Zephaniah 1 · 18 verses

सपन्याह 1 Zephaniah 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Sapanyaah 1.

1

आमोन के पुत्र यहूदा के राजा योशिय्याह के दिनों में, सपन्याह के पास जो हिजकिय्याह के पुत्र अमर्याह का परपोता और गदल्याह का पोता और कूशी का पुत्र था, यहोवा का यह वचन पहुंचा:

Aamon ke putra Yahuda ke raja yoshiyyaah ke dinon mein, sapanyaah ke paas jo hijkiyyaah ke putra amaryaah ka parpota aur gadalyaah ka pota aur kooshi ka putra tha, Yahowa ka yah vachan pahuncha:

2

मैं धरती के ऊपर से सब का अन्त कर दूंगा, यहोवा की यही वाणी है।

Main dharti ke oopar se sab ka ant kar doonga, Yahowa ki yahi vani hai.

3

मैं मनुष्य और पशु दोनों का अन्त कर दूंगा; मैं आकाश के पक्षियों और समुद्र की मछलियों का, और दुष्टों समेत उनकी रखी हुई ठोकरों के कारण का भी अन्त कर दूंगा; मैं मनुष्य जाति को भी धरती पर से नाश कर डालूंगा, यहोवा की यही वाणी है।

Main manushya aur pashu donon ka ant kar doonga; main aakaash ke pakshiyon aur samudra ki machhliyon ka, aur dushton samet unki rakhi hui thokron ke karan ka bhi ant kar doonga; main manushya jati ko bhi dharti par se naash kar daloonga, Yahowa ki yahi vani hai.

4

मैं यहूदा पर और यरूशलेम के सब रहने वालों पर हाथ उठाऊंगा, और इस स्थान में बाल के बचे हुओं को और याजकों समेत देवताओं के पुजारियों के नाम को नाश कर दूंगा।

Main Yahuda par aur Yerushalem ke sab rahne valon par haath uthaoonga, aur is sthaan mein baal ke bache huon ko aur yajkon samet devtaon ke pujariyon ke naam ko naash kar doonga.

5

जो लोग अपने अपने घर की छत पर आकाश के गण को दण्डवत करते हैं, और जो लोग दण्डवत करते हुए यहोवा की सेवा करने की शपथ खाते हैं; और अपने मोलेक की भी शपथ खाते हैं;

Jo log apne apne ghar ki chhat par aakaash ke gan ko dandavat karte hain, aur jo log dandavat karte hue Yahowa ki seva karne ki shapath khate hain; aur apne molek ki bhi shapath khate hain;

6

और जो यहोवा के पीछे चलने से लौट गए हैं, और जिन्होंने न तो यहोवा को ढूंढ़ा, और न उसकी खोज में लगे, उन को भी मैं सत्यानाश कर डालूंगा॥

Aur jo Yahowa ke peechhe chalne se laut gaye hain, aur jinhonne na to Yahowa ko dhoondha, aur na uski khoj mein lage, un ko bhi main satyanaash kar daloonga.

7

परमेश्वर यहोवा के साम्हने शान्त रहो! क्योंकि यहोवा का दिन निकट है; यहोवा ने यज्ञ सिद्ध किया है, और अपने पाहुनों को पवित्र किया है।

Parmeshwar Yahowa ke samhane shaant raho! Kyonki Yahowa ka din nikat hai; Yahowa ne yagy siddh kiya hai, aur apne pahunon ko pavitra kiya hai.

8

और यहोवा के यज्ञ के दिन, मैं हाकिमों और राजकुमारों को और जितने परदेश के वस्त्र पहिना करते हैं, उन को भी दण्ड दूंगा।

Aur Yahowa ke yagy ke din, main hakimon aur rajkumaron ko aur jitne pardesh ke vastra pahina karte hain, un ko bhi dand doonga.

9

उस दिन मैं उन सभों को दण्ड दूंगा जो डेवढ़ी को लांघते, और अपने स्वामी के घर को उपद्रव और छल से भर देते हैं॥

Us din main un sabhon ko dand doonga jo devdhi ko langhte, aur apne swami ke ghar ko upadrav aur chhal se bhar dete hain.

10

यहोवा की यह वाणी है, कि उस दिन मछली फाटक के पास चिल्लाहट का और नये टोले मिश्नाह में हाहाकार का और टीलों पर बड़े धमाके का शब्द होगा।

Yahowa ki yah vani hai, ki us din machhli phatak ke paas chillahat ka aur naye tole mishnaah mein hahakaar ka aur teelon par bade dhamake ka shabd hoga.

11

हे मक्तेश के रहने वालो, हाय, हाय, करो! क्योंकि सब व्योपारी मिट गए; जितने चान्दी से लदे थे, उन सब का नाश हो गया है।

He maktesh ke rahne valo, haay, haay, karo! Kyonki sab vyopari mit gaye; jitne chandi se lade the, un sab ka naash ho gaya hai.

12

उस समय मैं दीपक लिए हुए यरूशलेम में ढूंढ-ढांढ़ करूंगा, और जो लोग दाखमधु के तलछट तथा मैल के समान बैठे हुए मन में कहते हैं कि यहोवा न तो भला करेगा और न बुरा, उन को मैं दण्ड दूंगा।

Us samay main deepak liye hue Yerushalem mein dhoondh-dhaandh karoonga, aur jo log dakhamdhu ke talchhat tatha mail ke samaan baithe hue man mein kahte hain ki Yahowa na to bhala karega aur na bura, un ko main dand doonga.

13

तब उनकी धन सम्पत्ति लूटी जाएगी, और उनके घर उजाड़ होंगे; वे घर तो बनाएंगे, परन्तु उन में रहने न पाएंगे; और वे दाख की बारियां लगाएंगे, परन्तु उन से दाखमधु न पीने पाएंगे॥

Tab unki dhan sampatti looti jayegi, aur unke ghar ujaad honge; ve ghar to banayenge, parantu un mein rahne na payenge; aur ve daakh ki bariyan lagayenge, parantu un se dakhamdhu na peene payenge.

14

यहोवा का भयानक दिन निकट है, वह बहुत वेग से समीप चला आता है; यहोवा के दिन का शब्द सुन पड़ता है, वहां वीर दु:ख के मारे चिल्लाता है।

Yahowa ka bhayanak din nikat hai, vah bahut veg se sameep chala aata hai; Yahowa ke din ka shabd sun padta hai, vahan veer dukh ke mare chillata hai.

15

वह रोष का दिन होगा, वह संकट और सकेती का दिन, वह उजाड़ और उधेड़ का दिन, वह अन्धेर और घोर अन्धकार का दिन, वह बादल और काली घटा का दिन होगा।

Vah rosh ka din hoga, vah sankat aur saketi ka din, vah ujaad aur udhed ka din, vah andher aur ghor andhakaar ka din, vah badal aur kali ghata ka din hoga.

16

वह गढ़ वाले नगरों और ऊंचे गुम्मटों के विरुद्ध नरसिंगा फूंकने और ललकारने का दिन होगा।

Vah gadh vale nagron aur oonche gummaton ke viruddh narsinga phoonkne aur lalkarne ka din hoga.

17

मैं मनुष्यों को संकट में डालूंगा, और वे अन्धों की नाईं चलेंगे, क्योंकि उन्होंने यहोवा के विरुद्ध पाप किया है; उनका लोहू धूलि के समान, और उनका मांस विष्ठा की नाईं फेंक दिया जाएगा।

Main manushyon ko sankat mein daloonga, aur ve andhon ki nai chalenge, kyonki unhonne Yahowa ke viruddh paap kiya hai; unka lohu dhooli ke samaan, aur unka maans vishtha ki nai phenk diya jayega.

18

यहोवा के रोष के दिन में, न तो चान्दी से उनका बचाव होगा, और न सोने से; क्योंकि उसके जलन की आग से सारी पृथ्वी भस्म हो जाएगी; वह पृथ्वी के सारे रहने वालों को घबरा कर उनका अन्त कर डालेगा॥

Yahowa ke rosh ke din mein, na to chandi se unka bachaav hoga, aur na sone se; kyonki uske jalan ki aag se sari prithvi bhasm ho jayegi; vah prithvi ke sare rahne valon ko ghabra kar unka ant kar dalega.