Revelation 20 · 15 verses

प्रकाशितवाक्य 20 Revelation 20 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 20.

1

फिर मै ने एक स्वर्गदूत को स्वर्ग से उतरते देखा; जिस के हाथ में अथाह कुंड की कुंजी, और एक बड़ी जंजीर थी।

Phir mai ne ek swargadoot ko swarg se utarte dekha; jis ke haath mein athaah kund ki kunji, aur ek badi janjeer thi.

2

और उस ने उस अजगर, अर्थात पुराने सांप को, जो इब्लीस और शैतान है; पकड़ के हजार वर्ष के लिये बान्ध दिया।

Aur us ne us ajgar, arthaat purane saamp ko, jo iblees aur Shaitan hai; pakad ke hajaar varsh ke liye baandh diya.

3

और उसे अथाह कुंड में डाल कर बन्द कर दिया और उस पर मुहर कर दी, कि वह हजार वर्ष के पूरे होने तक जाति जाति के लोगों को फिर न भरमाए; इस के बाद अवश्य है, कि थोड़ी देर के लिये फिर खोला जाए॥

Aur use athaah kund mein daal kar band kar diya aur us par muhar kar di, ki vah hajaar varsh ke poore hone tak jati jati ke logon ko phir na bharmaye; is ke baad avashya hai, ki thodi der ke liye phir khola jaye.

4

फिर मैं ने सिंहासन देखे, और उन पर लोग बैठ गए, और उन को न्याय करने का अधिकार दिया गया; और उन की आत्माओं को भी देखा, जिन के सिर यीशु की गवाही देने और परमेश्वर के वचन के कारण काटे गए थे; और जिन्हों ने न उस पशु की, और न उस की मूरत की पूजा की थी, और न उस की छाप अपने माथे और हाथों पर ली थी; वे जीवित हो कर मसीह के साथ हजार वर्ष तक राज्य करते रहे।

Phir main ne sinhasan dekhe, aur un par log baith gaye, aur un ko nyaay karne ka adhikaar diya gaya; aur un ki aatmaon ko bhi dekha, jin ke sir Yeshu ki gavahi dene aur Parmeshwar ke vachan ke karan kate gaye the; aur jinhon ne na us pashu ki, aur na us ki moorat ki pooja ki thi, aur na us ki chhaap apne mathe aur hathon par li thi; ve jeevit ho kar Masih ke saath hajaar varsh tak rajya karte rahe.

5

और जब तक ये हजार वर्ष पूरे न हुए तक तक शेष मरे हुए न जी उठे; यह तो पहिला मृत्कोत्थान है।

Aur jab tak ye hajaar varsh poore na hue tak tak shesh mare hue na ji uthe; yah to pahila mritkotthaan hai.

6

धन्य और पवित्र वह है, जो इस पहिले पुनरुत्थान का भागी है, ऐसों पर दूसरी मृत्यु का कुछ भी अधिकार नहीं, पर वे परमेश्वर और मसीह के याजक होंगे, और उसके साथ हजार वर्ष तक राज्य करेंगे॥

Dhanya aur pavitra vah hai, jo is pahile punrutthaan ka bhagi hai, aison par doosri mrityu ka kuchh bhi adhikaar nahi, par ve Parmeshwar aur Masih ke yajak honge, aur uske saath hajaar varsh tak rajya karenge.

7

और जब हजार वर्ष पूरे हो चुकेंगे; तो शैतान कैद से छोड़ दिया जाएगा।

Aur jab hajaar varsh poore ho chukenge; to Shaitan kaid se chhod diya jayega.

8

और उन जातियों को जो पृथ्वी के चारों ओर होंगी, अर्थात गोग और मगोग को जिन की गिनती समुद्र की बालू के बराबर होगी, भरमा कर लड़ाई के लिये इकट्ठे करने को निकलेगा।

Aur un jatiyon ko jo prithvi ke charon or hongi, arthaat gog aur magog ko jin ki ginti samudra ki balu ke barabar hogi, bharma kar ladai ke liye ikatthe karne ko niklega.

9

और वे सारी पृथ्वी पर फैल जाएंगी; और पवित्र लोगों की छावनी और प्रिय नगर को घेर लेंगी: और आग स्वर्ग से उतर कर उन्हें भस्म करेगी।

Aur ve sari prithvi par phail jayengi; aur pavitra logon ki chhavni aur priya nagar ko gher lengi: aur aag swarg se utar kar unhein bhasm karegi.

10

और उन का भरमाने वाला शैतान आग और गन्धक की उस झील में, जिस में वह पशु और झूठा भविष्यद्वक्ता भी होगा, डाल दिया जाएगा, और वे रात दिन युगानुयुग पीड़ा में तड़पते रहेंगे॥

Aur un ka bharmane vala Shaitan aag aur gandhak ki us jheel mein, jis mein vah pashu aur jhootha bhavishyadwakta bhi hoga, daal diya jayega, aur ve raat din yuganuyug peeda mein tadapte rahenge.

11

फिर मैं ने एक बड़ा श्वेत सिंहासन और उस को जो उस पर बैठा हुआ है, देखा, जिस के साम्हने से पृथ्वी और आकाश भाग गए, और उन के लिये जगह न मिली।

Phir main ne ek bada shwet sinhasan aur us ko jo us par baitha huaa hai, dekha, jis ke samhane se prithvi aur aakaash bhaag gaye, aur un ke liye jagah na mili.

12

फिर मैं ने छोटे बड़े सब मरे हुओं को सिंहासन के साम्हने खड़े हुए देखा, और पुस्तकें खोली गई; और फिर एक और पुस्तक खोली गई; और फिर एक और पुस्तक खोली गई, अर्थात जीवन की पुस्तक; और जैसे उन पुस्तकों में लिखा हुआ था, उन के कामों के अनुसार मरे हुओं का न्याय किया गया।

Phir main ne chhote bade sab mare huon ko sinhasan ke samhane khade hue dekha, aur pustakein kholi gai; aur phir ek aur pustak kholi gai; aur phir ek aur pustak kholi gai, arthaat jeevan ki pustak; aur jaise un pustakon mein likha huaa tha, un ke kamon ke anusaar mare huon ka nyaay kiya gaya.

13

और समुद्र ने उन मरे हुओं को जो उस में थे दे दिया, और मृत्यु और अधोलोक ने उन मरे हुओं को जो उन में थे दे दिया; और उन में से हर एक के कामों के अनुसार उन का न्याय किया गया।

Aur samudra ne un mare huon ko jo us mein the de diya, aur mrityu aur adholok ne un mare huon ko jo un mein the de diya; aur un mein se har ek ke kamon ke anusaar un ka nyaay kiya gaya.

14

और मृत्यु और अधोलोक भी आग की झील में डाले गए; यह आग की झील तो दूसरी मृत्यु है।

Aur mrityu aur adholok bhi aag ki jheel mein dale gaye; yah aag ki jheel to doosri mrityu hai.

15

और जिस किसी का नाम जीवन की पुस्तक में लिखा हुआ न मिला, वह आग की झील में डाला गया॥

Aur jis kisi ka naam jeevan ki pustak mein likha huaa na mila, vah aag ki jheel mein dala gaya.