Revelation 6 · 17 verses

प्रकाशितवाक्य 6 Revelation 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 6.

1

फिर मैं ने देखा, कि मेम्ने ने उन सात मुहरों में से एक को खोला; और उन चारों प्राणियों में से एक का गर्जन का सा शब्द सुना, कि आ।

Phir main ne dekha, ki memne ne un saat muhron mein se ek ko khola; aur un charon praniyon mein se ek ka garjan ka sa shabd suna, ki aa.

2

और मैं ने दृष्टि की, और देखो, एक श्वेत घोड़ा है, और उसका सवार धनुष लिए हुए है: और उसे एक मुकुट दिया गया, और वह जय करता हुआ निकला कि और भी जय प्राप्त करे॥

Aur main ne drishti ki, aur dekho, ek shwet ghoda hai, aur uska savaar dhanush liye hue hai: aur use ek mukut diya gaya, aur vah jay karta huaa nikla ki aur bhi jay praapt kare.

3

और जब उस ने दूसरी मुहर खोली, तो मैं ने दूसरे प्राणी को यह कहते सुना, कि आ।

Aur jab us ne doosri muhar kholi, to main ne doosre prani ko yah kahte suna, ki aa.

4

फिर एक और घोड़ा निकला, जो लाल रंग का था; उसके सवार को यह अधिकार दिया गया, कि पृथ्वी पर से मेल उठा ले, ताकि लोग एक दूसरे को वध करें; और उसे एक बड़ी तलवार दी गई॥

Phir ek aur ghoda nikla, jo laal rang ka tha; uske savaar ko yah adhikaar diya gaya, ki prithvi par se mel utha le, taki log ek doosre ko vadh karein; aur use ek badi talvaar di gai.

5

और जब उस ने तीसरी मुहर खोली, तो मैं ने तीसरे प्राणी को यह कहते सुना, कि आ: और मैं ने दृष्टि की, और देखो, एक काला घोड़ा है;

Aur jab us ne teesri muhar kholi, to main ne teesre prani ko yah kahte suna, ki aa: aur main ne drishti ki, aur dekho, ek kala ghoda hai;

6

और मैं ने उन चारों प्राणियों के बीच में से एक शब्द यह कहते सुना, कि दीनार का सेर भर गेहूं, और दीनार का तीन सेर जव, और तेल, और दाख-रस की हानि न करना॥

Aur main ne un charon praniyon ke beech mein se ek shabd yah kahte suna, ki deenaar ka ser bhar gehun, aur deenaar ka teen ser jav, aur tel, aur daakh-ras ki hani na karna.

7

और जब उस ने चौथी मुहर खोली, तो मैं ने चौथे प्राणी का शब्द यह कहते सुना, कि आ।

Aur jab us ne chauthi muhar kholi, to main ne chauthe prani ka shabd yah kahte suna, ki aa.

8

और मैं ने दृष्टि की, और देखो, एक पीला सा घोड़ा है; और उसके सवार का नाम मृत्यु है: और अधोलोक उसके पीछे पीछे है और उन्हें पृथ्वी की एक चौथाई पर यह अधिकार दिया गया, कि तलवार, और अकाल, और मरी, और पृथ्वी के वनपशुओं के द्वारा लोगों को मार डालें॥

Aur main ne drishti ki, aur dekho, ek peela sa ghoda hai; aur uske savaar ka naam mrityu hai: aur adholok uske peechhe peechhe hai aur unhein prithvi ki ek chauthai par yah adhikaar diya gaya, ki talvaar, aur akaal, aur mari, aur prithvi ke vanapshuon ke dwara logon ko maar dalein.

9

और जब उस ने पांचवी मुहर खोली, तो मैं ने वेदी के नीचे उन के प्राणों को देखा, जो परमेश्वर के वचन के कारण, और उस गवाही के कारण जो उन्होंने दी थी, वध किए गए थे।

Aur jab us ne panchvi muhar kholi, to main ne vedi ke neeche un ke pranon ko dekha, jo Parmeshwar ke vachan ke karan, aur us gavahi ke karan jo unhonne di thi, vadh kiye gaye the.

10

और उन्होंने बड़े शब्द से पुकार कर कहा; हे स्वामी, हे पवित्र, और सत्य; तू कब तक न्याय न करेगा? और पृथ्वी के रहने वालों से हमारे लोहू का पलटा कब तक न लेगा?

Aur unhonne bade shabd se pukaar kar kaha; he swami, he pavitra, aur satya; tu kab tak nyaay na karega? Aur prithvi ke rahne valon se hamare lohu ka palta kab tak na lega?

11

और उन में से हर एक को श्वेत वस्त्र दिया गया, और उन से कहा गया, कि और थोड़ी देर तक विश्राम करो, जब तक कि तुम्हारे संगी दास, और भाई, जो तुम्हारी नाईं वध होने वाले हैं, उन की भी गिनती पूरी न हो ले॥

Aur un mein se har ek ko shwet vastra diya gaya, aur un se kaha gaya, ki aur thodi der tak vishraam karo, jab tak ki tumhare sangi daas, aur bhai, jo tumhari nai vadh hone vale hain, un ki bhi ginti poori na ho le.

12

और जब उस ने छठवीं मुहर खोली, तो मैं ने देखा, कि एक बड़ा भुइंडोल हुआ; और सूर्य कम्बल की नाईं काला, और पूरा चन्द्रमा लोहू का सा हो गया।

Aur jab us ne chhathvi muhar kholi, to main ne dekha, ki ek bada bhuindol huaa; aur soorya kambal ki nai kala, aur poora chandrama lohu ka sa ho gaya.

13

और आकाश के तारे पृथ्वी पर ऐसे गिर पड़े जैसे बड़ी आन्धी से हिल कर अंजीर के पेड़ में से कच्चे फल झड़ते हैं।

Aur aakaash ke tare prithvi par aise gir pade jaise badi aandhi se hil kar anjeer ke ped mein se kachche phal jhadte hain.

14

और आकाश ऐसा सरक गया, जैसा पत्र लपेटने से सरक जाता है; और हर एक पहाड़, और टापू, अपने अपने स्थान से टल गया।

Aur aakaash aisa sarak gaya, jaisa patra lapetne se sarak jata hai; aur har ek pahaad, aur tapu, apne apne sthaan se tal gaya.

15

और पृथ्वी के राजा, और प्रधान, और सरदार, और धनवान और सामर्थी लोग, और हर एक दास, और हर एक स्वतंत्र, पहाड़ों की खोहों में, और चट्टानों में जा छिपे।

Aur prithvi ke raja, aur pradhaan, aur sardaar, aur dhanvaan aur samarthi log, aur har ek daas, aur har ek swatantra, pahadon ki khohon mein, aur chattanon mein ja chhipe.

16

और पहाड़ों, और चट्टानों से कहने लगे, कि हम पर गिर पड़ो; और हमें उसके मुंह से जो सिंहासन पर बैठा है और मेम्ने के प्रकोप से छिपा लो।

Aur pahadon, aur chattanon se kahne lage, ki ham par gir pado; aur hamein uske munh se jo sinhasan par baitha hai aur memne ke prakop se chhipa lo.

17

क्योंकि उन के प्रकोप का भयानक दिन आ पहुंचा है, अब कौन ठहर सकता है?

Kyonki un ke prakop ka bhayanak din aa pahuncha hai, ab kaun thahar sakta hai?