Revelation 19 · 21 verses

प्रकाशितवाक्य 19 Revelation 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 19.

1

इस के बाद मैं ने स्वर्ग में मानो बड़ी भीड़ को ऊंचे शब्द से यह कहते सुना, कि हल्लिलूय्याह! उद्धार, और महिमा, और सामर्थ हमारे परमेश्वर ही की है।

Is ke baad main ne swarg mein mano badi bheed ko oonche shabd se yah kahte suna, ki hallilooyyaah! Uddhaar, aur mahima, aur samarth hamare Parmeshwar hi ki hai.

2

क्योंकि उसके निर्णय सच्चे और ठीक हैं, इसलिये कि उस ने उस बड़ी वेश्या का जो अपने व्यभिचार से पृथ्वी को भ्रष्ट करती थी, न्याय किया, और उस से अपने दासों के लोहू का पलटा लिया है।

Kyonki uske nirnay sachche aur theek hain, isliye ki us ne us badi veshya ka jo apne vyabhichaar se prithvi ko bhrasht karti thi, nyaay kiya, aur us se apne dason ke lohu ka palta liya hai.

3

फिर दूसरी बार उन्होंने हल्लिलूय्याह! कहा: और उसके जलने का धुआं युगानुयुग उठता रहेगा।

Phir doosri baar unhonne hallilooyyaah! Kaha: aur uske jalne ka dhuaan yuganuyug uthta rahega.

4

और चौबीसों प्राचीनों और चारों प्राणियों ने गिर कर परमेश्वर को दण्डवत् किया; जो सिंहासन पर बैठा था, और कहा, आमीन, हल्लिलूय्याह!

Aur chaubeeson pracheenon aur charon praniyon ne gir kar Parmeshwar ko dandavat kiya; jo sinhasan par baitha tha, aur kaha, Aamin, hallilooyyaah!

5

और सिंहासन में से एक शब्द निकला, कि हे हमारे परमेश्वर से सब डरने वाले दासों, क्या छोटे, क्या बड़े; तुम सब उस की स्तुति करो।

Aur sinhasan mein se ek shabd nikla, ki he hamare Parmeshwar se sab darne vale dason, kya chhote, kya bade; tum sab us ki stuti karo.

6

फिर मैं ने बड़ी भीड़ का सा, और बहुत जल का सा शब्द, और गर्जनों का सा बड़ा शब्द सुना, कि हल्लिलूय्याह! इसलिये कि प्रभु हमारा परमेश्वर, सर्वशक्तिमान राज्य करता है।

Phir main ne badi bheed ka sa, aur bahut jal ka sa shabd, aur garjanon ka sa bada shabd suna, ki hallilooyyaah! Isliye ki Prabhu hamara Parmeshwar, sarvashaktimaan rajya karta hai.

7

आओ, हम आनन्दित और मगन हों, और उस की स्तुति करें; क्योंकि मेम्ने का ब्याह आ पहुंचा: और उस की पत्नी ने अपने आप को तैयार कर लिया है।

Aao, ham aanandit aur magan hon, aur us ki stuti karein; kyonki memne ka byaah aa pahuncha: aur us ki patni ne apne aap ko taiyaar kar liya hai.

8

और उस को शुद्ध और चमकदार महीन मलमल पहिनने का अधिकार दिया गया, क्योंकि उस महीन मलमल का अर्थ पवित्र लोगों के धर्म के काम हैं।

Aur us ko shuddh aur chamakdaar maheen malmal pahinne ka adhikaar diya gaya, kyonki us maheen malmal ka arth pavitra logon ke dharm ke kaam hain.

9

और उस ने मुझ से कहा; यह लिख, कि धन्य वे हैं, जो मेम्ने के ब्याह के भोज में बुलाए गए हैं; फिर उस ने मुझ से कहा, ये वचन परमेश्वर के सत्य वचन हैं।

Aur us ne mujh se kaha; yah likh, ki dhanya ve hain, jo memne ke byaah ke bhoj mein bulaye gaye hain; phir us ne mujh se kaha, ye vachan Parmeshwar ke satya vachan hain.

10

और मैं उस को दण्डवत करने के लिये उसके पांवों पर गिरा; उस ने मुझ से कहा; देख, ऐसा मत कर, मैं तेरा और तेरे भाइयों का संगी दास हूं, जो यीशु की गवाही देने पर स्थिर हैं, परमेश्वर ही को दण्डवत् कर; क्योंकि यीशु की गवाही भविष्यद्वाणी की आत्मा है॥

Aur main us ko dandavat karne ke liye uske panvon par gira; us ne mujh se kaha; dekh, aisa mat kar, main tera aur tere bhaiyon ka sangi daas hoon, jo Yeshu ki gavahi dene par sthir hain, Parmeshwar hi ko dandavat kar; kyonki Yeshu ki gavahi bhavishyadwani ki aatma hai.

11

फिर मैं ने स्वर्ग को खुला हुआ देखा; और देखता हूं कि एक श्वेत घोड़ा है; और उस पर एक सवार है, जो विश्वास योग्य, और सत्य कहलाता है; और वह धर्म के साथ न्याय और लड़ाई करता है।

Phir main ne swarg ko khula huaa dekha; aur dekhta hoon ki ek shwet ghoda hai; aur us par ek savaar hai, jo vishwaas yogya, aur satya kahlata hai; aur vah dharm ke saath nyaay aur ladai karta hai.

12

उस की आंखे आग की ज्वाला हैं: और उसके सिर पर बहुत से राजमुकुट हैं; और उसका एक नाम लिखा है, जिस उस को छोड़ और कोई नहीं जानता।

Us ki aankhe aag ki jwala hain: aur uske sir par bahut se rajmukut hain; aur uska ek naam likha hai, jis us ko chhod aur koi nahi janta.

13

और वह लोहू से छिड़का हुआ वस्त्र पहिने है: और उसका नाम परमेश्वर का वचन है।

Aur vah lohu se chhidka huaa vastra pahine hai: aur uska naam Parmeshwar ka vachan hai.

14

और स्वर्ग की सेना श्वेत घोड़ों पर सवार और श्वेत और शुद्ध मलमल पहिने हुए उसके पीछे पीछे है।

Aur swarg ki sena shwet ghodon par savaar aur shwet aur shuddh malmal pahine hue uske peechhe peechhe hai.

15

और जाति जाति को मारने के लिये उसके मुंह से एक चोखी तलवार निकलती है, और वह लोहे का राजदण्ड लिए हुए उन पर राज्य करेगा, और वह सर्वशक्तिमान परमेश्वर के भयानक प्रकोप की जलजलाहट की मदिरा के कुंड में दाख रौंदेगा।

Aur jati jati ko marne ke liye uske munh se ek chokhi talvaar nikalti hai, aur vah lohe ka rajdand liye hue un par rajya karega, aur vah sarvashaktimaan Parmeshwar ke bhayanak prakop ki jalajlahat ki madira ke kund mein daakh raundega.

16

और उसके वस्त्र और जांघ पर यह नाम लिखा है, राजाओं का राजा और प्रभुओं का प्रभु॥

Aur uske vastra aur jaangh par yah naam likha hai, rajaon ka raja aur prabhuon ka Prabhu.

17

फिर मैं ने एक स्वर्गदूत को सूर्य पर खड़े हुए देखा, और उस ने बड़े शब्द से पुकार कर आकाश के बीच में से उड़ने वाले सब पक्षियों से कहा, आओ परमेश्वर की बड़ी बियारी के लिये इकट्ठे हो जाओ।

Phir main ne ek swargadoot ko soorya par khade hue dekha, aur us ne bade shabd se pukaar kar aakaash ke beech mein se udne vale sab pakshiyon se kaha, aao Parmeshwar ki badi biyari ke liye ikatthe ho jao.

18

जिस से तुम राजाओं का मांस, ओर सरदारों का मांस, और शक्तिमान पुरूषों का मांस, और घोड़ों का, और उन के सवारों का मांस, और क्या स्वतंत्र, क्या दास, क्या छोटे, क्या बड़े, सब लोगों का मांस खाओ॥

Jis se tum rajaon ka maans, or sardaron ka maans, aur shaktimaan purooshon ka maans, aur ghodon ka, aur un ke savaron ka maans, aur kya swatantra, kya daas, kya chhote, kya bade, sab logon ka maans khao.

19

फिर मैं ने उस पशु और पृथ्वी के राजाओं और उन की सेनाओं को उस घोड़े के सवार, और उस की सेना से लड़ने के लिये इकट्ठे देखा।

Phir main ne us pashu aur prithvi ke rajaon aur un ki senaon ko us ghode ke savaar, aur us ki sena se ladne ke liye ikatthe dekha.

20

और वह पशु और उसके साथ वह झूठा भविष्यद्वक्ता पकड़ा गया, जिस ने उसके साम्हने ऐसे चिन्ह दिखाए थे, जिन के द्वारा उस ने उन को भरमाया, जिन्हों ने उस पशु की छाप ली थी, और जो उस की मूरत की पूजा करते थे, ये दोनों जीते जी उस आग की झील में जो गन्धक से जलती है, डाले गए।

Aur vah pashu aur uske saath vah jhootha bhavishyadwakta pakda gaya, jis ne uske samhane aise chinh dikhaye the, jin ke dwara us ne un ko bharmaya, jinhon ne us pashu ki chhaap li thi, aur jo us ki moorat ki pooja karte the, ye donon jeete ji us aag ki jheel mein jo gandhak se jalti hai, dale gaye.

21

और शेष लोग उस घोड़े के सवार की तलवार से जो उसके मुंह से निकलती थी, मार डाले गए; और सब पड़ी उन के मांस से तृप्त हो गए॥

Aur shesh log us ghode ke savaar ki talvaar se jo uske munh se nikalti thi, maar dale gaye; aur sab padi un ke maans se tript ho gaye.