Titus 1 · 16 verses

तीतुस 1 Titus 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Teetus 1.

1

पौलुस की ओर से जो परमेश्वर का दास और यीशु मसीह का प्रेरित है, परमेश्वर के चुने हुए लोगों के विश्वास, और उस सत्य की पहिचान के अनुसार जो भक्ति के अनुसार है।

Paulus ki or se jo Parmeshwar ka daas aur Yeshu Masih ka prerit hai, Parmeshwar ke chune hue logon ke vishwaas, aur us satya ki pahichaan ke anusaar jo bhakti ke anusaar hai.

2

उस अनन्त जीवन की आशा पर, जिस की प्रतिज्ञा परमेश्वर ने जो झूठ बोल नहीं सकता सनातन से की है।

Us anant jeevan ki aasha par, jis ki pratigya Parmeshwar ne jo jhooth bol nahi sakta sanatan se ki hai.

3

पर ठीक समय पर अपने वचन को उस प्रचार के द्वारा प्रगट किया, जो हमारे उद्धारकर्ता परमेश्वर की आज्ञा के अनुसार मुझे सौंपा गया।

Par theek samay par apne vachan ko us prachaar ke dwara pragat kiya, jo hamare uddharkarta Parmeshwar ki aagya ke anusaar mujhe saumpa gaya.

4

तीतुस के नाम जो विश्वास की सहभागिता के विचार से मेरा सच्चा पुत्र है: परमेश्वर पिता और हमारे उद्धारकर्ता मसीह यीशु से अनुग्रह और शान्ति होती रहे॥

Teetus ke naam jo vishwaas ki sahbhagita ke vichaar se mera sachcha putra hai: Parmeshwar pita aur hamare uddharkarta Masih Yeshu se anugrah aur shanti hoti rahe.

5

मैं इसलिये तुझे क्रेते में छोड़ आया था, कि तू शेष रही हुई बातों को सुधारे, और मेरी आज्ञा के अनुसार नगर नगर प्राचीनों को नियुक्त करे।

Main isliye tujhe krete mein chhod aaya tha, ki tu shesh rahi hui baton ko sudhare, aur meri aagya ke anusaar nagar nagar pracheenon ko niyukt kare.

6

जो निर्दोष और एक ही पत्नी के पति हों, जिन के लड़के बाले विश्वासी हो, और जिन्हें लुचपन और निरंकुशता का दोष नहीं।

Jo nirdosh aur ek hi patni ke pati hon, jin ke ladke bale vishwasi ho, aur jinhein luchpan aur nirankushta ka dosh nahi.

7

क्योंकि अध्यक्ष को परमेश्वर का भण्डारी होने के कारण निर्दोष होना चाहिए; न हठी, न क्रोधी, न पियक्कड़, न मार पीट करने वाला, और न नीच कमाई का लोभी।

Kyonki adhyaksh ko Parmeshwar ka bhandari hone ke karan nirdosh hona chahiye; na hathi, na krodhi, na piyakkad, na maar peet karne vala, aur na neech kamai ka lobhi.

8

पर पहुनाई करने वाला, भलाई का चाहने वाला, संयमी, न्यायी, पवित्र और जितेन्द्रिय हो।

Par pahunai karne vala, bhalai ka chahne vala, sanymi, nyayi, pavitra aur jitendriya ho.

9

और विश्वासयोग्य वचन पर जो धर्मोपदेश के अनुसार है, स्थिर रहे; कि खरी शिक्षा से उपदेश दे सके; और विवादियों का मुंह भी बन्द कर सके॥

Aur vishwasyogya vachan par jo dharmopdesh ke anusaar hai, sthir rahe; ki khari shiksha se updesh de sake; aur vivadiyon ka munh bhi band kar sake.

10

क्योंकि बहुत से लोग निरंकुश बकवादी और धोखा देने वाले हैं; विशेष करके खतना वालों में से।

Kyonki bahut se log nirankush bakvadi aur dhokha dene vale hain; vishesh karke khatna valon mein se.

11

इन का मुंह बन्द करना चाहिए: ये लोग नीच कमाई के लिये अनुचित बातें सिखा कर घर के घर बिगाड़ देते हैं।

In ka munh band karna chahiye: ye log neech kamai ke liye anuchit batein sikha kar ghar ke ghar bigaad dete hain.

12

उन्हीं में से एक जन ने जो उन्हीं का भविष्यद्वक्ता है, कहा है, कि क्रेती लोग सदा झूठे, दुष्ट पशु और आलसी पेटू होते हैं।

Unhi mein se ek jan ne jo unhi ka bhavishyadwakta hai, kaha hai, ki kreti log sada jhoothe, dusht pashu aur aalsi petu hote hain.

13

यह गवाही सच है, इसलिये उन्हें कड़ाई से चितौनी दिया कर, कि वे विश्वास में पक्के हो जाएं।

Yah gavahi sach hai, isliye unhein kadai se chitauni diya kar, ki ve vishwaas mein pakke ho jayen.

14

और वे यहूदियों की कथा कहानियों और उन मनुष्यों की आज्ञाओं पर मन न लगाएं, जो सत्य से भटक जाते हैं।

Aur ve Yahudiyon ki katha kahaniyon aur un manushyon ki aagyaon par man na lagayen, jo satya se bhatak jate hain.

15

शुद्ध लोगों के लिये सब वस्तु शुद्ध हैं, पर अशुद्ध और अविश्वासियों के लिये कुछ भी शुद्ध नहीं: वरन उन की बुद्धि और विवेक दोनों अशुद्ध हैं।

Shuddh logon ke liye sab vastu shuddh hain, par ashuddh aur avishwasiyon ke liye kuchh bhi shuddh nahi: varan un ki buddhi aur vivek donon ashuddh hain.

16

वे कहते हैं, कि हम परमेश्वर को जानते हैं: परअपने कामों से उसका इन्कार करते हैं, क्योंकि वे घृणित और आज्ञा न मानने वाले हैं: और किसी अच्छे काम के योग्य नहीं॥

Ve kahte hain, ki ham Parmeshwar ko jante hain: paraapne kamon se uska inkaar karte hain, kyonki ve ghrinit aur aagya na manne vale hain: aur kisi achchhe kaam ke yogya nahi.