वह मनुष्यों से उन्नति, और उपदेश, और शान्ति की बातें कहता है।

Parantu jo bhavishyadwani karta hai, vah manushyon se unnati, aur updesh, aur shanti ki batein kahta hai.

4

जो अन्य भाषा में बातें करता है, वह अपनी ही उन्नति करता है; परन्तु जो भविष्यद्वाणी करता है, वह कलीसिया की उन्नति करता है।

Jo anya bhasha mein batein karta hai, vah apni hi unnati karta hai; parantu jo bhavishyadwani karta hai, vah kaleesiya ki unnati karta hai.

5

मैं चाहता हूं, कि तुम सब अन्य भाषाओं में बातें करो, परन्तु अधिकतर यह चाहता हूं कि भविष्यद्वाणी करो: क्योंकि यदि अन्यान्य भाषा बोलने वाला कलीसिया की उन्नति के लिये अनुवाद न करे तो भविष्यद्ववाणी करने वाला उस से बढ़कर है।

Main chahta hoon, ki tum sab anya bhashaon mein batein karo, parantu adhiktar yah chahta hoon ki bhavishyadwani karo: kyonki yadi anyanya bhasha bolne vala kaleesiya ki unnati ke liye anuvaad na kare to bhavishyadwavani karne vala us se badhkar hai.

6

इसलिये हे भाइयों, यदि मैं तुम्हारे पास आकर अन्य अन्य भाषा में बातें करूं, और प्रकाश, या ज्ञान, या भविष्यद्वाणी, या उपदेश की बातें तुम से न कहूं, तो मुझ से तुम्हें क्या लाभ होगा?

Isliye he bhaiyon, yadi main tumhare paas aakar anya anya bhasha mein batein karun, aur prakaash, ya gyaan, ya bhavishyadwani, ya updesh ki batein tum se na kahun, to mujh se tumhein kya laabh hoga?

7

इसी प्रकार यदि निर्जीव वस्तुएं भी, जिन से ध्वनि निकलती है जैसे बांसुरी, या बीन, यदि उन के स्वरों में भेद न हो तो जो फूंका या बजाया जाता है, वह क्योंकर पहिचाना जाएगा?

Isi prakaar yadi nirjeev vastuein bhi, jin se dhvani nikalti hai jaise bansuri, ya been, yadi un ke swaron mein bhed na ho to jo phoonka ya bajaya jata hai, vah kyonkar pahichana jayega?

8

और यदि तुरही का शब्द साफ न हो तो कौन लड़ाई के लिये तैयारी करेगा?

Aur yadi turhi ka shabd saaph na ho to kaun ladai ke liye taiyari karega?

9

ऐसे ही तुम भी यदि जीभ से साफ साफ बातें न कहो, तो जो कुछ कहा जाता है वह क्योंकर समझा जाएगा? तुम तो हवा से बातें करने वाले ठहरोगे।

Aise hi tum bhi yadi jeebh se saaph saaph batein na kaho, to jo kuchh kaha jata hai vah kyonkar samjha jayega? Tum to hava se batein karne vale thahroge.

10

जगत में कितने ही प्रकार की भाषाएं क्यों न हों, परन्तु उन में से कोई भी बिना अर्थ की न होगी।

Jagat mein kitne hi prakaar ki bhashayen kyon na hon, parantu un mein se koi bhi bina arth ki na hogi.

11

इसलिये यदि मैं किसी भाषा का अर्थ न समझूं, तो बोलने वाले की दृष्टि में परदेशी ठहरूंगा; और बोलने वाला मेरे दृष्टि में परदेशी ठहरेगा।

Isliye yadi main kisi bhasha ka arth na samjhun, to bolne vale ki drishti mein pardeshi thahroonga; aur bolne vala mere drishti mein pardeshi thahrega.

12

इसलिये तुम भी जब आत्मिक वरदानों की धुन में हो, तो ऐसा प्रयत्न करो, कि तुम्हारे वरदानों की उन्नति से कलीसिया की उन्नति हो।

Isliye tum bhi jab aatmik vardanon ki dhun mein ho, to aisa prayatn karo, ki tumhare vardanon ki unnati se kaleesiya ki unnati ho.

13

इस कारण जो अन्य भाषा बोले, तो वह प्रार्थना करे, कि उसका अनुवाद भी कर सके।

Is karan jo anya bhasha bole, to vah prarthana kare, ki uska anuvaad bhi kar sake.

14

इसलिये यदि मैं अन्य भाषा में प्रार्थना करूं, तो मेरी आत्मा प्रार्थना करती है, परन्तु मेरी बुद्धि काम नहीं देती।

Isliye yadi main anya bhasha mein prarthana karun, to meri aatma prarthana karti hai, parantu meri buddhi kaam nahi deti.

15

सो क्या करना चाहिए मैं आत्मा से भी प्रार्थना करूंगा, और बुद्धि से भी प्रार्थना करूंगा; मैं आत्मा से गाऊंगा, और बुद्धि से भी गाऊंगा।

So kya karna chahiye main aatma se bhi prarthana karoonga, aur buddhi se bhi prarthana karoonga; main aatma se gaoonga, aur buddhi se bhi gaoonga.

16

नहीं तो यदि तू आत्मा ही से धन्यवाद करेगा, तो फिर अज्ञानी तेरे धन्यवाद पर आमीन क्योंकर कहेगा? इसलिये कि वह तो नहीं जानता, कि तू क्या कहता है?

Nahi to yadi tu aatma hi se dhanyavaad karega, to phir agyani tere dhanyavaad par Aamin kyonkar kahega? Isliye ki vah to nahi janta, ki tu kya kahta hai?

17

तू तो भली भांति से धन्यवाद करता है, परन्तु दूसरे की उन्नति नहीं होती।

Tu to bhali bhanti se dhanyavaad karta hai, parantu doosre ki unnati nahi hoti.

18

मैं अपने परमेश्वर का धन्यवाद करता हूं, कि मैं तुम सब से अधिक अन्य अन्य भाषा में बोलता हूं।

Main apne Parmeshwar ka dhanyavaad karta hoon, ki main tum sab se adhik anya anya bhasha mein bolta hoon.

19

परन्तु कलीसिया में अन्य भाषा में दस हजार बातें कहने से यह मुझे और भी अच्छा जान पड़ता है, कि औरों के सिखाने के लिये बुद्धि से पांच ही बातें कहूं॥

Parantu kaleesiya mein anya bhasha mein das hajaar batein kahne se yah mujhe aur bhi achchha jaan padta hai, ki auron ke sikhane ke liye buddhi se paanch hi batein kahun.

20

हे भाइयो, तुम समझ में बालक न बनो: तौभी बुराई में तो बालक रहो, परन्तु समझ में सियाने बनो।

He bhaiyo, tum samajh mein balak na bano: taubhi burai mein to balak raho, parantu samajh mein siyane bano.

21

व्यवस्था में लिखा है, कि प्रभु कहता है; मैं अन्य भाषा बोलने वालों के द्वारा, और पराए मुख के द्वारा इन लोगों से बात करूंगा तौभी वे मेरी न सुनेंगे।

Vyavastha mein likha hai, ki Prabhu kahta hai; main anya bhasha bolne valon ke dwara, aur paraye mukh ke dwara in logon se baat karoonga taubhi ve meri na sunenge.

22

इसलिये अन्य अन्य भाषाएं विश्वासियों के लिये नहीं, परन्तु अविश्वासियों के लिये चिन्ह हैं, और भविष्यद्वाणी अविश्वासीयों के लिये नहीं परन्तु विश्वासियों के लिये चिन्ह हैं।

Isliye anya anya bhashayen vishwasiyon ke liye nahi, parantu avishwasiyon ke liye chinh hain, aur bhavishyadwani avishwaseeyon ke liye nahi parantu vishwasiyon ke liye chinh hain.

23

सो यदि कलीसिया एक जगह इकट्ठी हो, और सब के सब अन्य अन्य भाषा बोलें, और अनपढ़े या अविश्वासी लोग भीतर आ जाएं तो क्या वे तुम्हें पागल न कहेंगे?

So yadi kaleesiya ek jagah ikatthi ho, aur sab ke sab anya anya bhasha bolein, aur anapdhe ya avishwasi log bheetar aa jayen to kya ve tumhein pagal na kahenge?

24

परन्तु यदि सब भविष्यद्वाणी करने लगें, और कोई अविश्वासी या अनपढ़ा मनुष्य भीतर आ जाए, तो सब उसे दोषी ठहरा देंगे और परखलेंगे।

Parantu yadi sab bhavishyadwani karne lagein, aur koi avishwasi ya anapdha manushya bheetar aa jaye, to sab use doshi thahra denge aur parakhlenge.

25

और उसके मन के भेद प्रगट हो जाएंगे, और तब वह मुंह के बल गिरकर परमेश्वर को दण्डवत करेगा, और मान लेगा, कि सचमुच परमेश्वर तुम्हारे बीच में है।

Aur uske man ke bhed pragat ho jayenge, aur tab vah munh ke bal girkar Parmeshwar ko dandavat karega, aur maan lega, ki sachmuch Parmeshwar tumhare beech mein hai.

26

इसलिये हे भाइयो क्या करना चाहिए? जब तुम इकट्ठे होते हो, तो हर एक के हृदय में भजन, या उपदेश, या अन्यभाषा, या प्रकाश, या अन्यभाषा का अर्थ बताना रहता है: सब कुछ आत्मिक उन्नति के लिये होना चाहिए।

Isliye he bhaiyo kya karna chahiye? Jab tum ikatthe hote ho, to har ek ke hriday mein bhajan, ya updesh, ya anyabhasha, ya prakaash, ya anyabhasha ka arth batana rahta hai: sab kuchh aatmik unnati ke liye hona chahiye.

27

यदि अन्य भाषा में बातें करनीं हों, तो दो दो, या बहुत हो तो तीन तीन जन बारी बारी बोलें, और एक व्यक्ति अनुवाद करे।

Yadi anya bhasha mein batein karni hon, to do do, ya bahut ho to teen teen jan bari bari bolein, aur ek vyakti anuvaad kare.

28

परन्तु यदि अनुवाद करने वाला न हो, तो अन्य भाषा बोलने वाला कलीसिया में शान्त रहे, और अपने मन से, और परमेश्वर से बातें करे।

Parantu yadi anuvaad karne vala na ho, to anya bhasha bolne vala kaleesiya mein shaant rahe, aur apne man se, aur Parmeshwar se batein kare.

29

भविष्यद्वक्ताओं में से दो या तीन बोलें, और शेष लोग उन के वचन को परखें।

Bhavishyadwaktaon mein se do ya teen bolein, aur shesh log un ke vachan ko parkhein.

30

परन्तु यदि दूसरे पर जो बैठा है, कुछ ईश्वरीय प्रकाश हो, तो पहिला चुप हो जाए।

Parantu yadi doosre par jo baitha hai, kuchh ishwareeya prakaash ho, to pahila chup ho jaye.

31

क्योंकि तुम सब एक एक करके भविष्यद्वाणी कर सकते हो ताकि सब सीखें, और सब शान्ति पाएं।

Kyonki tum sab ek ek karke bhavishyadwani kar sakte ho taki sab seekhein, aur sab shanti payen.

32

और भविष्यद्वक्ताओं की आत्मा भविष्यद्वक्ताओं के वश में है।

Aur bhavishyadwaktaon ki aatma bhavishyadwaktaon ke vash mein hai.

33

क्योंकि परमेश्वर गड़बड़ी का नहीं, परन्तु शान्ति का कर्त्ता है; जैसा पवित्र लोगों की सब कलीसियाओं में है॥

Kyonki Parmeshwar gadabdi ka nahi, parantu shanti ka kartta hai; jaisa pavitra logon ki sab kaleesiyaon mein hai.

34

स्त्रियां कलीसिया की सभा में चुप रहें, क्योंकि उन्हें बातें करने की आज्ञा नहीं, परन्तु आधीन रहने की आज्ञा है: जैसा व्यवस्था में लिखा भी है।

Striyan kaleesiya ki sabha mein chup rahein, kyonki unhein batein karne ki aagya nahi, parantu aadheen rahne ki aagya hai: jaisa vyavastha mein likha bhi hai.

35

और यदि वे कुछ सीखना चाहें, तो घर में अपने अपने पति से पूछें, क्योंकि स्त्री का कलीसिया में बातें करना लज्ज़ा की बात है।

Aur yadi ve kuchh seekhna chahein, to ghar mein apne apne pati se poochhein, kyonki stri ka kaleesiya mein batein karna lajza ki baat hai.

36

क्या परमेश्वर का वचन तुम में से निकला? या केवल तुम ही तक पहुंचा है?

Kya Parmeshwar ka vachan tum mein se nikla? Ya keval tum hi tak pahuncha hai?

37

यदि कोई मनुष्य अपने आप को भविष्यद्वक्ता या आत्मिक जन समझे, तो यह जान ले, कि जो बातें मैं तुम्हें लिखता हूं, वे प्रभु की आज्ञाएं हैं।

Yadi koi manushya apne aap ko bhavishyadwakta ya aatmik jan samjhe, to yah jaan le, ki jo batein main tumhein likhta hoon, ve Prabhu ki aagyayen hain.

38

परन्तु यदि कोई न जाने, तो न जाने॥

Parantu yadi koi na jane, to na jane.

39

सो हे भाइयों, भविष्यद्वाणी करने की धुन में रहो और अन्य भाषा बोलने से मना न करो।

So he bhaiyon, bhavishyadwani karne ki dhun mein raho aur anya bhasha bolne se mana na karo.

40

पर सारी बातें सभ्यता और क्रमानुसार की जाएं।

Par sari batein sabhyata aur kramanusaar ki jayen.