Song of Songs 3 · 11 verses

श्रेष्ठगीत 3 Song of Songs 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Shreshthageet 3.

1

रात के समय में अपने पलंग पर अपने प्राणप्रिय को ढूंढ़ती रही; मैं उसे ढूंढ़ती तो रही, परन्तु उसे न पाया; मैं ने कहा, मैं अब उठ कर नगर में,

Raat ke samay mein apne palang par apne pranapriya ko dhoondhti rahi; main use dhoondhti to rahi, parantu use na paya; main ne kaha, main ab uth kar nagar mein,

2

और सड़कों और चौकों में घूमकर अपने प्राणप्रिय को ढूंढूंगी। मैं उसे ढूंढती तो रही, परन्तु उसे न पाया।

Aur sadkon aur chaukon mein ghoomkar apne pranapriya ko dhoondhoongi. Main use dhoondhti to rahi, parantu use na paya.

3

जो पहरूए नगर में घूमते थे, वे मुझे मिले, मैं ने उन से पूछा, क्या तुम ने मेरे प्राणप्रिय को देखा है?

Jo pahrooye nagar mein ghoomte the, ve mujhe mile, main ne un se poochha, kya tum ne mere pranapriya ko dekha hai?

4

मुझ को उनके पास से आगे बढ़े थोड़े ही देर हुई थी कि मेरा प्राणप्रिय मुझे मिल गया। मैं ने उसको पकड़ लिया, और उसको जाने न दिया जब तक उसे अपनी माता के घर अर्थात अपनी जननी की कोठरी में न ले आई॥

Mujh ko unke paas se aage badhe thode hi der hui thi ki mera pranapriya mujhe mil gaya. Main ne usko pakad liya, aur usko jane na diya jab tak use apni mata ke ghar arthaat apni janni ki kothri mein na le aai.

5

हे यरूशलेम की पुत्रियों, मैं तुम से चिकारियों और मैदान की हरिणियों की शपथ धराकर कहती हूं, कि जब तक प्रेम आप से न उठे, तब तक उसको न उकसाओ और न जगाओ॥

He Yerushalem ki putriyon, main tum se chikariyon aur maidaan ki hariniyon ki shapath dharakar kahti hoon, ki jab tak prem aap se na uthe, tab tak usko na uksao aur na jagao.

6

यह क्या है जो धूएं के खम्भे के समान, गन्धरस और लोबान से सुगन्धित, और व्योपारी की सब भांति की बुकनी लगाए हुए जंगल से निकला आता है?

Yah kya hai jo dhooyen ke khambhe ke samaan, gandharas aur lobaan se sugandhit, aur vyopari ki sab bhanti ki bukni lagaye hue jangal se nikla aata hai?

7

देखो, यह सुलैमान की पालकी है! उसके चारों ओर इस्राएल के शूरवीरों में के साठ वीर चल रहे हैं।

Dekho, yah sulaimaan ki palki hai! Uske charon or Israel ke shoorveeron mein ke saath veer chal rahe hain.

8

वे सब के सब तलवार बान्धने वाले और युद्ध विद्या में निपुण हैं। प्रत्येक पुरूष रात के डर से जांघ पर तलवार लटकाए रहता है।

Ve sab ke sab talvaar bandhane vale aur yuddh vidya mein nipun hain. Pratyek puroosh raat ke dar se jaangh par talvaar latkaye rahta hai.

9

सुलैमान राजा ने अपने लिये लबानोन के काठ की एक बड़ी पालकी बनवा ली।

Sulaimaan raja ne apne liye labanon ke kaath ki ek badi palki banva li.

10

उसने उसके खम्भे चान्दी के, उसका सिरहाना सोने का, और गद्दी अर्गवानी रंग की बनवाई हे; और उसके बीच का स्थान यरूशलेम की पुत्रियों की ओर से बड़े प्रेम से जड़ा गया है।

Usne uske khambhe chandi ke, uska sirhana sone ka, aur gaddi argavani rang ki banvai he; aur uske beech ka sthaan Yerushalem ki putriyon ki or se bade prem se jada gaya hai.

11

हे सिय्योन की पुत्रियों निकल कर सुलैमान राजा पर दृष्टि डालो, देखो, वह वही मुकुट पहिने हुए है जिसे उसकी माता ने उसके विवाह के दिन और उसके मन के आनन्द के दिन, उसके सिर पर रखा था॥

He siyyon ki putriyon nikal kar sulaimaan raja par drishti dalo, dekho, vah vahi mukut pahine hue hai jise uski mata ne uske vivaah ke din aur uske man ke aanand ke din, uske sir par rakha tha.