Revelation 2 · 29 verses

प्रकाशितवाक्य 2 Revelation 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 2.

1

इफिसुस की कलीसिया के दूत को यह लिख, कि, जो सातों तारे अपने दाहिने हाथ में लिए हुए है, और सोने की सातों दीवटों के बीच में फिरता है, वह यह कहता है कि

Iphisus ki kaleesiya ke doot ko yah likh, ki, jo saton tare apne dahine haath mein liye hue hai, aur sone ki saton deevton ke beech mein phirta hai, vah yah kahta hai ki

2

मै तेरे काम, और परिश्रम, और तेरा धीरज जानता हूं; और यह भी, कि तू बुरे लोगों को तो देख नहीं सकता; और जो अपने आप को प्रेरित कहते हैं, और हैं नहीं, उन्हें तू ने परख कर झूठा पाया।

Mai tere kaam, aur parishram, aur tera dheeraj janta hoon; aur yah bhi, ki tu bure logon ko to dekh nahi sakta; aur jo apne aap ko prerit kahte hain, aur hain nahi, unhein tu ne parakh kar jhootha paya.

3

और तू धीरज धरता है, और मेरे नाम के लिये दु:ख उठाते उठाते थका नहीं।

Aur tu dheeraj dharta hai, aur mere naam ke liye dukh uthate uthate thaka nahi.

4

पर मुझे तेरे विरूद्ध यह कहना है कि तू ने अपना पहिला सा प्रेम छोड़ दिया है।

Par mujhe tere virooddh yah kahna hai ki tu ne apna pahila sa prem chhod diya hai.

5

सो चेत कर, कि तू कहां से गिरा है, और मन फिरा और पहिले के समान काम कर; और यदि तू मन न फिराएगा, तो मै तेरे पास आकर तेरी दीवट को उस स्थान से हटा दूंगा।

So chet kar, ki tu kahan se gira hai, aur man phira aur pahile ke samaan kaam kar; aur yadi tu man na phirayega, to mai tere paas aakar teri deevat ko us sthaan se hata doonga.

6

पर हां तुझ में यह बात तो है, कि तू नीकुलइयों के कामों से घृणा करता है, जिन से मैं भी घृणा करता हूं।

Par han tujh mein yah baat to hai, ki tu neekulaiyon ke kamon se ghrina karta hai, jin se main bhi ghrina karta hoon.

7

जिस के कान हों, वह सुन ले कि आत्मा कलीसियाओं से क्या कहता है: जो जय पाए, मैं उसे उस जीवन के पेड़ में से जो परमेश्वर के स्वर्गलोक में है, फल खाने को दूंगा॥

Jis ke kaan hon, vah sun le ki aatma kaleesiyaon se kya kahta hai: jo jay paye, main use us jeevan ke ped mein se jo Parmeshwar ke swargalok mein hai, phal khane ko doonga.

8

और स्मुरना की कलीसिया के दूत को यह लिख, कि, जो प्रथम और अन्तिम है; जो मर गया था और अब जीवित हो गया है, वह यह कहता है कि।

Aur smurna ki kaleesiya ke doot ko yah likh, ki, jo pratham aur antim hai; jo mar gaya tha aur ab jeevit ho gaya hai, vah yah kahta hai ki.

9

मैं तेरे क्लेश और दरिद्रता को जानता हूं; (परन्तु तू धनी है); और जो लोग अपने आप को यहूदी कहते हैं और हैं नहीं, पर शैतान की सभा हैं, उन की निन्दा को भी जानता हूं।

Main tere klesh aur daridrata ko janta hoon; (parantu tu dhani hai); aur jo log apne aap ko Yahudi kahte hain aur hain nahi, par Shaitan ki sabha hain, un ki ninda ko bhi janta hoon.

10

जो दु:ख तुझ को झेलने होंगे, उन से मत डर: क्योंकि देखो, शैतान तुम में से कितनों को जेलखाने में डालने पर है ताकि तुम परखे जाओ; और तुम्हें दस दिन तक क्लेश उठाना होगा: प्राण देने तक विश्वासी रह; तो मैं तुझे जीवन का मुकुट दूंगा।

Jo dukh tujh ko jhelne honge, un se mat dar: kyonki dekho, Shaitan tum mein se kitnon ko jelkhane mein dalne par hai taki tum parkhe jao; aur tumhein das din tak klesh uthana hoga: praan dene tak vishwasi rah; to main tujhe jeevan ka mukut doonga.

11

जिस के कान हों, वह सुन ले कि आत्मा कलीसियाओं से क्या कहता है: जो जय पाए, उस को दूसरी मृत्यु से हानि न पहुंचेगी॥

Jis ke kaan hon, vah sun le ki aatma kaleesiyaon se kya kahta hai: jo jay paye, us ko doosri mrityu se hani na pahunchegi.

12

और पिरगमुन की कलीसिया के दूत को यह लिख, कि, जिस के पास दोधारी और चोखी तलवार है, वह यह कहता है, कि।

Aur piragmun ki kaleesiya ke doot ko yah likh, ki, jis ke paas dodhari aur chokhi talvaar hai, vah yah kahta hai, ki.

13

मैं यह तो जानता हूं, कि तू वहां रहता है जहां शैतान का सिंहासन है, और मेरे नाम पर स्थिर रहता है; और मुझ पर विश्वास करने से उन दिनों में भी पीछे नहीं हटा जिन में मेरा विश्वासयोग्य साक्षी अन्तिपास, तुम में उस स्थान पर घात किया गया जहां शैतान रहता है।

Main yah to janta hoon, ki tu vahan rahta hai jahan Shaitan ka sinhasan hai, aur mere naam par sthir rahta hai; aur mujh par vishwaas karne se un dinon mein bhi peechhe nahi hata jin mein mera vishwasyogya sakshi antipaas, tum mein us sthaan par ghaat kiya gaya jahan Shaitan rahta hai.

14

पर मुझे तेरे विरूद्ध कुछ बातें कहनी हैं, क्योंकि तेरे यहां कितने तो ऐसे हैं, जो बिलाम की शिक्षा को मानते हैं, जिस ने बालाक को इस्त्राएलियों के आगे ठोकर का कारण रखना सिखाया, कि वे मूरतों के बलिदान खाएं, और व्यभिचार करें।

Par mujhe tere virooddh kuchh batein kahni hain, kyonki tere yahan kitne to aise hain, jo bilaam ki shiksha ko mante hain, jis ne balaak ko istrayeliyon ke aage thokar ka karan rakhna sikhaya, ki ve moorton ke balidaan khayen, aur vyabhichaar karein.

15

वैसे ही तेरे यहां कितने तो ऐसे हैं, जो नीकुलइयों की शिक्षा को मानते हैं।

Vaise hi tere yahan kitne to aise hain, jo neekulaiyon ki shiksha ko mante hain.

16

सो मन फिरा, नहीं तो मैं तेरे पास शीघ्र ही आकर, अपने मुख की तलवार से उन के साथ लडूंगा।

So man phira, nahi to main tere paas sheeghra hi aakar, apne mukh ki talvaar se un ke saath ladoonga.

17

जिस के कान हों, वह सुन ले कि आत्मा कलीसियाओं से क्या कहता है; जो जय पाए, उस को मैं गुप्त मन्ना में से दूंगा, और उसे एक श्वेत पत्थर भी दूंगा; और उस पत्थर पर एक नाम लिखा हुआ होगा, जिसे उसके पाने वाले के सिवाय और कोई न जानेगा॥

Jis ke kaan hon, vah sun le ki aatma kaleesiyaon se kya kahta hai; jo jay paye, us ko main gupt manna mein se doonga, aur use ek shwet patthar bhi doonga; aur us patthar par ek naam likha huaa hoga, jise uske pane vale ke sivaay aur koi na janega.

18

और थूआतीरा की कलीसिया के दूत को यह लिख, कि, परमेश्वर का पुत्र जिस की आंखे आग की ज्वाला की नाईं, और जिस के पांव उत्तम पीतल के समान हैं, यह कहता है, कि

Aur thooaateera ki kaleesiya ke doot ko yah likh, ki, Parmeshwar ka putra jis ki aankhe aag ki jwala ki nai, aur jis ke paanv uttam peetal ke samaan hain, yah kahta hai, ki

19

मैं तेरे कामों, और प्रेम, और विश्वास, और सेवा, और धीरज को जानता हूं, और यह भी कि तेरे पिछले काम पहिलों से बढ़ कर हैं।

Main tere kamon, aur prem, aur vishwaas, aur seva, aur dheeraj ko janta hoon, aur yah bhi ki tere pichhle kaam pahilon se badh kar hain.

20

पर मुझे तेरे विरूद्ध यह कहना है, कि तू उस स्त्री इजेबेल को रहने देता है जो अपने आप को भविष्यद्वक्तिन कहती है, और मेरे दासों को व्यभिचार करने, और मूरतों के आगे के बलिदान खाने को सिखला कर भरमाती है।

Par mujhe tere virooddh yah kahna hai, ki tu us stri ijebel ko rahne deta hai jo apne aap ko bhavishyadwaktin kahti hai, aur mere dason ko vyabhichaar karne, aur moorton ke aage ke balidaan khane ko sikhla kar bharmati hai.

21

मैं ने उस को मन फिराने के लिये अवसर दिया, पर वह अपने व्यभिचार से मन फिराना नहीं चाहती।

Main ne us ko man phirane ke liye avsar diya, par vah apne vyabhichaar se man phirana nahi chahti.

22

देख, मैं उसे खाट पर डालता हूं; और जो उसके साथ व्यभिचार करते हैं यदि वे भी उसके से कामों से मन न फिराएंगे तो उन्हें बड़े क्लेश में डांलूगा।

Dekh, main use khaat par dalta hoon; aur jo uske saath vyabhichaar karte hain yadi ve bhi uske se kamon se man na phirayenge to unhein bade klesh mein danlooga.

23

और मैं उसके बच्चों को मार डालूंगा; और तब सब कलीसियाएं जान लेंगी कि हृदय और मन का परखने वाला मैं ही हूं: और मैं तुम में से हर एक को उसके कामों के अनुसार बदला दूंगा।

Aur main uske bachchon ko maar daloonga; aur tab sab kaleesiyayen jaan lengi ki hriday aur man ka parakhne vala main hi hoon: aur main tum mein se har ek ko uske kamon ke anusaar badla doonga.

24

पर तुम थूआतीरा के बाकी लोगों से, जितने इस शिक्षा को नहीं मानते, और उन बातों को जिन्हें शैतान की गहिरी बातें कहते हैं नहीं जानते, यह कहता हूं, कि मैं तुम पर और बोझ न डालूंगा।

Par tum thooaateera ke baki logon se, jitne is shiksha ko nahi mante, aur un baton ko jinhein Shaitan ki gahiri batein kahte hain nahi jante, yah kahta hoon, ki main tum par aur bojh na daloonga.

25

पर हां, जो तुम्हारे पास है उस को मेरे आने तक थामें रहो।

Par han, jo tumhare paas hai us ko mere aane tak thamein raho.

26

जो जय पाए, और मेरे कामों के अनुसार अन्त तक करता रहे, मैं उसे जाति जाति के लोगों पर अधिकार दूंगा।

Jo jay paye, aur mere kamon ke anusaar ant tak karta rahe, main use jati jati ke logon par adhikaar doonga.

27

और वह लोहे का राजदण्ड लिये हुए उन पर राज्य करेगा, जिस प्रकार कुम्हार के मिट्टी के बरतन चकनाचूर हो जाते है: जैसे कि मै ने भी ऐसा ही अधिकार अपने पिता से पाया है।

Aur vah lohe ka rajdand liye hue un par rajya karega, jis prakaar kumhaar ke mitti ke bartan chaknachoor ho jate hai: jaise ki mai ne bhi aisa hi adhikaar apne pita se paya hai.

28

और मैं उसे भोर का तारा दूंगा।

Aur main use bhor ka tara doonga.

29

जिस के कान हों, वह सुन ले कि आत्मा कलीसियाओं से क्या कहता है॥

Jis ke kaan hon, vah sun le ki aatma kaleesiyaon se kya kahta hai.