Revelation 5 · 14 verses

प्रकाशितवाक्य 5 Revelation 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 5.

1

और जो सिंहासन पर बैठा था, मैं ने उसके दाहिने हाथ में एक पुस्तक देखी, जो भीतर और बाहर लिखी हुई भी, और वह सात मुहर लगा कर बन्द की गई थी।

Aur jo sinhasan par baitha tha, main ne uske dahine haath mein ek pustak dekhi, jo bheetar aur bahar likhi hui bhi, aur vah saat muhar laga kar band ki gai thi.

2

फिर मैं ने एक बलवन्त स्वर्गदूत को देखा जो ऊंचे शब्द से यह प्रचार करता था कि इस पुस्तक के खोलने और उस की मुहरें तोड़ने के योग्य कौन है?

Phir main ne ek balvant swargadoot ko dekha jo oonche shabd se yah prachaar karta tha ki is pustak ke kholne aur us ki muhrein todne ke yogya kaun hai?

3

और न स्वर्ग में, न पृथ्वी पर, न पृथ्वी के नीचे कोई उस पुस्तक को खोलने या उस पर दृष्टि डालने के योग्य निकला।

Aur na swarg mein, na prithvi par, na prithvi ke neeche koi us pustak ko kholne ya us par drishti dalne ke yogya nikla.

4

और मैं फूट फूटकर रोने लगा, क्योंकि उस पुस्तक के खोलने, या उस पर दृष्टि करने के योग्य कोई न मिला।

Aur main phoot phootkar rone laga, kyonki us pustak ke kholne, ya us par drishti karne ke yogya koi na mila.

5

तब उन प्राचीनों में से एक ने मुझे से कहा, मत रो; देख, यहूदा के गोत्र का वह सिंह, जो दाऊद का मूल है, उस पुस्तक को खोलने और उसकी सातों मुहरें तोड़ने के लिये जयवन्त हुआ है।

Tab un pracheenon mein se ek ne mujhe se kaha, mat ro; dekh, Yahuda ke gotra ka vah sinh, jo Daud ka mool hai, us pustak ko kholne aur uski saton muhrein todne ke liye jayvant huaa hai.

6

और मैं ने उस सिंहासन और चारों प्राणियों और उन प्राचीनों के बीच में, मानों एक वध किया हुआ मेम्ना खड़ा देखा: उसके सात सींग और सात आंखे थीं; ये परमेश्वर की सातों आत्माएं हैं, जो सारी पृथ्वी पर भेजी गई हैं।

Aur main ne us sinhasan aur charon praniyon aur un pracheenon ke beech mein, manon ek vadh kiya huaa memna khada dekha: uske saat seeng aur saat aankhe thi; ye Parmeshwar ki saton aatmayen hain, jo sari prithvi par bheji gai hain.

7

उस ने आ कर उसके दाहिने हाथ से जो सिंहासन पर बैठा था, वह पुस्तक ले ली,

Us ne aa kar uske dahine haath se jo sinhasan par baitha tha, vah pustak le li,

8

और जब उस ने पुस्तक ले ली, तो वे चारों प्राणी और चौबीसों प्राचीन उस मेम्ने के साम्हने गिर पड़े; और हर एक के हाथ में वीणा और धूप से भरे हुए सोने के कटोरे थे, ये तो पवित्र लोगों की प्रार्थनाएं हैं।

Aur jab us ne pustak le li, to ve charon prani aur chaubeeson pracheen us memne ke samhane gir pade; aur har ek ke haath mein veena aur dhoop se bhare hue sone ke katore the, ye to pavitra logon ki prarthanayen hain.

9

और वे यह नया गीत गाने लगे, कि तू इस पुस्तक के लेने, और उसकी मुहरें खोलने के योग्य है; क्योंकि तू ने वध हो कर अपने लोहू से हर एक कुल, और भाषा, और लोग, और जाति में से परमेश्वर के लिये लोगों को मोल लिया है।

Aur ve yah naya geet gane lage, ki tu is pustak ke lene, aur uski muhrein kholne ke yogya hai; kyonki tu ne vadh ho kar apne lohu se har ek kul, aur bhasha, aur log, aur jati mein se Parmeshwar ke liye logon ko mol liya hai.

10

और उन्हें हमारे परमेश्वर के लिये एक राज्य और याजक बनाया; और वे पृथ्वी पर राज्य करते हैं।

Aur unhein hamare Parmeshwar ke liye ek rajya aur yajak banaya; aur ve prithvi par rajya karte hain.

11

और जब मै ने देखा, तो उस सिंहासन और उन प्राणियों और उन प्राचीनों के चारों ओर बहुत से स्वर्गदूतों का शब्द सुना, जिन की गिनती लाखों और करोड़ों की थी।

Aur jab mai ne dekha, to us sinhasan aur un praniyon aur un pracheenon ke charon or bahut se swargadooton ka shabd suna, jin ki ginti lakhon aur karodon ki thi.

12

और वे ऊंचे शब्द से कहते थे, कि वध किया हुआ मेम्ना ही सामर्थ, और धन, और ज्ञान, और शक्ति, और आदर, और महिमा, और धन्यवाद के योग्य है।

Aur ve oonche shabd se kahte the, ki vadh kiya huaa memna hi samarth, aur dhan, aur gyaan, aur shakti, aur aadar, aur mahima, aur dhanyavaad ke yogya hai.

13

फिर मैं ने स्वर्ग में, और पृथ्वी पर, और पृथ्वी के नीचे, और समुद्र की सब सृजी हुई वस्तुओं को, और सब कुछ को जो उन में हैं, यह कहते सुना, कि जो सिंहासन पर बैठा है, उसका, और मेम्ने का धन्यवाद, और आदर, और महिमा, और राज्य, युगानुयुग रहे।

Phir main ne swarg mein, aur prithvi par, aur prithvi ke neeche, aur samudra ki sab sriji hui vastuon ko, aur sab kuchh ko jo un mein hain, yah kahte suna, ki jo sinhasan par baitha hai, uska, aur memne ka dhanyavaad, aur aadar, aur mahima, aur rajya, yuganuyug rahe.

14

और चारों प्राणियों ने आमीन कहा, और प्राचीनों ने गिरकर दण्डवत् किया॥

Aur charon praniyon ne Aamin kaha, aur pracheenon ne girkar dandavat kiya.