Zephaniah 2 · 15 verses

सपन्याह 2 Zephaniah 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Sapanyaah 2.

1

हे निर्लज्ज जाति के लोगो, इकट्ठे हो!

He nirlajj jati ke logo, ikatthe ho!

2

इस से पहिले कि दण्ड की आज्ञा पूरी हो और बचाव का दिन भूसी की नाईं निकले, और यहोवा का भड़कता हुआ क्रोध तुम पर आ पड़े, और यहोवा के क्रोध का दिन तुम पर आए, तुम इकट्ठे हो।

Is se pahile ki dand ki aagya poori ho aur bachaav ka din bhoosi ki nai nikle, aur Yahowa ka bhadakta huaa krodh tum par aa pade, aur Yahowa ke krodh ka din tum par aaye, tum ikatthe ho.

3

हे पृथ्वी के सब नम्र लोगों, हे यहोवा के नियम के मानने वालों, उसको ढूंढ़ते रहो; धर्म से ढूंढ़ों, नम्रता से ढूंढ़ो; सम्भव है तुम यहोवा के क्रोध के दिन में शरण पाओ।

He prithvi ke sab namra logon, he Yahowa ke niyam ke manne valon, usko dhoondhte raho; dharm se dhoondhon, namrata se dhoondho; sambhav hai tum Yahowa ke krodh ke din mein sharan pao.

4

क्योंकि अज्जा तो निर्जन और अश्कलोन उजाड़ हो जाएगा; अशदोद के निवासी दिनदुपहरी निकाल दिए जाएंगे, और एक्रोन उखाड़ा जाएगा॥

Kyonki ajja to nirjan aur ashkalon ujaad ho jayega; ashdod ke nivasi dindupahri nikaal diye jayenge, aur ekron ukhada jayega.

5

समुद्रतीर के रहने वालों पर हाय; करेती जाति पर हाय; हे कनान, हे पलिश्तियों के देश, यहोवा का वचन तेरे विरुद्ध है; और मैं तुझ को ऐसा नाश करूंगा कि तुझ में कोई न बचेगा।

Samudrateer ke rahne valon par haay; kareti jati par haay; he kanaan, he palishtiyon ke desh, Yahowa ka vachan tere viruddh hai; aur main tujh ko aisa naash karoonga ki tujh mein koi na bachega.

6

और उसी समुद्रतीर पर चरवाहों के घर होंगे और भेड़शालाओं समेत चराई ही चराई होगी।

Aur usi samudrateer par charvahon ke ghar honge aur bhedshalaon samet charai hi charai hogi.

7

अर्थात वही समुद्रतीर यहूदा के घराने के बचे हुओं को मिलेगी, वे उस पर चराएंगे; वे अश्कलोन के छोड़े हुए घरों में सांझ को लेटेंगे, क्योंकि उनका परमेश्वर यहोवा उनकी सुधि ले कर उनके बंधुओं को लौटा ले जाएगा॥

Arthaat vahi samudrateer Yahuda ke gharane ke bache huon ko milegi, ve us par charayenge; ve ashkalon ke chhode hue gharon mein saanjh ko letenge, kyonki unka Parmeshwar Yahowa unki sudhi le kar unke bandhuon ko lauta le jayega.

8

मोआब ने जो मेरी प्रजा की नामधराई और अम्मोनियों ने जो उसकी निन्दा कर के उसके देश की सीमा पर चढ़ाई की, वह मेरे कानों तक पहुंची है।

Moaab ne jo meri praja ki namadhrai aur ammoniyon ne jo uski ninda kar ke uske desh ki seema par chadhai ki, vah mere kanon tak pahunchi hai.

9

इस कारण इस्राएल के परमेश्वर, सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है, मेरे जीवन की शपथ, निश्चय मोआब सदोम के समान, और अम्मोनी अमोरा की नाईं बिच्छू पेड़ों के स्थान और नमक की खानियां हो जाएंगे, और सदैव उजड़े रहेंगे। मेरी प्रजा के बचे हुए उन को लूटेंगे, और मेरी जाति के शेष लोग उन को अपने भाग में पाएंगे।

Is karan Israel ke Parmeshwar, senaon ke Yahowa ki yah vani hai, mere jeevan ki shapath, nishchay moaab sadom ke samaan, aur ammoni amora ki nai bichchhu pedon ke sthaan aur namak ki khaniyan ho jayenge, aur sadaiv ujde rahenge. Meri praja ke bache hue un ko lootenge, aur meri jati ke shesh log un ko apne bhaag mein payenge.

10

यह उनके गर्व का पलटा होगा, क्योंकि उन्होंने सेनाओं के यहोवा की प्रजा की नामधराई की, और उस पर बड़ाई मारी है।

Yah unke garva ka palta hoga, kyonki unhonne senaon ke Yahowa ki praja ki namadhrai ki, aur us par badai mari hai.

11

यहोवा उन को डरावना दिखाई देगा, वह पृथ्वी भर के देवताओं को भूखों मार डालेगा, और अन्यजातियों के सब द्वीपों के निवासी अपने अपने स्थान से उसको दण्डवत करेंगे॥

Yahowa un ko daravna dikhai dega, vah prithvi bhar ke devtaon ko bhookhon maar dalega, aur anyajatiyon ke sab dweepon ke nivasi apne apne sthaan se usko dandavat karenge.

12

हे कूशियों, तुम भी मेरी तलवार से मारे जाओगे।

He kooshiyon, tum bhi meri talvaar se mare jaoge.

13

वह अपना हाथ उत्तर दिशा की ओर बढ़ा कर अश्शूर को नाश करेगा, और नीनवे को उजाड़ कर जंगल के समान निर्जल कर देगा।

Vah apna haath uttar disha ki or badha kar ashshoor ko naash karega, aur neenve ko ujaad kar jangal ke samaan nirjal kar dega.

14

उसके बीच में सब जाति के वनपशु झुंड के झुंड बैठेंगे; उसके खम्भों की कंगनियों पर धनेश और साही दोनों रात को बसेरा करेंगे और उसकी खिड़कियों में बोला करेंगे; उसकी डेवढ़ियां सूनी पड़ी रहेंगी, और देवदार की लकड़ी उघारी जाएगी।

Uske beech mein sab jati ke vanapshu jhund ke jhund baithenge; uske khambhon ki kangniyon par dhanesh aur sahi donon raat ko basera karenge aur uski khidkiyon mein bola karenge; uski devdhiyan sooni padi rahengi, aur devdaar ki lakdi ughari jayegi.

15

यह वही नगरी है, जो मगन रहती और निडर बैठी रहती थी, और सोचती थी कि मैं ही हूं, और मुझे छोड़ कोई है ही नहीं। परन्तु अब यह उजाड़ और वन पशुओं के बैठने का स्थान बन गया है, यहां तक कि जो कोई इसके पास हो कर चले, वह ताली बजाएगा और हाथ हिलाएगा।

Yah vahi nagri hai, jo magan rahti aur nidar baithi rahti thi, aur sochti thi ki main hi hoon, aur mujhe chhod koi hai hi nahi. Parantu ab yah ujaad aur van pashuon ke baithne ka sthaan ban gaya hai, yahan tak ki jo koi iske paas ho kar chale, vah tali bajayega aur haath hilayega.