Revelation 3 · 22 verses

प्रकाशितवाक्य 3 Revelation 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 3.

1

और सरदीस की कलीसिया के दूत को लिख, कि, जिस के पास परमेश्वर की सात आत्माएं और सात तारे हैं, यह कहता है, कि मैं तेरे कामों को जानता हूं, कि तू जीवता तो कहलाता है, पर, है मरा हुआ।

Aur sardees ki kaleesiya ke doot ko likh, ki, jis ke paas Parmeshwar ki saat aatmayen aur saat tare hain, yah kahta hai, ki main tere kamon ko janta hoon, ki tu jeevta to kahlata hai, par, hai mara huaa.

2

जागृत रह, और उन वस्तुओं को जो बाकी रह गई हैं, और जो मिटने को थी, उन्हें दृढ़ कर; क्योंकि मैं ने तेरे किसी काम को अपने परमेश्वर के निकट पूरा नहीं पाया।

Jagrit rah, aur un vastuon ko jo baki rah gai hain, aur jo mitne ko thi, unhein dridh kar; kyonki main ne tere kisi kaam ko apne Parmeshwar ke nikat poora nahi paya.

3

सो चेत कर, कि तु ने किस रीति से शिक्षा प्राप्त की और सुनी थी, और उस में बना रह, और मन फिरा: और यदि तू जागृत न रहेगा, तो मैं चोर की नाईं आ जाऊंगा और तू कदापि न जान सकेगा, कि मैं किस घड़ी तुझ पर आ पडूंगा।

So chet kar, ki tu ne kis reeti se shiksha praapt ki aur suni thi, aur us mein bana rah, aur man phira: aur yadi tu jagrit na rahega, to main chor ki nai aa jaoonga aur tu kadapi na jaan sakega, ki main kis ghadi tujh par aa padoonga.

4

पर हां, सरदीस में तेरे यहां कुछ ऐसे लोग हैं, जिन्हों ने अपने अपने वस्त्र अशुद्ध नहीं किए, वे श्वेत वस्त्र पहिने हुए मेरे साथ घूमेंगे क्योंकि वे इस योग्य हैं।

Par han, sardees mein tere yahan kuchh aise log hain, jinhon ne apne apne vastra ashuddh nahi kiye, ve shwet vastra pahine hue mere saath ghoomenge kyonki ve is yogya hain.

5

जो जय पाए, उसे इसी प्रकार श्वेत वस्त्र पहिनाया जाएगा, और मैं उसका नाम जीवन की पुस्तक में से किसी रीति से न काटूंगा, पर उसका नाम अपने पिता और उसके स्वर्गदूतों के साम्हने मान लूंगा।

Jo jay paye, use isi prakaar shwet vastra pahinaya jayega, aur main uska naam jeevan ki pustak mein se kisi reeti se na katoonga, par uska naam apne pita aur uske swargadooton ke samhane maan loonga.

6

जिस के कान हों, वह सुन ले कि आत्मा कलीसियाओं से क्या कहता है॥

Jis ke kaan hon, vah sun le ki aatma kaleesiyaon se kya kahta hai.

7

और फिलेदिलफिया की कलीसिया के दूत को यह लिख, कि, जो पवित्र और सत्य है, और जो दाऊद की कुंजी रखता है, जिस के खोले हुए को कोई बन्द नहीं कर सकता और बन्द किए हुए को कोई खोल नहीं सकता, वह यह कहता है, कि।

Aur philedilphiya ki kaleesiya ke doot ko yah likh, ki, jo pavitra aur satya hai, aur jo Daud ki kunji rakhta hai, jis ke khole hue ko koi band nahi kar sakta aur band kiye hue ko koi khol nahi sakta, vah yah kahta hai, ki.

8

मैं तेरे कामों को जानता हूं, (देख, मैं ने तेरे साम्हने एक द्वार खोल रखा है, जिसे कोई बन्द नहीं कर सकता) कि तेरी सामर्थ थोड़ी सी है, और तू ने मेरे वचन का पालन किया है और मेरे नाम का इन्कार नहीं किया।

Main tere kamon ko janta hoon, (dekh, main ne tere samhane ek dwaar khol rakha hai, jise koi band nahi kar sakta) ki teri samarth thodi si hai, aur tu ne mere vachan ka palan kiya hai aur mere naam ka inkaar nahi kiya.

9

देख, मैं शैतान के उन सभा वालों को तेरे वश में कर दूंगा जो यहूदी बन बैठे हैं, पर हैं नहीं, वरन झूठ बोलते हैं देख, मैं ऐसा करूंगा, कि वे आ कर तेरे चरणों में दण्डवत करेंगे, और यह जान लेंगे, कि मैं ने तुझ से प्रेम रखा है।

Dekh, main Shaitan ke un sabha valon ko tere vash mein kar doonga jo Yahudi ban baithe hain, par hain nahi, varan jhooth bolte hain dekh, main aisa karoonga, ki ve aa kar tere charnon mein dandavat karenge, aur yah jaan lenge, ki main ne tujh se prem rakha hai.

10

तू ने मेरे धीरज के वचन को थामा है, इसलिये मैं भी तुझे परीक्षा के उस समय बचा रखूंगा, जो पृथ्वी पर रहने वालों के परखने के लिये सारे संसार पर आने वाला है।

Tu ne mere dheeraj ke vachan ko thama hai, isliye main bhi tujhe pareeksha ke us samay bacha rakhoonga, jo prithvi par rahne valon ke parakhne ke liye sare sansaar par aane vala hai.

11

मैं शीघ्र ही आनेवाला हूं; जो कुछ तेरे पास है, उसे थामें रह, कि कोई तेरा मुकुट छीन न ले।

Main sheeghra hi aanevala hoon; jo kuchh tere paas hai, use thamein rah, ki koi tera mukut chheen na le.

12

जो जय पाए, उस मैं अपने परमेश्वर के मन्दिर में एक खंभा बनाऊंगा; और वह फिर कभी बाहर न निकलेगा; और मैं अपने परमेश्वर का नाम, और अपने परमेश्वर के नगर, अर्थात नये यरूशलेम का नाम, जो मेरे परमेश्वर के पास से स्वर्ग पर से उतरने वाला है और अपना नया नाम उस पर लिखूंगा।

Jo jay paye, us main apne Parmeshwar ke mandir mein ek khambha banaoonga; aur vah phir kabhi bahar na niklega; aur main apne Parmeshwar ka naam, aur apne Parmeshwar ke nagar, arthaat naye Yerushalem ka naam, jo mere Parmeshwar ke paas se swarg par se utarne vala hai aur apna naya naam us par likhoonga.

13

जिस के कान हों, वह सुन ले कि आत्मा कलीसियाओं से क्या कहता है॥

Jis ke kaan hon, vah sun le ki aatma kaleesiyaon se kya kahta hai.

14

और लौदीकिया की कलीसिया के दूत को यह लिख, कि, जो आमीन, और विश्वासयोग्य, और सच्चा गवाह है, और परमेश्वर की सृष्टि का मूल कारण है, वह यह कहता है।

Aur laudeekiya ki kaleesiya ke doot ko yah likh, ki, jo Aamin, aur vishwasyogya, aur sachcha gavaah hai, aur Parmeshwar ki srishti ka mool karan hai, vah yah kahta hai.

15

कि मैं तेरे कामों को जानता हूं कि तू न तो ठंडा है और न गर्म: भला होता कि तू ठंडा या गर्म होता।

Ki main tere kamon ko janta hoon ki tu na to thanda hai aur na garm: bhala hota ki tu thanda ya garm hota.

16

सो इसलिये कि तू गुनगुना है, और न ठंडा है और न गर्म, मैं तुझे अपने मुंह में से उगलने पर हूं।

So isliye ki tu gunguna hai, aur na thanda hai aur na garm, main tujhe apne munh mein se ugalne par hoon.

17

तू जो कहता है, कि मैं धनी हूं, और धनवान हो गया हूं, और मुझे किसी वस्तु की घटी नहीं, और यह नहीं जानता, कि तू अभागा और तुच्छ और कंगाल और अन्धा, और नंगा है।

Tu jo kahta hai, ki main dhani hoon, aur dhanvaan ho gaya hoon, aur mujhe kisi vastu ki ghati nahi, aur yah nahi janta, ki tu abhaga aur tuchchh aur kangaal aur andha, aur nanga hai.

18

इसी लिये मैं तुझे सम्मति देता हूं, कि आग में ताया हुआ सोना मुझ से मोल ले, कि धनी हो जाए; और श्वेत वस्त्र ले ले कि पहिन कर तुझे अपने नंगेपन की लज्ज़ा न हो; और अपनी आंखों में लगाने के लिये सुर्मा ले, कि तू देखने लगे।

Isi liye main tujhe sammati deta hoon, ki aag mein taya huaa sona mujh se mol le, ki dhani ho jaye; aur shwet vastra le le ki pahin kar tujhe apne nangepan ki lajza na ho; aur apni aankhon mein lagane ke liye surma le, ki tu dekhne lage.

19

मैं जिन जिन से प्रीति रखता हूं, उन सब को उलाहना और ताड़ना देता हूं, इसलिये सरगर्म हो, और मन फिरा।

Main jin jin se preeti rakhta hoon, un sab ko ulahna aur tadna deta hoon, isliye sargarm ho, aur man phira.

20

देख, मैं द्वार पर खड़ा हुआ खटखटाता हूं; यदि कोई मेरा शब्द सुन कर द्वार खोलेगा, तो मैं उसके पास भीतर आ कर उसके साथ भोजन करूंगा, और वह मेरे साथ।

Dekh, main dwaar par khada huaa khatakhtata hoon; yadi koi mera shabd sun kar dwaar kholega, to main uske paas bheetar aa kar uske saath bhojan karoonga, aur vah mere saath.

21

जो जय पाए, मैं उसे अपने साथ अपने सिंहासन पर बैठाऊंगा, जैसा मैं भी जय पा कर अपने पिता के साथ उसके सिंहासन पर बैठ गया।

Jo jay paye, main use apne saath apne sinhasan par baithaoonga, jaisa main bhi jay pa kar apne pita ke saath uske sinhasan par baith gaya.

22

जिस के कान हों वह सुन ले कि आत्मा कलीसियाओं से क्या कहता है॥

Jis ke kaan hon vah sun le ki aatma kaleesiyaon se kya kahta hai.