Revelation 4 · 11 verses

प्रकाशितवाक्य 4 Revelation 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 4.

1

इन बातों के बाद जो मैं ने दृष्टि की, तो क्या देखता हूं कि स्वर्ग में एक द्वार खुला हुआ है; और जिस को मैं ने पहिले तुरही के से शब्द से अपने साथ बातें करते सुना था, वही कहता है, कि यहां ऊपर आ जा: और मैं वे बातें तुझे दिखाऊंगा, जिन का इन बातों के बाद पूरा होना अवश्य है।

In baton ke baad jo main ne drishti ki, to kya dekhta hoon ki swarg mein ek dwaar khula huaa hai; aur jis ko main ne pahile turhi ke se shabd se apne saath batein karte suna tha, vahi kahta hai, ki yahan oopar aa ja: aur main ve batein tujhe dikhaoonga, jin ka in baton ke baad poora hona avashya hai.

2

और तुरन्त मैं आत्मा में आ गया; और क्या देखता हूं, कि एक सिंहासन स्वर्ग में धरा है, और उस सिंहासन पर कोई बैठा है।

Aur turant main aatma mein aa gaya; aur kya dekhta hoon, ki ek sinhasan swarg mein dhara hai, aur us sinhasan par koi baitha hai.

3

और जो उस पर बैठा है, वह यशब और मानिक सा दिखाई पड़ता है, और उस सिंहासन के चारों ओर मरकत सा एक मेघधनुष दिखाई देता है।

Aur jo us par baitha hai, vah yashab aur manik sa dikhai padta hai, aur us sinhasan ke charon or markat sa ek meghadhnush dikhai deta hai.

4

और उस सिंहासन के चारों ओर चौबीस सिंहासन है; और इन सिंहासनों पर चौबीस प्राचीन श्वेत वस्त्र पहिने हुए बैठें हैं, और उन के सिरों पर सोने के मुकुट हैं।

Aur us sinhasan ke charon or chaubees sinhasan hai; aur in sinhasnon par chaubees pracheen shwet vastra pahine hue baithein hain, aur un ke siron par sone ke mukut hain.

5

और उस सिंहासन में से बिजलियां और गर्जन निकलते हैं और सिंहासन के साम्हने आग के सात दीपक जल रहे हैं, ये परमेश्वर की सात आत्माएं हैं।

Aur us sinhasan mein se bijliyan aur garjan nikalte hain aur sinhasan ke samhane aag ke saat deepak jal rahe hain, ye Parmeshwar ki saat aatmayen hain.

6

और उस सिंहासन के साम्हने मानो बिल्लौर के समान कांच का सा समुद्र है, और सिंहासन के बीच में और सिंहासन के चारों ओर चार प्राणी हैं, जिन के आगे पीछे आंखे ही आंखे हैं।

Aur us sinhasan ke samhane mano billaur ke samaan kaanch ka sa samudra hai, aur sinhasan ke beech mein aur sinhasan ke charon or chaar prani hain, jin ke aage peechhe aankhe hi aankhe hain.

7

पहिला प्राणी सिंह के समान है, और दूसरा प्राणी का मुंह बछड़े के समान है, तीसरे प्राणी का मुंह मनुष्य का सा है, और चौथा प्राणी उड़ते हुए उकाब के समान है।

Pahila prani sinh ke samaan hai, aur doosra prani ka munh bachhde ke samaan hai, teesre prani ka munh manushya ka sa hai, aur chautha prani udte hue ukaab ke samaan hai.

8

और चारों प्राणियों के छ: छ: पंख हैं, और चारों ओर, और भीतर आंखे ही आंखे हैं; और वे रात दिन बिना विश्राम लिए यह कहते रहते हैं, कि पवित्र, पवित्र, पवित्र प्रभु परमेश्वर, सर्वशक्तिमान, जो था, और जो है, और जो आने वाला है।

Aur charon praniyon ke chha: chha: pankh hain, aur charon or, aur bheetar aankhe hi aankhe hain; aur ve raat din bina vishraam liye yah kahte rahte hain, ki pavitra, pavitra, pavitra Prabhu Parmeshwar, sarvashaktimaan, jo tha, aur jo hai, aur jo aane vala hai.

9

और जब वे प्राणी उस की जो सिंहासन पर बैठा है, और जो युगानुयुग जीवता है, महिमा और आदर और धन्यवाद करेंगे।

Aur jab ve prani us ki jo sinhasan par baitha hai, aur jo yuganuyug jeevta hai, mahima aur aadar aur dhanyavaad karenge.

10

तब चौबीसों प्राचीन सिंहासन पर बैठने वाले के साम्हने गिर पड़ेंगे, और उसे जो युगानुयुग जीवता है प्रणाम करेंगे; और अपने अपने मुकुट सिंहासन के साम्हने यह कहते हुए डाल देंगे।

Tab chaubeeson pracheen sinhasan par baithne vale ke samhane gir padenge, aur use jo yuganuyug jeevta hai pranaam karenge; aur apne apne mukut sinhasan ke samhane yah kahte hue daal denge.

11

कि हे हमारे प्रभु, और परमेश्वर, तू ही महिमा, और आदर, और सामर्थ के योग्य है; क्योंकि तू ही ने सब वस्तुएं सृजीं और वे तेरी ही इच्छा से थीं, और सृजी गईं॥

Ki he hamare Prabhu, aur Parmeshwar, tu hi mahima, aur aadar, aur samarth ke yogya hai; kyonki tu hi ne sab vastuein sriji aur ve teri hi ichchha se thi, aur sriji gai.